4
Sabha Mandap men Vanchan karta dwara vanchan Krapaludev ke sanmukh baithkar ho, sabha ke sanmukh baithkar naheen. Shrota kee Drashti Krapaludev par rahe vanchankarta par naheen. Vanchan karta is bhaav se vanchan kare ki vah svayam apane liye jor se bolkar vanchan kar rahaa hai. Atmgyan bina vyakhyan, vyakhya, vivechan karne kee Poojyashriji kee mania ( Naa) hai. Krapaludev / Prabhushriji / Brahmachariji ke vachano ko jaisa hai vaise padh jana. Samajh n aane par dubara yaa teesaree baar padh jana. Bhakti men nayee, filmi ragon kee jagah original ragon kaa prayog ho. Gayan ko vishesh poshan n ho. Is babat Shri kiran bhai ne apane ek lambe part ke dwara shri jeetubhai ko sujhav diye the aur usake baad ashram ne ek circular nikalkar ashram men bhakti karane vaalo, atmsiddhi kee pooja men gaane vaalon ko ismen sudhaar karne kaa nivedan kiyaa thaa. Bhakti 11 yaa 11.15 tak pooree honee chahiye. Prabhishriji ne bhakti pooree hone ka samay 11 ke lagbhag rakha huaa thaa. Mufat kee Bhojanshala – ( dopahar ka koyee charge nahee aur sham ka Rs2/) usamen sudhaar ho. Bhojan kaa charge, jo cost aatee hai, poora charge hona chahiye. Aur cost ko kam karnaa chahiye. Trutiyon kaa neeti aur pramaniktaa par aanaa Adarniy Bhaisahab, Mujhpar ; Poojy Bapa ke apaar shuddh prem, atmiyta, unke upkar, paramopkar, aur unki krapadrashti ; Apke aur bhabhiji ke nirantar sneh, vatsaly, prem, atmiyta, 2-3 avasaron par aapke vishesh vishesh upkar, sab tarah se mere aur mere parivar ke sukh, anand ke liye, mere parmarthik vikas ke liye, shuddh antahkaran se aapki param pavitr aur nirantar sadbhavana aur sadprayas ; Manojbhai ke pavitra avichal prem, atmiyta aur sadbhav aur poore kutumb ke prem aur sadbhav ke age to mera concern, mere efforts, mera sewabhav ekdam nagany hai. Sagar ke saamne ek boond jaisaa bhee naheen, shoonyvat hai.

Suggestions for Ashram

Embed Size (px)

DESCRIPTION

Suggestions involving administrative reforms

Citation preview

Page 1: Suggestions for Ashram

Sabha Mandap men Vanchan karta dwara vanchan Krapaludev ke sanmukh baithkar ho, sabha ke sanmukh baithkar naheen. Shrota kee Drashti Krapaludev par rahe vanchankarta par naheen. Vanchan karta is bhaav se vanchan kare ki vah svayam apane liye jor se bolkar vanchan kar rahaa hai.

Atmgyan bina vyakhyan, vyakhya, vivechan karne kee Poojyashriji kee mania ( Naa) hai. Krapaludev / Prabhushriji / Brahmachariji ke vachano ko jaisa hai vaise padh jana. Samajh n aane par dubara yaa teesaree baar padh jana.

Bhakti men nayee, filmi ragon kee jagah original ragon kaa prayog ho. Gayan ko vishesh poshan n ho. Is babat Shri kiran bhai ne apane ek lambe part ke dwara shri jeetubhai ko sujhav diye the aur usake baad ashram ne ek circular nikalkar ashram men bhakti karane vaalo, atmsiddhi kee pooja men gaane vaalon ko ismen sudhaar karne kaa nivedan kiyaa thaa.

Bhakti 11 yaa 11.15 tak pooree honee chahiye. Prabhishriji ne bhakti pooree hone ka samay 11 ke lagbhag rakha huaa thaa.

Mufat kee Bhojanshala – ( dopahar ka koyee charge nahee aur sham ka Rs2/) usamen sudhaar ho. Bhojan kaa charge, jo cost aatee hai, poora charge hona chahiye. Aur cost ko kam karnaa chahiye.

Trutiyon kaa neeti aur pramaniktaa par aanaa

Adarniy Bhaisahab,

Mujhpar ; Poojy Bapa ke apaar shuddh prem, atmiyta, unke upkar, paramopkar, aur unki krapadrashti ; Apke aur bhabhiji ke nirantar sneh, vatsaly, prem, atmiyta, 2-3 avasaron par aapke vishesh vishesh upkar, sab tarah se mere aur mere parivar ke sukh, anand ke liye, mere parmarthik vikas ke liye, shuddh antahkaran se aapki param pavitr aur nirantar sadbhavana aur sadprayas ; Manojbhai ke pavitra avichal prem, atmiyta aur sadbhav aur poore kutumb ke prem aur sadbhav ke age to mera concern, mere efforts, mera sewabhav ekdam nagany hai. Sagar ke saamne ek boond jaisaa bhee naheen, shoonyvat hai.

Kadach Aapko isamen atishayokti lage parantu yah aisa hee hai, aisa hee hai. Poojy Bapa ke nikat sanidhy men unke param pavitr antar prem, paramopkar aur param krapabhav ka jo swaroop swayam pratyaksh dekha hai, anubhav kiya hai vah akathy hai avarniy hai. Usake ek ansh kaa bhee kisibhee prakaar se pratyupkaar nahee ho saktaa hai. Bas itanahee ki Apane sampoorn astitv se uske aage maun natmastak hoon.

Main shuddh sachchee sewayen kar naheen paya, abhee kar naheen pa raha hoon parntu karne kee bhavna nirantar hai. Prabhu ki krapa se ho saktee hain. Prabhu se prarthana hai ki sabkee shuddh sewaa karne kee patrataa kee krapaa karo.

Your giving space to your current unexplained phase of isolation is appropriate and you please continue it as per your inner comfort.

Page 2: Suggestions for Ashram

Adarniy Bhaisahab,

Aapke kal ke SMS ke baad sahaj jo bhaav hue ve aapko nivedan karta hunk i -

Mujhpar ; Poojy Bapa ke apaar shuddh prem, atmiyta, unke upkar, paramopkar, aur unki krapadrashti ; Apke aur bhabhiji ke nirantar sneh, vatsaly, prem, atmiyta, 2-3 avasaron par aapke vishesh vishesh upkar, sab tarah se mere aur mere parivar ke sukh, anand ke liye, mere parmarthik vikas ke liye, shuddh antahkaran se aapki param pavitr aur nirantar sadbhavana aur sadprayas ; Manojbhai ke pavitra avichal prem, atmiyta aur sadbhav aur poore kutumb ke prem aur sadbhav ke age to mera concern, mere efforts, mera sewabhav ekdam nagany hai. Sagar ke saamne ek boond jaisaa bhee naheen, shoonyvat hai.

Kadach Aapko isamen atishayokti lage parantu yah aisa hee hai, aisa hee hai. Poojy Bapa ke nikat sanidhy men unke param pavitr antar prem, paramopkar aur param krapabhav ka jo swaroop swayam pratyaksh dekha hai, anubhav kiya hai vah akathy hai avarniy hai. Usake ek ansh kaa bhee kisibhee prakaar se pratyupkaar nahee ho saktaa hai. Bas itanahee ki Apane sampoorn astitv se uske aage maun natmastak hoon.

Main shuddh sachchee sewayen kar naheen paya, abhee kar naheen pa raha hoon parntu karne kee bhavna nirantar hai. Prabhu ki krapa se ho saktee hain. Prabhu se prarthana hai ki sabkee shuddh sewaa karne kee patrataa kee krapaa karen.

Your giving space to your current unexplained phase of isolation is appropriate and you please continue it as per your inner comfort. Kinhee apekshaon se mujhe is babat kuch anyathaa vichar the parantu ab aapke sms se aapkee baat ko theek theek samajh raha hoon.

You will and very surely you will be out of this current phase of temporary obstacle and will move forward and ahead. Aapko please karne ke liye nahee, apkee taareef karne ke liye nahee parantu andar se mujhe lagtaa hai ki Poojy Bapa ke prati aapkee antar komlta, antar bhakti aur sahee samay par kee gayee bahut jarooree sevaon ke kaarannh tatha Poojy Bapa ke aapko kuchh patron ke dwara vyakt antar ashishon se aap Poojy Bapa ki shuddh dasha ko prapt karenge avashy prapt karenge. Apkee samyak vyavhaar drashti, vichkshanta ke saath komaltaa aur karuna se aap any bahuton ko sewa roop ho sakenge.

Page 3: Suggestions for Ashram

Aapka man ho to Poojy Bapa ke aapko likhe patron ko padhneka aur unke vachanon par vishwaas karneka, vishwaas ko dradh karte rahneka, shraddha karneka, shraddha ko dradh karte rahneka ki aap kahte hain to aap kee krapaa se hoga, avashy hogaa aur vyavhaar men sahaj bane utnaa apana karne kaa kartavy – smaran, bhakti, satsang – hota rahe.

Tahari Gati tun jane ho dev, smaran bhajan te vachak yash kareji.

Jab bhee apka man ho to aapko sabhee prakaar se har samy sewa roop hone kee bhavana hai.

Aap ke mere prati prem aur atmiytaa ke karan mujhe sahaj jo bhav hue ve apko vyakt kar diye hain. Maryada ullanghan huaa ho aur kuch asamyak lage to mujhe kshama kijiyega.

With Kind Regards

Ashokmender