163
Poetry Series Shrini Deewana - poems - Publication Date: 2009 Publisher: Poemhunter.com - The World's Poetry Archive

Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

  • Upload
    doananh

  • View
    359

  • Download
    15

Embed Size (px)

Citation preview

Page 1: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Poetry Series

Shrini Deewana- poems -

Publication Date: 2009

Publisher:Poemhunter.com - The World's Poetry Archive

Page 2: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Shrini Deewana(November 1,1965) Hi, I am born and brought up in Mumbai in a traditonal Tamil Brahmin family. Rightfrom my school days I am keen and avid reader of Hindi Poems. I have been hooked to write hindi poem after having read a poem called 'Koshishkarne waalon ki kabhi haar nahin hoti' which has been written by Shri.Harivanshrai Bachchan. After having read this poem I was also inspired to writepoem and started trying to write poems in Hindi. I have kept the nickname ofShrini 'Deewana' for all my writings. With every poem I am trying to improve myself and my language. In case ifthere is any error in my language I shall sincerely request the readers to forgiveme for the same. Since there is provision for Hindi fonts I am giving all my poems in Hinglish.Kindly bear with me for the same. Kavitaon ke saagar mein hum to bas ek tinka hai magar,Koshish hamari jaari hai bas aage hi badthe jaane ki,Bas aap logon se ek hi guzaarish mein karta hoon,Padthe rahiye sab lekh meri aur galati koi nazar aaye to,Bata dena woh galati mujhko,Is maha kavya ke saagar mein, ek tinke ke jeene ke liye,Tumahaare sahare ke hi zaroorat hai,Mujhe aage badthe rehane ke liye.

1www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 3: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

A Lonely Heart It’s always said that Days are bright and the nights are dark,I will say it all depends on the feelings of your heart,When you are cheerful Day & Night are brightWhen you are sad even a Sunny day seems to be Dark. When you are with your love it’s always bright,When you miss your love it’s always dark,No matter whether its day or night,It all depends on the feelings of your heart. Love is the light that makes your life bright,When you miss the light its darkness for your sight,No matter whether its day or night,It all depends on the feelings of your heart. At times love understands your plight,At times it thinks you are just to begin a fight,The plight of heart of a lonely soul,Who will understand better than your beloved? Oh my love, before you blame or say its fight,Just think what’s the plight that leads to fight,A missing heart does not deserve the blame,It needs your love to burn in as flame. Burn the flame of desire in your lovers’ heart,Understand the plight of your lovers’ heart,Just give your love and see how the heart jumps in joy,Just treat it as a heart and not just a playing toy. Once the lonely heart is filled with your love,The darkness of heart will see a light so bright,No matter whether its day or night,A joyful heart is just always bright. Shrini “Deewana” Shrini Deewana

2www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 4: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Aao Chaand Mein Ghar Basaye Mohabbat mein to kehate hai sab mein tod laoonga chand bhi,Lekin mein kehata hoon sanam chalo hum ghar basaye chaand mein,Socho zara kaisa hoga woh aalam jab chaand mein hoga apna ghar,Jahan koi na ho dushman mohabbat ke aur na humko kisi ka hai darr. Sochta hoon mein sanam kaisa hoga apna ghar chaand mein,Jahan par honge sirf mein aur tum aur koi na honge humein taakne,Socho zara kaisa hoga woh alam jab rahenge hum ek duje ke baahon mein,Kaisa hoga sanam woh alam jahan honge na koi dushman pyaar ke. Duniya ke liye to aati hai mahine mein ek din amavas ki raat bhi,Lekin sanam hamare jeevan mein phir kabhi amavas ki raat hi na aayegi,Har raat apne hogi punam ki jab humtum madhosh ho jayenge,Bas ek duje ke baahon mein lete hum prem ke geet gun gunayenge. Socho zara kya sochenge duniya wale jab woh dekhenge chand ko ek chandmein,Chand bhi sharma jaayegi sanam dekh kar chand sa mukda tera,Taare sab kehate rahenge na jaane kahan chali gayee hamare roshni,Roshni hamari ghum ho gayee hai jab se chand mein aayee hai chand si ek pari. Humko abhi na zarurat hai holi ki na zarurat hai humein diwali ki,Bas agar zarurat hai kisi ki to woh hai ek duje ke saat ki,Jab tum rahoge saath mere har din hogi mere holi aur diwali ki,Bas sanam tera saath jo mile to mein samjhoonga meri kismat khil gayee. Shrini Deewana

3www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 5: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Aap Ke Aane Ke Baad AAP KE AANE KE BAAD Khushiyaan aayee hai zindagi mein aap ke aane ke baad,Muskurahat aayee hai chehere pe aap ke aane ke baad,Kehane ko to zindagi hum bhi jee rahe the pehale se magar,Zindagi jeene ka mazaa aaya hai aap ke aane ke baad. Dil to dhadak thi thi mere janam se hi magar,Har dhadkan mein aap ka naam hai aap ke aane ke baad,Pyaar ishq aur mohabbat ke baatein sune the hum bhi magar,Mohabbat kya hai yeh samjh paya hoon aap ke aane ke baad. Saagar ka ek kinara to pehele se hi tha mein magar,Duje kinaare ko dekh paaya hoon mein aap ke aane ke baad,Hum dono ke beech ki jo yeh doori hai yeh sirf saagar nahin,Yeh saagar bhi ab mohabbat ho chuki hai aap ke aane ke baad. Saagar ki har leharen pehele sirf ret laati thi mujh tak magar,Ab yeh leharein mohabbat ka paigam lati hai aap ke aane ke baad,Raat jagne ka koi shauk nahin tha mujhe pehele magar,Ab neendh hi nahin aati hai humein aap ke aane ke baad. Aankhon se pehele bhi kabhi chalka karte the aansoon magar,Yeh aansoon bhi ab moti ho gayee hai aap ke aane ke baad,Pehele jo chalakte the woh to sab the aansoon gham ke magar,Ab yaadon ki aansoon chalakne lagi hai aap ke aane ke baad. Jab miloonga tumhein, pehanaoonga tumhein un motiyon ki mala,Jo banaya hai maine aasoonon se jo aayee hai aap ke aane ke baad,Tab tum jaan paaogi kitne aasoon chalke hai mere aankhon se,Jo chalaki hai yaadon mein sirf aap ke aap ke aane ke baad. Aisa ek pal bhi nahin hoga jab yaad teri na satati ho humein,Na jaane itna dil kyon tadapti hai ab aap ke aane ke baad,In tadap ko mein apne dil se nikaloon to nikaloon kaise,Mera dil to mere bas mein hi nahin hai aap ke aane ke baad. Kehane ko to pehele bhi hum likthe the magar,Mere lekh mein jaan aayee hai aap ke aane ke baad,

4www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 6: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Mohabbat ke bahut se daastan padhe hai humne magar,Ab khud apne mohabbat ki daastan banaya hai aap ke aane ke baad. Kal tak log Laila Majnu ka naam lete the mohabbat ki baatein karne,Kal woh hamari tumahari mohabbat ki baatein karenge,Mohabbat ki aag dil mein lag gayee hai hamare tumhare,Yeh sab kuch hua hai bas aap ke aane ke baad. SHRINI “DEEWANA” Shrini Deewana

5www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 7: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Agar Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam,Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,Kaise milta mujhe itna saara pyaar jo paya hoon tujhse,Mere chehre ki muskurahat na jaane kahan chupa hota. Zindagi bas jee rahe the hum jeene ke liye,Zindagi kya hai yeh samjha hoon jab se paya hoon tumhein,Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam,Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota, Jo pyaar lutaya hai tune mujhpe woh bhala koi aur kya luta pata,Tarasthi thi jeevan meri bas pyaar paane ko,Khush naseeb hoon mein jo paya hoon sacha pyaar tera,Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam,Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota, Tu hi meri jeevan hai aur tu hi hai mere dil ki dhadkan,Tere bina ab jeevan ke ek pal bhi mujhe jeena manzur nahin,Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam,Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota. Mere malik ai khuda shukra guzaar hoon mein,Aisa ek pyaar jo mere jeevan mein laya hai tune,Bas dua hai mere ab ek baar tu mujhe mila de us se,Jisne nyochar kiya hai jeevan mein itna pyaar mera. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

6www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 8: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Anjaan Shehar Anjaan shehar anjaan safar manzil ka na koi thikana hai,Chahe katin ho raahein magar mujhko chalte hi jaana hai,Na jaane kahan le jaayegi jeevan yeh maine nahin jaana hai,Aise anjaan safar mein bhi humdum tera yaad bahut suhana hai. Chahe jo bhi shehar mein rahata hoon teri yaad bahut satati hai,Kabhi yaad mere tere oh dilbar ashkon ki lehar beha jaati hai,Use rokna chahoon to bhi nahin rukthi woh to behate hi jaati hai,Aansoon ke har ek boond mein sanam teri tasveer nazar aa jaati hai Tujhe yaad kiye bina sanam mujhko neendh kabhi nahin aati hai,Neendh bhi chain ki hoti nahin khawabon mein tu roz satati hai,Jab bhi dekhoon tujhe mein khawabon mein ek muskaan chaa jaati hai,Tere ek jhalak paate hi sanam dil mein sukoon ki lehar chaa jaati hai. Kyon yaadon mein mere basi ho tum kyon itna mujhe tum tadpati ho,Sanam itna door mujhse tum rehakar kyon itna mujhe tum rulati ho,Waise to ab kuch dinon se mein tujhe aksar yaad nahin karta hoonBas jab jab saansein leta hoon sanam yaad tujhe mein karta hoon. Ek baar paas mere aakar bhar lo mujhe tum apne baahon mein,Ek baar tere baahon mein aakar mujhe chain se sanam so jaane do.Kabhi kisi kaaran sanam tum door mujhse nahin ho jaana,Tere bina nahin jee paayega sanam yeh tera pagal “Deewana”. Shrini Deewana

7www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 9: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Apnapan Apna rishtha alag hai auron se jisme na hai mangalsutra na chutki bhar sindoor,Prem aur vishwaas hi hai mangalsutra is rishthe ki, aur apnapan hai iska sindoor, Dosti is rishte ka jadd hai jo pehele hi din dono ne jathayee thee,Aur jo bharosa tume ne kiya mujhpar pehele hi din us par maine dil lutayee thee. Us din raat bhar so na saka mein aur bas teri hi tasveer tha dekh raha,Baar baar ek hi sawaal utha mere dil mein aur baar baar khud se mein yeh poochraha,Aise usne kya sochi hogee jo itna bharosa mujhpar jathayee hogee,Ab dil mein mere bas ek baat thi jo bharosa kiya hain usne mujhpar use jeevanbhar nibhani hogi. Phir har din woh kab aayegee yehi mera man tha soch raha,Baitha tha mein rahon mein aur tha rasta us ka dekh raha,Woh naa aayee saamne mere, par apne sandeshe thi woh bhej rahi,Jab bhi uska sandesha aata mera man machal jaata,Aur uske sandeshe ko mein ek baar nahin sau baar pad leta. Phir aise ek din aayee, jab woh mujhe phir mil gayee,Unhe saamne dekhte hi mere dil mein dabe saare armaan khil gayee,Hum dono mein baatein hui, aur haal chaal puche gaye,Aaj mein bahut hi khush tha, ke woh mujhe phir mil gayee. Der raat tak hum ek duje se bas baatein hi karte rahen,Itne dino ke jo chahat thi dil mein, un chahat ko poore karte rahe,Baaton hi baaton mein hum jaan gay ek duje ki sab baatein,Dil ko bahut hi sukoon mila, aaj unse karke itni baatein. Ab har roz hum milne lage, aur der si baatein karne lage,Bas in baaton baaton mein ek duje ko ab hum jaan gaye,Mera dil use tha de chuka, par jaan na paya uske dil ka haal,Usko kaise poochoon mein, kya tune bhi neendh gawaya hai? Ab mujhe aise lagne laga, ke uske bina na jee paaoonga mein,Agar woh mujhe na mil paayee to, jeete jee ab mar jaoonga mein,Ek din himmat jata li meine, aur ek hi pal mein usko yeh pooch liya,Kya humsafar banogi tum mere, aur jeevan bhar saath mere dogi.

8www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 10: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Pehele woh kuch na samaj paayee, aur kuch pal woh khamosh rahi,Uski khamoshi se ab mein, uski dil ki baaton ko mein jaan gaya,Uski dil ki ghabrahat mein pehachan gaya, aur raaz us dil ka jaan gaya,Use vishwaas dilaya maine, uske mann mein ehsaas jagaya meine. Ab use himmat dilayi meine, hamare jeevan mein na aayegi koi badha,Na kabhi koi yeh raaz jaan paayenge, yeh hai mera tumse waada,Ab phir poocha mein us se, kya tum banoge mere Jeevan Saathi,Bas nau minit ki baath thi, mere haathon mein uske haath thi. Kal tak mein mohabbat se apparichit tha, aaj mohabbat ko jaan gaya,Dono mein ab ek chahat jaagi, dono dilon mein mohabbat jaagi,Ab ek duje ke jeevan saathi bankar, hum ek duje mein kho gaye,Bhulkar saare dukh aur dard, hum ek duje mein samaa gaye. Woh din tha sunehera din mere jeevan ka, jab usne mujhe apnaya tha,Pyaar aur mohabbat kya hai, yeh mere dil ko usne hi bataya tha,Ab aisa ek pal bhi nahin jab hum ek duje ko na karte ho yaad kabhi,Aisa ek bhi din raat nahin, jab hum dono ka saath nahin. Hum dono ne apna jeevan ek duje ko kar diya hai arpan,Ab ek duje ke bin, hum nahin jee payenge ab ek bhi din,Mana hum dono hai door sahi, par doori hamare dil mein nahin,Mere dil mein sada woh rehati hai, aur uske dil mein main rehata hoon. Bas itna dua hai ab mera rab se, Ke sada hum dono sang hi rahe,aisa kabhi na koi waqt aaye jeevan mein, Ke hum dono ko hona pade ek duje sejuda, jab kehana pade alvida duniya ko, Hum dono ko bas sang hi rakhna,jab bhi humein tu bulayega, bas humein ek hi sang tu bula lena SHRINI 'DEEWANA' Shrini Deewana

9www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 11: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Apni Alag Duniya Hogi Aisa lagta hai barson beet gaye tumse baatein karke,Na jaane tum kab aaogi aur mere dil ki tadap kab mitaogi,Na jaane kab woh ghadi aayegi jab tumse baatein hogi,Na jaane kab tumahare meethi aawaaz mere kaanon mein gunjegi. Dil karta hai sanam jala doon mein saari duniya ko,Duniya mein kuch bache to woh sirf hum dono sanam,Tab tumhein apne baahon mein bhar loonga sanam,Madhosh hokar khoob karoonga mein tumse pyaar sanam. Yeh zaalim duniya kya jaane kitna mohabbat karta hoon mein tumse,Yeh zaalim duniya kya jaane kitna marta hoon sanam mein tumpe,Yeh duniya kabhi nahin samjhegi sanam mohabbat apni,Aise zaalim duniya ki mujhe koi parwaha nahin hai sanam. Mujhe jo chahiye woh hai saath tumhara jeevan bhar ka sanam,Tumahare bin sanam ek pal bhi nahin jee payenge hum,Dil karta hai bas tumhein is zaalim duniya se bhaga le jaoon sanam,Is duniya se door ek alag duniya mein apna naya jahan basana hai sanam. Apne us nayee duniya mein honge sirf hum dono sanam,Jahan par koi rokh nahin hogi hum dono ke mohabbat ke sitam,Jahan din raat mein bas karoonga tumse hi pyaar sitam,Bas pyaar karte karte hum dono mar jaayenge ek duje ke bahon mein sanam. Shrini Deewana

10www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 12: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Arpan Na jaane kab woh din aayega,Jab mein tumhien apne saamne paoongaBhar loonga tumhein mein baahon mein apne,Tumhein kaskar gale se laga ke rakhoonga. Dil to dhadak thi thi pehele se mere,Ab is dhadkan mein ek mehak sa chaa gaya haiZindagi to mein yuhi jee raha tha,Ab jeene ka mujhko maksad mil gaya hai. Kabhi socha hi nahin tha zindagi itni rangeen hogi,Rangon ki pehchachaan mujhe tumhin ne diya hai,Ab mein tujse aur kya maangoon mere Yaara,Tune to khud ko hi mere baahon mein arpan kiya hai. Kabhi socha hi na tha mujhko mohabbat bhi hogi,Aur mohabbat bhi kuch is kadar si ho gayee hai,Ab bin tere jeena bas mushkil ho gayee hai,Khud ko karta hoon mein Arpan tere kadmon mein Yaara. Shrini “Deewana” Shrini Deewana

11www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 13: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Ashkon Ki Mala Maine zindagi tere naam ki,Tere raah mein aankhein thaam di,Jab tu nahin hai milti mujhe,Behate hai ashkh mere aankhon se. Khona nahin chahata hoon mein in ashkon ko,In ashkon mein bhi hai teri yaadein bhari,Tere yaadon se bhi mein ai sanam,Mein kabhi door na reha paoonga. Apne aankhon se behate ashkon ka,Sanam ek mala mein banaoonga,Jab kabhi bhi miloonga mein tujhe,In ashkon ki mala tujhe pehanaoonga. Pehanegi jab is ashkon ki mala ko tu,Meri yaadein sada tujh mein bas jayegi,Na kar paayenge juda tumhe humse koi,Mein tere gale se lipta hi reha jaoonga. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

12www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 14: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Bas Tere Hai Hum Tere dil mein chupi hui har raaz mein jaanta hoon,Tera zubaan jo gun guna raha hai woh saaz mein jaanta hoon,Door hoon mein tujhse to kya hua hai dil bhar mere,Tere dil mein jo dhadakthi hai woh dhadkan to hai mere. Tu hai agar sur to mein hoon saaz mere sanam,Tu agar hai murat to mein hoon taaj mere sanam,Hum se kabhi chup nahin sakti hai koi raaz tere,Tere har ek raaz mein tera humraaz hoon mein. Sanam chupa nahin sakti tu koi baat mujhse,Mein tere dil ki baatein tere aankhon mein padh loon,Tujhe kuch kehane ki bhi zaroorat nahin hai,Tere dil ki baaton ko mein apne dil mein sun loon. Gazab ka ek rishta hai sanam hamara tumahara,Door hokar bhi ek duje ke baahon mein hum hai rehate,Ek duje ke bin sanam hum kabhi jee na sakenge,Ek duje ke saansein bankar hi hum hamesha rahenge. Shrini Deewana

13www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 15: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Baseraa Is duniya mein har kisi ka ek basera hai,Jaise chidiya ka ghosla mein basera hai,Varsha ka badalon mein basera hai,Mera to basera hai tere dil mein,Ek tere siwa koi yahan na mera hai. Saath suron mein mujhe aawaaz teri aati hai,Indradhanush mein mujhe chehara teri nazar aati hai,Tere naam ke saath hi juda hai sanam naam mera,Ek tere siwa is jahan mein nahin hai koi kaam mera. Woh jeevan jo mein pehale jee raha tha woh to be matlab tha,Zindagi ka koi matlab bani hai tere jeevan mein aane ke baad,Tu hai mere aankhon ka noor mere dil ka khuda,Tere bina jeena yeh mein soch bhi nahin sakta. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

14www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 16: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Bebaasi Ek duje se itne door hokar bhi hum kitne paas hai,Itne paas hokar bhi milne ko dil mein ek aas hai,Bin baatein kiye har pal dil mein ek pyaas si hoti hai,Kya isi tadap ko log dilon ki bebasi kehate hai. Mera dil hai tujh mein aur tera dil hai mujh mein lekin,Dil ek duje mein hokar bhi ek becahini si hai har pal chin,Tujhe na dekhoon ek roz to bas ro padtha hai yeh dil mera,Kya isi tadap ko log dilon ki bebasi kehate hai tu mujhko bata. Ab mein yeh soch bhi nahin sakta yeh jeevan tujh bin kya hoti,Dil mein har pal ek tadap aur ek aag si jalti hi rehati hai,Har pal chahat hai tujhe milne ki aur tujhe bahon mein bharne ki tamanna hai abis dil mein,Kya isi tadap ko log dilon ki bebasi kehate hai ab tu hi mujh ko bata. Mera jeevan hua safal jis pal aayee tu jeevan mein mere humsafar bankar,Tujhe dekhe bagair nahin hai jaana is duniya se mera dil yehi kehati hai,Kya dil ke is tadap ko hi log dilon ke bebasi kehate hai. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

15www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 17: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Bhikri Zulfein Bhikri zulfein kya lagti hai chehare mein teri,Yun lagta hai jaise kaali ghata chaayee hai asmaan mein abhi,Zulfon ko yun hi bhikre rehane do use theek na karo,Khoobsoorati bad jaati hai jab girti hai lat aankhon mein teri, Tere zulfon ko choone ke tamanna hai mere dil mein,Tere zulfon ki mehak ko mehasoos karna chahoon mein,Jab bhi udasi satati hai mere dil ko,Tere zulfon ke saaye mein sona chahoon mein. Khuli zulfein teri madhosh kar deti hai mujhko sanam,Banke koi phool tere zulfon mein savarna chahoon mein,Badi mudaat hui hai sanam chookar tujhko,Tere chehare ko apne haathon mein lena chahoon mein. SHRINI 'DEEWANA' Shrini Deewana

16www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 18: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Chaand Mein Dekhoon Tujhe Kaise kahoon tujhe kaise guzaarta hoon mein raatein,Jab raaton mein sanam ho nahin paati tujhse baatein,Tadaptha hai dil mera sanam baatein karne ko tujhse,Na jaane kab aayegi sanam milne ko tu phir mujhse. Tarasthi hai meri aankhein ek jhalak paane ko tere.Yeh to jaanta hoon mein ke tu nahin hai kareeb mere,Phir bhi dil hai jo nahin maanti hai koi bhi baatein mere,Kaise samjhaoon is dil ko yeh tum hi batao sanam mere. Chaand ko dekhta hoon aur dikhta hai mujhe chehara tera,Tum hi batao kaise hataoon mein chaand se nazarein mera,Nazarein nahin hat rahi hai chaand se dekhta rehata hoon tujhe,Dil karta hai badal bankar mein apne bahon mein bhar loon tujhe. Shrini Deewana

17www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 19: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Chaand Suraj Ka Pyaar Agar chaand karne lage mohabbat suraj se to kya hoga,Is dharti mein sada din hogi ya phir sada raat hi hoga?Kis se hogi roshan yaaron yeh jahan apna,Dharti par raj suraj ki garmi ka hoga ya chaand ki thandak ka hoga. Kya hoga agar Milan chaand ka suraj se hoga,Chaand mein aa jayegi garmi ya suraj thanda pad gaya hoga,Kya hoga dharti ambar ka jab Milan chaand suraj ka hoga,Kya is dharti mein phir kabhi koi amavas ya koi grahan hoga. Chaand suraj to karishma hai kudrat ka yaaron,Sabi ko yakeen hai in dono ki Milan kabhi nahin hoga,Chaand to karti hai mohabbat suraj se zamane se magar,Chaand to sada khush hai bas suraj ki kiron ko apnakar. Yeh to jaanti hai chaand bhi ke uski Milan suraj se kabhi nahin hogi,Phir bhi pagalon jaise pyaar karti hai woh suraj se sadiyon se,Chaand to yeh jaanti hai ke suraj ki kirnen bhi uski nahin hogi,Kirnon ko woh simet thi hai aur bhikar thi hai dharti ko roshan karne. Pyaar is jag mein sabhi ka ho chaand suraj ki tarah,Jis pyaar mein koi umeed ya phir koi chaha na ho,Pyaar tumahara agar tumhein na mile to bhi kya,Khush raho agar tumahare pyaar kisi ke kaam aa jaye. Shrini Deewana

18www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 20: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Chahat Hai Mere Mann Mein Tujhse mohabbat ki baatein karne ki chahat hai mere mann mein,Tere haathon ko apne haathon mein thamne chahat hai mere mann mein,Dil karta hai mein choom loon sanam tere narmon naazuk haathon mein,Apne seene se tujhko sanam lagane ki chahat hai mere mann mein. Tere aane ki aahat se bhi dhadak uth tha hai sanam yeh dil mera,Zindagi bhar tujhe dil mein hi sajaye rakhne chahat hai mere mann mein,Taj to banyee thi shahjahan ne us mumtaz ki mohabbat ke khaatir,Tere khaatir sanam ek nayee Taj banane ki chahat hai mere mann mein. Zindagi bhar nahin chodunga kabhi mein sanam saath tera,Tere sang hi jeevan bitaane ki chahat hai mere mann mein,Maut bhi humko sanam nahin kabhi bhi juda kar paayegi,Maut mein bhi tere saath rehane ki chahat hai mere mann mein. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

19www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 21: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Chahat Ya Nafrat Chahat ko apne nafrat ka naam na do sanam,Mohabbat ko tera acchi tarah se jaante hai hum,Koi waqt nahin kat thi tumhare bina hamare yaad ke,Har pal har ghadi tere dil mein hi samaye rehate hai hum Tumahare dil ki har dhadkan ko jaanta hoon mein,Tumahre dil mein chupi har raaz ko pehachaanta hoon mein,Jab mile the tab mile the humein tum ek ajnabi ki tarah,Aaj sanam tumhein apni zindagi banake rakha hoon mein. Mana sanam manzil meri paas nahin door hai lekin,Pahunchna mere manzil tak namumkin nahin hai,Mana aayegi kayee rukawatein mere raahon mein magar,Sanam apne mohabbat itni kamzor nahin hai. Yakeen hai mujhko ek din pahunchenge hum manzil tak apne, Pure honge jo bhi hai hum dono ke jeevan ke saare sapne, Jab milogi sanam tum mujhe milegi mujhe jeevan ki har khushi, Mujhko hai apne mohabbat par yakeen yeh milan hoga is janam mein hi. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

20www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 22: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Dard Dil Ka Kitne armaan aur kitne mohabbat hai mere dil mein,Saare armaan aur mohabbat khilaye hai tum ne,Har pal dil tarasta hi rehata hai tujhse baatein karne,Khwaab saja rakhi dil mein tumhein baahon mein bharne. Par aaj is kadar rooth gayi sanam tum mujhse,Ek pal na socha kya beetegi mujhpar aur keha gayi mujhse,Ab se naa baatein karoongi kabhi bhi mein tumse,Dil mein aisa ek dard hua jaise door ho rahi ho mere zindagi mujhse. Mana maine kar diya tha sanam khafa tujhko,Par aisi bhi kuch na thi jo tum aisi sazaa do mujhko,Jab bhi mein sochtha hoon goonjthi hai tumahari hi aawaaz,Teer sa chubthi hai dil mein par moonh se na nikale koi aaah. Dard dil mein jab hota hai to yeh ankhen bhar aati hai,Aankhon se behate hue ashkon ko mein sanam chupaoon kaise,Inhe behane dene ki sanam mujhko koi chaha nahin,Ashkon ke har boondh mein chehara tera nazar aaye mujhe. Tere bin to sanam jeevan mera hai kuch bhi nahin,Har saansein mere jism mein bas tere naam ki hoti hai,Bas itna tum samajh lena oh mere humdum,Is badi duniya mein agar tum nahin to hum bhi nahin. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

21www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 23: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Daulat Ki Bhooki Duniya Ai khuda agle janam mein tu mujhe bas akela bana,Koi na saath ho bas ek mere pyaar ke siwa,Rishtey badalte hai is zamane mein daulat ka rang dekh kar,Ek pyaar hi hai mera jo sada mere saath nibhati hai. Daulat ko dekhkar kyon rang badalti hai yeh duniya,Kya daulat kisi ke saath kabra mein bhi jaati hai, Saath jaati hai to woh hai basdua zamane ke logon ki,Jo is duniya se us duniya tak saath nibhati hai. Daulat ke bhookon se mera rishta kabhi na karna ai mere khuda,Karna hi ho to mera rishta kuch aise logon se kara,Jo hai bhooke aur pyaase sirf mohabbat ke,Jinke jeevan mein mohabbat ke siva kisi ka koi mol nahin. Shrini Deewana

22www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 24: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Dil Chahata Hai Dil Chahata hai ke mein choom loon tere gulaabi honthon ko,Jo nasha hai tere honthon mein use peeke madhosh abhi ho jaaoon abhi,Hosh mein rehana hai kise jab tum baithi ho saamne mere,Tere baahon mein samaakar dono badan ki aag ko mein bhujaaoon abhi. Lete rahoon mein lekar tujhe apne baahon mein,Door hone na doon ek pal ke liye bhi tujhe mere nazaron se,Tere saanson ki garmi ko sanam mein mehasoos karoon,Deewana hoke sanam tujhe mein bahut pareshan mein karoon. Jaane kab aayegi woh ghadi jab hum honge ek duje ke baahon mein,Seene se lag jaaoon tere aur unhein le loon mein apne haathon mein,Ai sanam tadap jo mere dil mein hai ab saha jata hi nahin,Dil ke is tadap ko ai sanam tu hi bata kaise mitaoon mein. Dekhna chahata hoon ai sanam tujhko mein itna kareeb se,Tere tan ke har mehak ko mein basaa loon apne seene mein,Tere zulfon se kheloon mein tere badan ko mein taraash doon,Teri har adaa ko mein banake tasveer apne palkon mein utaar doon. Ai sanam tu hai zindagi meri ai sanam tu hai har khushi meri,Deewana ki har khushiPhir jab bhi aaye yaad teri tere mehak hogi mere hi kareeb,Dil Chahata hai sanam ek baar mein bas mil loon tujhse,Phir nahin rahegi koi gham dil mein zindagi bhar meri. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

23www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 25: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Dil Ki Baatein Yeh jeevan mera ek andhiyari nagar thi,Banke jyoti mere jeevan mein tum aa gayee ho,Mit gaya sab andhera faila mohabbat ka ujala,Jab se aayee tu sanam mein to ho gaya hoon Deewana. Tadapta tha mein jis mohabbat ke khatir,Woh saari mohabbat maine hai tujhse hi payee,Yeh karta hoon wada aaj mein tujhse jaanam,Kabhi tera saath zindagi bhar na chodenge humdam. Na aayegi kabhi jeevan mein tujhpar koi aafat,Jo bhi aayegi aafat use mein dekh loonga,Tere kadmo mein kabhi koi kaanta na chubegi,Kaanton par mein khud ko nichavar karoonga. Nahin hai ye saare sirf mohabbat ke wade,Hai saare sanam mere dil se nikli baatein,Mere dil mein hai ab bas tasveer chayee,Mere has saanshon mein bas tere mehak hai samayee. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

24www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 26: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Dil Ki Dhadkan Baitha hoon yaadon mein chand ghanton se mein yunhi,Bahut se logon ko dekha hai yahan aate jaate hue maine,Ek tu jiska intezaar mera nazar aur dil karta rehata hai.Ek tu hi hai sanam jo nahin aati nazron ke saamne mere. Kab tak mein yunhi tarasta rahoon batade mujhko,Itni tadap ab mujhse nahin saha jata hai sanam,Thod de saari bandishen jo bandhi hai is duniya se,Aake baahon mein sama ja ab tu ai mere sanam. Tere bin har ek lamha bhi mujhe ek umar sa ab lagta hai,Dil mein ek darr aur sehami si uljhan basi rehati hai,Rona chaoon to bhi mein ro nahin sakta kyonki darr hai,Kahin beha na jaye teri tasveer jo basi hai meri aankhon mein. Dil ki dhadkan har ghadi ab tej se dhadakthi hai,Jab bhi teri yaad mere dil mein aake mujhe sataati hai,Ek pal bhi nahin jab yaad na teri aaye mujhko,Dil ki dhadkan to bas har pal ab tej se dhadakthi rehati hai. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

25www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 27: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Dil Ki Tadap Har woh pal dil tadap utthi hai jab dilruba tujhse baatein nahin hoti,Har woh pal aankhen bheeg jati hai jab tujhse mulaakatein nahin hoti,Sochtha hoon ai dilruba mein tujhe yaad na karoon itna magar,Kya karoon har saanson ke saath saath teri yaad bhi aa jaati hai. Na jaane ai dilruba aisa kya jaadu kiya hai tune mujhpar,Har pal lab mein tere naam ke siwa kuch bhi nahin aati hai,Yun to apni zindagi jee raha hoon ai sanam mein magar,Tere siwa ek pal bhi jeene mein koi raas nahin aati hai. Apne dil ki tadap mein tujhe kaise samjhaoon sanam,Apne dil ka dard mein tujhe kaise bataoon sanam,Sochthi ho tum karta hoon bahut pareshaan mein tum ko magar,Kya beet thi hai mere dil mein yeh tumhein kaise dikhaoon sanam. Tum jo kahogi to mein jaan bhi luta doonga tere khaatir,Mein kar doon kuch bhi kurbaan tere ek khushi ke khaatir,Hothon par tera sada muskaan rahe ai mere sanam,Aur bhoolna nahin har kadam mein hoon mein tumahare saath sanam. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

26www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 28: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Dil Ki Umeed Umeed hamare dil mein hain,ek din hum tumse milenge zaroor,tab duniya chahe kuch bhi kehale,tumko hum bahon mein bhar lenge zaroor Tujko baahon mein bharte hi,tere hothon ko choomenge hum,tere hothon ke woh meetha ras,jee bharke pee lenge hum us milan ko duniya kya rokegi,jise khuda ne banaya hai,yeh karishma hai us kudrat ka,jo tumko humse milaya hai Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

27www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 29: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Do Dilon Ki Majboori Tadap to hai do dilon ki majboori,Milan se hi hogi yeh tadap bhi poori,Pyaase ko gar paani mil jaaye,Phir rahegi na uski koi aasha adhuri. Dharti Amber mein bhi hai doori,Par inka prem nahin hai koi chori,Log kehate hai doori hai inki majboori,Par yeh kehate hai Kshitij kare Milan ko poori. Prem aur Mohabbat ki doori ko na kaho tum majboori,Tadap to hai bas mohabbat ki hai ek zaroori,Milan ho jaaye to mit jaayegi yeh pyaas bhi poori,Tab tak is aag ka jalna hai bas zaroori. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

28www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 30: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Doobtha Kashthi Ek Doobte hue Kashthi ko bachaya hain tumne,Ek ujadi hue jeevan ko gulshan banaya hain tumne,juda na honge tumse jeevan bhar o sanamyeh khate hain hum kasam, yeh khate hain hum kasam. Milenge ek din hum tumse, yeh yakeen hain mujhe,bas usi din ke intezaar mein, saanse chal rahi hain sanam Jee ghabratha hain yeh sochke ke kya hotaagar aati na tum jeevan mein merikaise in khushiyon ko mehsoos kar pataagar milti na tum mujhko sanamtumne hi sikhaya hain hasna mujhe,Warna yeh jeevan udhaas thi sanam Ab rahoonga kaise tumse door ek pal bhi mere sanamDil dhadak thi hain tumahari hi yaadon mein sanamJab se tumahara pyaar paya hoon sanam,Deewana sa ho gaya hoon sanamAankhon se neendh ho gayee hain gum sanamDil bechain ho gaya hain sanam Chahe zindagi mein ho khushi ya gham,Chahe yeh duniya bhi ban jaye hamara dushman sanam,Chahe khuda bhi humein alag karne ki soche sanamChalo khate hain hum saath saath ek kasam,Kabhi ek duje se juda hoge na humKabhi ek duje se juda hoge na hum Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

29www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 31: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Duniya Ki Parwah Nahin Kabhi sochtha hoon kyon zindagi ne aise sazaa di,Milakar bhi humein kyon hum mein itne darmiyaan di,Agar Itne hi door rakhna tha kismat ko humein,To milaya hi kyon tha jab milana nahin tha humko. Mohabbat kya hai yeh pehale mein samajhtha nahin tha,Tumahare pyaar ne hi sikhayee mujhe kya hai mohabbat,Agar dikhlake mohabbat door karna hi tha mohabbat se,To mohabbat kya hai yeh mujhe samjhaya hi kyon tha. Dil karta hai sanam khatam mein zindagi apne kar loon,Tere bin ek din bhi nahin ab hai jeena mujhko,Mein na jaanoon kya kahegi hamare is rishtey ko duniya,Is duniya ki koi bhi parawah nahin hai ab mujhko. Shrini Deewana

30www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 32: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Duniya Teri Nighaon Mein Dooriyon se darna nahin sanam,Dooriyan kya juda karegi humein,Chahe kitni bhi kyon na hum door ho,Har roz hum milte rahenge khwaab mein. Tere hothon mein hai ek nasha,Tere aankhon mein ek suroor hai,Tere baaton mein aisi jaadoo hai,Tujhse milne ko dil bekaaboo hai. Na jaane kab aayegi woh ghadi,Jab tum rahogi mere samne khadi,Bhar loonga tumhein apne bahon mein,Dekhoonga duniya tere nighaon mein. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

31www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 33: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Ehasaas Aaj tune mujhe yeh ehasaas dilaya ke gaair to aakhir gaair hi hai,Tere apne wohi hote hai jo saath tere sada rehate hai,Tujhse mein bahut door hoon to apna hokar bhi hoon begaana,Bina is baat ko samjhe ab tak bahut kuch keha chukka hoon Deewana. Chahe dil mein ho mohabbat kitni bhi yeh dooriyan nahin mit paayegi,Dono dilon ke pyaar bhi kabhi is doori ko nahin mita paayegi,Aaj tumne mujhe yeh samjha di ke mein door desh ka rehane waala hoon,Karta hoon mein mohabbat tumse to kya mein to bas ek Deewana hoon. Har pal tumahare yaadon mein wohi rahenge jo saath tumahare rehate hai,Jinke saath rehakar hi tumahare jeevan ke din guzarte hai,Mein to musaafir bankar ai jaanam tere jeevan mein aaya,Itna pyaar mein kar baitha ke doori bhi mein na samajh paaya. Aaj mein yeh jaan chukka hoon ke mein tera apna hokar bhi gaair hi hoon,Humsafar bankar hum chal rahe hai to kya mein to ek musafir hi hoon,Saath tere mein sada rahoonga chahe kuch bhi jo jaaye jeevan mein,Gair hoon mein to kya hua phir bhi mein teri mohabbat hi hoon. Shrini Deewana

32www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 34: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Friendship Human beings are just like a book,It’s easy to judge them by just a look,No need to read them from page to page,They may not be even of your age. Friendship is never kept in a cage,Allow it to fly just in its own rage,See the friendship as it soars in sky,It’s friendship for which your heart would like to die. When you had come you had come all alone,Your parents and siblings had come along,But friendship is only what you have yourself made,Never allow a good friendship to fade. Shrini Deewana

33www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 35: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Gunehagaar Hoon Mein Yaad aati hai sanam jab bhi mujhe kal ki beeti baatein,Aankh bhar aati hai yeh sochkar dil dukhayoon mein tera,Dil dukhane ki sanam koi chaha nahin thi mere dil mein,Yeh to bas waqt ka takaza tha jo mein bolta hi gaya. Dil dukhaya hoon mein tera hoon mein gunehagaar tera,Khud se karke door humein itni badi saza na tum dena sanam,Hum to tadpenge hi par kya nahin tadpega sanam dil tera,Dil ki tadap to bas mitegi ek duje ke hi baahon mein sanam. Dil to mera hai par is dil mein dhadakti hui dhadkan ho tum,Hoke juda tujhse ai sanam nahin kabhi jee payenge hum,Paya hoon pyaar jabse aayee ho tum jeevan mein mere,Ab to jeevan bhar mein yunhi rahoonga sanam sang tere. Aaj tune yeh keha diya ke nahin milne aana tum mujhko,Tujhe mile bina hum chain se na jee payenge sanam,Kehana aasan hai sanam tum milne nahin aana mujhko,Zindagi meri ab to judi hai tere hi saanson se sanam, Tujhe mile bina ai sanam aayegi chain mere dil ko kaise,Apne aankhon se behate ashkon ko mein rukaoon kaise,Tere yaad jo basi hai mere dil mein use bhulaoon kaise,Dard jo uthi hai mere dil mein use mein mitaoon kaise. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

34www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 36: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Hamesha Tujhse Mohabbat Karoonga Mohabbat se to mohabbat karte hai duniya mein har koi,Mein to sanam tere nafrat se bhi mohabbat karoonga,Tere baaton se agar kabhi dil toot jaaye to kya gham hai,Sanam tujhse kabhi koi shikwaa mein na karoonga. Jo behate hai aansoon sanam aankhon se mere,Un aansoon ko nazar mein tere aane na doonga,Dekh kar aansoon mere kahin dil toot na jaaye tere,Isliye tujhse mein apne aansoon chupakar rakhoonga. Teri muskuraahat hi sanam mere jeevan ki khushi hai,Tere chehare se muskaan ko kabhi mein mitne na doonga,Agar kabhi aaye sanam tere in aankhon se aansoon,Apne honthon se sanam un aansoon ko mein pee loonga. Tere saare gham ko sanam mein khud jhel loonga,Tere aankhon mein aansoon ki ek boond aane na doonga,Lekar tujhe baahon mein apne tere zulfon ko mein sehalata rahoonga,Chahe kuch bhi keha le zamana jeevan bhar tujhse mohabbat karoonga. Shrini Deewana

35www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 37: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Hindu Dharam Ki Sanskriti Har sanskriti se badhkar hain, Sanksriti Hindu Dharm Ki,Himalay se bhi oonchi hain sanskriti Hindu Dharm KiHind Mahasagar se bhi geharee hain sanskriti hindu dharm ki,Duniya mein sabse badhkar hain sanskriti hindu dharm ki Jis dharm ki sanskriti ne hai dekhi ab tak char char maha yugenUs dharm ki sanskriti bhala auron se oonchi kaise na hogi,Satya, Treta aur Dwapar, in yugon se gujar chuka hain yeh sanskriti,Aaj ke kaliyug mein bhi hain hamare saath saath yeh sanskriti Yehi ek sanskriti hain jo karti hain bharosa 33 koti devataon par,Karam, Dharam aur Insaaniyat ki marg dikhathi hain yeh sanskriti,Satya, Kshama, saucham aur akrodha ki path padhathi hain yeh sanskriti,OM ka arth kya hai yeh is Brahmand ko batayee hain yeh sanskriti, Isi sanskriti ne humey hai sikhaya badon ki aadhar karana kaiseYehi hai woh sanskriti jo Mata Pita aur Guru ko Ishwar se pehele ki sthan deSarva Dharma Sambhavana ki mool hain yeh SanskritiYehi hai woh sanksriti jo prem aur mohabbat ki duniya ko pehachan de Is sanskriti mein pale logon ki bhi kya kehana, duniya mein woh kahin bhi raheKitni bhi tarakki woh kare par bhule na kabhi woh apne dharm aur sanskritiHar Nari mein hain Devi aur har Nar mein hai devta yehi sikhaye yeh sanskritiHar pashu Pakshi ko bhi kahe devata yehi hain Hindu Dharm ki Sanskriti Aise mahaan sanskriti ko yaaron kabhi na bhool jaana tum,Kitni bhi baadaein aaye jeevan mein sanskriti chod mat bhago tum,Kaho garv se tum Hindu ho aur palan karo Hindu dharm ki sanskriti,Sabse ala gaur deen hain hamari Hindu dharm ki sanskriti. Vedon ki mahima ke bal ko duniya mein pasaari hain yeh sanskritiRig, Yajur, Sama, aur Atharva in vedon ko duniya mein laayee hain yeh sanskritiRaho mil jul kar sabse aur karo na bedh bhav tum yehi sikhati hain hamari Hindusanskriti,Kabhi naa kisi par vaar kiya ho aisi mahaan sanskriti hain Hindu Sanskriti. Kabhi na kisi par vaar kiya ho aur na kisi par hamla,Aise ek mahaan sanskriti hain hamare Hindu Dharm ki Sanskriti,Jo Nafrat kare nafrat se aur kare prem Mohabbat se,

36www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 38: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Aise ek mahaan sanskriti hain hamare Hindu Dharm ki Sanskriti, Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

37www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 39: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Hogi Pyaar Ki Jeet Nahin mohabbat ki raha aasan magar kabhi darna nahin tu mere yaar,Rukavatein to aayegi rahon mein magar kabhi rukhna nahin tu mere yaar,Dil mein hamesha tu rakhna yeh hausla ke mit jaayega dono ke beech jo haifaasla,Mil jaayegi manzil tujhe aur mohabbat hogi baahon mein,Soch aisa ek din bhi aayega jab hogi jeet tere pyaar ki. Chahe kuch bhi kahe zamana tujhe zamane se tu darna nahin kabhi,Hoti hai hamesha jeet pyaar ki yeh baat bhulna nahin kabhi,Dil mein tere hai jo pyaar ki tadap us tadap ko kabhi mitne na do,Yeh tadap hi tujhe le jaayegi apne mohabbat ke manzil ki oor,Soch aisa ek din bhi aayega jab hogi jeet tere pyaar ki. Chahe sanam door ho ya paas ho mohabbat kabhi mit thi nahin,Mohabbat woh chiraag hai jis chiraag mein itni aag hai,Jala degi woh saare duniya ko jo aayenge beech raahon mein,Aur raha tujhe dikhayegi aur tere manzil tak tujhe le jaayegi,Soch aisa ek din bhi aayega jab hogi jeet tere pyaar ki. SHRINI “DEEWANA” Shrini Deewana

38www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 40: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Intezaar Baharon Ka Zindagi to bas chal rahi hai rahon mein hi apni,Hum bhi chale jaa rahe hai zindagi ke saath saath,Na jaane kab hum pahunchenge manzil tak apni,Darr raha hoon ke raaha na bhatak jaoon mein kahin. Kabhi tanhayee saath deti hai to kabhi parchayee saath deti hai, Hamesha hihumsafar mere parchayee bankar saath deti hai, Yeh to mein bhi jaanta hoon kezindagi ko guzar jaani hai ek din, Bas zindagi ke guzarne se pehale zindagi jeeneki chahat hai dil mein. Zara pahuncha do mere humsafar ko ai khuda tum mujh tak, Mujhe apni dilrubako apne gale se lagane ka ek mauka de do, Yunhi tanha jeevan guzaarna mushkilho gayee hai ab to, Mere jeevan mein mere humsafar ke pyaar ka bahar la do. Na jaane kab aayegi woh bahaar jiska intezaar hai mujhko, Na jaane kab aayegiwoh lehar jo layegi dilruba ko mujh tak, Ai khuda mujhe koi shauk nahin hai itnijaldi tumse milne ki,Apne dilbar se milne tak mujhe jeene ki izaazat tum de do. Shrini Deewana

39www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 41: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Intezaar Milan Ki Na jaane hamare milan tak is dil ki tadap rok paaoon mein kaise,Dil mein jaage armaanon ko dabaaoon mein kaise,Badan mein jalti aag ko bujaoon mein kaise. Chahat hai tumehin baahon mein bharne ki magar,Darta hoon kahin chahat pura hone se peheleYeh sulagti aag mere badan ko na jala de kahin. Tumse bas yehi dua hai o meri jaan,Aake mujhe apne baahon mein le lo o jaan,Apne hothon se buja do yeh sulagti aag,Tumahare makhmali badan ko taraash ne do jaan. Do badan ko ab ek ho jaane do jaan,Mita lene do mujhko apna tadap meri jaan,Tere youvan ke ras ka hai intezaar mujhko,Pyaasa hoon mein apne ras se buja do pyaas mera. Chumunga tujhe tere sar se tere paaon tak,Aur mita doonga hamare badan ki sulagti who aag,Apne milan ka hai intezaar mujhe,Apne milan ka hai intezaar mujhe. Shrini “Deewana” Shrini Deewana

40www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 42: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Intezaar Rahegi Intezaar rahegi tumahari awaaz sun ne ki,Dil mein jagi hai aag sanam tumhein milne ki,Na jaane kab hoge armaan pura mere dil ka sanam,Kab miloonga tumse aur hogi muraad puri sanam. Dil ke ek tadap ko to tumne mita dala hai,bhej kar apni tasveer dil ko mere samjhaya hai,Aankhon se hat thi nahin hai tere tasveer sanam,Teri har ada ko humne apne dil mein basaya hai sanam. Gol chehara hai usmein narmo naazuk hai gaal tera,Honth to aise jaise gulab ki pankhudiyan hai koi,Tere aankhon mein ajab si kashish hai sanam,Tere aankhon mein hi doob jaana chahate hai hum. Tere gale mein hai sazi ek haar sone ki,Sone ki haar mein moti banke sajna chahata hoon sanam,Haathon mein kitni angootiyan hai sanam tum pehani,Ek angooti banke mein tere haathon mein bas jaana chahata hoon sanam. Tere haathon ko mein apne haathon mein thamna chahata hoon sanam,Baahon mein apne tujhe mein bhar lena chahata hoon sanam,Tere zulfon ki mehak ko mehasoos karna chahata hoon sanam,Tujhko apne seene se lagana chahata hoon sanam. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

41www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 43: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Ishq Ka Dariya Kehate hai ke Ishq ek dariya hai,Jo Bhale Bhalon ko doobati hai,Hum to sanam unme se hai,Jo tairna tak nahin jaante hai. Jab se tujhe dekha hai maine sanam,Raaton ki neendh aur din ke chain kho chuke hai hum,Apni dil ki haalaat mein tumhein bataoon kaise,Jo jazbaat dil mein dabi hai use tumahare saamne mein laaoon kaise. Itne mahinon ke saath ke baad aaj tumne yeh sawaal kiya tumhein mujse Ishqkyon hai,Tere is sawaal ka mein jawaab kaise doon sanam tu hi mere jaan tu hi merejustjoo hai,Mere dil mein jo basi hai woh tasveer tu hai,mere dhadakte hue dil ki aahat tu hai,Tuj bin to jeevan ab na jee sakoonga,Abhi kabhi na poocho sanam ke Mujhe tumse Ishq kyon hai. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

42www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 44: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Jab Tum Nahin Rahoge Sang Mere Ek din maine dekha jalti jwaala mere khwaab mein,Jab gaur se dekha to paya tere chintan chitha jal rahi thi us aag mein,Hai yeh kya ho gayi soch kar tham gayee mere saansein raaha mein,Phir ek kadam bhi mein chal nahin paya aur dher hua mein raha mein. Jab beeti baaton ko yaad kiya tab mujhe yaad aayee woh baat bhi,Apne hi kandhon par tujhe uthakar tujhe pahunchaya maine ghat mein,Tere is aakhiri safar mein tujhe sajaya tha maine apne haathon se,Apne haathon se jaanam aaj maine mehandi rachyee tere haathon mein. Bade pyaar se maine tera shringaar kiya par tu yeh samajh nahin payee,Maine pehanayee tujhko kangan aur mathe par bindi jo maine layee thi,Phir jab maine tujhko dekha mujhe laga tera shringaar adhura hai,Lekar phir chutki bhar sindhoor tere maang maine sajaa diya. Meri dulhan saj chuki thi apne antim safar ke liye,Doli mein laana tha jisko uski arthi aaj utha raha hoon mein,Agni kund jalana tha jiske liye aaj uski arthi jala raha hoon mein,Saat phere nahin liye to kya woh bhi to hai dulhan meri. Saarey rishtey ghat se chale gaye par mujhe na chaha thi jaane ki,Bas baith gaya mein jwaale ke aage na jaane kab tak baitha raha,Tab kisi ki awaaz mere kaanon mein goonj padi,“Dekho pyaar isko kehate hai apne deewani ke chitha ke saamne baithkar chalagaya Deewana bhi”. Shrini Deewana

43www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 45: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Jeevan Ke Do Pehalu Raaton ke andheron se na ghabrana tum,Har raat ke baad subah bhi hoti hi hai,Is jag ka niyam hi hai kuch aisi yaaron,Raat aur din is jag ke do pahelu hai. Jeevan mein dukh se kabhi na tum darna,Dukh ka andhera hamesha nahin hoti hai,Jab dukh ke badal hat jaaye to sukh ki kiran chaa jati hai,Sukh dukh jeevan ke do pahelu hai jo aate jaate rehati hai. Jeevan hai sukh dukh do pahelu se bhara,Sukh mein saare rishtey saath nibhate hai,Jab dukh ke badal cha jaaye saare rishtey chod jaate hai,Jeevan ke pahelu se na tum darna yeh duniya ki pehachan batati hai. Sacha saathi woh hi hai yaaron,Jo sukh dukh mein saath nibhate hai,Kitne bhi baadhayein aaye jeevan mein,Yeh tumhein chod kabhi na jaate hai. Jeevan ke har ek pehalu mein,Woh sang tumahare hi rehati hai,Aisa ek saathi jo paaye jeevan mein,Uska jeevan dhanya ho jaati hai. Shrini Deewana

44www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 46: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Jeevan Ki Sachayee Jaago insaanon ab tum sab jaag jaao,Aur jeevan ki sachayee ko tum pehachan jaao,Jab tak chalti hai saansein hasti tum kehalate ho,Jaise hi tham jaaye saansein laash tum kehalate ho. Akela hi aage is safar mein hai tumko ab jaana,Kisi bhi rishthe ko saath tumahara nahin ab hai aana,Ab aaj hi saare rishtey hai tumko kho dena,Chahe beti ho biwi ho ya tumahara beta. Jo kamaya jo kuch paya sab chod yahin tum jaoge,Khaali haath hi aaye the jag mein khali haath tum jaoge,Karam jo tumne kiya tha ab who chalegi saathi bankar,Ab woh raah dikhayegi tumhein tumahara humrahi bankar. Jo bhi aaye the tumhein ghat pahunchane,Koi mudkar bhi tumhein nahin dekhenge,Choot gaya hai ab sab saath tumahara,Jo bade pyaar se tumne tha sawara jag mein. Jise tumne pala tha pyaar se aaj aag wohi tumhein lagayega,Aag lagate hi kuch hi pal mein tumhara yeh tan bhi jal jaayega,Jalkar raakh ho jaoge to hasthi nahin asthi tum kehalaoge,Aur asthi bankar tum to behate paani mein mil jaoge. Choot gaya hai aaj is dharti se tumhara rishta sara,Sab kahenge swargawaas ho gaya bechara,Rote hue tum aaye the is jag mein,Ab sab ko rulakar tum is jag se jaoge. Sab ka rona hai bas kuch hi dinon ka,Kuch dinon mein sab ke aansoon sukh jaayenge,Lag jaayenge sab apne jeevan ki daud mein,Aur tumhein to sab bhool jaayenge. Yeh jeevan hi yaaron hai ek moh maaya,Jo kuch tumne paaya yahin par hai paaya,Jeevan ki is sachayee ko jo samajh paaya,Woh kabhi is moh maya ke chakkar mein na aaya.

45www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 47: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Yehi jeevan ki sachayee hai yaaron,Is sachayee ko kabhi na tum bhoolo,Jo bhi karam tum karo bas acha hi ho,Is baat ko kabhi nahin tum bhoolo. Shrini Deewana

46www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 48: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Jeevan Saathi Kuch hi pal mile the hum tumse,Kuch hi pal mein tune mujhe samjha apna,Aur keha di who saari dilki baatein,Jo tune apne dil mein dafnaya tha. Us kuch pal ne kiya kuch aise jaadoo,Ke mera dil hua bas bekaboo,Har roz tujhe yaad mein karne laga,Tera intezaar mein ghadiya guzarne laga. Phir ek din tujhse mulakaat hui,Jee bharke tujhse baatein hui,Us raat mein nahin so paya tha,Tere yaad mein neendh gavaya tha. Mein na samajh saka kaise kahoon tujhse,Woh dil ki baatein jo kehana chaha tujhse,Pare mere dil ki baat tu samajh gayee,Aur tum mujhse yeh kehane lagi. Kehado tum mujhse woh saari baatein,Jo kehane ki chahat hai dil mein,Sunkar tumse yeh baatein,Mujh mein ek josh sa jaag gayee. Maine tujhse mohabbat ka ikraar kiya,Jise tune bhi na inkaar kiya,Ab dil mera machalne laga,Tere pyaar ke aag mein jalne laga. Ab mujhko bas yun lagne laga,Tere bin mein na jee paoonga,Kuch sochke maine tumse pooch liya,Kya sada rahogi tum saath mere. Sunkar mere dil ki baatein,Tum ne kaha isme kya shaque hai,Mein sada rahoongi saath tere,Mein sada rahoongi saath tere.

47www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 49: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Phir dil thaamke maine tumse puch liya,Kyat um ban na chahogi mere jeevan saathi,Mere baatein sunkar tum khamosh hui,Tere khamoshi se mera dil bechain hui. Bechaini ki ghadiyan bahut hi kam thi,Kuch hi pal mein tune mujhse keha dala,Jeevan bhar Mein rehana chaoongi,Tere Jeevan saathi banker mere dilbar. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

48www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 50: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Kab Tak Karein Hum Intezaar Tere intezaar mein mujhe har pal lage jaise ho sadiyan,Tere sangat mein guzaare sadiyan bhi lage mujhe ek pal,Tujh bin har pal mujhe lage jaise ho koi sazaa,Aise dard bhari jeevan ab jeeya na jaaye sanam. Bahut waqt guzar chukki hai sanam tere intezaar mein,Ab mujhse saha jaata nahin woh gham tere intezaar ke,Har pal mujhe bas khat khaye jo pal bitaye intezaar mein,Pata nahin kab hogi khatam sanam ghadi tere intezaar ki. Jab karti nahin tu intezaar, to woh dard tujhe kya hogi khabar,Jo dard jhele hain is dil mein maine, woh bhala tujhe kya hogi khabar,Tu samajhti hai main hota hoon khafa, jab der se tu aati hai,Par tu kya samjhe main khafa nahin, mere dil kar dard tere saamne aati hai. Mujhko tujse koi ruswa nahin hai, na koi shikwa na koi gila,Jo karta rahein tera intezaar har pal woh shikwa kaise karega bhala,Ai sanam mujhe tu aur na tadapa is intezaar ke ghadiyon mein sada,Sehane ke taakat kam ho gayee hai, aur bad gayi hai dil mein dard mera. Ab sanam mein mangta hoon bas haath uthakar yehi duva,Ai Khuda mere sanam ko tu ab mere paas laa de zara,Aur na rakh tu use door mujhse aur mila de mujhse zara,Yeh agar mumkin nahin hai to humko utha le is jahan se zara. Jis jahan mein milna hi nahin hai us jahan mein kya jeena bhala,Kab tak sahen hum yeh judai, kab tak karein hum intezaar,Bas dard bhare yeh jeevan ke jeene mein kya hai mazaa,Ai khuda tu reham kar aur humein mila de, ya utha le humein is jahan se zara. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

49www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 51: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Karishma Kudrat Ka Kudrat ka karishma bada hi ghazab hai,Kitne haseen is jahan ko banaya who rab hai,Rab nahin hai to duniya mein kuch bhi nahin hai,Rab hai to yeh jahan hai warna kuch bhi nahin hai. Oonche pahadon ko kisne rachaya hai is jahan mein,Gehere saagaron ko kisne banaya hai is jahan mein,Is jahan ko rangon mein ranga hai kisne is jahan mein,Yeh jahan to hai srishthi us rab ki rab nahin to kuch bhi nahin hai. Suraj ke kirnon ke roshni se jagti hai yeh duniya,Kya kabhi us suraj ko jagaya hai kisi ne is jag mein,Agar chand suraj ko banaya na hota us rab ne,To socho kya haal hota is jahan ka bina chaand suraj ke. Yeh duniya to chalti hai rab ke sahaare,Yeh duniya to chalti hai rab ke ishaare,Hum to bas paatra hai hum kuch bhi karte nahin hai,Hum jo bhi karte hai woh karte hai bas hum rab ke ishaare. Shrini Deewana

50www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 52: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Karte The Mohabbar Tumse Pehale to hum karte the mohabbat tumse,Lekin jaan ab to hum bas marte hai tum pe,Dil karta hai aake tujhe apne baahon mein le loon,Tere baahon mein aake apne saanson ko mein kho doon. Sanam mujhe intezaar hai us ghadi ki,Jab mein tere ghesuon ke chaon mein rahoonga,Tadap us ghadi khatam hogi mere dil ki,Jab tere saasein mere saanson se milti hogi. Tere garam saansein jab choomegi mujhko,Mein samjhoonga mere jeevan safal ho gayee hai,Ai dilruba mere paas tum jaldi se aaja,Aake tum mere baahon mein sama jao. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

51www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 53: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Khafa Na Hona Tum Mujhse Shayad maine ek galati ki hai zindagi mein apni,Umeedein bahut laga baitha hoon zindagi se apni,Zindagi ne meri pyaar bahut hi diya hai mujhko,Phir bhi chahat dil ki kabhi kam nahin hoti meri,Isi liye shayad khafa hoti hi rehati hai sada zindagi meri. Shayad mere is chahat se naraaz hai zindagi meri,Kabhi hoti hai khafa to kabhi root thi hai zindagi meri,Na jaane maine aisa kya jurm kiya chahat jatakar apni,Shayad mere chahat mein umeedein bahut hi zyada hai,Isi liye shayad khafa hoti hi rehati hai sada zindagi meri. Apne chahat ko sanam ab mein chupaoon kaise,Pyaar to paya hoon is jeevan mein paakar tere saath,Tujhko to chahata hoon apne jaan se zyada dilbar,Is liye maangta hoon saath tera mein har pal ai sanam,Mere mohabbat ko tu zabardasti na samajh ai sitam,Tere bin jee nahin paoonga mein yeh hai meri kasam. Mujhse itna khafa na hote rehana ai mere dilbar,Tere bina mera jeena dushwaar ho na jaaye kahin,Raat din kat thi nahin hai tere yaadon ke siwa,Tum hi mere palkon mein sada basi rehati ho mere dilbar,Tujhse mein aur kuch na maagoon mein ai mere sitam,Bas sada saath hi rehana kabhi na chod dena mujhko, Shrini Deewana

52www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 54: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Khath Tum Tak Pahunchaoon Kaise Likha tha maine ek khath tujhko,Par woh khath tum tak na pahuncha paya,Tum tak who khath pahunchata bhi kaise,Tumahara to pata bhi mein na jaan paya. Tadapta hai har roz yeh dil mera,Woh khath tum tak pahunchane ko,Pahunchaoon who khath mein tum tak kaise,Bas yeh ek baat maine nahin hai jaana. Sanam ek din mere khawaabon mein aakar,Zara mujhe apni pata tum bata dena,Mere dil ki saari baatein tumhein batane ki,Mujhe sanam ek raasta tum bata dena. Tadapta hai mera dil saari baatein tumhein batane ko,Kaise sambhaloon tadap mein apne dil ki,Zara tum hi mujhko sanam bata dena,Aur aakar mere tadapte dil ko ho sake to samjha dena. Bas ek dua hai us khuda se mera,Hamesha tere hi banker mein reha jaoon mein,Sanam tere bina ho mujhko jeena,Aisa din kabhi na aaye mere jeevan mein. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

53www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 55: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Khawaab Bahut se sapney humne sajaye hai jaan dil mein,Tumse milne ki umeed humne jagaye hai dil mein,Tumahare baahon mein aaghosh hone ki tamanna hai dil mein,Tumhein apne baahon mein jakad lene ki khwaish hai dil mein. Tumahare zulfon ki mehak mehsoos karne ki tamanna hai dil mein,Tumahare baahon mein sar rakh kar rone ki tamanna hai dil mein.Tujhse mein kaise dikhaoon woh saare sapney jo sajaye hai dil mein,Tujhse milne ki umeed humne jagaye hai dil mein. Tere hothon ke ras peene ki chahat hai is dil mein,Tere aankhon ke geharayee mein doob jaane ki tamanna hai dil mein,Log to kehate hai khwaab raaton ki neendh mein aati hai,Par jab se tumhein mila hoon din mein khwaab dekhne ki aadat ho gayee hai isdil mein. SHRINI 'DEEWANA' Shrini Deewana

54www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 56: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Khuda Se Ek Dua Ai khuda tera bhi koi jawab nahin,Kitna haseen banaya hai tune yeh jahan,Chand karti hai roshan jahan ko raaton mein,To din mein suraj se hoti hai roshan tera yeh jahan. Jhilmilate rehate hai tare sada gagan mein tere,Mitti ke meethi sugandh tere pehale varsha laati hai,Indradhanush chaa jaati hai neel gagan mein tere,Suraj ki kiran varsha ko jab apne gale lagati hai. Kya mohabbat banayee hai tune dharti amber mein,Door hokar bhi woh karte hai pyaar ek duje se,Dharti amber ka rishta bhi hai bahut hi mahaan,Unki kalpana ke Milan ko Kshiteej kehati hai jahan. Kya mohabbat banaya hai tune sagar ke leharon aur kinaron mein,Leherein aakar kinare ko choom kar laut jaati hai,Yeh jaanti hai leherein ke kinare se Milan uski naamumkin hai,Phir bhi machal thi hal leharein kinare ki hi yaadon mein. Itne mohabbat bhari rangeen duniya mein ai khuda,Tune aisa ek jeev kyon banaya jise kehate hai insaan,Dil aur dimaag kyon di hai tune is insaan ko,Us dil aur dimaag mein nafrat kyon tune paida hai kiya. Bas ek baat mein tujhse puchna chaoon ai khuda,Ho sake to mujhko tu itna bata de zara,Kyon banayee hai tune mazhab naam ka ek shaitaan,Jis par ladta hai aaj duniya ka har ek insaan. Ai khuda soch hota kitna haseen tera yeh jahan,Agar mazhab tune nahin banaya hota yahan,Pyaar mohabbat se hoti kitni rangeen yeh jahan,Agar tune paida nahin kiya hota mazhab naam ka ek shaitaan. Ai khuda tujhse karta hoon mein bas ek dua,Is jahan se mita de tu mazhab naam ka shaitaan,Bas ek mazhab se bhari rahe tera saraa jahan,Jis mazhab ko pyaar mohabbat kahe yeh saara insaan.

55www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 57: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Le li hai bahut se jeevan mazhab ke naam par tune,Ab humein pyaar mohabbat se jeene ka ek mauka de de,Kar di hai laal is dharti ko tune lahu se insaan ke,Ab humein apne ashkon se is lahu ko mitane ka ek mauka de de. Is haseen duniya ko banade tu pyaar se rangeen,Bata de tu duniya ko pyaar mohabbat nahin hai namumkin,Jaisa pyaar banaya hai tune dharti amber mein,Aisa hi pyaar tu jaga de har ek insaan ke man mein. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

56www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 58: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Khushiyan Tere honthon ki muskaan ko pehchaanta hoon mein,Tere is chupi hue hansi ko bhi jaanta hoon meinHar pal tere isi muskaan ko dekhne tarasti hai mere aankhen,Kya mere is tadap aur taras ko tu nahin jaan paati hai sanam? Tere jeevan mein aaye ghamon ke baadalon ko hata doonga mein,Banke jhonka hawa ka un baadalon ko uda doonga mein,Bas rahe kuch tere jeevan mein to woh khushiyan hi ho sanam,Yehi umeed ke chiraag ko sada jalaaye rakhoonga mein. Jab se aayee ho sanam mere jeevan mein tum,Bhar gayee hai khushiyon se mera jeevan sanam,Kayee dinon se tumhein mein na dekh paaya to kya,Tere har ada mere dil mein hi basi hai sanam. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

57www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 59: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Khwaab Har woh khwaab rangeen hoti hai jis khwaab mein sanam tum aati ho,Har woh pal yaadgaar hoti hai jo pal sanam tum mere saath rehati ho,Har woh bol meethi hoti hai jo bol sanam tum mujhse baatein karti ho,Har woh din suhana hota hai jo din sanam tum mere hi sang bitati ho. Hum tum do kinaare hai saagar ke aur yeh saagar mohabbat hai apni,Yeh kaisi mohabbat hai sanam jo itne door rehakar humein tadapati hai,Kya hum dono mein lagi mohabbat ki aag yeh sagar kabhi buja paayegi,Kya do premi ki mohabbat ki tadap yeh duniya kabhi samajh paayegi. Yeh kaisa insaaf hai khuda ka sanam jo milaya hai par milan nahin ki,Yeh kaisa nirday khuda hai sanam jo na samajhe pyaar hum dono ki,Ai khuda hum tumse karte hai dua samajhle tu pyaar do premi ke,Itna na tu tadapa hum dono ko ke hum jeene ke hi chaha chod de. Tu ne hi banaya hai rishta hum dono mein ab tujhe ise nibhana bhi hoga,Chahe duniya se tujhe ab ladna pade hum dono ko tujhe milana hi hoga,Ek tere siwa yahan koi nahin jo pyaar hum dono ka samajh sakte hai,Ab chahe mila ya mita de humein hum apni mohabbat tere kadmon mein rakhtehai. Shrini Deewana

58www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 60: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Kitna Pyaara Saath Tumahara Tujhe apne baahon mein bharne ki tamanna hai dil mein,Tujhe apne seene se lagane ki hasrat hai dil mein,Tere aankhon mein mujhe kho jaane ki chahat hai dil mein,Tere honthon ke ras peekar madhosh ho jaane ki tamanna hai mere dil mein. Kaise pahunchaoon sanam mein apne dil ki awaaz tujh tak,Tere badan se lipte hi rehane ki madhoshi hai mere dil mein,Zindagi mein aisa pyaar aayega yeh socha bhi na tha maine kabhi,Aaj kehata hoon mein tujhse kitna pyaara saath tumahara hai mere humdum. Mein to aksar ladtha aur jhagadtha hoon tujhse ai sanam lekin,Mere dil mein tere liye mohabbat ke siwa kuch bhi nahin hai sanam,Mere bas mein agar hoti to mein cheer ke dikhla deta apna dil tujhko,Mere dil ki har dhadkan ki yeh awaaz bhi sanam tum sun paati,Har dhadkan yehi kehati Kitna pyaara saath tumahare hai mere humdum. Shrini Deewana

59www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 61: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Kudrat Ka Khel Bahut Nirala Hai Kudrat ka khel bahut nirala hai, Kahin hariyali hai to kahin veerani hai. Kahin chulah bhi jal nahin paati hai, To kahin jalti hai deep diwali ki,Koi taraste hai do waqt ke roti ko, To koi paison ke bistar par hi sote hai,Kisi ko tan dhakne kapade nahin hote hai, To koi nangepan ko hi fashion kehatehai,Koi taraste hai mamta ki khaatir, To kisi ke godh suni suni hoti hai. Kudrat ka khel bahut nirala hai, Kahin hariyali hai to kahin veerani hai. Kisi ka dil mein hai mohabbat bhara, To kisi ke dil mein nafrat ki bhandar hai,Kisi ke jeevan hai gulshan se saja, To kisi ka jeevan lagta ek samshan hai,Taraste hai koi mohabbat ke khaatir, To koi maar rahe mohabbat ko laat hai,Kahin ut rahi hai doli basane apni duniya, To kahin arthi duniya se jaane kotaiyaar hai. Kudrat ka khel bahut nirala hai, Kahin hariyali hai to kahin veerani hai. Kahin jal rahi hai shaadi ki agni, To kahin agni se ho rahi shav raakh hai,Kisi ki maang sindoor se sajthi hai, To kahin ujadthi kisi ki maang hai,Koi mana rahe hai khushiyon ki diwali, To koi kar rahe maatham saari raat hai,Kahin par khushiyon ka aalam hai, To kahin gham mein dooba jahan hai. Kudrat ka khel bahut nirala hai, Kahin hariyali hai to kahin veerani hai. Kahin ugti hai suraj nayee subah ki, To kahin par amaavas ki raat hai,Koi tadapte hai apni mohabbat paane, To koi mohabbat paakar bhi laachar hai,Koi kar rahe hai raaj mohabbat se, To koi kar rahe bas hathyachaar hai,Kahin sukh se bhara hai kisi ka jeevan, To kisi par dukh kar raha apna waar hai. Kudrat ka khel bahut nirala hai, Kahin hariyali hai to kahin veerani hai. Shrini Deewana

60www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 62: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Kya Ban Ke Rahogi Tum Sada Meri? Jeevan mein bahar aayee hai jab se aayee ho tum jeevan mein meri,Mann mein hai khushiyan khili jab se aayee ho tum jeevan mein meri,Dil mein umangon ke gul khilne lagi jab se aayee ho tum jeevan mein meri,Samajh paya hoon kya hai mohabbat jab se aayee ho tum jeevan mein meri,Ab to lagta hai ai sanam mere zinda rehane ke liye zaroorat hai sahara mujhkoteri,Agar milegi mujhko sahara teri to samjhoonga ho gayee hai duniya meri,Karta hoon mein tumse yeh dua sada banke rehana sanam bas tum meri,Bas ek baar kehado ai sanam kya banke rahogi tum sada meri? Jeevan meri thi guzar rahi jisme kabhi na koi chaha thi,Mere dil mein chaha jagne lagi jab se aayee ho tum jeevan mein meri,Mein dar badar tha bhatak raha na aati thi kabhi koi manzil nazar,Mujhe manzil nazar aane lagi jab se aayee ho tum jeevan mein meri,Mere zindagi thi ek bhanwar kinara nahin aati thi kabhi nazar,Mujhe kinara nazar aane lagi jab se aayee ho tum jeevan mein meri,Ab zindagi guzaarne mujko sanam har pal saath chahiye bas teri,Bas ek baar kehado ai sanam kya banke rahogi tum sada meri? Tum ho kisi ka humsafar mein bhi hoon kisi ka humsafar,Phir bhi ab hamare dil mein jagi hai sanam mohabbat agar,Yeh baat saaf aati hai nazar yeh marzi hai bhagwaan ki yeh marzi hai bhagwaanki,Har kadam mein mujhko sanam bas saath chahiye hai teri,Tumse kuch aur na maangoon mein maangoon mein bas kuch pal teri,Jab bhi mere aankhein bhar ayee to mujhe chahiye bas kandha teri,Jab bhi neendh na aaye mujhe mein sona chahoonga bahon mein teri,Bas ek baar kehado ai sanam kya banke rahogi tum sada meri? Jab jab yaad teri aati hai aankhein bhar aati hai meri,Mere behate ashkon ko ponchne mujhe chahiye aanchal teri,Jab dhoop mein thak jaaoon mein mujhe chahiye saya zulfon ke teri,Jab maayoos ho jaaoon mein mujhe chahiye hausala baaton ke teri,Mujhe zindagi guzaarne sanam mujhe saath chahiye bas teri,Tumse aur kuch bhi na maangoon mein maangon bas mohabbat teri,Tum subah ho tum shaam ho tum chaand taare ho jeevan ke meri,Bas ek baar kehado ai sanam kya banke rahogi tum sada meri?

61www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 63: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

SHRINI “DEEWANA” Shrini Deewana

62www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 64: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Kya Yeh Tere Bas Mein Nahin Hai? Tujhse milne ki sochkar machalta hai yeh dil,Par jab milta hoon mein tujhse ai mere sanam,Tujhse bichadne ki sochkar tadapta hai yeh dil,Har pal tere sang rehane ki chahat hai dil mein,Jab ki mujhko bhi yeh khabar hai yeh mumkin nahin hai,Phir bhi yeh dil mujhse keha raha hai “Kya yeh tere bas mein nahin hai? ” Dil machal rahi thi yeh soch kar aaj mujhe milna hai tujhse,Har ek kshan isi soch mein maine kaatee thi raat bhar,Jab tu mili to laga mujhe milan ke baad kyon aatee hai judayee,Who judayee jo de jaati hai dono ke dil mein ek tanhayee,Dil karta hai har kshan tere saath hi rehana hai mujhko,Jab ki mujhko bhi yeh khabar hai yeh mumkin nahin hai,Phir bhi yeh dil mujhse keha raha hai “Kya yeh tere bas mein nahin hai? ” Dil karta hai sanam sama loon mein tujhe khud mein,Jahan bhi jaaoon mein le jaaoon apne sang tujhe,Kabhi hum aur tum ek dujhe se alag na ho paaye,Zindagi bhar hum dono ek duje ke sang reha jaaye,Jab ki mujhko bhi yeh khabar hai yeh mumkin nahin hai,Phir bhi yeh dil mujhse keha raha hai “Kya yeh tere bas mein nahin hai? ” Tera woh sparsh tera chumban sataati hai mujhko,Teri woh masoom ada tadpaati hai mujhko,Tere ungliyon se lee hui angooti ko har pal choomta hoon mein,Aur tadapta hoon har pal tere saath pane ko mein,Jab ki mujhko bhi yeh khabar hai yeh mumkin nahin hai,Phir bhi yeh dil mujhse keha raha hai “Kya yeh tere bas mein nahin hai? ” SHRINI “DEEWANA” Shrini Deewana

63www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 65: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Kya Yehi Hai Azaadi Kya keemat hai insaanon ke jeevan ki,Kya yeh batayega mujhe ab koi,Kyon ho rahi hai itni is desh mein dehashat,Kya yeh samjhayega mujhe ab koi. Kya duniya mein koi mol nahin hai,Ab hum insaanon ke jeevan ki,Kya pranth pranth mein bhat gayee hai,Apna yeh desh jo kabhi to ekjut thi. Kya rajyon ke seemaon ne insaniyat hi khatam kar di,Ya kursi ki koi lalach ne apne desh ki yeh sthithi kar di,Kahan gayee woh Bharat jisne kabhi ladi azaadi ka jung,Kya azaadi ne kar di hai apne saare sapnon ko bhang. Kal apna desh tha ghulam magar,Is desh mein sab ki ekjut to thi,Aaj hum angrezon se azaad hai magar,Apne hi dharam ke hum hai ghulam bane. Kab milegi humein ab phir se azaadi,Is jaath aur dharam ki ghulami se,Kab hategi apne pairon se yeh bhedi,Jo jaath aur dharam ne pehanaya hai humein. Aisi azaadi ki ab kya matlab hai,Jo baant rahi hai is desh ko pranthon mein,Aisi azaadi ki ab kya matlab hai,Jo pehanaye bhedi apne hi tarakki ke pairon mein. Aao hum milkar aise desh banaye,Jisme pranthon ki nahin koi seema hogi,Dil se hum bas Bharatiya hi rahein,Aur prachand Bharat apna hi hogi. Jahan na hogi koi bhed bhaav,Kisi bhi pranth ke logon mein,Har Bharatwasi azaad rahega,Kisi bhi pranth mein jaakar basne.

64www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 66: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

JAI HIND, MERA BHARAT MAHAAN Shrini Deewana

65www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 67: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Kyon Bhigoya Ishq Ki Dariya Me Humein Hoti hai subaha to dil mein ek karaar sa hota hai,Tumse milne ko jaanam dil bekaraar sa hota hai,Saari raat to bas beet thi hai yaadon mein teri,Jab sota hoon tab bhi mujhe khwaab aati hai teri,Is kadar kabhi dooba na tha jaise aaj dooba hoon mein,Itna bata do kyon bhigoya ishq ki dariya me tumne humein. Har pal har lamha beet thi hai sanam tere hi khayalon mein,Aur mein khoya sa reha jaata hoon zindagi ke rahon mein,Tum bin ab dil mera kahin bhi lagta hi nahin hai,Tumse hi seekha hoon maine sanam kya aashiqui hai,Is kadar kabhi khoya na tha jaise aaj khoya hoon mein,Itna bata do kyon bhigoya ishq ki dariya me tumne humein. Yaadein tumahari laati hai ashkhon ki leharein,Aankhein bheeg jaati hai sambhal paata nahin mein,Itna mohabbat kyon karti ho sanam tum humse,Tum bin mein abhi jee nahin paaoon is jag mein,Is kadar kabhi roya na tha jaise aaj rota hoon mein,Itna bata do kyon bhigoya ishq ki dariya me tumne humein. Teri mohabbat ki tadap mere dil mein ek dard si laati hai,Teri yaadein mujhe chain se kabhi rehane nahin deti hai,Kabhi socha na tha aisa ek pyaar aayega jeevan mein mere,Kabhi socha na tha aise tadpoonga mein mohabbat mein tere,Is kadar kabhi tadaptha na tha jaise aaj tadapta hoon mein,Itna bata do kyon bhigoya ishq ki dariya me tumne humein. Shrini Deewana

66www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 68: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Maa Jo peheli boli kehata hai insaan woh boli hai Maa,Jo devi tujhe janam hai deti woh devi hai Maa,Jo nau mahinon tak tujhe apne kok mein hai sehati woh naari hai Maa,Jo khud ke jeevan se ladkar tujhe hai janam deti use kehate hai Maa. Jo bachpan mein tumhein sab kuch sikhaye woh pratima hai Maa,Jo sahi raah par tujhe har pal laaye woh mamta hai Maa,Jo ek waar bhi tujhpar kabhi seha nahin paaye woh pyaar hai Maa,Jo tere aankhon mein aansoon kabhi dekh na paaye woh dulaar hai Maa Jo burayee se tujhe ladna sikhaye woh durga hai Maa,Jo har pal tujhe vijay hona chahe woh lakshmi hai Maa,Jo mitti mein bhi jaan le aaye woh Parvati hai Maa,Jo sikhsha dekhkar tera gyaan badaye woh Saraswati hai Maa. Dharam chahe tera kuch bhi ho karam chahe tera kuch bhi ho,Yeh kabhi na bhoolna tujhe har pal yaad karti hai Maa,Jab badkar tu aage nikale aur kamar maa ki dhal jaaye,Us pal use tu use door na karna kyon ki woh hai teri Maa. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

67www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 69: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Magroor Khuda Ai khuda tune dil kyon banaya aur dil mein aise ek tadap kyon banaya,Jab banaya hi tha dil aur tadap to dil mein mohabbat ka chirag kyon jalaya,Jab chiraag jala diya tune dil mein mohabbat ka to yeh faasle kyon banaya,Itne faasle banakar duniya mein tune insaanon ki majbooriyan kyon badhaya. Jo dil mein bhari rehati hai nafrat un dilon ko to tu paas paas kyon hai bithaya,Jo dil mein bhari hoti hai sachi mohaabbat un dono ko itne door kyon banaya,Sab kehate hai magroor insaan hote hai mein kehata hoon majboor insaan hotehai,Magroor to ai khuda tu hi hai jo sab kuch jaan kar bhi tune premiyon ko hairachaya. kya milti hai is mohabbat ke tadap se tujhko bas itna mujhko aaj bata de tu,Kyon banayee hai tune mohabbat mein doori bas itna mujhko aaj bata de tu,Agar pyaar gunah hai tere duniya mein to radha ko kyon apnaya hai,Kya tera pyaar hi pyaar hai bas itna mujhko aaj bata de tu. Itna magroor na hona ai khuda samajh majboori insaanon ki bhi,Jab pyaar tune jagaya hai do dilon mein to karde tu kaam unhein milane ki bhi,Agar milana nahin tha tujhko to pyaar jagaya hi kyon un dil mein,Tere pyaar se kam nahin hai pyaar duniya ke insaanon ki. Shrini Deewana

68www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 70: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Man Mandir Ki Devi Tumahare saare badan ko phoolon se dhak dena hai mujhe,Tere kadmon mein khud ko arpan kar dena hai mujhe,Dil mein basi saari chahat ko tere saamne laana hai mujhe,Tere saanson mein apne saanson ko mila dena hai mujhe. Sanam jab se mili ho mere dil mein bas chuki ho tum,Meri sakhi mere biwi mere jeevan saathi ho tum,Jeevan ke har raahon mein bas rehana tum sang mere,Tere saath hi sanam manzil tak pahunchna hai mujhe. Log to chahate hai apne pyaar ko magar,Mein to pujta hoon apne mohabbat ko sanam,Duniya to kehati hai bhagwan base hai har jagah mein lekin,Mere man ke mandir mein basi devi ho tum. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

69www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 71: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Meghdoot Dil tadap uthi hai tere yaadon mein,Mann machal gayee hai teri yaadon mein,Jab bhi yaad aati hai teri oh sanam,Ek nami si chaa jaati hai mere aankhon mein. Jab bhi dekhoon mein kaale baadal ko,Bas yaad teri hi sanam aati hai mujhko,Jab baras padthi hai varsha mujhpar,Yun lagta hai jaise tu mujhe gale se lagati ho. Kya yehi kaale baadal pahunchte hai tum tak bhi,Kya varsha tum par bhi barasti hai sanam,To chalo hum apna sandesha ek duje ko,Kale baadal ke sang hi pahunchaye sanam. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

70www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 72: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Mehandi Se Saji Haath Kabhi mehandi se saja lo tum apne haathon ko,Us sajawat ke kisi kone mein hamara naam bhi likh do,Yeh naam sirf hum dono ko hi nazar aaye,Kuch is tarah se hum dono ka tum naam likh do. Teri mehandi se saji haathon ko mein apne haathon mein le loonga,Tere haathon ki mehandi ki khushboo ko apne dil mein qaid kar loonga,Dhoond loonga mein tere haathon mein chupi hum dono ka naam,Leke tere haathon ko apne haathon mein use mein choom loonga. Jab loonga tere haathon ko apne haathon mein,Tere chudiyon ki kankanahat goonjegi geet banker,Jab mein choomoonga tere honthon mein jaanam,Tere siskiyan nayee sur banke goonjegi. Tere saanson ki garmi jab milegi saanson se meri,Tab wahan par nayee ek sargam banegi,Jab milegi badan mere tere badan se oh jaanam,Mohabbat hamari bas rangeen banegi. Shrini “Deewana” Shrini Deewana

71www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 73: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Mein Akela Hi Rahoonga Mein akela hoon akela hi rahoongaJab bhi mere jaan mere saath na hogi,Yaad to aati rehati hai woh mujhe har pal,Aur aankhon se aansoon behate rehate hai. Kaise samjhaoon us bedardi sanam ko dil ka haal apna,Kaise bayan karoon kitna tadapta hai dil mera uske liye,Kaise kahoon us se ke jee raha hoon sirf usi ke liye,Warna jeene ki to mujhe koi bhi chaha nahin. Tadapta to hoga uska dil bhi mere yaadon mein lekin,Yeh maatam si mukaam usi ne laya hai is jeevan mein,Jab bhi hum dono mil nahin paate ek duje ko,Ya jab koi baat nahin hoti hai hum dono mein. Uske jeevan mein to log hai jis se behal jaati hogi dil uski,Lekin kiske sahare behalaoon sanam mein dil mera,Mein to hoon ek akela is badi duniya mein sanam,Koi nahin hai mera is jahan mein ek tere siwa. Jab sanam tum nahin de paogi waqt apna mere liye,Tab kya umeed rakhoon mein badi duniya se sanam,Jab apna hi saath na de mere har pal ai sanam,Tab duniya kya saath degi is badnaseeb jeevan ke. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

72www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 74: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Mein Nahin Banaoonga Taj Mahal Yeh woh muskaan hai jo bhaga thi hai thakavat meri,Yeh woh muskaan hai jo laati hai jaan mere jeevan mein,Tere ek muskaan pe kuch bhi hum luta denge,Tu haan keha de to tujhe baahon mein apne bhar lenge. Mein to pagal hoon deewana hoon mohabbat mein teri,Tere pyaar ke khaatir sanam hum kuch bhi kar denge,Log kehate hai ko woh banayenge mohabbat ke liye taj mahal,Lekin hum tumse aisa koi wada nahin kar denge. Taj to bani thi mumtaz ke baad uske yaadon mein,Hum to tere sang hi jiyenge aur tere sang hi mar jaayenge,Reha nahin sakte sanam tere bina hum ek pal ke liye,Mere har saanson mein bas tere hi naam sunayee deti hai. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

73www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 75: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Mein Tumse Kya Chahata Hoon? Tumahare hothon ki muskaan ban na chahata hoon mein,Tumahare dil ki dhadkan ban na chahata hoon mein,Tumahare geeton ke sur ban na chahata hoon mein,Tumahare payal ki jhankaar ban na chahta hoon mein. Ai sanam tumahare jeevan mein khushiyon ke phool khilana chahata hoon mein,Tumahare aankhon mein sama kar rehana chahata hoon mein,Ai mere sanam mere dilruba mere mohabbat ki devi,Apne dil ke mandir mein devi banakar tujhe basana chahata hoon mein. Jahan bhi tu jaayegi tera saaya bankar tere saath hi chalna chahata hoon mein,Tere kadam jis zaameen par pade wahan phool bankar bhikarna chahata hoonmein,Tere jeevan ke bhagiya mein ek mehakti phoool bankar rehana chahata hoonmein,Tu agar chaand ho to tere aas paas sitare bankar chamakna chahata hoon mein. Apne dil se door na karna sanam tere humsafar bankar sada tere saath rehanachahata hoon mein,Kabhi tu ghamon se na darna sanam tere jeevan ki rakshak bankar rehanachahata hoon mein,Tere jeevan ke har kadmon par mein ai sanam tere hi saath rehana chahatahoon mein,Khuda na kare tujhe kabhi kuch ho jaaye, par agar kuch ho gayee to tera kafanbankar tera saath jalna chahata hoon mein. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

74www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 76: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Mera Bharat Mahaan Duniya mein jo hai dharma aur sabhyata ki pehachaan,Woh hai mera desh mera pyaara watan Hindustaan,Jisne shunya sikhayi duniya ko jis se duniya aage badi,Aise desh ko hum sada kahenge Mera Bharat Desh Mahaan. Ramayan aur Bhagavad ki path duniya ko yeh hai dikhlayee,Ahimsa mein hai bhal kitna duniya ko yeh hai samjhayee,Har dharma ko yahan jagah mili aur mili unhe apnapan bhi,Sarva Dharma Sambhavana ki mool hai is desh ki sanskriti. Yahan ki sanskriti ne hai sikhayi Athithi Devo Bhava humko,Isiliye is desh ne pehele Mughal aur Angrezon ko bhi apnaya tha,Par yeh hamari kismet thi ke Angrezon ne ghulam hume hi banaya tha,Apni Bharat Mata ke liye hum jaan bhi luta sakte hai,Yeh us pal hamare veer jawanon ne duniya ko dikhlaya tha. Unke veerta se hi mili is desh ko ghulami se aazaadi,Apne aazaadi ke is din ko chalo aaj hum sab milkar manayenge,Aur saath mein yaaron ek waada bhi hum kar jaayenge,Jab aayegi aanch is desh par hum kabhi na chup baithenge,Apne aazaadi ke khaatir apne jaan tak hum luta denge. Hum khud na kisi par waar karenge par desh ki aanch bachayenge,Desh par kabhi koi aafat aaye to hum chup nahin reha paayenge,Ek baar ghulami seha chuke hum phir aisa na hone hum denge,Apne desh ki aazaadi ko hargiz mitne kabhi na hum denge. Humko apne jaan se hai pyaari apna pyaara Hindustaan,Apni Bharat mata ke liye hum ho jaayenge yaaron kurbaan,Desh ki maryada aur izzat ko hum sada hi bachayenge,Aaj ke is din par yaaron hum milkar awaaz lagayenge,HINDUSTAN ZINDABAD, MERA BHARAT MAHAAN. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

75www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 77: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Mera Saaya Ho Tum Jab se paya maine tujhko tab se paya hai khushiyaan maine,Phir bhi na jaane kyon dilbar rulaya hai tujhko maine,Tum hi ho mera jeevan tum hi ho mere dil ki dhadkan,Kardoon sanam apne jeevan kadmon mein tere arpan. Mere man ke mandir mein bithaya hoon maine tujhko,Pyaar aur Mohabbat se sanam sajaya hai maine tujhko,Sanam tujhse milne se pehale bas mein to jee raha tha,Jeevan ka arth kya hai tujhe paakar hi maine samjha. Jab jab yaad tere aaye bas hoti hai nami mere aankhein,Mere har saanson ke sang aati hai yaad teri saari baatein,Kaise rokoon mein aansuon ko samjha de sanam tu mujhko,Kaise samjhaoon apne dil ko samjha de sanam tu mujhko. Mere saanson mein hai basi tu mere palkon mein chupi tu,Mere dil ke aaine mein banke dhadkan sanam basi hai tu,Kya hai din kya hai raatein yeh bhi maine na samaj paya,Kuch samjha hoon to yeh hai ke tu hi hai sanam mere saaya. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

76www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 78: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Mera Shikshak Duniya mein jo sab se pyaar hai,Woh to Shikshak hamara hai,Woh deta hai humein vidya aur seekh,Jis se hoti hai hamari jeet. Sada shikshak ko tum yaad karo,Woh jab bhi mile pranaaam karo,Bhagwaan se pehale jo aata hai,Woh shikshak vidya daata hai. Mein kitna bhi ooncha jaaonga,Mein apne shikshak ko na bhool paoonga,Mere safalta ka kaaran hai shikshaak,Jo hai mere jeevan ka rakshaak. SHRINI “DEEWANA” Shrini Deewana

77www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 79: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Mere Dil Ka Haal Tanha tha mein kal din bhar,Sanam tere hi intezaar mein,Par aayee na tu na koi baatein hui,Dil tanha reha gayee tere intezaar mein. Diwali wahan manati thi tum,Aur duniya mere ujada sa laga,Har pal tujhe bas yaad mein karta raha,Mana teri kuch majboori thi,Par dil kuch bhi na sun saka. Dil mein jo kuch bhi armaan thi,Woh armaan ansoon mein beha gayee,Koi bhi na tha jo mujhe thaam le,Aur behate hue aansoon ko rok le. Ek wada karo tum mujhse sanam,Ke aisa phir hogi na kabhi,Aisa ek din aaye na jeevan mein mere,Jab jeena padega mujhe tere bin. Mana tere bhi majboori hai,Par mohabbat majboori se hoti hai badi,Agar phir se kabhi tum na aayee to,Woh hogi mere zindagi ki aakhir ghadi. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

78www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 80: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Mere Jeevan Saathi Mera yaar tu mera pyaar tu,Dilbar mere mera deedar tu,Yaadon mein tu waadon mein tu,Har dhadkan mein basi bas tu hi tu,Mere jeevan mein mehakti mehak hai tu,Mere jeevan ke bhagiye ki bhagbaan hai tu. Mera rab hai tu mera shab hai tu,Mere zindagi ke safar mein ab sab hai tu,Mera subah tu meri shaam tu,Mere neendh tu mera khwaab tu,Kaise jiyunga mein tere bin,Mere dil mein dhadakthi dhadkan hai tu. Tera dukh mera tera gham mera,Mere jeevan ki har khushi bas hai tera,Meri zindagi teri tera zindagi mera,Har pal mujhe rehana hai sang tera,Tujh se hi chalti hai saansein mera,Tujh bin nahin hai ab jeevan mera. SHRINI “DEEWANA” Shrini Deewana

79www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 81: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Mere Khwaabon Mein Tum Aayee Ek raat mere khwaabon mein sanam tum aayee,Gehari neendh mein bhi mere chehare mein ek muskaan chayee,Man kar raha the kabhi bhi na toote yeh meethe khawab mere,Kabhi na jaagoon mein aur dekhta rahoon dil ke aaine mein tasveer teri. Jab aankh khuli tab yeh jaana yeh to thi ek khwaab,Lekin dil ki har dhadkan keha rahi thi yeh khwaab thi lajawaab,Kaise tujhe samjhaoon sanam ke mere dil mein hai ek kitaab,Us kitaab ke har panne mein basi hai sanam jiski khoobi hai behisaab. Dil karta hai dekhta hi rahoon har pal mein chehara tera,Apne palkon par mein basa loon teri tasveer ko mein dilruba,Tujhe dekhne ki ek chahat sada rehati hai mann mein meri,Karta hoon dua mein khuda se ke karde woh apne saare armaan puri. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

80www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 82: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Mere Saanson Ka Hakdaar Saansein to chal rahi hai jism mein mere,Par har saanson ka haqdaar ho tum,Dil to dhadak rahi hai jism mein lekin,Mere dil mein dhadakti har dhadkan ho tum. Zindagi to guzar rahi thi pehale bhi magar,Ab to sanam jeene ki bas zarurat ho tum,Sone ko to hum sote hai raaton mein magar,Mere har raat ki khawabon mein basi ho tum. Bin tere zindagi nahin guzar payegi sanam,Mere liye hawa pani aur zindagi ho tum,Aankhon mein basi tasveer ho tum,To mere saath chal rahi saya ho tum,Tum hi tum basi ho mere dil mein sanam,Mere liye raasta bhi tum aur manzil bhi tum Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

81www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 83: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Meri Mohabbat Kuch likhne ki tamanna hai dil mein,Likhne baithoon to alfaaz nahin milti,Kehane ki chahat hai bahut kuch dil mein,Kehane baithoon to lafz nahin milti. Ai jaan kaise samjhaoon dard-e-dil mera,Jo intezaar mein rehati hai kab aaogi tum,Janta hoon mein tumahari majboori lekin,Is kambhakat dil ko kaise samjhayenge hum. Kash aise ek lamha jald aaye apne jeevan mein,Jab ai dilruba hogi tum mere hi baahon mein,Kash us ghadi waqt bas yunhi tehar jaaye,Aur tum mere hi baahon mein reha jaogi sada ke liye. SHRINI 'DEEWANA' Shrini Deewana

82www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 84: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Mohabbat Dawa Hai Ya Sazaa Kya hai mohabbat koi mujhe bataye zara,Yeh hai khushi ya yeh hai koi sazaa,Jab Milti hai woh tab milti hai khushi,Jab na milti hai woh zindagi lag ek sazaa. Kehati hai sadiyon se yeh duniya,jeevan hai such dukh se bhara,Phir mere jeevan mein aisa kyon hai,Sukh hai pal bhar ki to dukh ki hai lambi ek ghadi. Milti hai woh sirf kuch pal bhar ke liye,Phir de jaati hai tanhayee din bhar ke liye,Yeh jaanta hoon mein uski bhi hai majboori,Phir bhi dil mera na mane koi baatein meri. Dard dil ka kya hoti hai tujhe kaise bataoon dilruba,Mere dil ki tadap tu ab samjh le zara,Kya hai mohabbat koi mujhe bataye zara,Yeh hai khushi ya yeh hai ek sazaa, Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

83www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 85: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Mohabbat Ho To Aisa Ho Har ek shakhs dildaar nahin hota,Har ek dildaar deedar nahin hota,Har ek deedar ko dilbar nahin milta,Har koi dilbar ko paane wala sacha yaar nahin hota. Sacha yaar woh hota hai jiske dil mein pyaar sacha ho,Sacha pyaar woh hota hai jo kare hifazat apne dilbar ki,Dekh sajni ke aankhon mein aansoo tadap uthe dil sajan ki,Sajni ke aankhon ka aansoo bhi lage use khoon ka khatra. Gar sajni udaas hoye to na soye raat bhar sajna,Raat din tadape sajni ke yaadon mein sajan ho to aisa ho,Kabhi na dil se mitaaye koi yaadon ko,Mohabbat ho to aisa ho, Mohabbat ho to aisa ho. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

84www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 86: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Mohabbat Ki Jung Dekhoonga kaise behati hai paani jharne bankar tan se tere,Kaise badthi hai khoobsoorati tere jab behati hai paani tan se tere,Dekh kar behate paani ko sanam mera mann mein khayal aata hai,Kash mein bhi hota ek boond us paani ki jo tere tan se behata hai. Jo kismat payee hai pani ki us boond ne aise kismat mere nahin,Paani bhi chootha hai tujhko par tujhe choona mere kismat mein nahin,Kab tak yeh doori sehana hai kab tak aise hi humein tadapna hai,Kya is tadap ki koi anth nahin kya hamare pyaar ka koi arth nahin. Kaise samjhaye hamare pyaar ka arth is naa samajh duniya ko,Kaise samjhaye is duniya ko ke pyaar karna koi gunah nahin,Yeh duniya kya samajh sakegi tere mere dil ki baaton ko,Yeh duniya kya mita sakege tere aur mere tadapthi raaton ko. Jab dilon ki tadap mita nahin sakte to kuch kehane ki inhe haq hi nahin,Kyon kadra karein hum us duniya ka jo pyaar ko samajh nahin paate hai,Yeh duniya hamare kuch aise hi hai jo sadiyon se aise hi chalti aayee hai,Aise bereham duniya wale pyaar ko kabhi chain se jeene dete nahin. Poojenge woh Radha Krishna ko par pyar ki paribhasha nahin samjhenge,Pyaar ko rahon mein hi maarke thokar pathar ke murat par phool barsayenge,Aao chalo hum dono milkar lade is duniya se aur is duniya waalon se,Marna bhi agar padega humko to hum marenge ek duje ke hi baahon mein. Shrini Deewana

85www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 87: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Mohabbat Ki Puraani Yaadein Aaj ek zinda laash hoon mein kabhi chanchal thi jeevan meri,Meri sooni jeevan ko usne mohabbat se rang di thi kabhi,Jab se aayee thi woh mere jeevan mein jeevan madhur si lagne lagi,Mera man kuch aisa machalne laga jaise rimjhim varsha barasne lagi. Uske mohabbat mein mann bheega aise jaise varsha mein tan bheegata ho,Usko apne seene se lagaake rakhna chahata tha mein har pal ko,Mein is kadar use chahane laga jaise koi pyaasa chahe saawan ko,Harr pyaas mitathi thi woh meri aur mann chaha uske hi sang jeene ko. Mujhe itna pyaar diya usne jitna is jag mein payaa hoga na koi kabhi,Phir ek din toofaan aayee meri beeti kaali jeevan uske nazar aayee,Is baat se uska dil toot gayee au woh bas mujhse rooth gayee,Woh saath mera chod gayee mujhe apne haal mein chod gayee. Uska roothna mujhse saha na gaya par saari galati to thi meri,Ab kos raha tha mein khud ko aur apne jeevan ke beeti baaton ko,Jo mohabbat aayee thi mere jeevan ab jeevan bhar ki yaadein chod gayee,Meri saari khushiyan chooth gayee jaise jeevan mujhse rooth gayee. Ab bhi yaad aati hai mujhko uski saari mohabbat ki baatein,Woh saare lamha yaad aati hai jo lamha humne saath gujaari thi,Use paana shayad meri kismat mein nahin is liye saath apna chooth gayee,Aaj ek zinda laash hoon mein kyon ki mere mohabbat mere saath nahin. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

86www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 88: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Mohabbat Koi Paap Nahin Darta hoon mein sanam bas is jag mein us amavas ki raat se,Jab chaand hi hogi nahin us gagan mein taaron ke saath mein,Us raat ko ai mere sanam mein tera chehara dekhoonga kahan,Aansoon behate hoge aankhon se mere jab sota hoga yeh jahan. Aise veerani raat mein sanam tum mujhe akela rehane na do,Aa jao mere paas aur baahon mein tum mujhko tham lo,Thak gaya hoon mein ai dilruba jaagkar itne raaton ko,Bas ek raat tum mujhko apni baahon mein so jaane do. Tere dil ki dhadkan ai sanam ban jaayegi lori mere,Tere saanson ki garmi se mit jaayegi dil ki thakan mere,Ab kahoonga mein khuda se ab humein phir se jaga na do,Hum dono ko yunhi sote sote tum paas apne bhula bhi lo. Jeene ki ab tamanna nahin hai hum dono ko ek duje ke bina,Aisa jeevan to ab lag raha hai jaise hum dono ko ho koi saza,Chalne do hum dono banke arthi bilkul kareeb kareeb se,Jalne do chitha hum dono ki bas ek hi agni jwaala mein. Ab kahoonga mein duniya se jo dushman the mohabbat ke mereDekhlo ai duniya waalon ab hum insaan nahin bas raakh hai,Mohabbat hi hai sab se badi baaki ke sab to bas khaakh hai,Mohabbat se kabhi fir nafrat na karna usme na koi paap hai. Khaali haath aaye the is jag mein mohabbat ko jeetkar jaate hai,Dekh le kis mein hai woh dum jo ab humein rokh paate hai,Jab bahenge hum raakh bankar hum dono ek ho jaayenge,Tab hamare us milan ko is jag mein koi bhi rokh na paayenge. Shrini Deewana

87www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 89: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Mohabbat Kya Hai? Usne humse poocha Mohabbat kya hai?Mohabbat kya hai use hum kaise bataye,Aadhi umar beet chuki hai mere is duniya mein lekin,Mohabbat kya hai ab tak hum yeh samajh nahin paaye. Mohabbat ki paribhasha sab ki alag hai,Mohabbat mein aasha sab ki alag hai,Mohabbat se badh ke kuch bhi nahin is jahan mein,Mohabbat kea age jhukta hai aasmaan bhi. Koi keha raha hai mohabbat hi aasmaan hai,Koi keha raha hai mohabbat hi yeh jahan hai,Koi puchtha hai ke Mohabbat kahan hai,Koi keha raha hai mohabbat har dil mein jawan hai. Meera ke bhakti mein bhi hai mohabbat,Radha ke shraddha mein bhi hai mohabbat,Dono ke mohabbat ke manzil ek hi hai lekin,Dono ke mohabbat ke raaste alag alag hai. Dono ke yaadon mein basa hai bas kanha,Dono ke dilon mein bas chupa hai kanha,Dono ke dilon ki mohabbat hai kanha,Dono ke dilon ki dhadkan hai kanha. Koi kehata hai mohabbat hai shakthi to,Koi kehata hai mohabbat hai bhakti,Kisi ke liye shraddha hi mohabbat hai to,Kisi ke liye pooja hi mohabbat hai. Zehar ko bhi amrut banati hai mohabbat,Sholon ko bhi phoolon mein badalti hai mohabbat,Bhari hai khuda ne itni taakat mohabbat mein ke,Saari duniya se bhi kabhi lad jaati hai mohabbat. Ab humse na koi yeh puche mohabbat kya hai,Mohabbat hai yeh jahan mohabbat aasmaan hai,Mohabbat se rangeen yeh saara jahan hai,Mohabbat hi duniya ka sabse haseen sama hai.

88www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 90: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Saat suron mein dooba saaj hai mohabbat,Is duniya ka sabse haseen raaz hai mohabbat,Khuda ke banayee beshumaar taaj hai mohabbat,Do dilon ko baandhne waali aas hai mohabbat. Shrini Deewana

89www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 91: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Mohabbat Mein Intezaar Kehate to hai woh humein apna par hamare liye unhein waqt nahin,Jaanta hoon majboori hai par aisi bhi majboori nahin,Jo kuch lamha nahin bita sakte unke liye jinhe woh kehate hai apna,Arz karta hai yeh ‘Deewana’ tumse ai mere sanam mer dilbar,Waqt kuch nikalo unke liye jinhe tum kehati ho apna. Waise to hum karte rehate hai intezaar unka badi lambi ghadi,Par jab woh aate hai saamne to unhein jaane ki hai bahut jaldi,Mein nahin jaanta ke kaun sahi hai aur hai kaun galat,Bas yeh chahata hoon ke tum mere sang bi bitao kuch apni waqt,Aur us ghadi ko mein apne dil mein sada ke liye kar loon qaid. Har ghadi bas intezaar karana hi mere sanam pyaar nahin,Saath kuch waqt bitana bhi mohabbat mein bahut zaroori hai,Mein yeh nahin kehata hoon ke tum nahin rehati ho kabhi mere sang,Tere saath ka jo lamha hai woh to intezaar ke ghadi se bahut kam hai,Thak gaya hai yeh ‘Deewana’ to tere intezaar mein oh mere sanam,Ab to bas khwaish yeh hai ke mar jaaoon tere baahon mein sanam. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

90www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 92: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Mol Mohabbat Ka Ai khuda agle janam mein tu mujhe bas akela bana,Koi na saath ho bas ek mere pyaar ke siwa,Rishtey badalte hai is zamane mein daulat ka rang dekh kar,Ek pyaar hi hai mera jo sada mere saath nibhati hai. Daulat ko dekhkar kyon rang badalti hai yeh duniya,Kya daulat kisi ke saath kabre mein bhi jaati hai,Saath jaati hai to woh hai bas dua zamane ke logon ki,Jo is duniya se us duniya tak saath nibhati hai. Daulat ke bhookon se mera rishta kabhi na karna ai mere khuda,Karna hi ho to mera rishta kuch aise logon se kara,Jo hai bhooke aur pyaase sirf mohabbat ke,Jinke jeevan mein mohabbat ke siva kisi ka koi mol nahin. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

91www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 93: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Mujhe Chahat Hai Mujhe Zindagi jeene ki chahat hai, Tumhein bahon mein bharne ki chahat hai,Tere badan ki jo khushboo hai, Use mehsoos karne ki chahat hai.Tere ghesuon ke saaye mein, mujhe chup jaane ki chahat hai,Tere baahon mein sar rakh kar, mujhe ab rone ki chahat hai. Dil lagta nahin hai ab tum bin, kuch bhi kiya nahin jaata mujhse,Raaton mein aati hai bas khawab teri, to din mein tum yaadon mein satati ho,Aisa ek pal bhi nahin hai jeeven mein, jab tum nahin ho mere yaadon mein,Yeh kaisi hai tadap yeh kaisi hai kashish, Jo na jeene deti na marne deti. Jab se aayee ho tum jeevan mein mere, mere hothon mein layee ho haseen,Jab se hui hai mohabbat tumse, mere jeevan mein bas chayee hai khushi,Kabhi yeh socha bhi na tha ke mujhko bhi hogi kabhi kisise mohabbat aisi,Tum ho koi pari, yaa koi devi, yaa tum ho koi jaadugarni. Ab bas tadap hai mere dil meinm aur tumse milne ki ab chahat hai,Bas mujhe ab is jeevan mein, tujhe choone ki ek chahat hai,Tere badan ki woh komalta kaisi hai, yeh mehsoos karne ki chahat hai,Darr hai yehi rukh jaaye na kahin saanse meri tujhe milne se pehele. Karta hoon dua, ai mere khuda lambi jeevan tu de de mujhe,Us din tak ab jeena hai mujhe, jab tak mein na mil paoon apne dilbar se,Dilbar ko milne ki chahat hai, uske hothon ke ras peene ki mujhe chahat hai,Ai mere khuda ab de de dua, ke lambi jeevan jeene ki mujhe chahat hai. Shrini “Deewana” Shrini Deewana

92www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 94: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Mujhe Mohabbat Hai Tumse Dhoondne se har cheez ka jawab nahin milta,Har insaan ko jeevan mein sacha yaar nahin milta,Kehate hai ishq chupane se nahin chupti,Har kisi ko apne dilbar ka pyaar nahin milta. Hamari to dosti hue bas chand din hi hue hai magar,In chand dinon mein bahut tadpa hoon tere yaadon mein,Na jaane kaisi jagi hai dil mein mohabbat meri,Agar aankhen bandh bhi karoon to aaye nazar saaya teri. Teri awaaz sun ne ko hum bas taras gaye the yaara,Jab sune teri awaaz hum to jeete jee mar gaye yaara,Teri woh muskaan ne kar diya ghayal dil mera,Hum to bas tere aashiq banke reha gaye yaara. Aaj tak tujhse nahin mil paaya hoon mein dilbar,Bin dekhe dil ne keha diya tum hi ho mere dilbar,Tere roop ya adaon se nahin hui hai pyaar mujhe,Mujhe to pyaar hui hai tere dil se mere dilbar. Kehane ki himmat nahin jutha paa rahe the hum,Ke kitni mohabbat karte hai hum tumse,Yeh to tumahari ada hai jo baat nikal di mere dil se,Ab bina kisi darr mein tumse kehata hoon,Haan sanam mujhe mohabbat hai tumse. Tum chahe apnaogi ya tukradogi mere mohabbat ko,Sada basi rahogi tum mere dil mein dilruba banke,Mere dil se koi bhi tumhein nahin cheen sakta hai mujse,Tum basi ho aur sada basi rahogi mere dil mein oh mere sanam. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

93www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 95: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Na Rootho Tum Humse Kabhi Jab tum roothi rehati ho mera mann udaas ho jaata hai,Jab tum roothi si baatein karti ho dil mein dard sa ut tha hai,Tum hi ho sanam mere dil ki dhadkan tum bin jee na sakenge hum,Yun rootha na karo tum mujhse sanam aansoo chupana mushkil ho jaata hai. Na jaane kiski nazar lagi hai aaj apne mohabbat ko,Yun roothi hai mere dilbar mujhse ke baatein tak nahin karti,Mein to tadaptha hoon tumse hi baatein karne ko sanam,Aur koi chahat nahin hai mujhe sanam tumse. Mere dil ka dard mein tujhe mein karoon bayan kaise,Mere dil ki tadap sanam mein tujhe dikhaoon kaise,Kaise samjhaoon tujhe haal-e-dil mera sanam,Jee nahin paoonga mein tum bin oh mere sanam. Tujhse hi judi hai jeevan ki har ghadi meri,Tujhse hi bandhi hui hai jeevan ki har khushi meri,Tum jab bhi na hoti ho sang mere sanam,Din bhi lag rahi hai mujhko to kaali raatein. Yun na rootho tum mujhse hai humsafar mere,Toot na jaaoon mein kahin yeh darr lagta hai mujhko,Tumahare bin nahin hai jeena mujhe ek pal bhi,Tumahare saanson se judi hai har ek saansein meri sanam. Shrini Deewana

94www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 96: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Nighaaien Itni tum Nigahon ke baatein to karti ho,Par kya kabhi un Nigahon ka socha hai tumne,Jo Nigahen raaste mein raah dekhte hai tumahari,Kya kabhi un Nigahon ke pareshaniyon ki bhi socha hai. Nigahen churana bahut hi aasaan hi dilruba,Nigahen milane ko hai zarurat himmat ki,Jo Nigahein raah dekhta hi rehata ho kisika,Uski Nighahon ki aasoon ko kabhi dekha hai tumne. Nigahen num si ho jaati hai intezaar karte karte,Kya kabhi un Nigahon ka dard mehsoos kiya hai tumne,Meri Nigahen to bas karte hi rehati hai intezar tumahari,Kab tak yeh Nigahen intezaar mein lagi rahe keh do zara. Dard hoti hai in nigahon mein intezaar karte karte,Is dard ka kya hai ilaaz yeh bhi to humein keh do zara,Darr raha hoon kahin aasoon ki jagah khoon na behane lage in Nigahon se,Tumahara raasta dekh dekh kar ab thak gayee hain Nigahein meri. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

95www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 97: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

O Life O LIFE, I HATE YOU,I HATE YOU TO SUCH AN EXTENT THAT,I HAVE STARTED LOVING DEATH. O LIFE, THOUGH YOU ARE KNOWN TO BEBRIGHT N COLOURFUL,YOU ARE UNCERTAIN,AT TIMES, YOU ARE COLOURFUL,ALL OF A SUDDEN YOU BECOMESO DARK AND DULL THATI FIND IT DIFFICULT TOADJUST MYSELF WITH YOU. O LIFE, DEATH THOUGH DARKIT ALWAYS REMAINS DARK, THOUGH INITIALLYONE FINDS DARKNESS, A BIT DIFFICULTTO ADJUST, BUT ONCE ADJUSTED TO IT,ITS LOVING AND CHEERFUL.DARKNESS OF DEATH IS CERTAINWHICH NEVER CHANGES WITH TIME. O LIFE, DEATH THOUGH BITTERON ITS ARRIVAL, ONCE IT FULLYEMBRACES, I CAN GET RID OF ALLTHE WORLDLY TROUBLES CAUSED BY YOU. O LIFE, YOU ARE THE ONE WHO WILLULTIMATELY LEAD ME TO DEATH,BUT, DEATH, WILL ULTIMATELY LEAD ME TOAN ETERNAL LIFE WHICH HAS NO END. SHRINI “DEEWANA” Shrini Deewana

96www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 98: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Oh Mere Sanam Har pal har ghadi tera hi intezaar rehata hai oh mere sanam,Dil ke har dhadkan mein naam tera hi hota hai oh mere sanam,Aankhon mein bhi teri hi tasveer hoti hai oh mere sanam,Tum bin ab ek pal bhi mein jiyoon kaise oh mere sanam,Mere har saanson mein tum hi tum basi oh mere sanam. Zindagi mein itni tadap pehale kabhi na thi oh mere sanam,Bahut tadpa hoon jab se aayee ho jeevan mein tum oh mere sanam,Har ghadi bas us pal ka hi intezaar rehata hai mujhe,Jis ghadi mere baahon mein hogi tum oh mere sanam. Khwaab tum sang bahut hi sajaaye hai maine oh mere sanam,Aake har khwaabon ko haqueekat mein badal dena oh mere sanam,Bahut tadpa hai “Deewana” bas tere liye oh mere sanam,Baahon mein bharke har tadap mita dena oh mere sanam. Beha chuki hai bahut aansoon in aankhon se oh mere sanam,Apne aanchal se in aankhon se ashkon ko mita dena oh mere sanam,Tumse kuch aur nahin chahata hoon mein oh mere sanam,Apne dil mein har pal mujhe basa lena tum oh mere sanam. SHRINI “DEEWANA” Shrini Deewana

97www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 99: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Pata Nahin Kab Aur Kaise Yeh Ho Gaya Pata nahin kab aur kaise yeh ho gaya,Kisi anjaane se humein ishq ho gayaSocha hi nahin tha ishq ke samandar mein doobenge hum kabhi,Lekin kal tak jo dil tha hamara woh aaj kisi ka ho gaya,Pata nahin kab aur kaise yeh ho yeh gaya.. Pata nahin kab aur kaise yeh ho gaya,Zindagi to kal tak chal rahi thi apne hi raahon mein,Ek woh aaya mere jeevan mein aur raah mera kho gaya,Na jaane aise kya jaadu thi uski baaton mein,Na kuch socha na samjha aur mein uska “Deewana” ho gaya,Pata nahin kab aur kaise yeh ho gaya. Pata nahin kab aur kaise yeh ho gaya, Jo bharosa jataya tha usne mujhpar,Us bharose par hi dil mera lut gaya,Kal tak jo saansein thi mere khud ki,Aaj woh saansein bhi uska ho gaya,Pata nahin kab aur kaise yeh ho gaya. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

98www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 100: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Patthar Ki Murat Puja se unko fursat nahin milti to mohabbat woh humse kaise karenge,Khuda bhi to hai sirf pathar ki murat us murat se ab kya dua hum karenge,Humko zarurat nahin hai koi dua ki humko zarurat nahin hai kisi ki ada ki,Aaye hai akele akele hi jeeyenge akele hum jeekar akele hi marenge. Mujhe maut se ab to koi darr nahin hai yeh maut mera kuch kar na sakega,Chahe woh aaye jab bhi mere dwaare apne baahein failakar use mein miloonga,Kya diya hai mujhko is duniya ne jo is duniya mein jeene ki chah mein karoonga, Na mili koi sukh na koi chain mann ka aise duniya mein rehakar mein kyakaroonga. Na koi khuda hai na koi farishtha yeh sab hai baatein har ek insaan ke maan ka,Agar koi shakti hoti is jahan mein to woh shakti humein aise sataati nahin thi,Karke juda mohabbat ko mohabbat se woh mohabbat ko kabhi aise rulati nahinthi,Mein hoon ek insaan jo kaam apna kar raha hoon mujhe parawah nahin kisikidua ki. Bhala ya bura hoon apne dam pe jee raha hoon mujhe koi shakti ki zarurat nahinhai,Agar mar bhi jaoon ai duniya waalon mere maut par kabhi koi gham na karna,Mere shav par koi maala na dharna mere shav par koi kumkum na bikharna,Na mera shraddha karna na koi paath padhna mere maut par tum koi gham nakarna,Mujhe phool aur kumkum ki zarurat nahin hai woh phool aur kumkum us muratpar hi rakhna. Shrini Deewana

99www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 101: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Prem Granth Jab jab do dil milte hai, pyaar usi ko kehate hai,Jo ehsaas dil ko tadpaati hai, pyaar usi ko kehate hai,Jo neendh chain churati hai, pyaar usi ko kehate hai,Jo laati hai dil mein ek bechaini, pyaar usi ko kehate hai Aise hi ek din is jag mein, mila ek saajan apne sajni se,Jaise sajni se saajan ki nain ladi, saajan apna dil kho baitha,Na samajh saka woh kya thi jaadu, jo uske dil ko paar gayee,Sajni ki nazrein bas ek teer bankar, saajan ke dil par vaar gayee. Chup kar saari duniya se saajan sajni se milne laga,Un dono ke jeevan mein, ab to prem ki bagiya khilne laga,Dono ke hi dil mein ek darr thi, kya apnayenge unhein ghar wale,Pyaar mohabbat kya hoti hai, yeh berahmi duniya kyaa jaane. Pyaar mohabbat aisa ek rishta hai, jo chupaya nahin chupta jag se,Ek din inki mohabbat ke charche, dono ke ghar mein hone lagi,Badki jwaala dono ghar mein, milne na diye woh sajni ko saajan se,Saajan sajni dono tadap the the, ek duje ki ek jhalak ke liye Phir dono ne yeh thaan liya, ab woh ladenge jung mohabbat ki,Chahe ladna pade unhein duniya se, par rahenge ab ek duje ke banke,Sajni ghar se nikal gayee, aur saajan ke ghar aa pahunchi,Saajan ke sab ghar waale, Sajni ka rasta the rok rahe. Jab dekha sajan sajni ko, apne hi ghar ke dwaar khadi,Bas teer sa nikal pada woh bhi, apne sajni ko baahon mein bharne,Sare ghar waale ek hokar bhi, rok na sake saajan sajni ko,Saajan lekar apne sajni ko, apne hi ghar se woh nikal pade. Ghar waalon se yeh dekha na gaya, jeet mohabbat ka hote hue,Sajan ko apne bas mein laane, woh sajni par waar kiye,Jaise hi sajni par waaar hui, sajni zameen par gir padi,Sajni ki saasein thamne lagi, saajan pagal hone laga. Sajni ko bejaan dekhte hi, saajan ka dil tadap utha.Saajan bekaabu hokar, apne hi gharwalon par toot pada.Bas is haatha payee mein, ek waar hua saajan par bhiEk waar us par hote hi, saajan bhi zameen par simat gaya.

100www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 102: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Jab gir pada saajan neeche, woh kuch aise zameen par gir pada,Girte hi sajan ke haath, sajni ke gale ka haar bana,Duniya na samjhi mohabbat ko, aur maar diya saajan sajni ko,Mar kar bhi mohabbat inki, sada jahan mein jagne lagi. Jahan chahat thi doli sajane ki, ab jaa rahi thi arthi unki,Par mar kar bhi saath nahin choota, saajan aur sajni ki,Dono saath hi chal rahe the ab, is duniya se bahar jaane ke liye,Chitha bhi dono ki saath jali, aur asthi mein dono mil hi gaye. Dono ke duniya se jaate hi, unke mohabbat ke charche ab chalne lagi,saajan sajni ki har ek baatein, ab prem granth kehalane lagi,Suno suno ai duniya walon, mohabbat ke tum dushman na bano,Mohabbat ko bas kavita hi rehane do, maar kar mohabbat ko phir Prem Granthka naam na do. SHRINI “DEEWANA” Shrini Deewana

101www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 103: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Pyaar Karta Hoon Mein Isi Liye Ladtha Hoon Mein Chahat hai sanam mujhe tujhse isi liye tujhse hamesha ladtha hoon mein,Ladtha hoon iska yeh matlab nahin ke tujhse pyaar nahin karta hoon mein,Tujhe pyaar karta hoon karta rahoonga jeevan bhar yunhi tujhse ladtharahoonga,Agar tujhse ladoonga nahin to bata de mein tujhe manaoonga kaise sanam. Yeh ladna manana hi sanam pyaar hai choti takraar mein hi basa sacha pyaarhai,Ladoonga tujhse bas kuch pal ke liye phir baahon mein tujhe bhar loonga sanam, Jab bhi nam hogi aankhein teri choom loonga mein tere aankhon ko sanam,Choom kar tere nashiley aankhon ko mein tere aansoon ko mein pee loongasanam. Jis ghadi tu nahin hoti mere saath mein yeh duniya veerani sa lagta hai mujhe,Phir jis ghadi tujhko milta hoon mein ek bhaad bankar toot padtha hoon mein,Jo bhi gham hai mere dil mein chupa bas gussa banakar tujhpe barsata hoonmein,Lekin sanam iska yeh matlab nahin ke tujhse pyaar nahin karta hoon mein. Shrini Deewana

102www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 104: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Pyaar Ki Pehali Holi Apne haathon mein le aayenge hum thoda sa gulaal,Gulaal se hum laal karenge sanam tumahare gaal,Ho jaaye jab gaal laal tumahare hum honthon tak tere aayenge,Lekar tere honthon ko apne honthon mein hum uski laali ko apnayenge. Tere honthon ke ras mein hogi nasha madira se badh kar,Kise chahiye nasha doosri jab milti hai woh humein tumse,Choomenge hum tere honthon ko jab tak mitthi nahin meri pyaas,Kitne dinon se pyaasa hoon na jaane kab bhujegi meri pyaas. Aaj ghadi hai milan ki aayee is holi ke shubh avsar par,Kaise rahoon mein bina bahon mein liye tujhe,Tadap utha hai mera dil ai mere dilbar,Itne dinon ke dil ke tadap ko aaj mujhe mitana hai,Tere hi sang mere pyaari holi mujhe manana hai. Rang doonga mein tere pure tanko duniya ke har rangon se,Bheegegi ab teri chunariya sanam mere pichkaari se,Aaj karenge itni masti ke ye holi sada rahegi yaad,Apni pehali holi ko jeevan bhar kaenge humtum yaad. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

103www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 105: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Pyaar Mohabbat Dil karta hai jeevan ka har ek pal meinbas tere hi saath guzaaroon,Har saanson mein tere yaadon ko basa loon,Har dhadkan mein main tujhe samaa loon. Tujh bin lage ab yeh jeevan adhuri,Hoti nahin hai koi kaam ab poori,Har pal mein bas teri hi yaadein,Karti hai ghayal ab mere dil ko poori. Tadap to hai do dilon ki majboori,Milan se hi hogi yeh tadap bhi poori,Pyaase ko gar paani mil jaaye,Phir rahegi na uski koi aasha adhuri. Dharti Amber mein bhi hai doori,Par inka prem nahin hai ko chori,Log kehate hai doori hai inki majboori,Par yeh kehate hai Kshitij kare Milan ko poori. Prem aur Mohabbat ki doori ko na kaho tum majboori,Tadap to hai bas mohabbat ki hai ek zaroori,Milan ho jaaye to mit jaayegi yeh pyaas bhi poori,Tab tak is aag ka jalna hai bas zaroori. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

104www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 106: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Raahon Ke Kaantein Na jaane sanam kyon tujhse aise mohabbat mein kar baitha,Ke tere bin ab har ek pal bhi mujhko lagti hai jaise ho ek sazaa,Jaanta hoon milan apna namumkin hai magarPhir bhi tere liye hi tadapta rehata hai dil mera. Tum hi keha do apne dil ke tadap ko mein mitaoon kaise,Lagi hai jo aag mere tan man mein use bhujaoon kaise,Keha do agar hai koi illaaz mere dil ka oh mere sanam,Waqt bewaqt is dil ki tadap ab mujhse nahin saha jaata hai sanam. Tum to aayee ho banke bahaar mere suni jeevan mein,Suni jeevan ban gayee hai gulshan tere kadmon ke choone se,Is gulshan ko bas gulshan hi bane rehane do ai humsafar mere,Kahin beech mein chodkar is gulshan ko tum veerana na bana dena. Saath tera umar bhar dene ka waada karta hai aaj “Deewana”,Chahe badha koi bhi aaye raah mein use thodkar mein rakh doonga,Bas agar saath tera sanam mile zindagi bhar mujhko,Raahon se har kaante ko hata dega tera “Deewana”. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

105www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 107: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Raksha Bandhan Jo karti hai nichavar ek maa ki mamta tumpar,Aur sada rehati hai sang tumahare ek sakhi bankar,Jo path jadd rahon mein tumhein bhatakne na deti hai,Woh sakhi aur koi nahin woh to hai pyaari behana. Jisne tumhein maa ka dulaar diya aur dher saara pyaar diya,Tumahare ek khushi ke khatir jisne apni khushiyan tyaag diya,Jho dukh khud par jhelegi tere aankhon mein aansoon aane na degi,Jo chahati hai sada khushiyan teri woh hai bhai pyaari behana teri. Saare gehanon se bhi jo keemati hai woh to hai pyaari behana,Behan ki keemat wohi jaane nahin jiska duniya mein koi behana,Jin haathon mein raakhi sajti hai woh bade khush naseeb hote hai,Mere sooni haathon ko bhi shayad sajane aaye koi behana. Apne behanon ko yaaron kabhi dil se alag nahin tum karna,Behan agar kuch keha bhi de use kabhi mayoos na tum karna,Maa ke baad hai koi mamta to woh behan hai yeh samajh lenaRaakhi ko ek dor na samajho yeh hai atoot bandhan jeevan bhar ka. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

106www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 108: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Rishtey Sansaar ka niyam hai rishtey banana,chahe woh khoon se ho ya ho dil se,jag mein jab tum aaye the saath hi rishtey laaye the,Khoon ke rishtey jo ban jaati haiwoh to tumahare haathon mein nahinPar dil se jo rishtey bante hai woh bante hai tumahare bartav se Mata Pita Bhai Behan, yeh sab rishtey tum saath hi laate ho,par kehte hai jisko dosti yaari woh rishta tum khud hi banate ho,dosti ka rishta banana koi mushkil kaam nahin,ache dost milte hain tumhe apne ache karmon se,pare yeh rishta tum umar bhar nibha paaoge,agar Dharma tumahara sacha ho. Duja hai rishta mohabbat ka jo dilon se banta hai,Is rishtey ko hum banate nahin,Yeh rishta khud hi ban jaata hai,Is rishtey mein jab do dil milte hai,milte hi kho jaate hai aur ek duje ke ho jaate hai,Phir zubaan chahe khamosh rahe, aankhon se hi baatein hoti hai. Rishta chahe khoon ka ho, ya ho dosti ka, ya ho rishta mohabbat ka,Har ek rishta banana koi mushkil kaam nahin,Par yaad sada rakhna yaaron, ek baar banalo tum koi bhi rishta,Saari umar use kabhi dil se na hatana tum,Rishtey ko mitti ka gharonda na samjho, jo banaya aur phir thod diya,Rishta to woh beshumaar daulat jisse samajna har ek ki bas ki baat nahin Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

107www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 109: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Saath Tera Nibhayenge Palkon mein apne sapnay,Aankhon mein saya sajaye hai,Ab door kaise jaayenge hum,Saath tera hi nibhayenge, Aie mere dil ki dharkan,Tu hi mere rag rag mei samaye hai,Dil ki duniya basaye hai,Chodh ke jaayenge kaise,Saath tera hi nibhayenge, Tere hi aankhon ka noor hoon,Teri hi teer se ghayal hai hum,Tere hi pyar ka shikar hoon,Saath tera hi nibhayenge, Pyar tere dil se hi karte hai sanam,Rishta bhi jhutey wadon se nahin,Pyar aur khushiya se saji hai naav,Jise doobne nahin denge sanam,Saath tera hi nibhayenge, Maana kuch hum dono ki majbooriyan bhi hai,Tum khusbhoo ban chuke hai mere saanson mein,Aur base rahenge aakhri dam tak,Saath tera hi nibhayenge, Ab to tere hi kadmon par tera saya banker,Tera sang hi rehana hai humein,Saath tere hi nibhate aa rahe hai aur,Saath nibhate rahenge har janam. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

108www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 110: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Sab Kuch Tumahara Hai Sanam Mera gussa mera muskaan sab kuch tumahara hai sanam,Mere shareer mein hai jo jaan woh jaan bhi tumahara hai sanam,Ek pal ke liye bhi na sochenge sanam hum kabhi,Agar tum keha do jaan mujhe apni jaan de do abhi. Chalti hai har ek saanse bas teri hi yaadon mein sanam,Khoye khoye hum rehate hai bas tere hi khayalon mein sanam,Jis pal bhi tum nahin hoti nazar ke saamne meri,Lagta hai jaise duniya se ruta hua hai suraj abhi. Darta hoon kahin tumhare jaate hi rukh na jaaya mere saanse oh sanam,Tumse hi hoti hai subah tumse hi aati hai raatein oh mere sanam,Apne jeevan ko bhi mein likh chuka hoon ab tere naam mere sanam,Tumse to karta hoon mein apne jaan se bhi zyaada pyaar mere sanam. Mein suraj aur chaand ko to na jaanoon par tujhkojaanoon mein oh mere sanam,Log kehate hai ke suraj ke aane se hi hoti hai subah,Par mere zindagi ke suraj aur chand donotum hi ho meri dilruba. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

109www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 111: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Sada Saath Rehana Tumse dil lagane ki meethi sazaa mili hai mujhko,Tumse pyaar karne ki pyaari sazaa mili hai mujhko,Yeh kuch aur nahin hai yeh to hai den us kudrat ka,Jo usne de diya bade pyaar se tumhein mujhko. Jab se paya tujhe sanam hosh hi nahin hai mujhko,Tere mohabbat mein madhosh ban gaya mein tho,Mujhko parwaah nahin hai duniya ke taanon ki,Mujhe to chaha hai tujhe baahon mein apne bharne ki. Waqt kat thi nahin hai ab tere bina oh dilruba mere,Har ghadi tum hi tum rehati ho mere khayaalon mein,Ek pal bhi nahin jee paoonga sanam mein tere bina,Tum hi to ho saansein sanam mere dhadakthe dil ki. Mere jeevan ke bagiye ko banayee ho gulshan ki tarah,Mere andhere jeevan mein tum aayee ho chandaa ki tarah,Kabhi bhi tum mujhe chodkar kahin na chali jaao sanam,Hamesha mere saath hi rehana sanam mere saaye ki tarah. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

110www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 112: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Sanam Tum Ho Bas Meri Har pal mere yaadon mein tum rehati kyon ho,Har roz mere khwaabon mein tum aati kyon ho,Har ghadi mere palkon mein tum basi rehati kyon ho,Hamesha mujhe tum sanam yun satati kyon ho. Yeh saare sawaal mein tumse na karoonga sanam,Kyon ki tumse bahut pyaar karte hai hum,Tum bin sanam kabhi na jee payenge hum,Tum hi to ho mere jeevan saathi humdum. Saji hai mere palkein tasveeron se teri,Bhar doon mein sanam sitaaron se mein maang teri,Hona jaana kabhi door mujse ai dilruba meri,Tumse har pal mein itna kehana chahoon sanam,Sanam tum ho bas meri, Sanam tum ho bas meri. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

111www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 113: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Sapnon Mein Aanewali Jaane kab milenge hum aur kab hogi woh saari tamanna puri,Jo khwaab dekhe hai hum tum milke use karna hai humein isi janam mein puri. Dil tarasta hai tere ek jhalak ke liye kab se ai mere dilbar,Na jaane kab aayega woh din jab honge khuda meharbaan humpar. Bahut si baatein tujse karne ki hasrat chupa rakhi hai maine dil mein apne,Na jaane kab aayega woh din jab hoge pure apne saare sapne,Mere sapnon mein roz aati hai tu dilbar,Aake mere neendhon ko churati hai tu dilbar, Bas ek baar sapnon se nikalkar baahon mein aaja tu mere,Tujhe kahin jaane na doonga aur baahon mein bhar ke hi rakhoonga mein mere,Tu hai mere dulhan tu hai mere sanam mere jeevan bhi tu hi hai sajni,Tere bina ek pal bhi ab to jeena nahin bas itna na sata mere sajni. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

112www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 114: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Sarhadh Kyon Banaya Duniya ko hisson mein baata hai kisne,Duniya mein sarhadh banaya hai kisne,Panchi ki to nahin hai koi sarhadh jahan mein,To insaanon ko sarhadhon par baata hai kisne. Suno duniyawalon yeh duniya hai bahut choti,Is choti si duniya ko na baato tum sarhadhon pe,Jana ho Japan ya Cheen ya phir America,Koi lamba safar nahin hai koi is duniya mein. Phir is chote se safar ko khon baata sarhadhon par,Aur kyon hai kiya alag duniya ke har mulkon ko,Kyon banayee hai itne niyam oh duniyawaalon,Kya zaroorat hai Visa aur in niyamon ki. Sabse lamba safar woh safar hai duniyawalon,Jisme na koi niyam hai na zaroorat koi visa ki,Yeh safar to paar hoti hai bas chaar kandhon par,Aur tere chitha ki agan se yeh safar hai aage bad rahi. Shrini Deewana

113www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 115: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Sazaa Ek din puchunga mein khuda se kyon diya aisi saza,Jab milana hi tha humein pehele hi kyon na mila diya,Kisko sunaye haal dil ka kaun samjhega mohabbat mera,Yeh duniya na samjhegi mohabbat hamari woh kahegi humein bewafaa. Apni mohabbat kyon chupaye duniya ke dar se tu bata,Jab zindagi thi ghamon mein dubi kya duniya hamare saath tha,Duniya to bas humein taane dengi iske siwa use aata hai kya,Aise duniya se kyon dare hum tu hi bata meri dilruba. Kab tak yunhi hum tadapte rahenge tu bata ai dilruba,Is tadap mein ab zindagi bhi lagne lagi hai ek sazaa,Yeh sazaa ab seha na paaye ai dilruba yeh dil mera,Kyon na hum tum milke keha de is bereham duniya ko ab alvida. Aao chale hum aise jahan mein jahan mohabbat ke dushman koi na ho,Jahan karte hai puja pyaar ki aur pyaar ke quatil koi na ho,Tab hi mitegi pyaas tan ki aur mitegi apni dil ki tadap,Jab rahogi tum baahon mein mere tab chain se reha payenge hum. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

114www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 116: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Subaha Ka Khawaab Aaj subah ek khawaab mein dekha,Khawaab thi badi sundar sanam,Sab se alag tha ek chota ghar apna,Jisme humtum rehathe the sanam. Sanam woh ghar itni sundar hai,Aur rangon mein woh hai safed,Ghar ko aur chamkane ke khatir,Lagi hai battiyan har ek oor. Battiyon ke roshni se chamak uthi hai,Sanam woh pyaara sa ghar apna,Lag raha tha who koi ghar hi nahin,Par sheesh mahal hai woh apna. Mein bahar se laut aa raha tha,Sanam tum khadi thi dwaar mein,Apne nayan bichaye raahon mein,Bas mere hi intezaar mein. Tumne pehani thi woh libaas,Jiska rang bhi tha sanam safed,Sanam apne is safed libaas mein,Tum to lag rahi thi bas Chandni. Roshni ke beech mein tum khadi thi,Aur sanam mein to bas pareshan tha,Ghar ko roshan kiya in battiyon ne,Ya tumne sanam meri chandni. Tumhein dekhkar raha na gaya,Aur mein dauda tum tak aaya,Aakar tumahare paas mein,Tumhe apne baahon mein bhar liya. Bharke tumhe mein apne baahon mein,Tumhein laga sanam mein choomne,Tere hothon ko liya mein apne honth mein,Aur laga tere honthon ka ras mein choosne.

115www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 117: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Kehate hai sach hoti hai koi bhi khawaab,Jo dekhi jaati hai subah ke pehere mein,Ab to Karta hoon sanam mein intezaar,Apne khawaab ko hakeekat hone ki. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

116www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 118: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tadapthi Tanhayiyan Chaand aur suraj nazar aaye,Nazar aaye saare taare mujhe,Bas ek wohi nazar naa aaye,Jiski tadap hai dil mein mere. Tanha hai dil tanha hoon mein,Mera sooni jeevan tanha hai,Is sunepan ko mein mitaoon kaise,Is sunepan se mujhe tu rahat de de. Tadaptha hai yeh dil milne ko tujhe,Tadapthi hai nazar tere ek jhalak ke liye,Tu aakar mere tadapthi tanhayiyon ko,Apne baahon mein sanam aghosh karle. Tanha jeevan mein kaise bita paoon,Mere humsafar bankar tu mere sang chal de,Akele hi tanhayee ki tadap sahi nahin jaati,Tu aakar mere tanhayiyon ko door kar de. Tanha hai din tanha hai mere raatein,Bas behati hai ab aankhon se ashkon ki jharne,Mujhe tere aanchal ki zaroorat hai sanam,Apne aanchal mein mujhe tu chupa le sitam. Shrini Deewana

117www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 119: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tadapti Aankhein Maine dekha dilruba ki tadapti aankhen,Jo suni hai aur kho gayee hai un aankhon ki masti,Woh muskaan bhi ab dekh paata nahin mein,Dard ut tha hai dil mein jab dekhoon aise apne dilruba ko. Mein yaad karta hoon un beete dinon ko,Jab raat din hum saath saath rehathe the,Na jaane lagi kiski nazar mohabbat ko,Ke mohabbat mein milan ab apna hota nahin hai. Magar sanam tu na zamane se darna,Har lamha har pal tu yakeen mujhpe karna,Chahe bane dushman yeh duniya apni mohabbat ka,Mein tera hoon aur tera hi rahoonga kasam se. Ai sanam apni aankhon ke masti ko tu bhujne na dena,In aankhon ke masti ko tu kabhi khone na dena,Kayi khawab humne sajaye hai sanam aankhon mein teri,Mere khawabon ko sanam tu bhikarne na dena. Yeh gham ka saaya bhi hat jaayegi jaldi,Ghamon se tu apne dil ko tootne na dena,Umeedon ka diya sada jalaye hi rakhna,Umeedon ke diye ko kabhi tu bhujne na dena. Chand lamhon ke gham se na maayus hona,Raaton ke andheron se sanam tu na darna,Aayegi subah aur mohabbat hogi apni roshan,Bas apne aankhon ke masti tu sada barkaraar rakhna. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

118www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 120: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tamanna Kuch likhne ki tamanna hai dil mein,Likhne baithoon to alfaaz nahin milti,Kehane ki chahat hai bahut kuch dil mein,Kehane baithoon to lafz nahin milti. Ai jaan kaise samjhaoon dard-e-dil mera,Jo intezaar mein rehati hai kab aaogi tum,Janta hoon mein tumahari majboori lekin,Is kambhakat dil ko kaise samjhayenge hum. Kash aise ek lamha jald aaye apne jeevan mein,Jab ai dilruba hogi tum mere hi baahon mein,Kash us ghadi waqt bas yunhi tehar jaaye,Aur tum mere hi baahon mein rahogi sada ke liye. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

119www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 121: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tamanna Hai Mere Dil Mein Bahut se sapney humne sajaye hai jaan dil mein,Tumse milne ki umeed humne jagaye hai dil mein,Tumahare baahon mein aaghosh hone ki tamanna hai dil mein,Tumhein apne baahon mein jakad lene ki khwaish hai dil mein. Tumahare zulfon ki mehak mehsoos karne ki tamanna hai dil mein,Tumahare baahon mein sar rakh kar rone ki tamanna hai dil mein.Tujhse mein kaise dikhaoon woh saare sapney jo sajaye hai dil mein,Tujhse milne ki umeed humne jagaye hai dil mein. Tere hothon ke ras peene ki chahat hai is dil mein,Tere aankhon ke geharayee mein doob jaane ki tamanna hai dil mein,Log to kehate hai khwaab raaton ki neendh mein aati hai,Par jab se tumhein mila hoon din mein khwaab dekhne ki aadat ho gayee hai isdil mein. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

120www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 122: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tanha Dil Barasti Aankhein Aankhon mein sada tasveer bankar rehati ho tum,Dil mein mere sada yaadein bankar rehati ho tum,Lekin kab tak jiyoonga mein tere yaadon ke sahare,Aakar de do mujhe tum apne baahon ke sahare. Na jaane kyon banayee hai aisi milan apni khuda ne,Jo milkar bhi nahin mil paate hai hum ek duje se,Dil hai udaas aur akela hoon mein sanam aa jaa,Aakar sanam mujhe tum apne dil mein basa jaa. Tanha hai dil aur sanam tanha hoon mein,Kahin khoyee hai meri aankhein aur rota hoon mein,Kahin mera aansoon duniye ke nazar mein na aa jaaye,Isi liye duniya ke nazron se chup chup kar rota hoon mein. Ab aansoon mere sanam thamthi hi nahin hai,Mere dil ki siskiyan ab rukhthi hi nahin hai,Sanam ab is gham se bachne ka raasta tu bata de,Ya duniya se bachakar mujhe apne daaman mein chupa le. Shrini Deewana

121www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 123: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tera Intezaar Hai Sanam Intezaar rehati hai nazron ko tumahari ek jhalak paane ke liye,Intezaar rehati hai dil ko tumahari ek aahat sun ne ke liye,Sanam hum bhi intezaar mein hi baithe hai us din ka,Jab sanam ke ek jhalak dikhayee degi aur aahat sunayee degi.Na jaane kab aayegi woh ghadi aur kab khatam hogi intezaar meri Thak gaya hoon mein sanam tera intezaar karte karte.Duniya to kehate hai ke intezaar ka phal meetha hota hai,Par dar raha hoon ke jab intezaar khatam hogi us pal,Duniya yeh na kahe mujhse ke meetha mana hai tumahare sehat ke liye,Darr raha hoon aaye na koi baadha sanam tere intezaar mein. Tumse milne se pehale itni bechaini nahin thi mere dil mein,Jab se dekha hoon tumhein bad gayi hai hadh se zyaada bechaini meri,Sanam teri har baat aur har ada aati hai yaad mujhko,Kabhi nazron se door nahin hat thi hai sanam surat teri,Tadapta hoon phir se milne tujhko na jaane kab hogi puri woh muraad meri. Jee karta hai sab kuch chod kar tere paas aa jaaoon mein sanam,Aakar tere paas tere daaman hi mein chup jaaoon sanam,Phir se kheloon mein zulfon se tere aur choom loon tere gaalon ko,Aur choomoon tere madh bhare honthon ko mere dilbar,Aur dekhoon woh teri sharam aur haya oh mere sanam. Sana bas itna kehana choonga aaj mein tujhse,Tere bin jeevan meri ab kuch bhi nahin hai oh mere sanam,Tum hi ho saansein mere aur tum hi ho mere dil ki dhadkan,Tum bin kisi bhi kaam mein ab lagta nahin hai mera mann,Sanam tum bin ab kuch bhi nahin hai ab yeh jeevan Deewane Ki. Har pal mujhe yaad aati hai sanam woh saari beeti baatein,Yaad aati hai mujhe har pal apni woh saari mulaakatein,Jo bhi ghadi beeti hai tere baahon mein oh mere Sanam,Mere jeevan ka sabse haseen pal hai bas wohi pal Sanam,Kaise bhooloonga mein apne jeevan ke sabse haseen pal Sanam. Karta hoon dua ke aaye phir laut ke meethi woh ghadi,Jab hogi tum Chandni banke saamne mere hi khadi,Bhar loonga mein tumhein baahon mein apne Sanam,

122www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 124: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Bhool jaayenge hum tum duniya ko bas sada ke liye,Aur bankar rahenge hum dono bas ek duje ka Sanam. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

123www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 125: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tera Pyaar Chahiye Kabse kar rahe hai hum intezaar tere pukaar ki,Na jaane kab hogi khatam woh ghadi intezaar ki,Tadaptha hai dil sanam baatein karne tujhse,Nam si hai yeh nayna mera sanam milne tujhse. Tadap raha hoon mein sanam tujhe bhahon mein bharne ko,Bhahon mein bharke sanam tujhse mohabbat karne ko,Teri aankhein sanam bahut hi tadpaathi hai humko,Jaage rehate hai raat bhar neendh nahin aati hai humko. Khawabon mein har raat baahon mein bhare rehate hai tumhein,Bahut pyaar karte hai tumhein aur pareshaan karte hai tumhein,Tumahare aankhon ki haya dekhne ki kaabil hai us ghadi,Jab tum sharm se sikud kar mere baahon mein rehati ho padi. Choomtha hoon mein tujhe tere sharmilie gaalon mein sanam,Choomtha hoon mein tere narmo naazuk honthon mein sanam,Peekar tere honthon ke ras nashe mein choor ho jata hoon sanam,Thaamlo mujhe apne baahon mein aur sambhalo mujhko sanam. Tere baahon ke sahare ki zaroorat hai mujhe har ghadi sanam,Tere zulfon ke chaaon ki zaroorat hai mujhe har ghadi sanam,Kaise kahoon kya kya khwaab sajaye hai tumahare liye maine,Kaise kahoon khawabon mein tumhein apna dulhan banaya hai maine. Tere saanson ke saath mehakte hue saansein mujhko chahiye,Sanam tere dil mein dhadakne waali dhadkan hi mujhko chahiye,Ab zindagi ke har raah mein sanam mujhe saath tera chahiye,Tu mujhe agar naa mile sanam to yeh zindagi nahin chahiye, Shrini Deewana

124www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 126: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tera Saath Chahiye Jeevan mein chayee hai ab mere kaale baadal gham ki,Aise gham ke samay mein sanam saath chahiye mere humdum ki,Gham ke andheron mein saathi saath chalo roshni bankar,Har gham ko hum seha lenge saath rahogi jab tum mere. Sukh dukh to do pehalu hai har insaan ke jeevan ke,Apne saare sukh de doonga mein tujhko ai saathi,Dukh mein chahata hoon mein sahara tere kandhon ki,Aankhon se jab aansoo mere nikale chahiye sparsh mujhe tere haathon ki. Raha bhatka raahi hoon mein sanam rehana tum bankar mera saaya,Gham bhare aise dinon mein saathi tum hi ho mere jeevan ki kaya,Tere bina jeevan jeene ki mein kabhi soch bhi nahin paya,Jab se aayee ho tum mere jeevan mein jeevan ban gayee maya. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

125www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 127: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tera Saath Jana Hai Mujhko Zinda rehane ki koi chahat nahin hai mujhko sanam,Mujhko to chahat hai tere baahon mein mar jaane ki,Saath hum na reha sake is jeevan mein to kya,Saath tera har pal chahiye mujhe agale jeevan mein. Jab se mujhe mila hai sanam meetha pyaar tera,Khud ko bhi kayee baar bhul jaata hoon mein,Na jaane kaise daur se guzarta hoon mein abhi,Zindagi jeene ki chahat ko bhi bhool jaata hoon mein. Ai sanam ab to nahin hai jeena mujhe is bedard duniya mein,Jo duniya kabhi samajhthi nahin pyaar kisi sache dil ki,Tujhko paakar hi samjha maine ki mohabbat kya hai,Ab to lagta hai itne saalon se ek zinda laash tha mein. Chahe dafna do ya jala do mere chitha ko tum agni mein,Bas ek guzaarish hai ai bereham duniya waalon,Maut mein to milne do mujhe sanam se mere,Ek saat hi dafna do ya jala do mujhko aur sanam ko mere. Bahut judai seha lee hai hum dono ne is jeevan mein,Ab to hum dono ko ek duje ke saath tum rehane do,Shayad khuda ko bhi manzoor tha yehi milan apni,Isi liye khuda ne hum dono ko bhi saath bulaya hai is jag se. Shrini Deewana

126www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 128: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tera Saath Mein Na Chodunga Zindagi sawar gayee tere haath thaamne ke baad,Jeevan mein raang aa gayee tera saath paane ke baad,Sooni sooni si raah thi Sooni jeevan ki bhaag thi,Sab kuch badal chuki sanam bas tere aane ke baad. Chahe mushkilein ho raha mein ya koi roke apni raha ko,Sab kuch mita gira doonga par saath tera na chodunga,Chahe dukh ki kaali raat ho ya savera khushiyon ka,Dono mein rahoonga tera saath, tera saath mein na chodunga. Apna rishtha aisa rishtha hai jo duniya kabhi na maanegi,Mein duniya se bhi lad jaoonga par tera saath mein na chodunga,Kaanton se na ghabrana tu chahe kaantein bhi aaye rahon mein,Saare kaanton ko mein jheloonga tera saath mein na chodunga. Chahe dhoop ho chahe varsha ho chahe aandhi aaye ya toofan,Akeli nahin tu hai sanam tera saaya banke mein chaloonga saath,Jeeyenge saath marenge saath, is jag se jayenge thaame haathon mein haath,Kisi se kabhi ghabrana tu mere sanam tera saath mein na chodunga. SHRINI “DEEWANA” Shrini Deewana

127www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 129: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tera Saath Mil Jaaye Sochta hoon ek ghar basa loon ai sanam mein chaand mein,Jahan par honge sirf mein aur tum aur koi na honge humein taakne,Socho zara kaisa hoga woh alam jab rahenge hum ek duje ke baahon mein,Kaisa hoga sanam woh alam jahan honge na koi dushman pyaar ke. Duniya ke liye to aati hai mahine mein ek din amavas ki raat bhi,Lekin sanam hamare jeevan mein phir kabhi amavas ki raat hi na aayegi,Har raat apne hogi punam ki jab humtum madhosh ho jayenge,Bas ek duje ke baahon mein lete hum prem ke geet gun gunayenge. Na zarurat hai humein holi ki na zarurat hai humein diwali ki,Bas agar zarurat hai kisi ki to woh hai ek duje ke saath ki,Jab tum rahoge saath mere har din hogi mere holi aur diwali ki,Bas sanam tera saath jo mile to mein samjhoonga meri kismat khil gayee. Shrini Deewana

128www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 130: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tera Saath Nibhayenge Palkon mein apne sapnay,Aankhon mein saya sajaye hai,Ab door kaise jaayenge hum,Saath tera hi nibhayenge, Aie mere dil ki dharkan,Tu hi mere rag rag mei samaye hai,Dil ki duniya basaye hai,Chodh ke jaayenge kaise,Saath tera hi nibhayenge, Tere hi aankhon ka noor hoon,Teri hi teer se ghayal hai hum,Tere hi pyar ka shikar hoon,Saath tera hi nibhayenge, Pyar tere dil se hi karte hai sanam,Rishta bhi jhutey wadon se nahin,Pyar aur khushiya se saji hai naav,Jise doobne nahin denge sanam,Saath tera hi nibhayenge, Maana kuch hum dono ki majbooriyan bhi hai,Tum khusbhoo ban chuke hai mere saanson mein,Aur base rahenge aakhri dam tak,Saath tera hi nibhayenge, Ab to tere hi kadmon par tera saya banker,Tera sang hi rehana hai humein,Saath tere hi nibhate aa rahe hai aur,Saath nibhate rahenge har janam. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

129www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 131: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tera Saath Rehana Hai Mujhko Jis pal tera saath rehana tha mujhko tum ne kaha mujhe jaane ko,Jaane ko mera dil to nahin tha par majboor hua mein jaane ko,Bure waqt mein tera saath rahoonga yehi to maine socha tha,Par shayad mere man ka soch tere man ko nahin bhaaya tha. Isiliye oh mere sanam tune mujhe apne se door kara diya,Sukh dukh mein hum saaath rahenge aise ek khwaab maine sajaya tha,Tere sukh mein to tune sanam har pal mujhko ek jagah diya,Dukh mein karke door mujhe mere khwaabon ko tune tod diya. Dard bahut hua mere dil mein par us se bhi badhkar thi khushi teri,Tere ek khushi ke khaatir ai sanam seha loonga mein sau dard bhi,Sanam tujhse bas itna kehana chaoon na tukhrana mujhe dard mein,Khushi mein to tu sambhal jaayegi par aansoon nikalenge dard mein. Tere aankhon mein ek boond bhi aansoon ki mein na dekh sakoon,Tere aankhon mein aansoon dekhkar ai sanam mein bas tadap utoon,Jab hogi dil mein dukh aur dard tab sahara ek tujhe bas chahiye,Dil to karta hai sanam aise mauke mein bas sahara tera ban jaoon mein. Is se badhkar kya maangoon mein tujhse ai mohabbat meri,Mera jeevan to dooba hua tha dukh ke andheron mein kabhi,Tune hi hai layee sanam saari khushiyan mere jeevan mein abhi,Ek pal ke liye bhi tujhe gham mein dooba dekh na paoonga mein kabhi. Door na karo khud se tum mujhko jab tum ghamon mein rehati ho,Jab mere kandhe ki zaroorat hai tumhein tab door rehane tum kehati ho,Tujhse bas ek dua mein maangoon gham mein saath ka mauka do,Khushi mein to saari duniya hogi, gham mein mujhe tum mauka do. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

130www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 132: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tera Saaya Mein Ban Na Chahoon Agar tum ho aankhein to tumahari palkein mein ban na chahoon,Koi aafat tum par aane se pehele us aafat par mein mit jana chahoo,Kabhi aansoon ka ek katra bhi tere aankhon se na aaye,Tere aankhon mein aansoon aane se pehele tere honthon ki muskaan mein banna chahoon. Koi bhi kaanta rahon ka tere kadmon ko na chube,Koi kaanta tere kadmon ko chubne se pehele,Tere kadmon ko apne haathon mein mein thaam lena chahoon. Kabhi koi gham na aaye tere jeevan mein,Khuda se mein yehi ek dua har din mangoon,Agar koi gham aa jaaye tere jeevan mein kabhi to,Khushi banke tere jeevan mein mein aa jaana chahoon. Musafir nahin mein sanam tere jeevan mein,Sanam mein hoon tera apna hi saaya,Sada tera saaya hi banke ai jaanam,Teri hifaazat mein karma chahoon. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

131www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 133: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tera Sparsh Apne chehare pe sanam zara muskaan to le aao,Mere aankhon se behate ashkon ko apne haathon se mita jaao,Dil tadapta hai tere haathon ka ek sparsh paane ko,Ek baar mere paas aakar mujhe apne haathon se chu jaao. Sochta rehata hoon mein ek baat har pal jaanam, Kaisi hogi woh ghadi jab tum hoge sang mere, Kaisi hogi woh sparsh tere naazuk haathon ki,Jab mere haathon ko tu apne haathon mein le li hogi. Hai besabri se intezaar mujhe tere sparsh ka,Hai besabri se intezaar mujhe hamare Milan ka,Karta hoon har roz mein khuda se yeh dua,Ke jaldi se woh din mere jeevan me le aaye.. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

132www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 134: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tere Bin Nahi Jeena Kabhi sochtha hoon kyon zindagine aise sazaa di,Milakar bhi humein kyon itne darmiyaan di,Agar Itne hi door karna tha humein kismat ko,To milaya hi kyon tha jab milana nahin tha humko. Mohabbat kya hai yeh pehale mein samajhtha nahin tha,Zindagi ne hi sikhayee mujhe kya hai mohabbat,Agar dikhlake mohabbat door karna hi tha mohabbat se,To mohabbat kya hai yeh mujhe samjhaya hi kyon tha. Dil karta hai sanam khatam mein zindagi apne kar loon,Tere bin ek din bhi nahin ab hai mujhko jeena,Mein na jaanoon kya kahegi hamare rishtey ko duniya,Is duniya ki mujhe kuch nahin hai parawah. Shrini Deewana

133www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 135: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tere Hi Yaadon Mein Dil taras rahi thi sanam yaadon mein teri,Aankhein baras rahi thi yaadon mein teri,Na Jaane kaise guzaare maine woh do din,Jab aankhon mein nami chayee thi yaadon mein teri. Kabhi sochtha hoon kyon banayee hai yaadein khuda ne,Kabhi sochtha hoon kyon banayee hai mohabbat khuda ne,Jeena to ab dushwaar ho gaya hai tum bin ai sanam,Kabhi sochtha hoon kyon milayee hai humein tumse khuda ne. Jab tum nahin milti hai mujhko poonam bhi mujhe amavas laage,Man tarse tujhse milne ko itne ke dil mein milan ki aag si laage,Na jaane kab hogi milan meri tujhse ai mere humdum humsafar,Tere bina na mujhe dikhti hai koi raah na hi dikhe mujhe koi dagar. Sada tum mere saath hi rehana aur sada saath nibhana tum mere,Tere bina din mein chain hogi na raaton mein neendh hogi mere,Aankhon mein har pal teri hi tasveer nazar aati hai mere dilbar,Laakh chupana chaoon phir bhi nazar se nahin hat thi ashkon ki lehar. Aankhon se behate aasoon ko mein sanam chupaoon kaise,Aansoon ko mitana bhi agar mein chahoon to mitaoon kaise,Rukhti nahin laakh koshish par bhi aankhon se behati ashkon ki lehar,Tere bin suni suni lag rahi hai mere jeevan ke har raha mere humsafar. Shrini Deewana

134www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 136: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tere Hi Yaadon Mein Jee Raha Hoon Tadaptha hoon mein tujhko baahon mein bharne,Tadaptha hoon mein tere aankhon mein doob jaane,Tapthi hai tan mera sanam aakar tu is aag ko mitaa de,Tadapthe is tan ko to apne baahon mein aagosh karle. Yeh sanam teri aankhein hai ya koi gehara saagar,Yeh sanam teri honth hai ya koi paimane ka pyaala,Kaise sangemarmar se naazuk teri yeh badan hai,Lagti hai jaise jannat se utari hui tu ek pari hai. Tujhe seene se lagakar mein sada rakhna chahoon,Tere honthon ke ras peekar madhosh mein ho jaoon,Tere saanson ko apne saanson se milana mein chahoon,Tere naazuk badan ko apne baahon mein lena chahoon. Tere ghesuon ki khushboo ko apne dil mein sama lena min chahoon,Apne har saanson mein bas tera hi naam mein lena mein chahoon,Tujh bin sanam kuch bhi nahin hai is jahan mein ab mera,Sanam bas tere hi yaadon mein mein jee raha hoon,Sanam bas tere hi yaadon mein mein jee raha hoon. Shrini Deewana

135www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 137: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tere Ishq Ka Jadu Tere ishq ne kiya aisa jadu ke dil ab nahin raha mere kabu,Hui bechain mann aur taraste the hum,Tere yaadon mein jeene lage hum sanam,Yaad to subha shaam karte rahegaye magar,Khud apne hi bas me na reha paye ab hum. Dost banke tum aaye mere jeevan mein,Aur choo gaye sajan tum mere dil ko,Dosti se mohabbat mein zindagi kab badali,Yeh to na jaan paaye yeh do dil sanam. Aap ke aane se to rukh hi badal gayi meri zindagi ki,Bebasi to suni thi pehale magar ab use samajh paye hai hum,EK teri hi ishq hai aisi ki bhulai nahi jaati dil se kabhi,Sanam teri hi pyaar se mili ab mujhe ek sunehari raah ishq ki. Sanam Tere hi ishq se khile hai phool meri zindagi ki baghon mein,Teri hi ishq ka chirag hai jo dur kar gayi andhera meri jeevan ki,Ab Deewani kehate hai log aur deewani hue hai hum tere ishq mein,Dub jaane ko ji chahata hai sada ke liye tere hi ishq mein,Ishq hi zindagi ka dusra naam hai yeh samjhe hai hum tere ishq mein. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

136www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 138: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tere Liye Kaun Hoon Mein Tere dil ki dhadkan hoon mein,Tere aankhon ka roshni hooon mein,Tere honthon ka muskaan hoon mein,Tere jism mein behati hui lahu mein. Tere dil tak pahunchne waale sansein hoon mein,Tere kadmon ki aahat hoon mein,Tere roop ka shringaar hoon mein,Tere jeevan mein aayee hui bahar hoon mein.. Tere man mandir mein ek pujari hoon mein,Tere kadmon tale pade ek bhikaari hoon mein,Tere dwaar par tujhe milne tarasta jogi hoon mein,Tere pyaar mein dooba hua rogi hoon mein. Ab to mujhse yeh na puch ai Sanam,Ke tere jeevan mein kaun hoon mein,Tera yaar hoon mein tera deedaar hoon mein,Jo sada tere saath rahe woh tera pyaar hoon mein. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

137www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 139: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tere Nafrat Se Mohabbat Tere nafrat se bhi hum mohabbat karenge,Hum khud ko tere kadmon mein nichavar karenge,Hum jiyenge bas isi umeed mein jaanam,Ke ek din tumhein milkar tumhein apne baahon mein bharenge. Tere har ada ko hum apne dil mein sajaye rakhenge,Tere tasveer ko apne palkon mein chupaye rakhenge,Tere khayalon ko apne dil mein khilaye rakhenge,Tujhe sadha apne dulhan banaye rakhenge. Karenge dua hum khuda se ke tujhse humein jaldi milade,Hamare tadap ko woh jaldi mitaa de,Agar woh kahenge milan nahin hogi apni,To khuda se bhi hum ladne se na darenge. Shrini “Deewana” Shrini Deewana

138www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 140: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tere Sang Rehana Hai Mujhko Tere maang ka sindoor ban na hai mujhko,Tere maathe ki bindiya ban na hai mujhko,Tere gaalon ki laali ban na hai mujhko,Tere honthon ki muskaan ban na hai mujhko. Tere jeevan mein sada hi rehana hai mujhko,Tere kadmon ki ahaat ban na hai mujhko,Tere dil ki dhadkan ban na hai mujhko,Tere jism ki saansein ban na hai mujhko. Tu hai meri sanam sada meri hi rehana,Tere bin ek pal bhi nahin ab jeena hai mujhko,Tu hai mera humdum, humsafar jeevan saathi,Sada tere hi sang jeevan bitana hai mujhko.. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

139www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 141: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tere Siwa Nahin Jeena Tere siwa sanam ab jeena mera jeena hi nahin,Har ghadi tere hi khayalon mein jeeta rehata hoon,Log kehane lage hai ab to 'Deewana' mujhko,Logon ke taanon ka mein parwah nahin karta hoon. Bas ek baar tu aaja aur apne seene se tu lagale mujhko,Raat din bas isi ghadi ke liye mein zinda rehata hoon,Tu hi to hai ragini tu hai mere mohabbat ki devi,Raat din bas tere naam ke hi puja mein kiya karta hoon. Kehati hai yeh duniya ke pyaar mein koi kabhi sukh pata nahin,Duniya kya jaane mohabbat mein jeene marne ka maza,Bas is jeevan mein ek baar lipat jaaoon mein tujhse, Phir kahoonga khuda tu lechal humein jahan le jana hai tujhe. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

140www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 142: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Teri Ada Tumahare sharmaane ki ada acha laga mujhko,Tumahare chehara chupane ka ada acha laga mujhko,Lagta tha thaam loon tujhe mein apne baahon mein,Tere sharmon se laal hui gaalon ko choom jaoon mein. Ai sanam tujhse jaan se bhi zyada pyaar mein karta hoon,Mein to hoon tera Deewana tere har adaon pe marta hoon,Yeh dooriyan jo hai hum mein bas us dooriyon se darta hoon,Ek baar mila de hum dono ko yehi dua mein har roz subah karta hoon. Khuda par utna vishwaas nahin hai jitna mohabbat pe hai mujhko,Agar tujhpe koi aanch aaye to mein apne jaan bhi de doonga sanam tujhko,Tujhse badhkar kuch bhi nahin sanam mujhe is zamane mein,Tera agar saath nahin hai sanam to phir kya mazaa hai jeene mein. Shrini Deewana

141www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 143: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Teri Hansi Tere ek hansi pe sanam hum ek nahin sau jeevan kurbaan karenge,Ek baar keha kar dekh lo jaan hatheli pe rakhkar tere kadmon mein nichavar kardenge,Tere ek aahat sun ne ko tarasta rehata hai yeh dil,Tere garam saanson ko mehasoos karne tadapta rehata hai yeh dil. Na jaane kab mitegi yeh doori ho hai darmiyaan hamari,Kab hogi woh saari muraad puri jo jagi hai dil mein hamari,Agar is doori ko mitana mere bas mein hota to kab ka mita diya hota,Hamari dil ki tadap aur tan ki pyaas ko kab ka mita diya hota. Dil to karta hai sanam ud ke aajaoon aur tujhe apne bahon mein bhar loon,Jo pyaas jagi hai dono dil mein us pyaas ko ek hi raaat mein puri kar doon,Par majboor hoon mein kyon ki doori bahut hai hum dono mein,Khuda ne humdono ko milaya to hai par pankh nahin di hai mujhe tujhse milne. Par umeed hai dil mein ke ek din mein tujhe apne saamne hi paoonga,Bharke tujhe apne baahon mein har faasle mein mita doonga,Us din mein tere chehare ki pyaari sukoon ki hansi dekhoonga,Dekh kar tere chehare ki hansi ko mein chain se so jaoonga. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

142www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 144: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Teri Muskaan Tumahare muskaan se hi judi hai sanam muskaan meri,Tumahare hi jaan se judi hai jaaneman jaan meri,Saansein to alag se le raha hoon mein sanam lekin,Tumahare dil se hi judi hai sanam mere dil ki har dhadkan meri. Mana kabhi keha deta hoon mein bahut kuch hum tumse sanam,Aur kayee baar in baaton se maine tumahara dil bhi thoda hai sanam,Tujhe dard dene ki kabhi koi khawaaish nahin hai mujhko ai meri sanam,Phir bhi na jaane kyon keha deta hoon mein tujhe kuch kabhi kabhi ai sanam. Jaanta hoon mere boli se pahunchthi hogi kitne dard tere dil mein,Par kya tum yeh jaanti ho mein bhi chain se nahin reha pata,Jab bhi suntha hoon mein tumahare siskiyaan sanam,Chahat to yehi hai ke sada tere muskaan bankar mein rahoon. Tere aankhon mein kabhi aansoon na aaye aise tere hifaazat mein karoon,Tere kadam kabhi naa pade raah mein kisi kaanton par,Tere kadmon ko kaante choomne se pehale hi ai sanam,Un kaanton ko mein jhel loon mein apne dil mein sanam. Yeh koi nafrat nahin yeh to mohabbat hai jo keha jaati hai tujhse kuch baatein,Phir wohi baaton ko sochkar maine bhi guzaaree hai kayee jagi jagi raatein,Jab bhi tere dukh bhari awaaz goonjthi thi ai sanam mere kaanon mein,Bheeg jaati thi meri aankhein aur behane lagte ashkon ke katre mere aankhonse. Shrini Deewana

143www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 145: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Teri Muskurahat Jis hansi ko dekhne tadapta hai yeh 'Deewana'Aaj us chehare par chayee itna maayoosi kyon hai,Hansi hi tere chehare ki khoobi hai sanam,Hansi ko kabhi chehare se utarne na dena. Kitni bhi mushkilein aaye raahon mein phir bhi,Bas muskurakar hamesha tu unka saamna karna,Tere har kadam pe tera saath hai yeh 'Deewana'Yeh baat kabhi na bhulna aur bas haste rehana. Likhte to the hum pehale bhi magar ai mere sanam,Lekh mein mohabbat chalakne lagi hai aap ke aane ke baad,Tere khushi ke liye kar dega kuch bhi kurbaan tera “Deewana”,Sada muskurate rehana aur muskurahat ko dhalne na dena. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

144www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 146: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Teri Nazrein Jab nazrein mile mere tere nazron se,Nazron se kuch bhi chupaya na gaya,Tere dil mein chupi saari baatein,Ek pal mein hi nazron ne bayan kiya. Tere nazron mein maine dekha mohabbat teri,Tere nazron mein maine sharam haya dekha,Tere nazron mein maine dekha ek darr,Tere nazron mein maine tera sapna dekha. Jab mila raha tha main tere nazron se nazar,Tab haye sharam se jukh jaati tera sar,Tirchi nazar se dekh rahi thi tu mujhko,Aur dil mera bas bekaboo hota hi gaya. Woh sharmilee si muskaan teri,Bankar ek teer mere dil mein utari,Dil karta hai tujhe itna mein pyaar karoon,Tujhe bahon mein bharoon aur pyaar karoon. Tadapti thi palkein jab ek darr tere dil mein hota tha,Sharam mein tere palkein bandh ho jaati thi,Jab bhi koi thes tere dil ko lagta tha,Tere baaye aankhon mein aansoo aa jaati thi. Jitni khamosh thi teri zubaan utni hi baatein teri nazrein karti hai,Zubaan tere bandhe aur khamosh rahe phir bhi,Teri nazron ki boli samajhti hai meri nazrein,Kuch tujhe batane ki zaroorat hi nahin sanam,Hum pad chuke hai saari baatein tere nazron se. Bas tumse ek choti si guzaarish hai Sanam,Kabhi apne aankhon mein aansoo na aane dena,Jab bhi dooba ho dil ghamon mein tera Bas yaad humein tu karle sanam,Mein saamne tere aa jaoonga aur bahon mein tujhe mein bhar loonga. Lekar tujhe mein apne bahon mein tere saare gham bhula doonga,Tere jeevan ke saare lamhon ko bas khushiyon se mein bhar doonga,Yeh waada aaj tujhse karta hoon mein Deewana,

145www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 147: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Jeevan bhar mein tera hi rahoonga Sanam. SHRINI “DEEWANA” Shrini Deewana

146www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 148: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Teri Yaad Aisa to ek pal bhi nahin jab yaad teri na aaye mujhko,Jab sota hoon khwaabon mein aati ho tum,jab jaagta hoon har pal bas satati ho tum,Itna kyon tarsaati ho sanam, dil tadapta hai tujse milne ko.Teri aankhon se aankhen milane ko,Aur teri baahon mein lipat jaane ko,Teri daaman mein sar chupane ko,Aur tere aanchal se aansoo mitane ko. Kab tak juda rahoon tujse oh sanamTum bin mushkil ho gaya guzarna har pal sanam,Ab bas aake mujhe apne baahon mein le le sanam,Aur hone de dil ka har dabe armaan pura sanam. Bahut tadpa hoon aur tadpa nahin jaata sanamKuch to kardo ke hum tum mil jaaye sanamTumhein meri kasam kuch to jaldi karo sanamKuch aise kardo ke hum tum mil jaaye sanam Yeh judaai ab aur na seha paoon mein sanam,Darta hoon tumhe milne se pehale mar na jaoon sanam,Ashk to aise behati hai aankhon se jaise ho ko jharnaIn behati ashkhon ko aake tum rok lo oh mere sanamAur mujhe bas ek raat chain se apne bahon mein sone do sanam. SHRINI 'DEEWANA' Shrini Deewana

147www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 149: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Teri Yaadein Teri yaadon mein mere subah beeti hai,Tere hi yaadon mein beeta mera shaam,Tere hi yaadon mein sari raat mein jagta hon,Tere yaadon ke siva nahin hai mujhe koi kaam, Ab to tu hi batadey oh Jaaneman meri,Kaise guzaaroon mein meri umar tamam,Tum to keha deti ho is Deewane ko,Itna yaad na karna mujhe oh Deewane. Deewane ki dil ka haal bhi socho zara,Jiski har dhadkan kahe tera hi naam,Agar mein yaad na karoon tujhe to jeeyoon kaise,Mere jeevan ke saansein bhi chalti hai tere hi naam se. Deewana bhi jaanta hai tumahare dil ko,Jo har pal har ghadi yaad to karti rehati ho mujhe,Phir bhi bas kehane ko kehati rehati ho,Na mein tumhein yaad karti hoon, Na tum mujhe yaad karna. Mana hum tum mile nahin hai ab tak,Par yeh to nahin hai ke mein tumhein jaanta nahin,Jaanta hoon mein har dhadkan ko tumahare,Jo bas dhadakti hai Deewana ke hi naam se. Mohabbat se jab bhara hai dono hi dil,Kareeb rehane ki zarurat hi nahin,Door reha kar bhi hum tumahare dil ko jaante hai,Tumahare Dhadkan ko hum apne Dhadkan sa maante hai. Dilruba yeh kabhi na sochna tum ke hum nahin mile hai,Ek din aise hoga jab hum honge ek duje ke baahon mein,Jab hum itne kareeb honge ke hawa bhi na jayega hamare beech,Yeh waada hai Deewana ka Deewani se. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

148www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 150: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Teri Yaadon Mein Pehele jo guzarti thi ghadiyan sang tumahare,Aaj woh guzarti hai bas mere akelepan mein,Na jaane phir kab aayegi woh beeta zamana,Nahin lagti hai dil mere ab sanam tere bina. Kahin to kho gayee hai woh ghadiyan jab hum kareeb the,Aaj lagta hai badti hi jaa rahi hai dooriyan hum dono mein,Dil mein darr sa rehata hai mera kahin kho na doon mein tumhein,Ab to jee nahin paoonga mein tere bina oh mere sanam. Na jaane lag gayee kis ki nazar hum dono ko sanam,Ke aaj itne door mujhse tum hogi ho mere sanam,Dil mera hai gham mein dooba hua tere bin mere sanam,Rukti nahin hai behate aansoon tere yaadon mein sanam. Yaadon mein to bas tum hi tum ho har pal mere sanam,Par yaadon se dil bharta nahin yeh hai hakeekat oh sanam,Na jaane kab hategi yeh gham ke badal aur ayegi phir khushi,Na jaane kab khilegi bahar mere jeevan mein aur milogi tum mujhe. Na jaane kab aayegi phir se woh suhana mausam sanam.Jab hum phir se hoge ek duje ke bilkul kareeb sanam,Kya aayegi kabhi woh ghadi jab tum hogi mere kareeb,Ya yunhi sehana padega ab yeh doori jeevan bhar sanam. Shrini Deewana

149www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 151: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tu Hi Hai Meri Manzil Tumahare baahon mein simat jaana mein chaoon sanam,Tumahare honthon ke mithaas ko mein chakna chahoon sanam,Sada hi tum ho meri aur sirf meri hi rahogi tum dilbhar,Hamesha tumahare sang hi rehana chahoon mein sanam. Zindagi ke raah guzar rahi thi koi musafir ki rahon ki tarah,Na koi manzil aa rahi thi nazar na koi tha caarvaan,Door tak sooni thi raahein aur nahin aati thi kuch nazar,Thak gaya tha mein chalte chalte aur ho raha tha mein bekhabar. Khud ko jab is duniya mein akela mehasoos mein tha kar raha,Us ghadi na jaane kahan se tu aayee aur thaam li tune mera haath,Sooni raahon mein tu aake chal padi tu bhi mere hi saath,Ab hum dono chal rahe the thaame haathon mein ek duje ke haath. Ab safar kateen nahin hai mere saath mere hai jo mera humsafar,Ek din dilbar mere tu baahon mein apne sone de mujhe,Baahon mein tere rakh ke apna sar rona chahata hoon dilbar mere,Aaj tak jo gham hai dil mein bhara us se bheeghona chahoon mein tujhe. Tere ghesuon ki chaon mein kuch pal mein sona chahoon dilbar mere,Thak gaya hoon jeevan ke daud mein ek din bas sula de tu mujhe,Tere bahon ke aasre mein bas sama le oh dilbar ab tu mujhe,Mujhe aur kuch bhi nahin chahiye ek tere siwa oh dilbar mere. Tu hi hai jeevan meri tu hi hai manzil meri tu hi hai mere humsafar, Shrini Deewana

150www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 152: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tu Sada Mera Saath Rahe Tu nahin hai saath mein to kya hua,Teri yaadein to sada hi mere saath rehati hai,Tu nahin hai paas mere to kya hua.Tere badan ki mehak to sada mere paas rehati hai. Mere humkadam bankar tu nahin chalti to kya hua,Mera saaya bankar tu sada mere saath chalti hai,Mere jeevan mein khushiyan naa aaye to kya hua,Tere jeevan mein gham na aaye yehi hai aas meri. Mere zindagi hai tere khushi ke khaatir,Tere aankhon se aansoon na chalke kabhi,Tere jeevan mein aayegi sanam jo bhi gham,Use kasam se khud par mein le loonga sitam. Tere honthon se muskurahat na jaaye kabhi,Tere jeevan mein khushiyan khilti rahe har ghadi,Tu meri hai aur sirf meri hi rahegi saari zindagi,Us khuda se maangoonga bas dua mein yehi. Shrini Deewana

151www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 153: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tujhe Meri Kasam Ho sake to daud ke tu aaja sanam,Mere aankhon ke ashkon ko mitaa jaa sanam,Kuch to karde sanam tu mujh par reham,Tujhe meri kasam tujhe meri kasam. Mere aankhon mein kyon sada rehati ho tum,Mere dil mein sada kyon dhadakthi ho tum,Aisa kya jaadoo chalaya hai tumne sitam,Jo yun tera 'Deewana' ho gaye hai hum. Zindagi to bas yun hi jee rahe hai hum sanam, Har pal sitam tere yaadon mein khoye rehate hai hum,Ab itna na tadpaao tum mujhko sanam,Mujhko tum apne baahon mein bharlo mere sanam. Is jeevan ke uljhan bahut hi hai buri,Yeh apne khwaabon ko kabhi na hone degi poori,Is janam mein hum tum mil nahin paaye to kya,Tere khatir phir se janam mein loonga sanam. Bas dil mein mere ek hi chahat hai sanam,Tere arthi ko kandha mein de doon sanam,Tere shav mein lagi aag bhujne se pehale sanam,Mere bhi saansein tham jaaye yehi hai mere dil ki chahat sanam. Shrini Deewana

152www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 154: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tum Hi Ho Honthon Ki Muskaan Meri Pehele jo udaasi chaayee rehathi thi chehare mein,Par aaj badal gayee hai muskaan meinJab se tum aayee ho jeevan meinZindagi rangeen ho gayee hai, Aise ek apnapan jo jataya hai tumne,Ke hum aapke deewane ho gaye haiPehele to the hum sirf naam ke deewanaAb to hum sahi lafzon mein deewana ho gaye hai Zindagi ke raah mein to hum pehale bhi chalte the magar,Jab se tum aayee ho raha guzar banker,Raah ab aur bhi haseen ho gayee hai,Tum sang rahogi to jaanam in raahon mein hum chalte hi jaayenge. Din raat tumahare hi yaadon mein khoye rehate hai sanam,Yaadon mein rehate rehate pata hi nahin chalta,Kab subah se shaam hui din raat ab ek se lagte hain,Din mein aise ek pal hi nahin jab yaad tujhe na karta ho. Agar aap saamne ho aur kuch likhne kaho,To hum yuhin bas likhte hi jaayenge,Kaagaz bhar jaayegi kalam ki syaahi khatam ho jaayegiPar haath hamara kabhi na thak kar rukh jayegi. Phir agar tum woh kagaz lekar dekho kya likha hai humne,To har kaagaz mein sirf tumahara hi naam tum paogiTumahara naam likhte rehane ko meinApni khush kismat samajhta hoon, . Har koi khush naseeb nahin hote mere jaiseJinhe itni pyaari mohabbat milti haiTum sirf mohabbat hi nahin chahat ho meri,Tum sirf dil hi nahin dharkan ho meri,Ai sanam mein tera saath na chodunga janam janam tak,Kyon ki tum hi to hothon ki muskaan ho meri Shrini 'Deewana'

153www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 155: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Shrini Deewana

154www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 156: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tum Hi Ho Meri Dilruba Mera gussa mera muskaan sab kuch tumahara hai sanam,Mere shareer mein hai jo jaan woh jaan bhi tumahara hai sanam,Ek pal ke liye bhi na sochenge sanam hum kabhi,Agar tum keha do jaan mujhe apni jaan de do abhi. Chalti hai har ek saanse bas teri hi yaadon mein sanam,Khoye khoye hum rehate hai bas tere hi khayalon mein sanam,Jis pal bhi tum nahin hoti nazar ke saamne meri,Lagta hai jaise duniya se ruta hua hai suraj abhi. Darta hoon kahin tumhare jaate hi rukh na jaaye mere saanse oh sanam,Tumse hi hoti hai subah tumse hi aati hai raatein oh mere sanam,Apne jeevan ko bhi mein likh chuka hoon ab tere naam mere sanam,Tumse to karta hoon mein apne jaan se bhi zyaada pyaar mere sanam Mein suraj aur chaand ko to na jaanoon par tujhko jaanoon mein oh meresanam,Log kehate hai ke suraj ke aane se hi hoti hai subah,Par mere zindagi ke suraj aur chand dono tum hi ho meri dilruba. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

155www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 157: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tum Hi Tum Hum to us ghadi dil gawah baithe jab aayee tum mere jeevan mein,Hum to pyaar tumse kar baithe jab se baatein hui sanam tumse,Mera dil to ab mere bas mein hi nahin hai mere sanam,Har ghadi tere hi khayalon mein hum apna dil laga baithe. Tera ek soch bhi laati hai muskaan mere chehare mein,Tujhse baatein na ho to bhar jaati hai aankhein mere,Behate ashkon ko kaise rokun dilruba yeh bata mujhko,Har ashkon ke boondh mein teri tasveer nazar aati hai. Tum hi se paya hai sanam jeene ki maqsad maine,Tum hi se paya hai jeevan ki har khushi maine,Zindagi bhar tera saath hi mein nibhaoonga sanam,Tum hi rab ho tum hi shab ho mere jeevan mein sanam. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

156www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 158: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tum Kya Jaano Tum kya jaano kaise bitaye the woh chan raat maine,Jab tum baithi thi saj daj kar shama-e-mehefil mein,Jab tu mana rahi thi khushiyaN oh hum safar mere,Mein to aankhon se ashkon ko bahaye jaa raha tha. Tumhein to fursat hi nahin mili apne deewane ke khaatir,Tum to shehanaiyon ke mehafil mein ghum thi,Kaise tum jaan paogi kya kya guzri hai mere dil mein,Us ghadi jab tum nahin rahi thi sanam sang mere. Ai khuda aisa kuch din tu mere dilruba ke jeevan mein bhi laana,Jab woh tadpe mere yaad mein aur mein na rahoonga uske sang us pal,Kash tab woh samajh payegi dil ki dard ko mere,Kash tab woh jaan paayegi kaisi hoti hai dard dil ki. Yeh to alag baat hai ke mein to rehata hoon sang dilruba ke har pal,Shayad bajthi ho shehanayee ya ho rahi ho maatham koi mere ghar mein,Shayad isi liye woh nahin samajh paati hai akelapan kya hai,Shayad isi liye woh hamesha rehati hai juda mujhse kisi bahane se. Shrini Deewana

157www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 159: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tumahara Pyaar Jab se aaye tum jeevan mein mera jeevan rangeen ho gaya,Tere pyaar ne mere jeevan ko saath suron se bhar diya.Pehele sanam mere jeevan tha ujada aur berangeen,Tere pyaar ne mere dil mein phoolon ka bhagiya khila diya. Yeh to meri khush kismat hai jo teri mohabbat maine payee,Tere jeevan mein aane se pehale mere jeevan mein thi bas tanhayee.Kayee saal bitayee hai jeevan mein is mohabbat ke liye mere jaana,Ab bin tere ek pal bhi mein jee na sakoonga oh mere jaane jaana. Tere mohabbat ne mujhko jeene ka naya andaaz diya,Ek pyaara sa jeevan saathi, ek humsafar, humraaz diya,Mere haath thaame sada hi chalna tum mere sang oh mere yaara,Bheed bhari is duniya mein mujhe akela kabhi na chod dena yaara. Mein to tumahara doshi hoon Kayee baar dukhaya hoon maine dil tera,Aaj mein waada karta hoon phir kabhi na todunga sanam mein dil tera,Beeti baaton ki har yaadein mere aankhon mein aansoo le aati hai,Darta hoon kahin tum chod na jao yeh darr aksar mujhe satati hai. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

158www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 160: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Umeed Jis pal se tumhein dekha hai mohabbat ki leharein uthne lagi haimere dil mein,Maana rehati ho tum bahut hi door humse ai mere sanam,Par milenge hum tumse is janam mein ek din,Bas isi umeed mein hum tum jeete hain. Karte hai hum tumse mohabbat itna,Mere dil ki har dhadkan mein basi ho tum,Tere saanson ki mehak mil jayegi saanson se mere,Bas isi umeed mein hum tum jeete hain. Mohabbat mein hai apni itna taakat ke mila degi tumhein humse ek din,Saari duniya bhi chahe rokna magar woh milan hamari na rok payegi,Jab pyaar hamara sacha ho aur milan ka dil mein icha ho,Na rok payegi saari duniya milan apni,Bas isi umeed mein hum tum jeete hain. Mohabbat ke dushman laakhon honge par unki kabhi tu parwah na kar,Jab dil ki mohabbat sachi hai tu na kisise tu dar na kisiki parwah tu kar,Rehata hai khuda saath unke sada jinke dilon mein mohabbatsacha ho,Jab mohabbat apni sacha hai to milan bhi apni hogi sanam,Chalo dil mein vishwaas sada hum tum rakhte hai,Bas isi umeed mein hum tum jeete hain. SHRINI 'DEEWANA” Shrini Deewana

159www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 161: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Waqt Ka Jalwa Waqt ka jalwa bhi ajab hota hai sanam,Kabhi hasata hai to kabhi rulata hai sanam,Pehale guzarti thi har pal tere saath sanam,Ab milan ke intezaar mein dil tadapta hai sanam. Ise kahen hum apni kismet ya takaaza waqt ka sanam,Jo ek duje ke saath pane ke liye dil tarasta rehata hai sanam,Kaise rokun apne ankhon se behati tere yadon ke ashkon ko sanam,Ashkon ka har katra tere ek jhalak ke liye behata rehata hai sanam. Bas tumse hi judi hai meri har ek saansein sanam,Mera har dhadkan tere hi naam se dhadaktha rehata hai sanam,Jab bhi mein dekhoon kisi ko chalet haathon mein haath liye sanam,Tere haathon ke sparsh ke liye mera dil machalta rehata hai sanam. Tum hi ho chahat tum hi ho mere muskaan sanam,Tumse hi bani hai kismet meri oh mere pyaare sanam,Kaise bataoon kya raunak tumne mere zindagi mein layee ho sanam,Ek seedhe saadhe insaan ko “Deewana” tumne banayee hai sanam. Ho sake to bas ek reham kar dena “Deewana” par sanam,Lekar mujhe apne bahon mein mita do mere jeevan ka har gham sanam,Log kehate hai mohabbat gham ke siwa kuch nahin deta sanam,Lekar mujhe apne bahon mein galat sabit kardo duniya ke is bhram sanam. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

160www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 162: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Zindagi Chahat Ka Silsila Aaj ek ajeeb si hulchal chayee hai mere dil mein,Ek taraf khushi ka alam hai to ek taraf gham ki parchayi hai,Dil khush hai yeh sochkar ke Kal hogi baatein tujhse,To aane wale dinon ke sochkar gham failati hai dil mein. Ab tu hi bata ai sanam kaise samjhaoon mein apne is dil ko,Yeh to jaanta hoon mein ke Kabhi khushi to kabhi gham yehi to zindagani hai,Yeh baat to mera dil bhi achi tarah se jaanta hai lekin,Woh kuch khoya hai tere pyaar mein is kadar ke,Kisi baat ki samajh aati hi nahin hai use. Jeevan ki bagiya mehaki hai meri jab se aayi ho tum mere jeevan mein,Tum hi to ho baghbaan is bagiya ka jisne itne pyaar se mehakaya hai ise,Har pal mere jeevan ke bagiye ko tum mehakaye rakhna,Phool jo khile hai is dil mein sadiyon ke baad use tum murjhane na dena. Mere suni si zindagi ko savarnewali mere dilruba,Tujhse mein karta hoon bas yehi ek dua,Duniya chahe rokna chahe kabhi raha tera,Sada mere saath rehana sada mere saath rehana. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

161www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive

Page 163: Shrini Deewana - poems - - PoemHunter.com: Poems ... Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam, Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Zindagi Ki Tadap zindagi mein itni kabhi udhasi na thi,Dil mera itni kabhi bhari na thi,Yun to hum zinda hai sirf duniya ke liye,Jeene ab is dil mein koi chahat hi nahin. Pehele jo jhoomti thi dil mere mohabbat ke khushiyon se,Ab mohabbat ke ghamon mein doob ke tanha baithi hai,Kisko sunaoon mein haal-e-dil dilruba mere dil ki,Koi na samjhega mere dil mein tadap kya hai. Aaj bhi mein yaad karta hoon un beete lamhon ko,Jo lamha bas tere hi saath guzara tha maine,Beeta lamha mujhe bahut hi tadpati hai,Yaad teri aa aa ke mujhe satati hai. Yeh to khabar nahin kab mujhe yun jeena hoga,Kab tak mujhe yunhi is dil ke tadap ko sehana hoga,Kya aayegi kabhi phir laut kar woh beete lamhein,Yaa maut ke aane tak mujhe yunhi tadapke jeena hoga. Yeh to khabar nahin kab tak mujhe yun jeena hoga,Kab tak mujhe yunhi is dil ke tadap ko sehana hoga,Kya aayegi kabhi phir laut kar woh beete lamhein,Yaa maut ke aane tak mujhe yunhi tadapke jeena hoga. Shrini 'Deewana' Shrini Deewana

162www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive