8
Janiye Kuch aasan Step mai Yoga for Glowing Skin in Hindi HRELATE.COM

Yoga for Glowing Skin Se Banaiye Apni Twacha Ko Sundar

Embed Size (px)

DESCRIPTION

Sundar banane ke liye sabhi log bahut kuchh karte hai Yoga for Glowing Skin me aaiye ham aapko batate hai ki sundar skin ke liye hame koun koun se yoga karne chahiye, jankari ke liye click kare: http://hrelate.com/yoga-for-glowing-skin-in-hindi/ - PowerPoint PPT Presentation

Citation preview

Page 1: Yoga for Glowing Skin Se Banaiye Apni Twacha Ko Sundar

 

Janiye Kuch aasan Step mai Yoga for Glowing Skin in Hindi

HRELATE.COM

Page 2: Yoga for Glowing Skin Se Banaiye Apni Twacha Ko Sundar

hrelate.com

Yoga for Glowing Skin

Sundar dikhane ke liye aap kya-kya karti hai. Na jan kitne mahnge mahnge utpadano ka istemaal karti hai. Par aapko koi accha result nahi milat hai, balki kabhi bhi aapki twacha aur kharab ho jati hai.

To kyo na hum kuch aisa kare ki hamari twacha natural tarike se hamesha ke liye swasth ho jaye. Isliye aaiye aaj iss article mai hum aapko batate hai,Yoga for Glowing Skin in Hindi.

Page 3: Yoga for Glowing Skin Se Banaiye Apni Twacha Ko Sundar

hrelate.com

Copal Shakti Yoga (Facial Muscle Toning ke liye)• Panje ke bal sheedhe bethe aur ghutne ko jameen

se chuye.

• Naak se gahri saans bhare

• Muh se saans chhode

• Done anguthe se naak se dono ched band kare aur dono hatho ki ungaliyo ke siro ka ek dusre se jode le jese namste karte hai.

• Fir apni chin ko seene par tikaye aur jitni der sambhav ho gaalo ko phulate huye saans roke. Yeh exercise 10 se 15 baar rozana kare.

Page 4: Yoga for Glowing Skin Se Banaiye Apni Twacha Ko Sundar

hrelate.com

Page 5: Yoga for Glowing Skin Se Banaiye Apni Twacha Ko Sundar

hrelate.com

Sarvangasana

• Ek chatai par peeth ke bal let jaye. Pairo ko 90 degree angle mai upar uthaye. Ghutne seedhe rakhe.

• Ab hatho se kamar ko pakdhe aur support dete huye hips aur sharir ko upar ki taraf seedhe uthaye. Apni kohniyo ko jinta sambhav ho sata kar rakhe.

• Aankhen band karke aaram mahsus kare.

• Samanye saans ke saath isi isthiti mai jab tak ruk sake ruke. Fir vapaas se pahli vali isthiti mai aa jaye. Aisa 3 se 4 baar jarur kare.

Page 6: Yoga for Glowing Skin Se Banaiye Apni Twacha Ko Sundar

hrelate.com

Shirshasana

• Apni ungaliyo ko ek- dusre se jakdkar kohni tak ke haath ko chatai par rakhkar lete. Kohniya ghutne ke samne rakhe. Ab apne sar ka chatai par rakhe, jaha apne ungaliya ko jakdakar rakha tha.

• Fir hips ko dheere-dheere upar uthaye aur ghutne ko bhi jameen se upar uthate huye pairo ko seedha upar ki aur le jaye. Sirf panje jameen ko chuye.

• Santulan banate huye apne pure sharir ka bhar sar aur kandho par dalte huye panjo ko bhi uthaye.

• Pairo ko jameen se uthaye huye sar aur kandho pure sharir vajan dalte huye santulan banaye.

• Ghutne modhe aur dheere dheere upar ki aur le jaye. Jab tak ki aapke pair aapke dhad ke akdam upar na ho jaye.

• Ab sharir ek hi line mai seedha hold kare. Aaram mahsus karte huye iss isthiti par niyantran banakar rakhe.

Page 7: Yoga for Glowing Skin Se Banaiye Apni Twacha Ko Sundar

hrelate.com

Kapalbhati • Yeh kriya shudhikaran ki technique hai. Yeh nadi aur

mastishk ko saaf karti hai. Saath hi yeh fefdo ki kisi bhi prakaar ki blockage ko kholne mai madad karti hai. Pachantatra ko toning karta hai aur nervous system ko majbut bhi banata hai.

• Peeth aur garden ko sheedha rakh kar bethe aur apni aankhon ko band kare.

• Jor se saans ko bahar ki taraf chhode, saans chhote samay jor se abdomen ko bhitar ki taraf khiche.

• Pahle jesi isthiti mai aakar samanye saans le. Iss prakriya ko panch miutes ke liye dohraye. Acche prinaam ke liye isse 10 minutes tak bhi kar sakte hai.

Page 8: Yoga for Glowing Skin Se Banaiye Apni Twacha Ko Sundar

hrelate.com

Kunjal Kriya

• Khali pet halka gram pani mai namak milakar piye. Tab tak piye jab tak ki yeh na lage ki aapko ulti aane vali hai.

• Fir seedhe khade ho aur dheere dhaare sharir ko jhukate huye 80 degree angle banaye.

• Ab muh khole aur left hand ki beech vali ungali aur ring finger se muh ke bhitar gale ke paas tak le jakar gudgudi si kare. Taki pet ki bhitar ka saar pani utli ke saath bahar aa jaye.

• Aisa tab tak kare jab tak ki jara bhi pani bahar na nikalna shuru ho.

• Acche result ke liye yeh prakriya har dusre din kare.