7
WUZU KAY FARAAEIZ: (yani woh baatein jin kay baghair wuzu hota hi nahi) Wuzu mein 4 farz hai : 1. payshaani kay baalon say thudi kay nichay tak aur ek kaan say dusaray kaan tak muuh dhoona 2. doono haaton ko khuniyon samait dhoona 3. chauthaie (1/4) sar ka masah karna 4. doono paaon takhno samait dhoona. _____________________________________________________________________________ ___ WAZU KI SUNNATEIN : (yani woh kaam jin kay baghair wazu to hojata hai magar naqis aur na mukammal rahta hai) WAZU KI 13 SUNNATIEN : 1. niyyat karna 2. bismillaah padhna 3. pahlay teen baar doono haat gattoon tak dhoona 4. miswaak karna 5. teen baar kulli karna 6. teen baar naak mein paani daalna 7. dhaadhri (beard) ka khilaal karna 8. haat paaon ki ungliyoon ka khilaal karna 9. har azoo ko teen baar dhoona 10. ek baar tamaam sar ka masah karna , yaani bheega hua haat sar par phairna 11. doono kaano ka masah karna 12. tarteeb say wazu karna 13. musalsal wazu karna , yaani ek a’zoo khuskh na honay paaye kay dusara a’zoo dhooye _____________________________________________________________________________ ______ GUSL KAY FARAAEIZ: (woh baatein jin kay baghair gusl hota hi nahi) Gusl mein 3 farz hai: 1. kulli karna 2. naak mein paani daalna 3. tamaam badan paani bahaana – is tarah kay baal barabar jagah sukhi na rahay. __________________________________________________________________ _____ GUSL KI SUNNATIEN : GUSL MEIN 5 SUNNATIEN HAI 1. doono haat gattoon tak dhoona 2. na paaki door karnay ki niyyat karna 3. jis jagah badan par najasat (na paaki) lagi ho ussay dhoona 4. pahlay wazu karna 5. tamaam badan par teen baar paani bahaana NAWAQIZ E WAZU : ( jin chezoon say wazu toot jata hai unhain nawaqiz e wazu kahtay hai

wuzu taharat ghusul holy bath sunnah ways tenets of islam namaz sunnat

Embed Size (px)

DESCRIPTION

WUZU KAY FARAAEIZ: (yani woh baatein jin kay baghair wuzu hota hi nahi)Wuzu mein 4 farz hai : 1. payshaani kay baalon say thudi kay nichay tak aur ek kaan say dusaray kaan tak muuh dhoona 2. doono haaton ko khuniyon samait dhoona 3. chauthaie (1/4) sar ka masah karna 4. doono paaon takhno samait dhoona. ________________________________________________________________________________ WAZU KI SUNNATEIN : (yani woh kaam jin kay baghair wazu to hojata hai magar naqis aur na mukammal rahta hai)WAZU

Citation preview

Page 1: wuzu taharat ghusul holy bath sunnah ways tenets of islam namaz sunnat

WUZU KAY FARAAEIZ: (yani woh baatein jin kay baghair wuzu hota hi nahi) Wuzu mein 4 farz hai :

1. payshaani kay baalon say thudi kay nichay tak aur ek kaan say dusaray kaan tak muuh dhoona

2. doono haaton ko khuniyon samait dhoona3. chauthaie (1/4) sar ka masah karna4. doono paaon takhno samait dhoona.

________________________________________________________________________________WAZU KI SUNNATEIN : (yani woh kaam jin kay baghair wazu to hojata hai magar naqis aur na mukammal rahta hai)WAZU KI 13 SUNNATIEN :

1. niyyat karna2. bismillaah padhna3. pahlay teen baar doono haat gattoon tak dhoona4. miswaak karna5. teen baar kulli karna6. teen baar naak mein paani daalna7. dhaadhri (beard) ka khilaal karna8. haat paaon ki ungliyoon ka khilaal karna9. har azoo ko teen baar dhoona10.ek baar tamaam sar ka masah karna , yaani bheega hua haat sar par phairna11.doono kaano ka masah karna12.tarteeb say wazu karna13.musalsal wazu karna , yaani ek a’zoo khuskh na honay paaye kay dusara a’zoo dhooye

___________________________________________________________________________________GUSL KAY FARAAEIZ: (woh baatein jin kay baghair gusl hota hi nahi) Gusl mein 3 farz hai:

1. kulli karna 2. naak mein paani daalna3. tamaam badan paani bahaana – is tarah kay baal barabar jagah sukhi na rahay.

_______________________________________________________________________GUSL KI SUNNATIEN : GUSL MEIN 5 SUNNATIEN HAI

1. doono haat gattoon tak dhoona 2. na paaki door karnay ki niyyat karna3. jis jagah badan par najasat (na paaki) lagi ho ussay dhoona4. pahlay wazu karna5. tamaam badan par teen baar paani bahaana

NAWAQIZ E WAZU : ( jin chezoon say wazu toot jata hai unhain nawaqiz e wazu kahtay hai aur woh 8 hai)

1. pakhaana , peshaab karna , ya un doono raston say kisi aur cheez ka nikalna2. reeh yaani hawa ka peechay say nikalna3. badan kay kisi muqaam say khoon ya peep ka nikal kar beh jaana4. mooh bhar kar qhai (vomiting) karna5. late kar ya take laga kar soona6. bimari ya kisi wajah say bay hoosh ho jaana7. majnoon yaani deewana ho jana8. namaz (ruku aur sajday waali) mein qaiqah maar kar hasna

4 - ASMAANI KITABEIN : KHULAFA E RASHIDEEN KAY NAAM : 4- MASHOOR FARISTON KAY NAAM

1. touraat 1. hazrat Abu Bakar Sid’deeq (R.A.) 1. hazrat Jibraeel (A.S.)2. zaboor 2. hazrat Umar Farooq (R.A.) 2. hazrat Meeka’eel (A.S.)3. injeel 3. hazrat Usmaan Ghani (R.A.) 3. hazrat Isra’feel (A.S.)4. quraan e majeed 4. hazrat Ali Murtuza (R.A.) 4. hazrat Isra’eel (A.S.)

Page 2: wuzu taharat ghusul holy bath sunnah ways tenets of islam namaz sunnat

KHANAY KAY ADAAB:

1. doono haath gattoon tak dhona aur na poonchna2. dastar khwaan bichana3. bismillaah padhna ( bismil laahi wa a’laa bara-katil’laah )4. daaien (right) haat say khana ( baaien (left) haat say hargiz na khana )5. apnay samnay say khana, agar tashtiri mein ka’yee qism ki chezien ho to jo pasand ho

woh khayein , kisi ka haat badh raha ho to apnay haat ko rook lein6. teen ungaliyoon say khana7. piyala tashtiri ko neez ungliyoon ko chaat kar saaf karna8. agar luqma gir jaye to utha kar khalayna9. khanay mein aieb na lagaana10.take laga kar na khana11.khanay kay baad ki dua padhna (Alhamdu lil laahil lazee at amanaa wasa qaanaa waja

a’lanaa minal muslimeen. )12.pahlay dastar khwaan uthana phir khud uthna aur dastar khwaan uthanay ki dua padhna

(Al hamdu lil laahi hamdan kaseeran tay’yibam mubarakan feehi ghaira makfi iw walaa muwad’da iw walaa mustagh nan anhu rab’banaa.)

13.kulli karna14.haat dhona

SOONAY KAY ADAAB:

1. jald soonay ki fikr karein , duniya ki baatein na karein2. ba wazu sooye (wazu kar kay soona)3. teen martaba bistar jhaard kar sooye4. teen silaaye surma laga kar sooye5. kalimay shareef padh kar sooye (Awwal kalima)6. tasbeeh fatimah padh kar sooye (33 martaba- subhaan allaah, 33 martaba- alhamdulil laah,

34 martaba - allaahu akbar) 7. teeno ‘Qul’ padh kar haaton par phoonk kar saaray badan par phairlay (para no.30)8. ‘suray mulk’ aur ‘alif laam meem’ sajdah padh kar sooye (para no.29 & para no.21)9. dhaahini (right) karwat late kar haat rukhsaar kay nichay rakhay10.dua padh kar sooye ( Allahum’ma bismika amootu wa ah-yaa )11.agar needh na aaye to yeh dua padhay ( a’oozu bikali maatil laahit taam mati min ghaza

bihee wa e’qaabihee wa shar’ri ibaadihee wa min hama zaatish shayaa teeni wa ien yahzuroon )

12.agar bura quwaab dekhay to yeh dua padh kar baaien (left) janib thutkaar dein ( a’oozu bil laahi minash shaitaani wa shar’ri haazi hir ru’yaa (3- baar)

SHARAIT E NAMAAZ ( yaani jin kaamo kay FARAEIZ E NAMAAZ: ( woh baatein jin kay bagair namaaz shuru hi nahi hoti ) bagair namaaz hoti hi nahi )

1. badan ka paak hona 1. takbeer e tahreema kehna 2. kapadon ka paak hona 2. qiyaam yaani khada hona3. jagah ka paak hona 3. qiraat yaani quraan padhna4. satar ka chipana 4. ruku karna5. namaaz ka waqt hona 5. doono sajday karna6. qiblah ki taraf muh karna 6. qaiday akhirah yaani namaaz kay aakhir mein 7. niyyat karna attahiyaat padhnay ki miqdaar baithna

___________________________________________________________________________________JOOTA PAHENNAY KAY AADAAB:

1. ek joota pahen kar chalna mamnoo (mana) hai2. joota pahlay daahenay (right) pair mein pahnay aur utartay waqt pahlay baaien (left)

Page 3: wuzu taharat ghusul holy bath sunnah ways tenets of islam namaz sunnat

pair say utaarein 3. jahaan joota chori honay ka andeshaa ho wahaan na rakhein , apnay paas rakhein (magar masjid mein layjaanay say pahlay jootay ki gard wa ghubaar jhatakdein)

BAITUL KHALAA JAANAY KI SUNNATIEN:

1. sar dhaank kar aur joota ya chapel pahen kar baitul khalaa mein jaana2. dua padh kar jaana ( Allahum’ma in’nee a’oo zubika minal qubusi wal qabaa is )3. pahlay baaya (left) pair andar rakhna4. baitul khalaa mein qibla ki taraf na chehra karein aur na peeth karein5. faraaghat kay waqt baaein (left) pair par wazan daal kar baithaien6. baitul khalaa mein baith kar bila shadeed zaroorat kay baat na karein aur ussi tarah Allah

ka zikr bhi na karein7. faraaghat kay waqt aazoo e khas ko daahinay haat na lagayein balkay baaya haat lagayein8. peshaab karnay kay waqt narm jagah talaash karein9. baith kar peshaab karein – khaday ho kar na karein10.peshaab kay chitoon say bahot bachay kyunkay aksar azaab e qabar us say na bachanay

ki wajeh say hota hai11.anghothi ya kisi cheez par quraan shareef ki ayat ya Huzoor (Sallal lahu alihi wa sallam) ka

naam mubarak likha hua ho to ussay apnay paas na rakhein12.faraaghat kay baad pahlay choota istenjaa dhooen phir bada istenjaa dhooen13.phir daahina (right) kadam bahar nikaal lay14.baitul khalaa say nikal nay ki dua padhay. (Ghufraa naka alhamdu lil laahil lazee azhaba an-

nil azaa wa aa faanee)___________________________________________________________________________________PAANI PEENAY KI SUNNATEIN:

1. Paani baith kar peena2. paani dekh kar peena3. paani peenay say pahlay ‘bismillaah’ kahna4. daahinay (right) haat say peena5. teen saans mein peena6. peenay kay baad ‘alhamdulillaah’ kahna

___________________________________________________________________________________

ARKAAN E ISLAAM / ISLAAM KAY FARAA’EIZ : (islaam kay 5 arkaan / faraa’eiz hai)

1. kalimay tayyiba2. namaaz3. roza4. zakaat5. hajj

______________________________________________________________________________________________________________________________________________________________________EK MUSALMAAN PAR DUSERAY MUSALMAAN KAY HUQOOQ:

1. salaam ka jawaab dayna2. mareez ki mizaaz pursi karna3. janazay kay saath jaana4. daawat qubool karna5. cheenk ka jawaab dayna (yar hamu kal laah) kehna

___________________________________________________________________________________MASJID MEIN DAKHIL HONAY AUR NIKALNAY KI SUNNATEIN

1. Masjid dakhil hotay waqt seedha pair (right leg) pahlay masjid mein rakhna

Page 4: wuzu taharat ghusul holy bath sunnah ways tenets of islam namaz sunnat

2. Dua padhna ( Allahum maf tahlee ab waaba rahmatik )3. Aetekaaf ki niyyat karna 4. Masjid say nikal tay waqt bayaa pair (left leg) pahlay nikaalna5. Nikaltay waqt dua padhna ( Allahum’ma innee as aluka min fazlik )

EK SUNNAT PAR AMAL KARNAY PAR 100 SHADEEDO KA SAWAAB HAI – (HADEES-MISHKAAT)

AMAAL E JUMA:Yani juma kay woh amaal jin ko hadees e paak mein khaas fazeelat aaye hai aur in par amal karnay say har har qadam par ek saal nafil namaz aur ek saal nafil rozay ka sawaab milta hai ( Tirmizi, Abo Daud, Nasai, Ibn Maja) – woh 6 amaal yeh hai :

1. Ghusl karna2. Masjid jaldi jaana3. Paidal jaana4. Imaam kay qareeb baithnay ki koshish karna5. Koi laghoo kaam na karna6. Khutbah ghour say sunna

In kay alawah aur bhi chand amaal hai jin ka juma kay rooz khaas ahtemaam karna chahiye

1. Suray Khaf ki tilawat ( para no. 15 , total ayats -110 )2. Durood e shareef ki kasrat, kum say kum 300 baar 3. Salaat tul tasbeeh padhna4. Dono khutbo kay darmiyaan jab imaam mimbar par baithay to dil hi dil mein dua karein5. Ghuruub e aaftaab (maghrib) say pahlay dua karna kay us waqt dua qubool hoti hai

_______________________________________________________________________________________________________________________________KHUTBAY KAY WAQT MAKROOH AMAAL:

1. Khutbay kay waqt baat karna2. Namaz padhna3. Dua karna4. Quran ki tilawat karna5. Durood e shareef padhna6. Zikr karna7. Tasbeeh karna ya koi bhi aysa kaam karna jis ki wajah say khutbah tawajjuh kay saath na

sun sakay makrooh hai___________________________________________________________________________________DUA KAY AADAAB:

1. paak wa saaf ba wazu qibla-roo hokar dua karna2. doono haath seenay kay saamnay rakhna3. doono haath kay darmiyaan thoda faasla rakhna4. ikhlaas aur tawaj’juh kay saath chupkay-chupkay dua karna5. dil mein yeh yaqeen rakhna kay insha-allaah hamari dua zaroor qubool hogi6. dua kay awwal wa aakhir mein hamd wa sanaa aur durood e sharif ka ahtemaam rakhna7. dua kay baad doono haath chehray par phairna

WAALIDAIN ( MAA – BAAP ) KAY HUQOOQ AUR ADAAB AUR UN KAY FAZAAIL : 1. maa kay qadmo kay nichay jannat hai2. baap jannat kay darwazon mein say beech ka darwaza hai3. waalidain ki khoob khidmat karein , ussay rizq aur umar mein barkat hoti hai4. waalidain ka aur unkay rishtay daar , dost ahbaab aur mutalliqeen ka ikraam wa ihteraam

karein

Page 5: wuzu taharat ghusul holy bath sunnah ways tenets of islam namaz sunnat

5. agar waalidain nichay baithay hoto unchi jagah par na baithay aur na unchi awaaz mein baat karein

6. agar waalidain kisi kaam say rookein to ussi mein bhalayi samajh kar ruk jaaye7. waalidain bhoodhay ho jaaye to unki har tarah say khidmat karein8. aisa koi kaam na karein jissay waalidain naaraaz ho9. waalidain ki har baat maanay , agar khilaaf e sharah(islam kay khilaaf) hoto usay baaton

mein taal day10.waalidain ki riza(khushi) mein Allah ki riza hai aur unki naaraazgi mein Allah ki naraazgi hai11.waalidain ki agar zindagi bhar bhi khidmat ki jaaye to unkay ek ahsaan ka badla bhi nahi

chukaya jasakta ( SOURCE : AASAAN DEENIYAAT )