13
DAILY LESSON PLAN TOPIC (NAZAM) BILLO KA BASTA Class:- III Subject:- Urdu Name:- MS.NIGHAT GHAURI Institution:- D.A MODEL HIGH SCHOOL Ph:IV Date:- 10 th July 2011

TOPIC BACKGROUND

Embed Size (px)

DESCRIPTION

DAILY LESSON PLAN TOPIC (NAZAM) BILLO KA BASTA Class :- III Subject :- Urdu Name:- MS. NIGHAT GHAURI Institution:- D.A MODEL HIGH SCHOOL Ph:IV Date:- 10 th July 2011. INTRODUTION OF POET Ibn-e-insha ka shumaar urdu adab ki namwar Shaksiyaat mien hota hy. - PowerPoint PPT Presentation

Citation preview

Page 1: TOPIC BACKGROUND

DAILY LESSON PLANTOPIC (NAZAM)

BILLO KA BASTAClass:- III

Subject:- UrduName:- MS.NIGHAT GHAURI

Institution:- D.A MODEL HIGH SCHOOL Ph:IV

Date:- 10th July 2011

Page 2: TOPIC BACKGROUND

TOPIC BACKGROUND

INTRODUTION OF POET

Ibn-e-insha ka shumaar urdu adab ki namwar Shaksiyaat mien hota hy.

Ibn-e-insha 1927 mien mashriqi Punjab k sheher JALINDHAR mien paida huay.

1946 mien Punjab University say B.A or 1953 mien Karachi University say M.A kiya.

Apka inteqaal 13 January 1978 ko London mien hua or Karachi mien matfoon huay.

MESSAGE OF THE POEM

Nazam “Billo ka basta” bachon ki zehni nafsiyaat ki tarjumani karti hay.

Nazam mien bachon ki kitabon say adam dilchaspi or ghair zaroori ashya mien dilchaspi ko bayan kiya gaya hy.

Bachon k liye aik aham pegham diya gaya hy k wo kitabon ki ahmiyat ko samjhen.

Is nazam mien shair bachon ko ilm hasil karnay or shoq say school janay ki targheeb daity huay bhi nazar atay hain.

Page 3: TOPIC BACKGROUND

ACHEIVEMENTS MAJMOOA-E-KALAM:- Chand Nagar, Dil-e-Wehshi, Iss basti k koochay mien. TAN-O-MIZHA:- Khumaar-e-gandum, Urdu ki akhri kitab. SAFAR NAMAY:- Awara gard ki dairy, Ibn-e-batoota k taaqqub mien, Chaltay ho to cheen ko chaliye, Dunya gol hy, Nagri nagri phira mussafir. KHUTOOT (KHAT INSHA JII K). MAJMOOA COLUMN NAVISI:- Aap sy kiya parda, Roznama Jang Karachi, Roznama Imrooz Lahore, Haft Roza Akhbar-e-Jahan.

MAJMOOA BACHON KI NAZMIEN:- Billo ka basta.

Page 4: TOPIC BACKGROUND

E F F E C T

Ibn-e-insha ki tehreeron k gehray

naqoosh urdu adab par murattab huay.

Apnay mushahidaat or tajurbaat ko tanz-o-mizha k dilchasp pairai mien bayan kar k urdu adab mien munfarid maqam hasil kiya.

Page 5: TOPIC BACKGROUND

CONCLUSION Ibn-e-insha nay apni tehreeron or shairi k zarye

urdu adab mien aik munfarid maqam hasil kiya. Unkay mazameen, safarnamay or shairi aaj bhi

loogon mien dilchaspi or muskurahat ka pegham daiti hay.

Apni mukhtasir zindagi k safar mien jitna likha buhat khub or umda likha.

Ibn-e-insha nay apnay dor k samaji shaoor ko bedar karnay k liye tanz-o-mizha ka sahara liya.

Apki ghazalon mien say chund aik aaj bhi daimi shorat rakhti hay.

Page 6: TOPIC BACKGROUND

A C T I O N P L A NTOPIC:- BILLO KA BASTA (NAZAM)

Name:- MS.NIGHAT GHAURIInstitution:- D.A MODEL HIGH

SCHOOL Ph:IVSubject:- Urdu

Class:- III

Page 7: TOPIC BACKGROUND

LONG TERM GOAL

21st sadi k taqazoon ko madday nazar rakhtey huay nisab mukammal karvaya jaye ga.

Is ka maqsad ye hay k bachay dor-e-jadeed k tareeqa-e-tadrees say rooshnaas ho sakain.

Bachon mien urdu shairi say dilchaspi paida ho sakay.

Page 8: TOPIC BACKGROUND

SHORT TERM GOAL

Nazam k hawalay say bachon ko shairi ki Ahmiyat say rooshnas karvana. Unki zehni silahiyatoon ko ujagar karna. Bachon ko shairi k ramooz say agahi dilvana. Unki kaarkardagi ki Hosla afzai karna. takay wo

apni maloomaat mien izafa karnay ki koshish karen.

Nazam say mutalliq bachon ko Group Discussion ka moqa farham kiya jaey.

Page 9: TOPIC BACKGROUND

INSTRUCTIONAL STRATEGIES

Bachon ko urdu shairi ki ahmiyat-o-afadiyat say aagah kiya jaey. Sabiqa maloomaat ki madad say unki

maloomaat mien mazeed izafa karwaya jaye. Bachon ko or dilchasp nazmen bhi sunai jaen. Nazam ki buland khuwani ki jaey.Bachon say bhi

taqleedi buland khuani karwai jaye. Nazam say mutalliqa mashqi sawalaat or qawaid

ka tehreri kam mukammal karwaya jaey. Nazam ka markazi khayal likhwaya jaey.

Page 10: TOPIC BACKGROUND

CHALLENGES/SOLUTIONS

CHALLENGES

a.Mushkil alfaz ki shanakht or likhny mien bachon ko dushwari pesh a sakti hy.

b.Nayi nazam k mutaliq bachon ki maloomat na hony ki bina par unki dilchaspi kum hosakti hy.

c.Alfaz k talaffuz ki durust adaeygi mien mushkilat pesh aa sakti hain.

SOLUTIONS a.Mushkil alfaz bar bar

dhorany or likhwany say unhen alfaz ki pehchan hojaye gi.

b.Mukhtalif tasweeron or raangon ki madad say bachon ki nazam mien dilchaspi paida ki ja sakti hy.

c.Bachon mien shairi ka shoq paida karny k liye unhen dilchasp nazmen sunayi jaen or unsy suni jaen .

Page 11: TOPIC BACKGROUND

TIME LINE

SEPTEMBER 2011Sabaq

“QAUMI SHAHEED”say mutalliq

QUIZ COMPITION

NOVEMBER 2011“STUDENTS WEEK”

JANUARY 2012Nazam

“COMPUTER KI MUNASIBAT SAY”

I.T PROJECT

MARCH 2012“QUAID-E-AZAM

THE GREAT”SPEECH COMPITION

Page 12: TOPIC BACKGROUND

CLASS III NEWS LETTER

By: Ms.Nighat Ghauri July 10th,2011

• Is week class mien kiya kaam kiya gaya.

Nazam “Billo ka basta” parhayi gayi.

Ibn-e-insha k safarnamon, halat-e-zindagi or shaksiyat k mukhtalif pehluon se aagah kiya gaya.

Aap ki chund mashoor nazmen yaad karaen gayin.

Mushkil alfaz ka imla liya gaya or islah karwayi gayi.

Nazam ka khulasa likhnay k liye diya gaya.

* Next week class mien kiya kaam karwaya jayega.

• Naya sabaq “Meri Kahani” parhaya jaey ga.

• Parents baray-e-meherbani bachon ki madad karen takay wo apni shaksiyat k baray mien mazmoon likh saken.

• Bachon k liye Ibn-e-insha ki islahi nazmon mien se koi b 1 nazam yaad karwa den.

• Next week students k liye “PAF Museum” Field Trip organize kiya gaya hay.

Page 13: TOPIC BACKGROUND

RESOURCES

Internet. Urdu Encylopedia. Books:-

i) Urdu shairi par aik nazar.

ii) Tanqeedi jayezay.

iii) Pakistani adub.

iv) Tanqeed-o-tajziya.