171
Noori Mehfil Collection of Hamd, Naath and Manqabath Transliterated by Noori Mehfil Committee Sri Lanka N N O O O OR R I I M M E E H HF F I I L L C C O O M M M M I I T T T T E E E E M M a a d d r r a a s s a a F F a a i i z z - - e e - - R Ra a z z a a N N o o . . 7 7 9 9 , , H H a a m mp p d d e e n n L L a a n n e e , , C C o o l l o o m mb b o o - - 0 0 6 6 C C o o n n t t a a c c t t n n o o : : - - H H a a s s s s a a n n Z Z i i c c k k e e r r - - 0 0 7 7 7 7 7 7 5 5 7 7 5 5 1 1 6 6 5 5 / / A Aa a m mi i r r C C a a d d e e r r - - 0 0 7 7 7 7 6 6 2 2 2 2 7 7 6 6 3 3 4 4 E E - - m ma a i i l l : : - - n n o o o o r r i i m me e h h f f i i l l @ @g g m ma a i i l l . . c c o o m m www.noorimehfil.com

Noori Mehfil - Hazrat Sufi · PDF fileNoori Mehfil Collection of Hamd, Naath and Manqabath ... Shariah Rahbar-e-Tariqat Hazrat Allama Mufti Mohammed Akhtar Raza Khan Qadri Azhari Qibla

Embed Size (px)

Citation preview

Noori Mehfil

Collection of Hamd, Naath and Manqabath Transliterated by

Noori Mehfil Committee Sri Lanka

NNNOOOOOORRRIII MMMEEEHHHFFFIIILLL CCCOOOMMMMMMIIITTTTTTEEEEEE MMMaaadddrrraaasssaaa FFFaaaiiizzz---eee---RRRaaazzzaaa

NNNooo...777999,,, HHHaaammmpppdddeeennn LLLaaannneee ,,, CCCooolllooommmbbbooo---000666 CCCooonnntttaaacccttt nnnooo::: --- HHHaaassssssaaannn ZZZiiiccckkkeeerrr---000777777777555777555111666555 /// AAAaaammmiiirrr CCCaaadddeeerrr---000777777666222222777666333444

EEE---mmmaaaiiilll ::: ---nnnoooooorrriiimmmeeehhhfffiiilll@@@gggmmmaaaiii lll...cccooommm

www.noorimehfil.com

The Committee:

Patron: His Eminence Hazrath Allama Maulana Mufthy Noorul Hassan Noori Sahib

Committee Members: Mohammed Hasan Zicker Sivani Aamir Abdul Cader Dangra Mohammed Junaid Ariff Jardy

Abdus Samad Rafeek Fazal Abdul Razzaq Ashraf Bhudani Mustafa Raza Zaffer Dhedhi

Mohammed Anas Anees Ghulam Anwer Silat

Kaam Wo Le Leleejiye Tum ko Jo Raazi Kare Theek Ho Naame Raza Tum Pe Karoro Durood

www.noorimehfil.com

Noori Mehfil Committee

Message from the Noori Mehfil Committee …

Noori Mehfil Committee was initiated in 2002 by Mufthy Allama Noorul Hassan Qibla (Former Principal of Madrasa Faiz-e-Raza).The students of Madrasa Faiz-e-Raza were appointed as the committee for this Noori Mehfil Committee, we started of with the weekly Mehfil.The routine of this Mehfil is as follows. Quirath, Naath, Bayaan, Zikr, Dua and Salaatho Salaam. Mash’allah we have done many projects in the past years which includes the Publishing of pamphlets weekly, Halqa-e Qur’an, Urs of Alahazrat, Collaboration with the All-Ceylon Ahle Sunnah Organization Annual Meelad, Printing of Souvenir, Organizing Islamic Competitions for Meelad-Un-Nabi (Sallalhu Alaihiwasllam), and now the Transliteration of the Naath book ‘Noori Mehfil’. Our weekly program is held at Madrasa Faiz-e-Raza no 79, Hampden Lane, Colombo-06, from Namaaz-e Maghrib to Isha. We hope to continue working under the shadows of these great personalities. We dedicate this publication of Naath towards our Peer-o-Murshid Huzoor Thaaj e Shariath Faqeeh e Islam, Allama Al haj Mufthy Akhthar Raza Khan Saheb Qadri Razavi (maddazillahul aali). Naaths are generally the most impressive and honorable way to praise our Beloved Prophet Muhammad (Sallallahu Alaihiwasallam). By providing this Urdu book in to English we have attempted to get the people who aren’t able to read Urdu to practice these Naaths. We are thankful to each and everyone who assisted us along with this transliteration. We have tried our level best to get this Naaths perfectly done word to word, If you think there is any mistake or correction to be made please let us know so that we can improve on our next edition. Khaak Ho Jaaye Adoo Jal Kar Magar Hum Tho Raza Dum He Jab Thak Dum He Zikr Un Ka Sunaathe Jaayenge Noori Mehfil Committee, Madrasa Faiz-e-Raza.

www.noorimehfil.com

To the Noori Mehfil Committee …

To the Noori Mehfil Committee …

I must commend the Noori Mehfil students for their efforts in producing this transliterated document. They have asked me write a few words. I am writing this brief introduction on the request of the members of Noori Mehfil in Colombo Sri Lanka which was initially started by Hazrat Allama Maulana Mufti Qaari Noorul Hassan Saaheb Qibla. I once again congratulate these young men and all those who are giving them support and encouraging them in their religious efforts. Kaam wo le lijiye tum ko jo Raazi kare Theek ho Naame Raza Tum Pe Karoro Durood Sag-e-MUFTI-E-AZAM Muhammad Afthab Cassim Razvi Noori Imam Mustafa Raza Research Centre – Durban South Africa. This is with great pleasure to write few words on this publication of Noori Mehfil Naath book by Noori Mehfil committee, This is indeed the need of the time as we rarely find Naath Shareef transliteration in English, I heartfully congratulate the young members of this committee for their efforts in this, also I am very much thankful to them for involving me in this, and privileging me the honour of being a part of proof reading and correction of this publication. Where I have tried to make it easy and correct as possible for the readers, for which I request the readers to correct if found any errors or misprint in order to take necessary steps to improve in the next edition May Allah reward them well and make them true workers of Ahle sunnath wa’l Jama’ath under the shadows of Our Great spiritual leader Huzoor Thaaj e Shariath Faqeeh e Islam, Allama Al haj Mufthy Akhthar Raza Khan Saheb Qadri Razavi maddazillahul aali Ae Raza Har Kaam Ka Ek Waqth Hey Dil Ko Bhi Aaraam Ho Hi Jaayega Ehsan Iqbal Patel. Anjuman Faiz-e-Raza, Colombo.

www.noorimehfil.com

What is Naath?

All Praise is due to Almighty Allah, Durood and salaams upon the Holy Prophet Muhammad (sall Allahu alaihi wasallam), who is the most exalted and blessed of Allah’s Creation. Salutations upon his blessed family and his companions who have taught us how to praise him with love respect and dignity. Naath is the praise of the Holy Prophet (Sall Allahu alaihi wasallam). This is evident from the Holy Quraan where Almighty Allah throughout it, praises his beloved Rasool (Sall Allahu Alaihi wasallam). Every Prophet foretold the coming of our Master Hazrat Muhammad (Sall Allahu alaihi wasallam) and in doing so praised and honoured him. During his blessed era which is the most exalted of all eras, and the era concerning which the Holy Prophet (Sall Allahu alaihi wasallam) said, “The Best of All Eras (Zamaana) is my Era” we found great Aashiqs of the Holy Prophet (Sall Allahu alaihi wasallam) like Hazrat Has’saan ibn Thaabit and Abdullah ibn Rawaaha (radi Allahu anhum) praising him by reciting Naath in his presence. The Holy Prophet (Sall Allahu alaihi wasallam) even made dua for these great Aashiqs. After their era, there were numerous other personalities who wrote Naaths in praise of Rasoolullah (Sall Allahu alaihi wasallam) like Sheikh Saadi Shiraazi and Imam Bauseeri for his world renowned Qasida Burda Shareef. As time passed the birth of the great Mujaddid A’la Hazrat Ash Shah Imam Ahmed Raza Khan Barelvi (radi Allahu anhu) gave birth to another blessed era where an Aashiq-e-Rasool like Imam Ahmed Raza moved his pen and wrote eloquent words in praise of the beloved Rasool (Sall Allahu alaihi wasallam) such as when he said, “Wah kya joodo karam he Sha’e Bat haa tera – Nahi Sunta hee Nahi Maangne Waala Tera” showing the excellence and generosity of the Holy Court of the Distributor of Kauthar Hazrat Muhammad Mustafa (Sall Allahu alaihi wasallam). Following in his blessed mannerism of writing, were other great personalities which included his brother; sons; students and disciples and his later generation who were inspired by his deep and sincere love for the Master of the Green Dome (sall Allahu alaihi wasallam). Amongst them are Ustaaz-e-Zaman Maulana Hassan Barelvi; Hujjatul Islam Maulana Haamid Raza Khan, Ghausul Waqt Huzoor Mufti-e-Azam Hind; Allama Jameel-e-Qaadri and today, the great grandson of A’la Hazrat, the Crown bearer of the Ahle Sunnat, Taajush Shariah Rahbar-e-Tariqat Hazrat Allama Mufti Mohammed Akhtar Raza Khan Qadri Azhari Qibla.

www.noorimehfil.com

Alahazrat Imam Ahmad Raza Khan

Mufti-e-Azam-e-Hind Mustafa Raza Khan

Imam Ahmed Raza Khan (radi Allaho anhu) was born on a Monday, the 10th of Shawaal 1272 A.H. (14th June 1856), at the time of Zohar Salaah in a place called Jasoli, which is in the city of Bareilly Shareef, India. Imam Ahmed Raza Khan Al-Qaaderi, was the son of Allamah Maulana Naqi Ali Khan, who was the son of Allamah Maulana Raza Ali KhanHe was a very handsome personality. He had very beautiful eyes, a broad forehead which always shone brightly, a bright and handsome face, firm nose, a very beautiful voice, a broad chest filled with the knowledge and wisdom of Deen. Sayyiduna Aala Hazrat (radi Allaho anhu) delivered his first lecture at the age of 6 years. It was during the glorious month of Rabi-ul-Awwal. AalaHazrat (radi Allaho anhu) stood on the Mimbar (Pulpit) and delivered a lecture before a very large gathering which also consisted of Ulema. Hewas only 4 years old when he completed the recitation of the Holy Quran. Due to the extraordinary intelligence bestowed upon him by Almighty Allah, Aala Hazrat (radi Allaho anhu) completed his islamic education at the very young age of 13 years, 10 months and 5 daysIn the year 1291 A.H. (1874), Aala Hazrat (radi Allaho anhu) married Sayyidah Irshaad Begum (radi Allaho anhu) who was the beloved daughter of Sheikh Fadhl Hussain Sahib. He was 18 years old at the time of his Nikah. He spent much of his valuable time writing Poetry. His Poetry mostly consisted of Naath Shareef in praise of the Holy Prophet Muhammad (Sall Allaho alaihi wasallam) and Manqabats. In all the Naath Shareefs that were written by Aala Hazrat (radi Allaho anhu), it is evident that his heart and soul were drowned in the love of the Holy Prophet Muhammad (Sall Allaho alaihi wasallam). Aala Hazrat's (radi Allaho anhu) poetry was compiled to form the famous, "Hidayake Bakhshish," (Gardens of Forgiveness) Ghousul Waqt, Mufti-e-Azam-e-Hind (radi Allaho anhu) was born on Monday, 22nd of Zil Hijjah 1310 AH (18 July 1892) in the most beautiful city of Bareilly Shareef, India. At the time of the birth of Ghousul Waqt, Mufti-e-Azam-e-Hind (radi Allaho anhu), his distinguished father, was in Mahrerah Shareef, one of the great spiritual centres of the Sunni WorldGhausul Waqt, Mufti-e-Azam-e-Hind (radi Allaho anhu) attained most of his early education from his illustrious family - from his father, AalaHazrat, Ash Shah Imam Ahmed Raza Khan Al Qaderi (radi Allaho anhu) the Mujaddid of IslamMufti-e-Azam-e-Hind (radi Allaho anhu) married the blessed daughter of his paternal uncle, Hazrat Muhammad Raza Khan (radi Allaho anhu). In the world of poetry, Mufti-e-Azam-e-Hind, Maulana Mustafa Raza Khan (radi Allaho anhu) was a Giant of his time. Most of his poems were in the form of Humd (Praise of Allah), Naath Shareef, Qasidas and Manqabats compiled in the Arabic, Urdu, Persian and Hindi languages. All these poems were compiled into a book which is famously known as "Samaane Bakhshish" which is still available today.

www.noorimehfil.com

Taajush Shariah Allama Akhtar Raza Khan

Hujjatul Islam Maulana Haamid Raza Khan

Hujjatul Islam was the son of the Mujjadid of the fourteenth Century, Aala Hazrat Ash Shah Imam Ahmed Raza Khan Qaaderi Barakaati (radi Allahu anhu), who was the son of? Hazrat Allama Maulana Naqi Ali Khan (radi Allahu anhu), who was the son of Maulana Raza Ali Khan (Radi Allahu anhu). He attained his knowledge at the feet of his blessed father, Sayyiduna Aala Hazrat Azeemul Barkat (radi Allaho anhu). He attained proficiency in the fields of Hadith, Islamic Jurisprudence, Tafseer etc. and graduated with distinctions at the tender age of nineteen. His blessed father admired Hujjatul Islam for his sincerity and dedication in gaining knowledge. Aala Hazrat (radi Allaho anhu) loved him so dearly, that he said.He attained all his knowledge at the feet of his blessed father, Sayyiduna Aala Hazrat Azeemul Barkat (radi Allahu anhu). He attained proficiency in the fields of Hadith, Islamic Jurisprudence, Tafseer etc. and graduated with distinctions at the tender age of nineteen. He was the combination of many inner spiritual qualities. He was not only a great scholar, but he was the best teacher of his time. He was famous for his lectures on the topics of Hadith and Tafseer. His love for the Holy Prophet (Sall Allaho alaihi wasallam) can be seen in his Naaths, which he wrote in Praise of the Most Exalted of all Creation, Sayyiduna Rasoolullah (Sall Allaho alaihi wasallam).

Taajush Shariah, Hadrat Allama Mufti Mohammed Akhtar Raza Khan Azhari al-Qaadiri, son of Mufassir-e-Azam, Hazrat Maulana Ibrahim Raza Khan (radi Allahu anhu), son of Hujjatul Islam, Hadrat Maulana Haamid Raza Khan (radi Allahu anhu), son of Imam-e-Ahle Sunnah, Mujaddid-e-Deen-o-Millat, Ash Shah Imam Ahmad Raza Khan (radi Allahu anhu) was born on the 25th of Safar 1942, in the district of Saudagran with in the city of Bareilly Shareef, India. His mother, who is the blessed and pious daughter of Huzoor Mufti-e-Azam-e-Hind (radi Allahu anhu), showed great concern for his study as she was certain that he would be the Khalifah (Spiritual Successor), of Huzoor Mufti-e-Azam-e-Hind (radi Allahu anhu). When he reached the age of 20, he was blessed with Khilafah by Ghousul Waqt, Huzoor Mufti-e-Azam-e-Hind (radi Allahu anhu). This distinguished function took place on the 15th of January 1962. Many great personalities were present at this function. Amongst them were Shamsul Ulama, Maulana Shamsuddeen Ahmad and Burhanul Millat, Hadrat Burhanul Haq. Taajush Shariah married the daughter of Hakimul Islam, Maulana Hasnain Raza Khan on Tuesday, the 3rd of November 1968, in Bareilly Shareef. His Eminence, following the great tradition of his illustrious family and whose love for Sayyiduna Rasoolullah (sallal laahu alaihi wasallam) knew no bounds, has composed many a Naath Shareef. By these compositions one is able to estimate his immense love and reverence for Sayyiduna Rasulullah (sallal laahu alaihi wasallam). His composition of Naath Shareef is found in a book entitled ‘Safina Bakhshish’, which he written in 3 different languages. The first of these were written while he was only 19 years old.

www.noorimehfil.com

Contents

☯ Aabroo-e moo’minaa ahmad raza khan ☯ Aankhe ro ro ke sujaane waale ☯ Aankho ka thaara naame Muhammad ☯ Aashiqown wird karo ☯ Aasiyown ko dar thumhaara ☯ Aasmaa gar thereyy thalwon ka nazaara ☯ Adaa’e Mustafa thum ho ☯ Ae deene haq ke rehbar ☯ Ae sabaa ley jaa madeene ko payaam ☯ Ae shaafi’e umam shahe zee jaah ☯ Ahle siraat roohe ameen ko ☯ Ahmad raza ka thaaza gulisthaa he ☯ Ai shahenshaahe madeena ☯ Aisa thujhe khaaliq ne ☯ Ajab rang par hai ☯ Allahu Allahu Allahu Allahu ☯ Andheri raath hai ghum ki ☯ Apne dar pe jo bulaa-o tho ☯ Arshe Haq hai Musnade ☯ Aseerown ke mushkil kusha ghouse a`zam ☯ Baaghe jannath ke hai ☯ Bahaare jaanfiza thum ho ☯ Bakhthe khufthaa ne mujhe ☯ Banda milne ko qareebe hazrathe qaadir gayaa ☯ Bheeni suhaani sub’h me ☯ Chal diye thum aankh me ashkown ☯ Chamak thujh se paathey hein ☯ Chamane taiba me sumbul jo ☯ Chehra e zaiba there ahmad raza ☯ Daaghe furqathe Taiba ☯ Dame izthiraab mujh ko ☯ Dard-e dil kar mujhe athaa Yaa Rab ☯ Dil dard se bismil ki tarah ☯ Dil kehtha hai har waqth ☯ Dil me ho yaad theri ☯ Do aalam me rowshan hai ikka thumhaara ☯ Do jahaan me koi thum sa ☯ Dushmane ahmad pe shiddath keejiye ☯ Eemaan hai qaale mustafa-ee ☯ Fouj-e-Ghum ki baraabar

www.noorimehfil.com

☯ Furqathe Taiba ki wahshath ☯ Guzre jis raah se wo ☯ Haajiyo aawo shahenshaah ka rowza dekho ☯ Habeeb-e khuda ka nazaara karoon mein ☯ Hai kownein ke sar pe rahmath ☯ Har nazar kaanp uth'egi ☯ He kalaame ilaahi ☯ Hirze jaan zikre shafa’ath keejiye ☯ Hum apni hasrathe dil ko ☯ Jaan-e mureedaan sham’e hidaayath ☯ Jaan-o dil se thum pe meri ☯ Jahaan baani atha kardein ☯ Jithna merey khuda ko hai mera nabi azeez ☯ Kaabe ke badruduja ☯ Karam jo aap ka ae sayyide abraar ☯ Kare chaarah saa zee ☯ Karlo maqbool ya rasoolallah ☯ Karthe hein jinno bashar ☯ Kaun kehtha hain aankhein ☯ Khila mere dil ki kalee Ghouse Azam ☯ Khuda ke fazl se hum par ☯ Khwaaja-e hind woh darbaar hai ☯ Kis ke jalwe ki jhalak ☯ Koi kya jaane jo thum ho ☯ Kuch ais kar de mere ☯ Kya hi zo kafza shafa'ath hai ☯ Kya mahakthe hai mahakne waale ☯ Laa maawjooda illallah ☯ Lam yaathi nazeeruka fee nazarin ☯ Lutf unka aam ho hi jaayega ☯ Maqbool dua karna ☯ Mazhare shaane ghousul waraa he raza ☯ Mere Allah ke nigar salaam ☯ Mufthye Aazam deene khairul waraa ☯ Muradein mil rahi hein ☯ Mustafa jaane rehmath pe laakhown salaam ☯ Mustafa khairul waraa ho ☯ Na cheydo zikre jannath ab ☯ Na ho aaraam jis beemar ko ☯ Na kyoon aaraihe kartha

www.noorimehfil.com

☯ Nabi aaj peyda huwa chahtha hai ☯ Nabi sarware rasoolo waali ☯ Nazar ik chaman se do chaar hai ☯ Ni'mathein baat-tha ☯ Paa-t wo kuch dhaar ye kuch ☯ Payaam le ke jo aayi sabaa ☯ Peerown ke aap peer hein ☯ Peyshe haq muzda shafa’at ☯ Phir ke gali gali thabaah ☯ Pul se uthaaro raah guzar ko ☯ Purnoor hai zamaana sub’e shabe wilaadath ☯ Qaseeda Burdah shareef ☯ Raah pur khaar hai kya howna hai ☯ Range chaman pasand ☯ Rukh din he ya mahre samaa ☯ Rusul unhein ka tho muzda ☯ Sab se aula o a'ala hamaara nabi ☯ Sachhi baath sikhaathe ☯ Sahaabe rehmath baari hai ☯ Sajaa'ath naaz karthe hai ☯ Sambhal ja ae dile muzthar ☯ Sar soo'e do jahaan ka ☯ Sarwar kahoon ke maaliko maula ☯ Seyre gulshan kaun dekhe ☯ Seyyadi murshidi jaane ahle sunan ☯ Shah kownain jalwa numa hogaya ☯ Shahe arshe a'laa salaamun alaikum ☯ Shukre khuda ke aaj ghadi us safar ☯ Soona jangal raath andheri ☯ Subho Taiba me huwi ☯ Sulthaane jahaan mehboobe khuda ☯ Sunthe hai ke mehshar me ☯ Tabee'ath aaj kyoon aisi rasa hai ☯ Talab ka munh tho kis qaabil ☯ Thajalli-e-noor-e qidam ghouse a’zam ☯ Therey daaman-e karam me ☯ Therey dar pe saajid hein ☯ Thu sham-e-risaalath hai ☯ Thum par laakhown salaam ☯ Thum zaathe khuda sey na juda

www.noorimehfil.com

☯ Thumhaara naam museebath me jab liya ☯ Thumhe jis ney bhi dekha ☯ Unki mahak ne dil ke ☯ Ut’haado pardah dikhaado chehra ☯ Wah kya joodo karam ☯ Wah kya marthaba ae ghous ☯ Waha kya marthaba huwa thera ☯ Wahi rab hai jis ne tujh ko ☯ Wasf e rukh un ka kiya karthe hai ☯ Wo bad'htha saaya rahmath chala ☯ Wo husn he ae sayyide abraar ☯ Wo kamaale husne huzoor ☯ Wo sarware kashware risaalath ☯ Wo soo'e laala zaar phirthe hai ☯ Ya Ilaahi har jagah ☯ Ya Ilaahi raham farma ☯ Ya rab mere dil me hai ☯ Ya rasoolallah aa kar dekh lo ☯ Yaad me jis ki nahi ☯ Yeh wo mehfil hai jis me ☯ Zahey Izaath ☯ Zameen o zamaan thumhaara ☯ Zeenathe sajjaadah wo bazme qazaa

☯ Allah ki sar tha ba qadam shaan hein ye ☯ Dunya me har aafath se bachaana maula ☯ Waadi raza ki kohe himaala raza ka hai

www.noorimehfil.com

Aabroo-e moo’minaa ahmad raza khan qaadri Rahnumaa-e gumrahaa ahmad raza khan qaadri Ilm me behre rawaan ahmad raza khan qaadri Deen me gowhar fashaa ahmad raza khan qaadri Hai arab ke aalimo ka mad’ha khwaa saara jahaa Aur wo there mad’ha khwaa ahmad raza khan qaadri Deen ka dushman ho ya ho dosth sab ke waaste Hai theri haq go-zabaa ahmad raza khan qaadri There sadqe me khuda chaahe to paayenge ghulaam Kal wahaa baaghe jinaa ahmad raza khan qaadri Aalimaane makka-o taiba ne lee thujh se sanad Hai wo therey qadrawaa ahmad raza khan qaadri Kya sathaa sakthe hai thujh ko therey aadaa murshida Haq hai thujh par meharbaan ahmad raza khan qaadri Dekh kar jalwa ashiddaa alal kuffaar ka Har adoo he be-zabaa ahmad raza khan qaadri Aa chali thhee sheikh e najdee ke bayaabaa me bahaar Bhej dee thu ne khazaan ahmad raza khan qaadri Fath’ha dee haq ne thujhe aa’daa-e deen par daa’imaa Thujh pe hai haq meharbaan ahmad raza khan qaadri Aap ka haamid hai haamid sayyid e kounein ka Hai ye theri iz’zo shaan ahmad raza khan qaadri Muhiy e sunnath aur mujaddid is sadee ke aap hein Ae imaam e mufthiyaan ahmad raza khan qaadri Dey mubarakbaad un ko qaadri razavi jameel Jin ke murshid hein miyaa ahmad raza khan qaadri

Aabroo-e Moo’mina

www.noorimehfil.com

Aankhe Ro Ro Ke Aankhe ro ro ke sujaane waale Jaane waale nahee aane waale Zib’ha hothe hein wathan se bichhdey Dile kyoo gaathe hai gaane waale Sunle aada me bigad-ne ka nahi Wo salaamat hein banaane waale Jeethe kya dekh ke hein ae hooro Taiba se khuld me aane waale Husn thera saa na dekha na sunaa Kehthe hein agle zamaane waale Wahee dhoom unki hai masha allah Mit gaye aap mitaane waale Saath le lo mujhe mai mujrim hoo Raah me padhthe hein thhaane waale Kyoo raza aaj gali sooni hai Uthh mere dhoom machaane waale

www.noorimehfil.com

Aankho ka Thaara Aankho ka thaara naame Muhammad Dil ka ujaala naame Muhammad (sallallahu alaihiwasallam) Hein yun tho kasrath se naam leikin Sub se hey pyaara naame Muhammad (sallallahu alaihiwasallam) Dowlath jo chaaho downo jahaan ki Karlo wazeefa naame Muhammad (sallallahu alaihiwasallam) Salle ala ka sehra sajaa kar Doolha banaaya naame Muhammad (sallallahu alaihiwasallam) Nooh-o khaleel-o Moosa-o Eesa Sab ka hey aaqa naame Muhammad (sallallahu alaihiwasallam) Saare chaman me laakho gulown me Gul hai hazaara naame Muhammad (sallallahu alaihiwasallam) Paayein muraadein downo jahaa me Jisne pukaara naame Muhammad (sallallahu alaihiwasallam) Mu’min ko kyoon ho khathra kaheen par Dil par he kandah naame Muhammad (sallallahu alaihiwasallam) Rakhkho lahad me jis dum azeezo Mujh ko sunaana naame Muhammad (sallallahu alaihiwasallam) Padhthi duroodein dowd’hengi hoore Laasha jo le ga naame Muhammad (sallallahu alaihiwasallam) Roze qayaamat meezaan-o pul par Dega sahaara naame Muhammad (sallallahu alaihiwasallam) Poochhe ga maula laaya hai kya kya Mai ye kahoonga naame Muhammad (sallallahu alaihiwasallam) Beyda thabaahi me aagayaa hai De de sahaara naame Muhammad (sallallahu alaihiwasallam) Zakhmi jigar par majrooh dil par Marham lagaa jaa naame Muhammad (sallallahu alaihiwasallam) Apne raza ke qurban jaa-oon Jis ne sikhaaya naame Muhammad (sallallahu alaihiwasallam) Aankho me aakar dil me samaa kar Rangath rachaa jaa naame Muhammad (sallallahu alaihiwasallam) Apne jameel-e-razavi ke dil me Aaja samaaja naame Muhammad (sallallahu alaihiwasallam)

www.noorimehfil.com

Aashiqo wird karo salle alaa aaj ki raath Me padhoon shaah ki kuch mad’h o sanaa aaj ki raath Pheyli aalam me Muhammad ki ziya aaj ki raath Mah-o-kursheed ne munh dhaank liya aaj ki raath Maanglo maangna ho jis ko du’a aaj ki raath Waa dar-e-paak ijabath ka huwa aaj ki raath Isliye nasb kiya sabz alam ka’ba par Hafth aqleem ka maalik woh huwa aaj ki raath Ahle thowheed se thakbeer ka woh showr ut’ha Ke sanam khaanown me kohraam machaa aaj ki raath Sarangown ho gaye buth roo’ae zameen ke saare Kaa’ba e paak bhi sajde mei jhuka aaj ki raath Aasmaan hotha hai qurban ye zameen se keh kar Kee khuda ne thujhe daulath ye athaa aaj ki raath Jaanwar dethey hein aapas mei mubarak-baadi Aur shayatheen mei hai faryad-o-baka aaj ki raath Aarahe hein dar-e-aqdas pe muradein leyne Haath phela’ae huwe shah-o-gada aaj ki raath Apne mahboob ki Allah ne ummath me kiya Sunniyo milke karo shukr-e-khuda aaj ki raath Ae Jameel-e-razavi wasf-e-nabi kar ithna Ke raza mand ho ahmad ki raza aaj ki raath

Aashiqo Wird Karo

www.noorimehfil.com

Aasiyown ko dar thumhaara mil gaya Be-t’hikaanown ko t’hikaana mil gaya Fazle rab se phir kami kis baath ki Mil gaya sab kuch jo Taiba mil gaya Kashfe raaze mar ra’aani yun huwa Thum mile tho haq tha’ala mil gaya Be khudi he baa’ise kashfe hijaab Mil gaya milne ka rastha mil gaya Naa khudaa-i ke liye aaye huzoor Doobthown ko bhi sahaara mil gaya Aankhein purnam hogayi dil jhuk gaya Jab thera naqshe kafe pa mil gaya Khuld kaisa kya chaman kis ka wathan Mujh ko sehraa-e- madeena mil gaya Hai muhabbath kis qadar naame khuda Naame haq se naame waala mil gaya Un ke taalib ne jo chaaha paa liya Un ke saa’il ne jo maanga mil gaya Therey dar ke tukde hein aur mai ghareeb Mujh ko rowzi ka t’hikaana mil gaya Ae Hasan firdous me jaaein janaab Hum ko sehraa-e- madeena mil gaya

Aasiyown Ka Dar

www.noorimehfil.com

Aasma Gar There Aasmaa gar thereyy thalwon ka nazaara kartha Roz ik chaand tasadduq me uthaara kartha Towfe rowza hi pe chakraaye thhey kuch na waaqif Mai tho aape me na thha aur jo sajda kartha Sar-sare dashthe madeena jo karam farmaathi Kyoo me afsurdagi-e bakhth ki parwa kartha Chhup gaya chaand na aayi thereyy deedar ki thaab Aur agar saamne rehtha bhi tho sajda kartha Ye wahee hein ke giro aap aur un par machlo Ulti baathown pey kaho kaun naa seedhha kartha Hum se zarrown ki tho thaqdeer hi chamka jaatha Mehar farma ke woh jis raah se nikla kartha Dhoom zarrown me anash-shams ki padhh jaathi hey Jis tharaf se hey guzar chaand hamaara kartha Aah kya khoob thha gar haazire dar hotha mai Unke saaye ke thaley chein se soyaa kartha Ai Hasan qasde madeena nehi rownaa hai yehi Aur mey aapse kis baath ka shikwa kartha

www.noorimehfil.com

Adaa’e Mustafa thum ho razaa’e mustafa thum ho Har ik atwaar se ae muqthadaa ahmad raza thum ho Shabeeh e hazrathe ghousul wara ibne raza thum ho Jahaane ilm ke mufthy e a`zam mustafa thum ho Walee ibne walee zinda walee ho paarsaa thum ho Saraapa zuhd ho aur paykare sidq o safaa thum ho Pilaado jaame noori apni nooraani nigaahown se Ke noori maikadah hai aur meer e saaqiya thum ho Kisee ko kyoo suna-oo daasthaan apne masaa’ib ki Mere dukh ki dawaa thum ho mere mushkil kushaa thum ho Mujhe thowfeeq e sabr o isthiqaamath bakhsh do aaqa Mujassam isthiqaamath paykare sabr o raza thum ho Usee meet’hi nazar se dekh lo phir apne mangtha ko Ke us ki aarzoo hasrath thaman’na mud’dua thum ho Thumhari zaath me jalwey raza haamid raza ke hein Merey haamid raza thum ho merey ahmad raza thum ho Wo merey saamne hein poochhthe hein aarzoo kiya hai Merey maula zabaan deyde tho kehdoo mud’dua thum ho Sakhee thum ho me saa’il hoon wali thum ho me aasi hoo Mareeze darde isyaa hoo dawaa thum ho shifaa thum ho Raaza–o haamid-o noori ka gulshan hai bahaarown par Shaguftha is chaman mey khair se Raihaan raza thum ho

Adaa’e Mustafa Thum

www.noorimehfil.com

Ae deene haq ke rehbar thum par salaam hardam Mere shafee-e mahshar thum par salaam hardam Dunya-o aakhirath me jab mai rahoon salaamath Pyaare pad’hoo na kyoonkar thum par salaam hardam Banda thumhare dar ka, aafath me mubthala hai Raham ae habeeb e daawar, thum par salaam hardam Jilaade nafse budd se deeje mujhe riha’yee Ab hai galey pe khanjar thum par salaam hardam Koi nahi hai mera me kis se daad chaahoon Sulthaane banda parwar thum par salaam hardam Bulwaa ke apne dar par ab mujh ko deeje izzath Phirtha hoo khwaar dar dar thum par salaam hardam Bahre khuda bachaa-o un khaar-haa’e ghum se Ik dil hai laakh nashthar thum par salaam hardam Koi nahi hamaara hum kis ke dar pe jaaye Ae be kasown ke yaawar thum par salaam hardam Kya khauf mujh ko pyaare naare jaheem se ho Thum ho shafee-e mahshar thum par salaam hardam Apne gadaa-e dar ki leeje khabar khudaara Keeje karam Hasan par thum par salaam hardam

Ae deene haq ke

www.noorimehfil.com

Ae sabaa ley jaa madeene ko payaam Arz karde un se baa-sadd ehthiraam Ae makeene gumbad e khazraa salaam Ae shakeebe har dile shaydaa salaam Ab madeene me mujhe bulwaai-e Apne be-kas par karam farmaai-e Bulbul e be par pe ho jaaye karam Aashiyanash deh ba gulzaare haram Hind ka jungle mujhe bh-aatha nahi Bas gayi aankhown me taiba ki zamee Zindagi ke hai madeene me mazey Aish jo chaahe madeene ko chaley Khuld ki khaathir madeena chhowd doon Ee khayaal asth o muhaal asth o junoo Mujh se pehle mera dil haazir huwa Arz e taiba kis qadar hai dil rubaa Kithni pyaari hai madeene ki chamak Roshni hee roshni hai thaa falak Kithni bheeni hai madeene ki mahak Bas gayee boo-e madeena arsh tak Kithni roshan hai yahaan har eik shab Har tharaf hai thaabishe maahe arab Kya madeene ko zaroorath chaand ki Maahe taiba ki hai har soo chaandni Noor waale saahibe me’raaj hai Mahr o maah unke sabhee muhthaaj hai Ai khusha bakhthe rasaa-e akhthar-ath Baaz aawardee gadaa raa bardarath

Ae Sabaa Ley Jaa

www.noorimehfil.com

Ae shaafi’e umam shahe zee jaah le khabar Lillaah le khabar meri lillaah le khabar Daryaa ka josh naa-o na beydaa na naa-khuda Me dooba thu kahaan hai mere shah le khabar Manzil kadee hai raath andheri mai naa balad Ae khizr le khabar meri ae maah le khabar Pahunche pahunchne waale tho manzil magar shaha Un ki jo thhak ke beyt’he sare raah le khabar Jungle darindo ka hai me be yaar shab qareeb Gherey hein chaar simth se badkhwaah le khabar Manzil nayee azeez judaa log naashanaas Toota hai kohe ghum me par kaah le khabar Wo sakhthiyan sawaal ki wo soorathein muheeb Ae ghumzadown ke haal se aagah le khabar Mujrim ko baargahe adaalath me laaye hein Thaktha hai be kasi me theri raah le khabar Ahle amal ko unke amal kaam aayenge Mera hai koun therey siwa aah le khabar Maana ke sakhhth mujrim o na-kaara hai Raza Thera hi thu hai banda-e dargah le khabar

Ae Shaafi’e Umam

www.noorimehfil.com

Ahle siraat roohe ameen ko khabar karein Jaathi he ummathe nabawi farsh par karein In fithna haaye hashr se keh do hazar karein Naazown ke paale aathe hein rah se guzar karein Badd hein tho aap ke hein bhaley hein tho aapke Tukdown se tho yahaan ke pale rukh kidhar karein Sarkar hum kameeno ke atwaar par na jaaye Aaqa huzoor apne karam par nazar karein Un ki haram ke khaar kasheedah hein kis liye Aankho me aaye sar pe rahein dil me ghar karein Jaalo pe jaal pad’h gaye lillaah waqth hai Mushkil kushayi aap ke naakhun agar karein Manzil kadee hai shaane tabassum karam karein Thaarown ki chha’oo noor ke thadke safar karein Kilke Raza hai khanjare khoonkhwaar barq baar Aa’da se keh do khair manaaye na shar karein

Ahle Siraat Roohe

www.noorimehfil.com

Ahmad raza ka thaaza gulisthaa he aaj bhi Khursheed ilm unka darakhsha he aaj bhi Arsa huwa wo marde mujaahid chala gaya Seeno me ek sowzishe pinhaa he aaj bhi Eemaan paa raha hai halaawath ki ni’mathein Aur kufr therey naam se larzaa he aaj bhi Kis tharah ithne ilm ke darya bahaa diye Ulama-e haq ki aq’l tho heyraan he aaj bhi Sab un se jalne waalon ke gul ho gaye chiraagh Ahmed raza ki sham’a farozaa he aaj bhi Bhardee dilown me ulfath o azmath Rasool ki Jo makhzane halawathe eemaan he aaj bhi Thum kya gaye ke rownaqe mehfil chali gayi Shei’ro adab ki zulf pareshaa he aaj bhi Aalim ki mauth kehthe hein aalam ki mauth he Ahle jahaan ki rooh pareshaa he aaj bhi Lillaah apne faiz se ab kaam leejiye Fithnown ke sar ut’haane ka imkaan he aaj bhi Mirzaa sarey niyaaz jhukaata he isliye Ilm o amal pe aap ka ehsaan he aaj bhi

Ahmad Raza Ka Taaza

www.noorimehfil.com

Ai shahenshaahe madeena assalaathu wassalaam Zeenathe arshe mu’alla assalaathu wassalaam Rabbi habli ummathi kehthe huwe paida huwe Haq ne farmaaya ke bakhsha assalaathu wassalaam Dasth bastha har farishthe ne padhaa un par darood Kyoo na ho phir wird apna assalaathu wassalaam Moo’mino padhte raho thum apne aaqa par darood Hai farishthown ka wazeefa assalaathu wassalaam Buth shikan aaya ye keh kar sar ke bal buth girgaye Jhoom kar kehtha thha kaa’ba assalaathu wassalaam Sar jhuka kar baa-adab ishqe rasoolullah me Keh raha thha har sithaara assalaathu wassalaam Ghunche chat-key phool mahke chah-chahaayen bulbulein Gul khila baaghe ahad ka assalaathu wassalaam Mai woh sunni hoon Jameel-e qaadri marne ke ba’ad Mera laasha bhi kahega assalaathu wassalaam

Ai Shahenshaahe Madeena

www.noorimehfil.com

Aisa thujhe khaaliq ne thareh daar banaaya Yoosuf ko thera thaalibe deedaar banaaya Tal’ath se zamaane ko pur anwaar banaaya Nik’hath se galee koochown ko gulzaar banaaya Kownein banaaye gaye sarkaar ki khaathir Kownein ki khaatir thumhe sarkaar banaaya Kunjee thumhe dee apne khazaanown ki khuda ne Mahboob kiya, maalik o mukhthaar banaaya Aalam ke salaatheen bhikaari hein bhikhaari Sarkaar banaaya thumhe sarkaar banaaya Ye laz’zathe paa bows ke pat’thar ne jigar me Naqshe qadame sayyide abraar banaaya Allah tha’ala bhi huwa uska tharaf daar Sarkaar thumhe jisne tharaf daar banaaya Gulzaare jinaan therey liye haq ne banaaye Apne liye thera gul e rukhsaar banaaya Be-yaaro madadgaar jinhein koi naa poochhe Aisown ka thujhe yaar o madadgaar banaaya Har baath bad aa’maliyown se mey ne bigaadi Aur thum ne meri bigdi ko har baar banaaya Unke lab e rangeen ki nichhaawar thhee ke jisne Pat’thar me Hasan la’ale pur anwaar banaaya

Aisa thujhe khaaliq

www.noorimehfil.com

Ajab rang par he bahaar-e-madeena Ke sab jannathein hein nisaar-e-madeena Mubaarak rahey andaleebown thumhey gul Hamein gul se behthar he khaare madeena Meri khaak yaa rab na barbaad jaaye Pasey marg karde ghubaare madeena Malaaik lagaathe hein aankhown me apni Shab-o rowz khaake mazaar-e-madeena Jidhar dekhiye baaghe jannath khila hai Nazar me hein naqsh o nigaare madeena Rahey unke jalwe basey unke jalwe Mera dil bane yaadgaare madeena Do aalam me bat-tha he sadqa yahaan ka Hameein ik nahi reyza khwaare madeena Muraade dile bulbule be nawaa de Khudaya dikha de bahaare madeena Sharaf jin se haasil huwa ambiya ko Wohi hein Hasan ifhtikhaar-e-madeena

Ajab Rang Par

www.noorimehfil.com

Allahu Allahu Allahu Allahu Qalb ko uski rooyath ki hai aarzoo Jis ka jalwa hai aalam mey har chaarsoo Balke khud nafs me hai wo subhaanahu Arsh par hai magar arsh ko jushthajoo Allahu Allahu Allahu Allahu Arsh o farsh o zamaan o jahath ai khuda Jis tharaf dekhtha hoon hai jalwa thera Zarre zarre ki aankhown me thu hee ziyaa Qathre qathre ki thu hee tho hai aabroo Allahu Allahu Allahu Allahu Thu kiseeo jaa nahee aur har jaa he thu Thu munazza makaan se mubarra zasoo Ilm o qudrath se har jaahe thu koo bakoo Therey jalwe hai har har jagaa ae afoo Allahu Allahu Allahu Allahu Saare aalam ko hai theri hee justhajoo Jinn o ins o malak ko theri aarzoo Yaad me theri har ek hai so basoo Ban me wahshi lagaathe hein zarbaathe hoo Allahu Allahu Allahu Allahu Naghma sanjaane gulshan me charchaa thera Chah-chahe zikre haq ke hein subh o masaa Apni apni chahak apni apni sadaa Sab ka mathlab hai waahid ke waahid hai thu Allahu Allahu Allahu Allahu Taa’iraane jinaa me theri guftagoo Geeth therey hee gaathey hein wo khush guloo Koyi kehtha hai haq koyi kehtha hai hoo Aur sab kehthe hein laa shareeka lahoo Allahu Allahu Allahu Allahu Bhar de ulfath ki mai se hamaara saboo Dil me aankho me thu aur lab par ho thu Kaif me wajd karthe phirey koobakooo Wird gaaya kare pey ba pey soobasoo Allahu Allahu Allahu Allahu Afwu farma khathaaein merey ae afoo Showq o thowfeeq neki ka dey mujhko thu Jaaree dil kar ke hardam rahey zikre hoo Aadathe badd badal aur kar nek khoo Allahu Allahu Allahu Allahu Khwaabe Noori me aaye jo noore khuda Buq-a’e noor ho apnaa zulmath kadaa Jag magaa ut-the dil chehrah ho purziyaa Nooriyown ki tharah shughl ho zikre hoo

Allahu Allahu

www.noorimehfil.com

Andheri raath hai ghum ki ghata isyaan ki kaali hai Dil e be kas ka us aafath me aaqa thu hi waali hai Na ho maayoos aathi hai sadaa gowre ghareebaan se Nabi ummat ka haami hai khuda bandown ka waali hai Uthaarthe chaand d’halti chaandni jo ho sake karle Andhera paakh aatha hai ye do din ki ujaali hai Arey ye bhediyon ka ban hai aur shaam aagayi sar par Kahaan soya musaafir haaye kithna laa ubaali hai Andhera gar akeli jaan dum ghut-tha dil ukthaatha Khuda ko yaad kar pyaare wo saa-ath aane waali hai Na chonka din hai d’halne par teri manzil huwee khoti Arey owjaane waale neend ye kab ki nikaali hai Raza manzil tho jaisi hai wo ik me kya sabhi ko hai Thum us ko rowthe ho ye to kaho yaan haath khaali hai

Andheri Raath Hai

www.noorimehfil.com

Apne dar pe jo bulaa-o tho bohoth achha ho Meri bigdi jo banaa-o tho bahut accha ho Qaide shaitha se churaa-o tho bohoth achha ho Mujhko apna jo banaa-o tho bohoth achha ho Gardishe dowr ne paa-maal kya mujhko huzoor Apne qadmown me sulaa-o tho bohoth achha ho Yun tho kehlaatha hoon banda mai thumhaara leikin Apnaa keh ke jo bulaawo tho bohoth achha ho Thum tho murdown ko jilaa deythe ho mere aaqa Mere dil ko bhi jilaa-o tho bohoth achha ho Jis ne sharminda kiya mahr o mah o anjum ko Ik jhalak phir wo dikhaa-o tho bohoth achha ho Ro chukaa yun tho mai aurown ke liye khoob magar Apni ulfath me rulaa-o tho bohoth achha ho Yun na Akhthar ko phiraa-o mere maula dar dar Apni chokhat pe bit’haa-o tho bohoth achha ho

Apne Dar Pe jo

www.noorimehfil.com

Arshe haq he masnade rif’ath Rasoolullah ki Dekhni he hashr me izzath Rasoolullah ki

Qabr me lehraa-enge thaa hashr chashme noor ke Jalwah farma hogi jab tal’ath Rasoolullah ki

Laa wa rabbil arsh jisko jo mila unse mila Bat’thi he kownain me ni’math Rasoolullah ki

Wo jahannam me gaya jo un se musthaghni huwa He khaleelullah ko haajath Rasoolullah ki

Sooraj ulte paawon palte chaand ishaare se ho chaak Andhe najdi dekhle qudrath Rasoolullah ki

Thujh se aur jannat se kya matlab wahaabi door ho Hum rasoolullah ke jannath Rasoolullah ki

Hum bhikaari woh kareem unka khuda unse fuzoon Aur naa kehna nahi aadath Rasoolullah ki

Ahle sunnath ka hey beyda paar as’haabe huzoor Najm hey aur naa’o hey ithrath Rasoolullah ki

Khaak ho kar ishq me aaraam se sowna mila Jaan ki akseer hai ulfath rasoolullah ki

Toot jaayenge gunahgarown ke fowran qaid-o band Hashr ko khul jaa-egi tha’aqath Rasoolullah ki

Ae Raza khud saahibe qur’aan he mad’daah e huzoor Thujh se kab mumkin he phir mid-hath Rasoolullah ki

Arshe Haq Hai

www.noorimehfil.com

Aseerown ke mushkil kusha ghouse a`zam Faqeerown ke haajath rawaa ghouse a`zam Ghiraa hai balaa-o me banda thumhara Madad ke liye aa-o yaa ghouse a`zam Therey haath me haath mai ne diya hai Therey haath hai laaj ya ghouse a`zam Bhanwar me phansaa hai hamaara safeena Bachaa ghouse a`zam bachaa ghouse a`zam Jo dukh bhar raha hoon jo gham seh rahaa hoon Kahoon kis se therey siwa ghouse a`zam Nikaala hai pehle thu doobe huwon ko Aur ab doobthown ko bachaa ghouse a`zam Phansaa hai thabaahi me beyda hamaara Sahaara lagaa do zaraa ghouse a`zam Meri mushkilown ko bhi aasaan keeje Ke hein aap mushkil kusha ghouse a`zam Qasam hai ke mushkil ko mushkil na paaya Kahaa hum ne jis waqth yaa ghouse a`zam Khilaa de jo murjhayi kaliyaa dilown ki Chalaa koyi aisi hawa ghouse a`zam Mujhe apni ulfath me aisa gumaa de Na paa-oo phir apna pathaa ghouse a`zam Sarown par jisey leythe hein thaaj waale Thumhaara qadam hai woh yaa ghouse a`zam Kahey kis se jaa kar Hasan apne dil ki Suney kaun therey siwa ghouse a`zam

Aseerown Ke Mushkil

www.noorimehfil.com

Baaghe jannath ke hai behre mad’ha khwaane ahle baith Thum ko muzhdaa naar ka ai dushmanaane ahle baith Kis zabaan se ho bayaane izz o shaane ahle baith Mad’ha goye mustafa he mad’ha khwaane ahle baith Unke ghar mey be-ijaazath jibraeel aathe nahi Qadr waale jaanthe hein qadr-o shaane ahle baith Razm ka maidaan banaa he jalwa gaah e husn o ishq Karbaala mei ho raha he imthihaane ahle baith Kis shaqee ki hey hukoomath haaye kya andheyr hai Din d’haade lut rahaa hey kaarwaane ahle baith Khushk ho ja khaak ho kar khaak me mil ja furaath Khaak thujh par dekh thu sookhi zabaane ahle baith Fathima ke laadle ka aakhri deedar hai Hashr ka hungama barpa he miyaane ahle baith Ghar lutaana jaan dena koi thuj se seekh jaaye Jaan e aalam ho fidaa ai khandaane ahle baith Sar shaheedaane muhabbath ke hein neyzown par buland Aur oonchi ki khuda ne qadr-o shaane ahle baith Ahle baith e paak se gusthakhiyaan be-baakiyaan La’nath-ullahi alaikum dushmanaane ahle baith Be-adab gusthaakh firqe ko sunaade ai Hasan Yun kahaa karthe hein sunni daasthaane ahle baith

Baaghe Jannath Ke

www.noorimehfil.com

Bahaare jaanfiza thum ho naseeme daasthaa thum ho Bahaare baaghe rizwaan thum se hai zaibe jinaa thum ho Habeebe rabbe rahmaan thum makeene laa makaa thum ho Sare har do jahaan thum ho shahe shaahenshaha thum ho Khuda ki saltanath ka do jahaan me kaun doolha hai Thumhi thum ho thumhi thum ho yahaa thum ho wahaa thum ho Zameen o aasman ki sab bahaarein aap ka sadqa Bahaare be khazaan thum ho bahaare jaawidaa thum ho Me bhoola aap ki rif’ath se nisbath hee hamein kya hai Wo kehne bhar ki nisbath thhee kahaa hum hein kahaa thum ho Me be-kas hoon me be bas hoon magar kis ka thumhaara hoon Tha-e daaman mujhe le lo panaahe be-kasaa thum ho Riyaazath ke yehi din hein bud’ha pe me kahaa himmath Jo kuch karna ho ab karlo abhi noori jawaan thum ho Sanaa manzoor hai unki nahi ye mud’dua Noori Sukhan sanj o sukhanwar ho sukhan ke nukhthadaan thum ho

Bahaare Janfiza Thum

www.noorimehfil.com

Bakhthe khufthaa ne mujhe rowze pe jaane na diya Chashm o dil seene kaleyje se lagaane na diya Aah qismath mujhe dunya ke ghamown ne rowka Haaye thaqdeer ke taiba mujhe jaane na diya Sar tho sar jaan se jaane ki mujhey hasrath hai Mauth ne haaye mujhe jaan se jaane na diya Haath pakde huwe ley jaathe jo taiba mujh ko Saat’h ithna bhi tho meyre rufaqaa ne na diya Sharbathe deed ne aur aag lagadee dil me Thapish’e dil ko bad’haaya hai buj’haane na diya Ab kahaan jaayega naqsha thera merey dil se Theh me rakhkha hai isey dil ne gumaane na diya Nafs’e badkaar ne dil par ye qayaamath thowdee Amale neik kiya bhi tho chhupaane na diya Mere a’maal ka badla tho jahannam hee thhaa Mai tho jaatha mujhe sarkaar ne jaane na diya Mere a’maale siyah ne kiya jeena doo bhar Zehr khaatha therey irshaad ne khaane na diya Aur chamakthi si ghazal koi pad’ho ai Noori Rang apna abhi jamne shu’araa ne na diya

Bakhthe Khufthaa Ne

www.noorimehfil.com

Banda milne ko qareebe hazrathe qaadir gayaa Lam’a e baathin me gumne jalwa-e zaahir gaya Theri marzi paa gayaa sooraj phiraa ulte qadam Theri ungli ut’h gayi mah ka kaleyja chir gaya Bad’h chali theri ziyaa andheyr aalam se ghataa Khil gaya gaysoo thera rahmath ka baadal ghir gaya Theri rahmath se safee’ullah ka beyda paar thhaa Therey sadqe se najee-ullah ka bajraa thir gaya Theri aamad thhee ke baith-ullah mujre ko jhuka Theri heybath thhee ke har buth thhar thhara kar gir gaya Woh ke is darka huwa khalqe khuda uski huwee Woh ke is dar se phiraa allah us se phir gaya Me therey haathhown ke sadqe kaysi kankariyaa thhi woh Jin se ithne kaafirown ka daf’athan munh phir gaya Kyun janabe bu hurayra kaisa th’ha who jaam e sheer Jis se saththar saahibown ka dood’h se munh phir gaya Waasthe pyaare ka aysa ho ke jo sunni marey Yun na farmaaein therey shaahid ke woh faajir gaya Arsh par dhoomey machee woh mo’omine saalih milaa Farsh se maatham ut’he woh tayyib o taahir gaya T’hokarey khaathe phiroge unke dar par padd raho Qaafilaa tho ai Raza awwal gaya aakhir gaya

Banda Milne Ko

www.noorimehfil.com

Bheeni suhaani sub’h me t’handak jigar ki hai Kaliyaan khilee dilown ki hawa ye kidhar ki hai Khabthi huwi nazar me adaa kis sahar ki hai Chubthi huwi jigar me sadaa kis gajar ki hai Hum girde kaa’ba phirthe th’hey kal thak aur aaj woh Hum par nisaar hai ye iraadat kidhar ki hai Dooba huwa hai showq me zam zam aur aankh se Jhaaley baras rahey hein ye hasrath kidhar ki hai Barsaa ke jaane waalown pe gowhar karoo nisaar Abre karam se arz ye mezaab e zar ki hai Aagoshe showq khole hai jin ke liye hateem Wo phir ke dekhte nahi ye dhun kidhar ki hai Haan haan rahey madeena hey ghaafil zaraa tho jaag Ow paawon rakhne waale ye jaa chashm o sar ki hai Me’raj ka samaa hai kahaan pahunche zaa’iro Kursi se oonchi kursi usee paak ghar ki hai Ush-shaaqe rowza sajda me soo-e haram jhukey Allah jaantha hai ke niyyath kidhar ki hai Mahboobe rab’be arsh hai is sabz qubba me Pehloo me jalwa gaah atheeq o umar ki hai Chhaaye malaaika hein lagaa thaar hai durood Badley hein pehrey badli me baarish durar ki hai Saththar hazaar sub’h hein saththar hazaar shaam Yun bandagi ye zulf o rukh aat’hown pahar ki hai Jo eik baar aaye dubaara na aayenge Rukhsath hi baargaah se bus is qadar ki hai Thadpa karein badal ke phir aana kahaa naseeb Be hukm kab majaal parindey ko par ki hai Taiba me mar ke t’hande chaley jaa-o aankhein band Seedhi sadak ye shahre shafaa’ath nagar ki hai Maa-o shuma tho kya ke khaleele jaleel ko Kal dekhna ke un se thamannaa nazar ki hai Sarkaar hum gunwaaro me tarze adab kahaa Hum ko tho bus thameez yahi bheek bhar ki hai Maangenge maange jaayenge munh maangi paayenge Sarkaar mey na laa hai na haajath agar ki hai Thujh se chhupaa-un munh tho karoon kis ke saamne Kya aur bhi kisi se thawaqqo nazar ki hai Jaawun kahaan pukaarun kisey kis ka munh thakoon Kya pursish aur jaa bhi sagey be hunar ki hai Qismath me laakhh peych hown sow bal hazaar kaj Ye saari guth’thhi ik theri seedhi nazar ki hai Mangta ka haath ut’h-the hee daathaa ke deyn thhee Doori qabool o arz me bas haath bhar ki hai Sankee wo dekh baade shafa’ath ke de hawa Ye aabroo raza therey daamane thar ki hai

Bheeni Suhaani

www.noorimehfil.com

Chal diye thum aankh me ashkown ka darya chhod kar Ranj-o furqath ka har ik seeney me sho’la chhod kar Lazzathe mai le gaya woh jaam-o meena chhod kar Mera saaqi chal diya khud mai ko thishna chhod kar Har jigar me dard apna meet’ha meet’ha chhod kar Chal diye woh dil me apna naqshe waala chhod kar Jaama-e mushkee liye arsh e mu-alla chhod kar Farsh par aaye farishthe bazme baala chhod kar Aalame baala me har soo marhaba ki goonj thhee Chal diye jab thum zamaane bhar ko soona chhod kar Mauth-e aalam se bandhee hai mauthe aalam be gumaan Rooh-e aalam chal diya aalam ko murda chhod kar Muththaqi ban ke dikhaaye is zamaane me koyi Eik mere mufthi-e aazam ka thaqwa chhod kar Khwaab me aakar dikha-o hum ko bhi ae jaan kabhi Kaun si dunya basaayi thum ne dunya chhod kar Eik thum dunya me reh kar thaarike dunya rahey Reh ke dunya me dikhaaye koi dunya chhod kar Us ka ae shaahe zaman saara zamaana ho gaya Jo thumhaara ho gaya saara zamaana chhod kar Rahnumaa-e raahe jannath hai thera naqshe qadam Raahe jannath tay na hogi thera rastha chhod kar Misle girdoon saaya dasthe karam hai aaj bhi Kaun kehtha hai gaye woh bey sahaara chhod kar Ho sakey tho dekh Akhthar baaghe jannath me usey Woh gayaa thaarown se aagey aashiyaana chhod kar

Chal Diye Thum

www.noorimehfil.com

Chamak thujh se paathey hein sab paane waale Mera dil bhi chamka de chamkaane waale Barastha nahi dekh kar abre rahmath Badown par bhi barsaade barsaane waale Madeene ke khitthey khuda thujh ko rakhhe Ghareebown faqeerown ke t’heh raane waale Thu zinda hai wallah thu zinda hai wallah Mere chashme aalam se chhup jaane waale Mai mujrim hoon aaqa mujhe saathh le lo Ke rasthe me hein jaa bajaa thhaane waale Haram ki zameen aur qadam rakh ke chalna Arey sar ka mauqa hai o jaane waale Thera khaaye therey ghulamown se uljhey Hein munkir ajab khaane ghurraane waale Rahega yun hi unka charcha rahega Padey khaak ho jaaye jal jaane waale Ab aayi shafa’ath ki saa’ath ab aayi Zaraa chein ley mere ghabraane waale Raza nafs dushman hai dam me na aana Kahaan thum ne dekhey hein chandraane waale

Chamak Thujh Se

www.noorimehfil.com

Chamane taiba me sumbul jo sanwaare gaysoo Hoor bad’h kar shikaney naaz pe waare gaysoo Kee jo baalown se therey rowze ki jaarowb kashi Shab ke shabnam ne thabarruk ko he dhaare gaysoo Hum siyah kaarown pe yaa rab thapishe mahshar me Saaya afgan hown therey pyaare ke pyaare gaysoo Aakhire haj ghame ummath me pareshaan ho kar Theera bakhthown ki shafa’ath ko sidhaare gaysoo Sookhe dhaanown pe hamaare bhi karam ho jaaye Chhaaye rahmath ki ghataa ban ke thumhaare gaysoo Silsila paa ke shafa’ath ka jhukey padhthey hein Sajda e shukr ke karthey hein ishaare gaysoo Bheeni khushboo se mahak jaathi hai galiyaan wallah Kaise phoolo me basaa-ei hein thumhaare gaiysoo Shaana hai panja-e- qudrath there baalo ke liye Kaise haathhown ne shaha there sanwaare gaysoo Theyl ki boonde tapak-thi nahi baalown se Raza Subhe aariz pe lutaathey hein sithaare gaysoo

Chamane Taiba Me

www.noorimehfil.com

Chehra e zaiba thera ahmad raza Aaina hai haq numa ahmad raza Ghause aazam mazhare shaahe rusul Un ka thu mazhar huwa ahmad raza Ilm thera bahre naa paida kinaar Zille ilme murthaza ahmad raza Therey murshid hazrathe aale rasool Un ka thujh pe naaz thha ahmad raza Apne barkaathi gharaane ka chiraagh Thujh ko noori ne kaha ahmad raza Sunniyown pe ye thera ehsaan hai Apne daaman me liya ahmad raza Sunniyath ki aabroo dam se therey Ab bhi qaa’im hai shahaa ahmad raza Naara-e sheeraana jab goonja thera Qalbe najdi p’hat gaya ahmad raza Mufthi-e aazam huwe waasile ba haq Un se raazi ho khuda ahmad raza Theri ulfath mere murshid ne mujhe Dee hai ghutti mai pilaa ahmad raza Yaad kartha hai thujhe thera Hasan Us ke haq me kar du’a ahmad raza

Chehre-e Zaiba

www.noorimehfil.com

= Daaghe furqathe Taiba qalbe muzmahil jaatha Kaash gumbade khazra dekhne ko mil jaatha Mera dam nikal jaatha un ke aasthaane par Un ke aasthaane ki khaak me mai mil jaatha Mauth le ke aajaathi zindagi madeene me Mauth se galey mil kar zindagi me mil jaatha Khuld zaare Taiba ka is tarah safar hota Peechhe peechhe sar jaatha aage aage dil jaatha Dil pe jab kiran padthi unke sabz gumbad ki Uski sabz rangath se baagh ban ke khil jaatha Furqathe madeena ne woh diye mujhe sadme Koh par agar padthey to koh bhi tho hil jaatha Chashme thar wahaan behthi dil ka mudda’a kehthi Aah baa adab rehthi munh mera sil jaatha Dar pe dil jhuka hotha izn paake phir bad’h tha Har gunaah yaad aatha dil khajil khajil jaatha Mere dil me bas jaatha jalwa zaar Taiba ka Daaghe furqathe Taiba phool banke khil jaatha Un ke dar pe Akhthar ki hasrathein huwi poori Saail e darey aqdas kaise munfa’il jaatha

Daaghe Furqathe

www.noorimehfil.com

Dame izthiraab mujh ko jo khayaale yaar aaye Mere dil me chein aaye tho usey qaraar aaye Theri wahshathown se ae dil mujhe kyun na aar aaye Thu unhee se door bhaage jinhe thujh pe pyaar aaye Mere dil ko dard-e ulfath woh sukoon de ilaahi Meri be qaraariyown ko na kabhi qaraar aaye Mujhe naz’a chein bakhshey mujhe mauth zindagi de Wo agar mere sar’haane dam-e ehthizaar aaye Na habeeb se muhib ka kaheen aisa pyaar dekha Woh baney khuda ka pyaara thumhe jis pe pyaar aaye Mujhe kya alam ho gham ka mujhe kya ho gham alam ka Ke ilaaj gham alam ka mere ghamgusaar aaye Jo chaman banaa-e ban ko jo jinaan karey chaman ko Mere baagh me ilaahi kabhi woh bahaar aaye Ye kareem hein woh sarwar ke likha huwa he dar par Jise leyne hown do aalam woh ummeed waar aaye Therey sadqe jaa-e shaahaa ye thera zaleel mangtha Therey dar pe bheek leyne sabhi sheher yaar aaye Theri rahmathown se kam hein mere jurm had se zaaid Na mujhe hisaab aaye na mujhe shumaar aaye Therey sadqe thera sadqa he woh shaandaar sadqa Woh waqaar ley ke jaa-e jo zaleel-o khwaar aaye Therey dar ke hein bhikaari mile khair dam qadam ki Thera naam sun ke daatha hum ummeed waar aaye Hasan un ka naam ley kar thu pukaar dekh gham me Ke ye woh nahi jo ghaafil pase inthizaar aaye

Dame Izthiraab

www.noorimehfil.com

Dard-e dil kar mujhe athaa Yaa Rab Dey mere dard ki dawa Yaa Rab Laaj rakh le gunahgaarown ki Naam rahmaan hey thera Yaa Rab Ayb mere na khol mahshar me Naam saththaar hey thera Yaa Rab Be sabab bakhsh de na poochh amal Naam ghaffaar hey thera Yaa Rab Thu ne mere zaleel haathown me Daamane mustafa diya Yaa Rab Thu ne dee mujh ko ni’mathe islam Phir jama’ath me le liya Yaa Rab Zann nahi balke hey yaqeen mujhe Woh bhi thera diya huwa Yaa Rab Ho ga dunya me qabr-o mahshar me Mujh se achha muaamla Yaa Rab Is nikamme se kaam le aisey Ye nikamma ho kaam ka Yaa Rab Mujhe aisey amal ki de thaufeeqh Ke ho raazi theri raza Yaa Rab Har bhale ki bhalaayi ka sadqa Is bure ko bhi kar bhalaa Yaa Rab Mere ahbaab par bhi fazl rahey Thera therey habeeb ka Yaa Rab Ahle sunnath ki har jama’ath par Har jaga ho theri athaa Yaa Rab Dushmanown ke liye hidaayath ki Thujh se kartha hun ilthija Yaa Rab Thu Hasan ko ut’ha hasan kar ke Ho ma’al kheir khaathma Yaa Rab

Dard-Dil Kar Mujhe

www.noorimehfil.com

Dil dard se bismil ki tarah lowt raha ho Seene pe thasalli ko thera haath dharaa ho Kyun apni gali me woh rawa daare sada ho Jo bheek liye raahe gadaa dekh raha ho Gar waqthe ajal sar theri chowkhat pe jhuka ho Jithni ho qaza ek hi sajde me adaa ho Firdous ke baaghown se idhar mil nahi saktha Jo koi madeene ke bayaabaan me guma ho Dekha unhe mahshar me tho rahmat ne pukaara Aazaad he jo aap ke daaman se bandha ho Aatha hai faqeerown pe unhe pyaar kuch aisa Khud bheek dein aur khud kahein mangtha ka bhala ho Dhoonda hi karein sadre qiyaamath ke sipaahi Woh kis ko mile jo therey daaman me chhupa ho De daaliye apne labe-jaan bakhsh ka sadqa Ey chaara-e dil dard-e Hasan ki bhi dawaa ho

Dil Dard Se Bismil

www.noorimehfil.com

Dil kehtha hai har waqth sifath unki likha kar Kehthi hai zabaan naath Muhammad ki pad’ha kar Is mehfil-e meelad me ae banda-e sarkaar Jab aaye durood us shah-e aalam pe pad’ha kar Khaali kabhi pheyra hi nahi apne gadaa ko Ey saa’ilo maango tho zara haath ut’ha kar Kya door hai sarkaar-e madeena ke karam se Thhodi si jagah dein hamey Taiba me bulaa kar Behkaatha hai yun nafs ke ghar chhowd na apna Eemaan ye kehtha hai madeene me rahaa kar Hoga na asar hum pe ke hum abd-e nabi hein Haan aathishe dozakh humey dekhe tho jalaa kar Mujrim sahi badkaar sahi par hai yaqeen ye Hum khuld me jaayenge ke maula ke hein chaa kar He naazown ki paali huwi ye ummathe aasi Maula ye kahenge ke rihaa us ko khuda kar Thab hashr me Allah nabi se ye kahega Mehboob jise chaahe thu dozakh se rihaa kar Aa jaana madad ke liye ai maahe madeena Ahbaab chalein qabr me jab mujh ko sulaa kar Woh rowz Jameel-e Razawi ko ho mayassar Kuch naath pad’he rowza-e purnoor pe aakar

Dil Kehtha Hai

www.noorimehfil.com

Dil me ho yaad theri gowsha’e thanhaa-i ho Phir tho khalwath me ajab anjuman aaraa-i ho Aasthaane pe therey sar ho ajal aayi ho Aur ae jaane jahaan thu bhi thamashaa-i ho Us ki Qismath pe fidaa-thakhthe shahi ki raahath Khaake Taiba pe jise chein ki neend aayi ho Ek jhalak dekhne ki thaab nahi aalam ko Woh agar jalwa karein kaun thamashaa-i ho Aaj jo ayb kisee par nahi khulne dethey Kab woh chaahenge meri hashr me ruswaa-i ho Yahi manzoor thha qudrath ko ke saaya na baney Aise yaktha ke liye aisi hi yakthaa-i ho Jab u’the dasthe ajal se meri hasthi ka hijaab Kaash us parde ke andar theri zaibaa-i ho Kabhi aisa na huwa un ke karam ke sadqe Haath ke pheylne se pehle na bheek aayi ho Band jab khwaabe ajal se ho Hasan ki aankhein Us ki nazrown me thera jalwa-e zaibaa-i ho

Dil Me Ho Yaad

www.noorimehfil.com

Do aalam me roshan hey ikka thumhaara Huwa la makaan thak ujaala thumhaara Na kyoon gaaye bulbul tharaana thumhaara Ke paathi hai har gul me jalwa thumhaara Chhudaayega ghum se ishaara thumhaara Uthaareyga pul se sahaara thumhaara Thumhee ho jawaab-e sawaalaath-e mahshar Thumhee ko pukaareyga banda thumhaara Amal poochhey jaathe hein sarkar aa’o Kaheen dar na jaaye nikamma thumhaara Azaanown me khuthbown me shaadi me gham me Gharz zikr hotha hai har jaa thumhaara Jisey Haq ke deedar ki aarzu ho Woh dekhey meri jaan chehra thumhaara Sahaaba se thaqdeer waalown ke qurbaan He paaya jin’hown ne zamaana thumhaara Ghareebo siwaa e dar-e mustafa ke Kaheen bhi na hoga guzaara thumhaara Khudaya nakeerein mujh se yun poochhein Ke pohoncha dein Taiba ko laasha thumhaara Thadap kar basad showq un se kahoon mai Mai bey had hi mamnoon hoonga thumhaara Na hoorown ka talab na kuch fikr e jannath Dikha de khuda mujhko sehraa thumhaara Jameel ab tho khush ho nidaa aarahi hai Ke maqbool he ye qaseedah thumhaara

Do Aalam Me Roshan

www.noorimehfil.com

Do jahaan me koi thum sa doosra miltha nahi Dhoondthe phirthe hein mahr o mah patha miltha nahi Jo khuda detha hai miltha hai isee sarkaar se Kuch kisi ko haq se is dar ke siwa miltha nahi Koi maange yaa na maange milne ka dar hai ye hi Be-athaa-e mustafa-i mud’dua miltha nahi Hai safaa-e zaahiri ke saaz o saamaan khoob khoob Jis ka baatin saaf ho woh ba-safa miltha nahi Bas yehi sarkaar hai is se hamesha paayenge Dene waale dethe hein kuch din sadaa miltha nahi Wasl-e maula chahthe ho tho waseela dhoond lo Be waseela najdiyo hargiz khuda miltha nahi Dushman-e jaan se kaheen bad’thar he dushman deen ka Un ke dushman se kabhi un ka gadaa miltha nahi Qaasime ni’math se hum maange tho najdi yun bakey Kyun nabi se maangi-e Allah se kya miltha nahi Khud khuda be waastha de ye hamaara munh kahaa Waastha sarkaar hai be waastha miltha nahi Hum tho hum woh ambiya ke bhi liye hein waastha Un ko bhi jo miltha hai be waastha miltha nahi Dil sathaani karne waale hein hazaarown dilruba Dil nawaazi karne waale dilruba miltha nahi Be-nawa ko be sadaa miltha hai is sarkar se Doodh bhi beyte ko maa se be sadaa miltha nahi Muhiye sunnath haamiye millath mujaddid deen ka Peykar-e rushd o huda ahmad raza miltha nahi Kis tarah ho haazire dar Noori-e be par shahaa Naa ke rowke dushmanown ne raastha miltha nahi

Do Jahaan Me Koi

www.noorimehfil.com

www.noorimehfil.com

Dushmane ahmad pe shiddath keejiye Mulhidown ki kya murrawath keejiye Zikr unka chhediye har baath me Chhedna shaitaan ka aadath keejiye Misle faaras zalzale hown najd me Zikr-e aayaat-e wilaadath keejiye Ghaiz me jal jaaye be deenown ke dil Yaa Rasoolallah ki kasrath keejiye Keejiye charcha unhi ka sub’h o shaam Jaan-e kaafir par qayaamath keejiye Shirk t’hehre jis me tha’zeem-e habeeb Us burey mazhab pe la’nath keejiye Beit’hthe ut’hthe huzoore paak se Ilthijaa o isthi’aanath keejiye Ghaus-e-azam aap se faryaad hey Zinda phir ye paak millath keejiye Ya khuda thujh thak hai sab ka munthaha Auliya ko hukm-e-nusrath keejiye Mere aaqa hazrath e achhe miyan Ho Raza achha woh soorath keejiye

Dushmane ahmad

www.noorimehfil.com

Eeman hai Qaale

Eemaan hai qaale mustafa-ee Quraan hai haale mustafa-ee Allah ki saltanath ka doolha Naqshe thamisaale mustafa-ee As’haabe nujoome rehnuma hein Kashthi hai aale mustafa-ee Mahboob o muhib ki milk hai ik Kownain hai maale mustafa-e Allah na chhoote dasthe dil se Daamaane khayaale mustafa-ee Hein there sapurdh sab ummeede Ae jood o niwaaley mustafa-ee Roshan kar qabar be kasown ki Ae sham’e jamaale mustafa-ee Andher hai be therey mera ghar Ae sham’e jamaale mustafa-ee Mujko shabey ghum daraa rahi hai Ae sham’e jamaale mustafa-ee Aankho me chamak ke dil me aaja Ae sham’e jamaale mustafa-ee Meri shabe thaar din banaade Ae sham’e jamaale mustafa-ee Dil sard hai apni law lagaa de Ae sham’e jamaale mustafa-ee Bhatkaa hoo thu raastha batha ja Ae sham’e jamaale mustafa-ee Mere dile murda ko jilaade Ae sham’e jamaale mustafa-ee Aankhey theri raah thak rahi hein Ae sham’e jamaale mustafa-ee Thaareeki e gowr se bachaana Ae sham’e jamaale mustafa-ee Purnoor hai thujh se bazme aalam Ae sham’e jamaale mustafa-ee Thaqdeer chamak ut’they raza ki Ae sham’e jamaale mustafa-ee

www.noorimehfil.com

Fouj-e-ghum ki baraabar chad’haa-i hai Daafi-e-ghum thumhaari duhaa-i hai Umar khelown me hum ne ganwaa-i hai Umar bhar ki yahi tho kamaa-i hai Thum ko aalam ka maalik kiya us ne Jis ki mamlook saari khudaa-i hai Jab khuda khud thumhaaara huwa tho phir Kaun si cheez he jo paraa-i hai Ambiya ko rasaa-i mili thum thak Bas thumhaari khuda thak rasaa-i hai Mera beyda kinaare lagey pyaare Nooh ki naao kis ne thiraa-i hai Mere dil ki lagi bhi buj’ha deeje Naar-e-namrood kis ne buj’haa-i hai Kaash woh hashr ke din kahein mujh se Naar-e-dowzakh se thujh ko rihaa-i hai Pyaare khushboo thumhaare paseeney ki Khuld ke phoolown se bhi siwaa-i hai Us raza par ho moula raza’e haq Raah jis ne thumhaari chalaa-i hai Showqe deedar-e-noori me ae Noori Rooh khinch kar ab aankhown me aa-i hai

Fouj-e-Ghum Ki

www.noorimehfil.com

Furqath-e-Taiba ki wahshath dil se jaa-e kheir se Mei madeene ko chaloon woh din phir aa-e kheir se Dil me hasrath koi baaqi reh na jaa-e kheir se Raah-e Taiba me mujhe yun mauth aa-e kheir se Mar ke bhi dil se na jaa-e ulfathe baaghe nabi Khuld me bhi baagh-e-jaana yaad aa-e kheir se Furqath-e-Taiba ke haathown jeethe ji murda huwe Mauth ya rab hum ko Taiba me jilaa-e kheir se Ho mujhe sair-e-gulisthan-e madeena yun naseeb Me bahaarown me chaloon khud ko gumaa-e kheir se Zinda baad ae aarzoo-e-baaghe Taiba zindabad Therey dum se hein zamaan-e ke sathaa-e kheir se Najdiyon ki cheerah dasthi ya Ilaahi thaa bakey Ye balaa-e najdiya Taiba se jaa-e kheir se Jhaank lo aankhown me unki hasrathe Taiba liye Zaair-e Taiba ziyaa-e Taiba laa-e kheir se Sang-e-dar se aamile Taiba me ab tho jaa mile Aagaye dar pe therey theyrey bulaa-e kheir se Gowsh bar aawaaz hown qudsi bhi uske geeth par Baagh-e-Taiba me jab Akhthar gungunaa-e kheir se

Furqathe-e-Taiba

www.noorimehfil.com

Guzre jis raah se woh sayyad-e-waala ho kar Reh gayi saari zameen ambar-e saara ho kar Rukh-e-anwar ki thajalli jo qamar ne dekhi Reh gaya bowsa dah-e-naqsh-e-kaf-e-paa ho kar Waa-e mahroomi-e-qismath ke mai phir ab ki baras Reh gaya hum-rah-e-zawwaar-e-madeena ho kar Chaman-e-Taiba hai woh baagh ke murgh-e-sidrah Barsown chehkey hein jahaan bulbul-e-shayda ho kar Sar sar-e-dashthe madeena ka magar aaya khayal Rashk-e-gulshan jo banaa ghuncha-e dil waa ho kar Gowsh-e-shah kehthe hein faryaad rasi ko hum hein Waada-e chashm hai bakhshaaenge gowya ho kar Hai ye ummeed Raza ko theri rehmath se shaha Na ho zindaani e dowzakh thera banda ho kar

Guzre Jis Raah

www.noorimehfil.com

Haajiyo aawo shahenshaah ka rowza dekho Kaaba tho dekh chukey kaabe ka kaaba dekho

Rukne shaami se mitee wahshathe shaame ghurbath Ab madeene ko chalo subhe dil aaraa dekho

Aabe zam-zam tho piyaa khoob bujhaa-ee pyaasein Aawo joode shahe kowsar ka bhi darya dekho

Zeyre meezaab mile khoob karam ke chheente Abre rehmat ka yahaan zowr barasnaa dekho

Dhoom dekhi hai dare ka’aba pe be thaabown ki Unke mushthaaqown me hasrath ka thadapna dekho

Khoob aankhown se lagaaya he ghilaafe kaaba Kasre mahboob ke parde ka bhi jalwa dekho

Mahre maadar ka maza dethi hai aagoshe hateem Jin pe maa baap fidayaa karam unka dekho Be niyaazi se wahaan kaanpthi paayi tha’ath Joshe rahmath pe yahaan naaz gunah ka dekho Multhazim se tho gale lag ke nikaale armaan Adab-o-showq ka yaan baaham ulajhnaa dekho Ghaur se sun tho Raza kaabe se aathi hey sadaa Meri aankhown se mere pyaare ka rowza dekho

Haajiyo Aawo

www.noorimehfil.com

Habeeb-e khuda ka nazaara karoon mein Dil-o jaan un par nisaara karoon mein Theri kafshe paa yun sanwaara karoon mein Ke palkown se usko buhaara karoon mein Mujhe apni rahmath se thu apna kar ley Siwa therey sab se kinaaraa karoon mein Mein kyun ghair ki t’howkarein khaane jaawun Therey dar se apna guzaara karoon mein Khudaara ab aawo ke dam hey labown par Damey waapsi tho nazaara karoon mein Therey naam par sar ko qurbaan kar ke Therey sar se sadqe uthaara karoon mein Ye ik jaan kya hai agar hown karorown Therey naam par sab ko waaraa karoon mein Mujhe haath aaye agar thaaje shaahi Theri kafshe paa par nisaara karoon mein Thera zikr lab par khuda dil ke andar Yun hi zindagaani guzaaraa karoon mein Damein waapsi thak therey geeth gaa-oon Muhammad Muhammad pukaara karoon mein Therey dar ke hothey kahaan ja-oon pyaare Kahaan apna daaman pasaaraa karoon mein Mera deen-o-imaan farishthey jo poochhein Thumhaari hi jaanib ishaaraa karoon mein Khudaa aisi quwwath dey mere qalam mein Ke bad-mazhabown ko sudhaaraa karoon mein Khuda ek par ho tho ek par Muhammad Agar qalb apna do paara karoon mein Khuda khair se laaye woh din bhi Noori Madeene ki galiyaan buhaaraa karoon mein

Habeeb-e Khuda

www.noorimehfil.com

He kownein ke sar pe rahmath Nabi ki Karey phir na kyun naaz ummath Nabi ki Na kyun kar rahey har jagah sunniyon par Khuda ka karam aur inaayath Nabi ki Hameen jaayenge khuld me sab se pehle Nabi ke hein hum aur jannath Nabi ki Banaye gaye hum shafa’ath ki khaatir Hamare liye hey Shafa’ath Nabi ki Wahee lutf payenge rowze qiyamath Jo rakhthe hein dunya me ulfath Nabi ki Qiyamath ka din sirf is waasthe hey Ke dikhlaayein us rowz izzath Nabi ki Faqath eik aalam nehi us pe shayda Khuda ko bhi pyaari hey soorath Nabi ki Ajab jaaliyaan hein sunehri sunehri Ajab pyaari pyaari hey thurbath Nabi ki Bulaya khuda ne unhein laa makaan me Hui arsh-e a’zam pe da’wath Nabi ki Sahaba hein sab misle anjum darakhshaan Safeena hey ummath ka ithrath Nabi ki Aboobakr ki shaan-o izzath tho dekho Rahee baad-e rih’lath bhi qurbath Nabi ki Kisi ki kisee ko nehi hey na hogi Khuda ko hey jithni muhabbath Nabi ki Jameel apne eemaan ka eemaan ye hey Ke ho dil me khaalis muhabbath Nabi ki

He Kownein Ke Sar

www.noorimehfil.com

Har nazar kaanp utt’he gi mahshar ke din khowf se har kaleja dahal jaayega Par ye naaz unke bande ka dekhein ge hum thhaam kar unka daaman machal jaayega Mowj kathra ke hum se chalee jaayegi rukh mukhaalif hawa ka badal jaayega Jab ishaara karenge woh naam-e khuda apna beyda bhanwar se nikal jaayega Yun tho jeetha hoon hukm-e khuda se magar mere dil ki hai unko yaqeenan khabar Haasil-e zindagi hoga woh din mera unke qadmown pe jab dam nikal jaayega Rabbi sallim woh farmaane waale mile kyun sathaathe hein ae dil thujhe waswase Pul se guzrein ge hum wajd karthe huwe kaun kehtha hai paa-on phisal jaayega Akhthar-e khasta kyun ithna be chein hai thera Aaqa shahenshah-e qownain hai Law lagaa tho sahi shah-e lawlaak se gham musarrath ke saanche me d’hal jaayega

Har Nazar Kaanp

www.noorimehfil.com

Hai kalaam-e ilaahi me shams-o-duha therey chehra-e noor faza ki qasam Qasam-e-shab-e-thaar me raaz ye thha ke Habeeb ki zulfe dotha ki qasam Therey khulq ko Haq ne azeem kaha theri khalq ko Haq ne jameel kiya Koi thujh sa huwa hai na hoga shahaa therey khaaliq-e-husn-o-adaa ki qasam Woh khuda ne he marthaba thujh ko diya Na kisee ko miley na kisee ko mila Ke kalaam-e majeed ne khaa-i shahaa therey shehr-o-kalaam-o-baqaa ki qasam Yahi arz hai khaaliq-e arz-o-samaa woh Rasool hein therey mai banda thera Mujhe unke Jawaar me de woh jagaa ke hai khuld ko jis ki safaa ki qasam Thu hi bandown pe kartha hai lutf-o-ataa Hai thujhi pe bharosa thujhi se dua Mujhe jalwa-e-paak-e Rasool dikha thujhe apne hi izz-o ulaa ki qasam Mere gar che gunah hein hadd se siwa magar un se ummeed hai thujh se rajaa Thu Raheem hai un ka karam hai gawah woh Kareem hai theri ataa ki qasam Yahi kehthi he bulbul-e-baaghe jinaan ke Raza ki tarah koi seher bayaan Nahi hind me waasif-e-Shaahe Huda mujhe showkhi-e thab-e-Raza ki qasam

Hai Kalaam-e Ilaahi

www.noorimehfil.com

Hirze Jaan zikre shafa’ath keejiye Naar se bachne ki soorath keejiye Un ke naqshe paa pe ghairath keejiye Aankh se chhup kar ziyaarath keejiye Un ke dar pe jaise ho mit jaaiye Naathawaano kuch tho himmath keejiye Pheir deeje panja e-deyw e la-een Mustafa ke bal pe thaaqath keejiye Un ke dar par beyt’hiyein ban kar faqeer Beenawa o fikre sarwath keejiye Jis ka husn allah ko bhi bhaa gaya Aise pyaare se muhabbath keejiye Arsh par jiski kamaanein chad’h gayi Sadqe us baazoo pe quwwath keejiye Naara keejiye ya Rasoolallah ka Mufliso saamane daulath keejiye Aap sulthaane jahaan hum be nawaa Yaad hum ko waqthe ni’math keejiye Dar ba dar kab thak phire Khasthaa kharaab Taiba me madfan inaayath keejiye Dey khuda himmath ke ye jaane hazeen Aap par waarein woh soorath keejiye Jo na bhoola hum ghareebown ko Raza Yaad uski apni aadath keejiye

Hirze Jaan Zikre

www.noorimehfil.com

Hum apni hasrath-e-dil ko mitaane aaye hein Hum apni dil ki lagi ko bujhaane aaye hein Kareem hein woh nigah-e karam se dekheinge Hein daagh daagh-e-dil apna dikhaane aaye hein Huzoor behr-e-khuda daasthaan-e-gham sun lein Gham-e-firaaq ka qissa sunaane aaye hein Nigah-e-luthf-o-karam hogi aur phir hogi Ke zakhm dil pe ye marham lagaane aaye hein Faqeer aap ke dar ke hein hum kahaan jaa-ein Thumhaare kooche me dhooni ramaane aaye hein Naseeb jaag utt’ha us ka chein se soya Woh jis ko qabr me sarwar sulaane aaye hein Ajab karam hein ke khud mujrimown ke haami hein Gunah gaarown ki bakhshish karaane aaye hein Sabhi Rusul ne kahaa iz’haboo ilaa gheinri Anaa lahaa ka ye muzdah sunaane aaye hein Naseeb thera chamak utt’ha deikh tho Noori Arab ke chand lehed ke sarhaane aaye hein

Hum Apni Hasrath

www.noorimehfil.com

Jaan-o dil se thum pe meri jaan qurbaan ghouse paak Hai salaamath thum se mera deen-o eeman ghouse paak Mai thera adnaa bhikaari thu mera sulthaan hai Hai qasam haq ki ye mera deen-o eeman ghouse paak Aap ki chashme karam ka ik ishaara ho agar Do jahaan ki mushkilein ho jaaye aasaan ghouse paak Aap ka naame muqaddas merey dil par naqsh hai Meri bakhshish ke liye kaafi hai saamaan ghouse paak Lut raha hai qaafila baghdaad waaley le khabar Al madad mahboobe sub’haan shaahe jeelaan ghouse paak Zaalimown ke zulm se bandown ko kar daala hilaak Al madad baghdaad waale shaahe jeelaan ghouse paak Laaj waale sunnniyown ki laaj therey haath hai Qaadiri manzil ke doolha shaahe jeelaan ghouse paak Ho raza par luthf thera hum par un ka luthf ho Un ka daamaan hum pe un par thera daamaan ghouse paak Keejiye imdaad izzath do jahaan ki deejiye Hai Jameel-e-Qaadiri adnaa sanaa khwaan ghouse paak

Jaan-o Dil Se Thum

www.noorimehfil.com

Jaan-e mureedaan sham’e hidaayath mufthi-e aazam zindabaad Aap pe qurbaan ahle aqeedath mufthi-e aazam zindabaad Aap saraapa rushdo huda hein parthawe haamid zille raza hein Aap ko zeyba thaaje wilaayath mufthi-e aazam zindabaad Aqwaal-o af’aal me noori noori hein har haal me noori Noori soorath noori seerath mufthi-e aazam zindabaad Maangne waala sab kuch paaye rowtha aaye hanstha jaaye Ye hai unki adnaa karaamat mufthi-e aazam zindabaad Aalim-o faazil rahbar-o waasil peer-o wali sulthaane amaasil Ya’ani ibne ala Hazrath mufthi-e aazam zindabaad Aaya hai sulthaan aap ke dar par apna khaali daaman ley kar Aap ka hai muhthaaje inaayath mufthi-e aazam zindabaad

Jaan-e Mureedaan

www.noorimehfil.com

Jahaan baani atha kardein bhari jannath hiba kardein Nabi mukhthaare kul hein jis ko jo chaahe athaa kardeinin Jahaan me unki chalthi hai wo dam me kya se kya kardein Zameen ko aasmaan kardein suraiyya ko saraa kardein Fizaa me ud’ne waale yun na ithraaein nidaa kardein Woh jab chaahein jisey chaahein usey farmaa rawaa kardein Meri mushkil ko yun aasaan mere mushkil kusha kardein Har ik maujey balaa ko mere maula naa khuda kardein Athaa ho be khudi mujh ko khudi meri hawaa kardein Mujhe yun apni ulfath me mere maula fanaa kardein Jahaan me aam paighaame shahe ahmad raza kardein Palat kar peechhe dekhein phir se thajdheed e wafaa kardein Nabi se jo ho beygaana usey dil se judaa kardein Pidar maadar biraadar maal-o-jaan un par fida kardein Munawwar meri aankhown ko mere shamsudduha kardein Ghamown ki dhoop me woh saaya-e zulfe dotha kardein Kisi ko woh hansaathey hein kisi ko wo rulaathey hein Wo yun hi aazmaathey hein wo ab tho faisla kardein Gile taiba me mil ja-oon gulown me mil ke khil ja-oon Hayaathe jaavidaani se mujhe yun aashnaa kardein Unhey manzoor hai jab thak ye dowre aazmaaish hai Na chaahein tho abhi wo khathm dowre ibthilaa kardein Mujhe kya fikr ho Akhthar mere yaawar hein woh yaawar Balaaown ko jo meri khud girafthaare balaa kardein

Jahaan Baani Atha

www.noorimehfil.com

Jithna merey khuda ko hai mera nabi azeez Kaunein me kisi ko na hoga koi azeez Khaake madeena par mujhe allah mauth de Woh murda dil he jisko na ho zindagi azeez Kyoon jaayein hum kaheen ke ghani thum ne kardiya Ab tho ye ghar pasand ye dar ye gali azeez Jo kuch theri raza hai khuda ki wahi khushi Jo kuch theri khushi he khuda ko wahi azeez Shaane karam ko achhey burey se garaz nahi Us ko sabhi pasand hai us ko sabhi azeez Mangtha ka haath ut’ha tho madeena hi ki taraf Thera hi dar pasand theri hi gali azeez Kaunein de diye hein therey ikhthiyaar me Allah ko bhi kithni hai khaathir theri azeez Qur’aan khaa rahaa hai isee khaak ki qasam Hum kaun he khuda ko hai theri gali azeez Taiba ke howthe khuld-e bareen kya karoon Hasan Mujh ko yahi pasand hey mujh ko yahi azeez

Jithna Merey Khuda

www.noorimehfil.com

Kaabe ke badrudduja thumpe karorown durood Taiba ke shamsudduha tumpe karorown durood Shaafi-e rowze jazaa tumpe karorown durood Daafi-e jumla balaa tumpe karoron duroodd Aur koi ghayb kya thum se nihaan ho bhalaa Jab na khuda hi chhupa tumpe karorown durood Dil karo t’handa mera woh kaf-e paa chaand sa Seene pe rakh do zaraa tumpe karorown durood Thum ho hafeez o mughees kya he woh dushman khabees Thum ho tho phir khowf kya tumpe karorown durood Be hunar-o-be thameez kis ko huwey hein azeez Eik thumhaare siwa tumpe karoron durood Seene ke hey daagh daagh kehdo karey baagh baagh Taiba se aakar sabaa tumpe karoron durood Khalq ke haakim ho thum rizq ke qaasim ho thum Thum se mila jo mila tumpe karoron durood Shaafi o naafi ho thum kaafi o waafi ho thum Dard ko kardo dawaa tumpe karoron durood Jaaein na jab thak ghulam khuld he sab par haraam Milk tho he aapka tumpe karorwon durood Ek taraf aadaa-e deen ek taraf he haasideen Banda he thanha shahaa tumpe karorown durood Gandey nikammey kameen mehenge hown kowdi ke theen Kaun hamey paaltha tumpe karorown durood Karke thumhaare gunah maangein thumhari panah Thum kaho daaman me aa tumpe karorown durood Hum ne khataa me na ki thum ne ataa me ki Ko-i kamee sarwaraa tumpe karorown durood Aankh ataa keejiye us me ziya deejiye Jalwa qareeb aagaya tumpe karorown durood Kaam woh le leejiye thum ko jo raazi karey T’heek ho naame Raza tumpe karorown durood

Kaabe Ke Badrudduja

www.noorimehfil.com

www.noorimehfil.com

Karam jo aapka ae sayyid-e-abraar ho jaa-e Tho har badkaar banda dum me neiko kaar ho jaa-e Jo mumin dekhe thum ko mahram-e-asraar ho jaa-e Jo kaafir dekh le thum ko tho woh deendaar ho jaa-e Jo sar rakh de thumaare qadmown pe sardaar ho jaa-e Jo thum se sar koi pheyre zaleel-o-khwaar ho jaa-e Thalaatum keisa hi kuch he magar ae naa khudaa-e man Isharaah aap farmadein tho beyda paar ho jaa-e Bharam reh jaa-e mehshar me na palla halka ho apna Ilaahi mere palley par mera ghum khwaar ho jaa-e Isharaah paa-e tho dooba huwa sooraj bur aamad ho Ut’he ungli tho mah do balke do do chaar ho jaa-e Thumhaara hukm kaa baandha huwa sooraj phirey ulta Jo thum chaaho ke shab din ho abhi sarkaar ho jaa-e Qawaafi aur mazaameen achhe achhe hein abhi baaqi Magar bas bhi karo Noori na pad’hna baar ho jaa-e

Karam Jo Aap Ka

www.noorimehfil.com

Karey chaarah saazi ziyaarath kisi ki Bharey zakhm dil ke malaahath kisi ki Chamak kar ye kehthi hai tal’ath kisi ki Ke deedaare haq hai ziyaarath kisi ki Na rehthi jo pardown me soorath kisi ki Na hothi kisi ko ziyaarath kisi ki Ajab pyaari pyaari hai soorath kisi ki Hamein kya khuda ko hai ulfath kisi ki Abhi paar hown doobne waale beyde Sahaara lagaade jo rahmath kisi ki Kisi ko kisi se huwi hai na hogi Khuda ko hai jithni muhabbath kisi ki Rahey dil kisi ki muhabbath me hardam Rahe dil me hardam muhabbath kisi ki Qamar ek ishaare me do tukde dekha Zamaane pe roshan hai taaqath kisi ki Hameen hein kisi ki shafa’ath ki khaathir Hamaari hi khaathir shafa’ath kisi ki Museebath zado shaad ho thum ke un se Nahi dekhi jaathi museebath kisi ki Na pohonchenge jab thak gunahgaar unke Na jaayegi jannath me ummath kisi ki Madeene ka jungle ho aur hum hown zaahid Nahi chaahiye hum ko jannath kisi ki Bharey jaayenge khuld me ahle isyaan Na jaayegi khaali shafa’ath kisi ki Wahi sab ke maalik unhi ka hai sab kuch Na aasi kisi ke na jannath kisi ki Khuda se dua hai ke hungaame rukhsath Zabaane Hasan par ho mid’hath kisi ki

Karey Chaarah Saazi

www.noorimehfil.com

Karlo maqbool ya Rasoolallah

Ye meri ilthija Rasoolallah

Baani-e majlis-e-mubarak ko Deeje behthar silaa Rasoolallah

Jithne sunni shareek-e-majlis he

Sab pe kardo ataa Rasoolallah

Har museebath me keejiye imdaad

Jab pukarein ke ya Rasoolallah

Khuld me apne saathh le lena Apne bandown ko ya Rasoolallah

Peer-o-murshid mere janab-e raza

Un pe saaya thera Rasoolallah

Un ki aulaad sab phaley phooley

Hashr thak daa’ima Rasoolallah

Un ke aada pe rakh unhein ghaalib Aur izzath bad’ha Rasoolallah

Neychari kaandhwi wahabi se

Seenown ko bachaa Rasoolallah

Sab mareezaan-e-ahle sunnath ko

Dey do kaamil shifaa Rasoolallah

Apne bande Jameel-e-razavi ko Khaas banda banaa Rasoolallah

Jithne sunni shareek-e-majlis he Sab pe kardo ataa Rasoolallah

Har museebath me keejiye imdaad Jab pukarein ke ya Rasoolallah

Khuld me apne saathh le lena

Apne bandown ko ya Rasoolallah

Peer-o-murshid mere janab-e raza Un pe saaya thera Rasoolallah

Un ki aulaad sab phaley phooley Hashr thak daa’ima Rasoolallah

Un ke aada pe rakh unhein ghaalib

Aur izzath bad’ha Rasoolallah

Karlo Maqbool

www.noorimehfil.com

Neychari kaandhwi wahabi se Seenown ko bachaa Rasoolallah

Sab mareezaan-e-ahle sunnath ko

Dey do kaamil shifaa Rasoolallah

Apne bande Jameel-e-razavi ko

Khaas banda banaa Rasoolallah

www.noorimehfil.com

Karthe hein jinn-o-bashar har waqth charcha ghous ka Baj rahaa he chaar soo aalam me danka ghous ka Naar-e-dowzakh se bachaa’ega sahaara ghous ka Le chaleyga khuld me adnaa ishaara ghous ka Haan zaraa t’hehro farishtho phir jo chaaho poochhna Kar tho lene do mujhe pehle nazaara ghous ka Aankhein malne ke liye haath aaye chowkhat ghous ki Sar ragadne ke liye mil jaa-e rowza ghous ka Jalthey hein dushman khuda ke un ke zikr-o-fikr se Wird sab Allah waale karthe hein ya ghous ka Umar bhar rakhna Jameel-e-qadiri wirde zabaan Naam Haq ka aur habeeb-e-kibriya ka ghous ka Ghous ko kyunkar na aa-e pyaar thum par ae Jameel He raza murshid thumhaara jab ke pyaara ghous ka

Karthe Hein Jinn-O- Bashar

www.noorimehfil.com

Kaun kehtha hai aankhein churaa kar chaley Kab kisi se nigaahein bachaa kar chaley Kaun un se nigahein ladaa kar chaley Kis ki taaqath jo aankhein mila kar chaley Woh haseen kya jo fithne ut’ha kar chaley Haan haseen thum ho fithne mitaa kar chaley Rab ke bandown ko rab se milaa kar chaley Jalwa-e haq woh hum ko dikhaa kar chaley Jagmagaa daalee galiyaan jidhar aaye woh Jab chaley woh tho koochey basaa kar chaley Koyi maane naa maane ye woh jaane Seedha rastha woh sab ko bathaa kar chaley Yaade daaman se murjhaayi kaliyaan khileen Faiz se apne ghunche khilaa kar chaley Shab ko shabnam ki maanind roo’ya kiye Soorathe gul woh hum ko hansaa kar chaley Bad se bad ko liya jis ne aaghowsh me Kab kisi se woh daaman bachaa kar chaley Sab ko islaam ka thu ne bakhsha sharaf Girthe padthown ko pyaare ut’ha kar chaley Jisme purnoor ka yun tho saaya na thha Aur paththhar me naqshe jamaa kar chaley Jin ke daa’we thhey hum hi hein ahle zabaan Sun ke qur’an zabaane dabaa kar chaley Daaghe dil hum ne Noori dikha hi diya Darde dil ka fasaana suna kar chaley

Kaun Kehtha Hai

www.noorimehfil.com

Khilaa mere dil ki kalee Ghous-e Aazam Mitaa qalb ki be kalee Ghous-e Aazam Mere chaand mai sadqe aaja idhar bhi Chamak ut’he dil ki kalee Ghous-e Aazam Therey rab ne maalik kya therey jad ko Therey ghar se dunya palee Ghous-e Aazam Woh hai kaun aisa nahi jis ne paaya Therey dar pe dunya d’halee Ghous-e Aazam Kahaa jis ne ya ghous aghisni tho dam me Har aa-i museebath talee Ghous-e Aazam Nahi koi bhi aisa faryaadi aaqa Khabar jis ki thum ne na lee Ghous-e Aazam Meri rowzi mujh ko ataa kar de aaqa Therey dar se dunya ne lee Ghous-e Aazam Sadaa gar yahaan mai na doon tho kahaan doon Koi aur bhi hai galee Ghous-e Aazam Jo qismath ho meri buree achhi kardey Jo aadath ho bad kar bhalee Ghous-e Aazam Thera marthaba a’la kyun ho na maula Thu hai ibn-e maula ali Ghous-e Aazam Qadam gardane auliya par hai thera Hai thu rab ka aisa walee Ghous-e Aazam Jo doobi thhi kashthi woh dam me nikaali Thujhe aisi qudrath milee Ghous-e Aazam Hamaara bhi beyda laga do kinaare Thumhein naa khudaa-i milee Ghous-e Aazam Thabaahi se naa-o hamaari bachaa do Hawaa-e mukhaalif chalee Ghous-e Aazam Thujhe therey jadd se unhe therey rab se Hai ilm-e khafi o jalee Ghous-e Aazam Fida thum pe hojaa-e Noori-e muzthar Ye hai is ki khwaahish dilee Ghous-e Aazam

Khilaa Mere Dil Ki

www.noorimehfil.com

Khuda ke fazl se hum par he saaya ghous-e-aazam ka Hamein dono jahaan me hai sahaara ghous-e-aazam ka Mureedi laa thakhaf keh kar thasalli dee gulaamown ko Qayaamath thak rahey be khauf banda ghous-e-aazam ka Hamaari laaj kis ke haath hai baghdaad waale ki Museebath taal dena kaam kis ka ghous-e-aazam ka Gaye ik waqt me saththar mureedown ke yahaan aaqa Samajh mey aa nahi saktha mu’amma ghous-e-aazam ka Farishthey madrase thak saath pahunchaane ko jaathe thhey Ye darbaare ilaahi me hai ruthba ghous-e-aazam ka Azeezo kar chuko thayyaar jab mere janaaze ko Tho likh dena kafan par naame waala ghous-e-aazam ka Nida dega munaadi hashr me yun qadiriyown ko Kidhar hai qadiri karlein nazaara ghous-e-aazam ka Farishtho rowkthe kyun ho mujhe jannath me jaane se Ye dekho haath me daaman he kiska ghous-e-aazam ka Meri phooti huwi thaqdeer ki qismath chamak jaaye Banaaye mujh ko apna sag jo kuththa ghous-e-aazam ka Jameel-e-Qadiri sow jaan se ho qurbaan murshid par Banaaya jis ne thujh jaise ko banda ghous-e-aazam ka

Khuda Ke Fazl

www.noorimehfil.com

\ Khwaaja-e hind woh darbaar hai aala thera Kabhi mahroom nahi maangne waala thera Hai theri zaath ajab behre haqeeqath pyaare Kisi theyraak ne paaya na kinaara thera Gulshane hind hai shaadaab kaleyje t’handey Waah ae abre karam zowr barasnaa thera Phir mujhe apna dare paak dikha de pyaare Aankhein purnoor hown phir dekh ke jalwa thera Zille haq ghous pe hai ghous ka saaya thujh par Saaya gusthar sare khuddaam pe saaya thera Thujh ko baghdaad se haasil huwi woh shaane rafee’ Dang reh jaathe hein sab dekh ke ruthba thera Jab se thu ne qadame ghous liya hai sar par Awliya sar pe qadam leythe hein shaahaa thera Muhiye deen ghous hai aur khwaja mueenuddeen hai Ae Hasan kyun na ho mahfooz aqeeda thera

Khwaaja-e Hind

www.noorimehfil.com

Kiske jalwe ki jhalak he ye ujaala kya hai Har taraf deeda-e hayrath zada thaktha kya hai Maang man maanthi munh maangi muraadein le ga Na yahaan NAA he na mangtha se ye kehna KYA hai Pand kadwee lage naasih se na thursh ho ae nafs Zehr-e-isyaan me sithamgar thujhe meet’ha kya hai Hum hein unke woh hein therey tho huwe hum therey Is se bad’hkar theri samth aur waseela kya he Un ki ummath me banaaya unhe rahmath bheyja Yun na farma ke thera reham me daawa kya he Sadqa pyaare ki hayaa ka na ley mujhse hisaab Bakhsh bey poochhe lajaa-e ko lajaana kya he Zahid un ka mai gunahgaar woh mere shafi’ Ithni nisbath mujhe kya kam hai thu samjha kya he Beybasi ho jo mujhe pursishe aa’mal ke waqth Dostho kya kahun us waqth thamanna kya he Kaash faryaad meri sunke ye farmaaein huzoor Haan koi dekho ye kya showr hai ghowgha kya he Kown aafath zada hai kis pe bala tooti hai Kis museebath me giraftar hai sadma kya he Kis se kehtha hai ke lillah khabar leeje meri Kyun hai beythaab ye be cheini ka rowna kya he Is ki be cheini se he khaathir-e-aqdas pe malaal Be kasi kaisi he poochho koi guzra kya he Yun malaaik karein maaraoz ke ek mujrim hai Us se pursish he bathaa thoone kiya kya kya hai Saamna qehar ka hai dafthar-e-aamal hein peysh Dar raha he ke khuda hukm sunaatha kya he Aap se kartha he faryaad ke yaa shaah-e-rusul Banda be kas he shahaa reham me waqfa kya he Ab koi dam me girafthaare balaa hotha hoon Aap aajaaein tho kya khowf he khatka kya he Sun ke ye arz meri behre karam josh me aa-e Yun malaaik ko ho irshaad te’harna kya he Kis ko thum moorid e aafaath kiya chaahthe ho Hum bhi tho aake zara deykhein thamaasha kya he Un ki aawaaz pe kar utt’hoon mai be saakhtha showr Aur tadap kar ye kahun ab mujhe parwa kya he Lo woh aaya mera haami mera ghum khwaar-e-umam Aaga-i jaan thaney be jaan me ye aana kya he Phir mujhe daaman-e-aqdas me chhupaalein sarwar Aur farmaaein hatow is pe thaqaaza kya he Banda aazad shuda he ye hamaare dar ka kaisa leythe ho hisaab is pe thumhaara kya he Chhowd kar mujh ko farishthe kahein mahkoom hein hum Hukme waala ki na thaa’meel ho zohra kya he Ye samaa dekh ke mehshar me utt’he showr ke wah Chashm-e-bad door ho kya shaan he ruthba kya he Sadqe is rehem ke is saaya-e daaman pe nisaar Apne bandey ko museebath se bachaaya kya he

Kis Ke Jalwe Ki

www.noorimehfil.com

Ae Raza jaan-e-anaadil therey naghmown ke nisaar Bul bule baaghe-e-madeena thera kehna kya he

www.noorimehfil.com

Koi kya jaane jo thum ho khuda hi jaane kya thum ho Khuda tho keh nahi sakthey magar shaan-e-khuda thum ho Thumhaara husn aisa hai ke mahboob-e-khuda thum ho Mah’e kaamil karey kasb-e-ziya wo mah’e liqa thum ho Thumhaari hamd farmaa-i khuda ne apne qur’aan me Muhammad aur Mumajjad Mustafa-o-Mujthaba thum ho Jahaan thaareek thha saara andhera hi andhera thha Thum aa-e zulmathein thum se mitee badr-ud-duja thum ho Shab-e-mi’raj se ae sayyide kul ho gaya zaahir Rusul hein muqthadi saare imam-ul-ambiya thum ho Thumhaare baad paida ho nabi koi nahi mumkin Nubuwwath khathm he thum par ke khathm-ul-ambiya thum ho Girafthaare balaa haazir huwe hein tootey dil lekar Ke har be kal ki kal toote dilown ka aasra thum ho Khabar leeje khudaara mere maula mujh se bekas ki Ke har bekas ke kas be bas ke bas roohi fidaa thum ho Chamak jaae dil-e-Noori thumhaare paak jalwon se Mita do zulmathein dil ki mere noor-ul-huda thum ho

Koi Kya Jaane Kya

www.noorimehfil.com

Kuch aisa karde mere kirdgaar aankhownwn me Hamesha naqsh rahey roo-e yaar aankhown me Na kaise ye gul-o-gunche hown khwaar aankhown me Basye huwe hein madeene ke khaar aankhown me Woh noor dey mere parwardigaar aankhown me Ke jalwah gar rahey rukh ki bahaar aankhown me Basar ke saath baseerath bhi khoob roshan ho Lagaa-oon khaak-e-qadam baar baar aankhown me Thumaare qadmown pe mothi nisaar howne ko Hein bey shumaar meri ashkbaar aankhown me Unhein na dekha tho kis kaam ki hein ye aankhey Ke dekhney ki he saari bahaar aankhown me Nazar me kaise samaa-einge phool jannath ke Ke bas chukey hein madeene ke khaar aankhown me Ajab nahi ke likha lowh ka nazar aa-e Jo naqsh e paa ka lagaa-oon ghubaar aankhown me Ye ishthiyaaq theri deed ka he jaan-e-jahaan Dam aagaya he dam-e-ehthizaar aankhown me Woh sabz sabz nazar aaraha he gumbade sabz Qaraar aagaya yun be qaraar aankhown me Bahaar-e-dunya he faani nazar na kar us par He koi dam ki ye saari bahaar aankhown me Ye dil thadap ke kaheen aankhown me na aajaa-e Ke phir rahaa he kisi ka mazaar aankhown me Karam ye mujh pe kiya he mere thasawwur ne Ke aaj kheench di thasweer e yaar aankhown me Farishtho poochhthe ho mujh se kis ki ummath ho Lo dekh lo ye he thasweer e yaar aankhown me

Kuch Aisa Kar De

www.noorimehfil.com

Piya he jaam-e-muhabbath jo aapne Noori Hamesha uska raheyga khumaar aankhown me

www.noorimehfil.com

Kya hi zowq afza shafa’ath he thumhaari wah wah Qarz leythi he gunah parhezgaari wah wah Khaama-e qudrath ka husn-e-dasthkaari wah wah Kya hi thasweer apne pyaare ki sanwaari wah wah Ungliyaa hein faiz par tootey hein pyaase jhoom kar Naddiyaan panjaab-e-rahmath ki he jaari wah wah Nafs ye kya zulm he jab dekho thaaza jurm he Naathawan ke sar pe ithna bojh bhaari wah wah Kya madeene se saba aa-i ke phoolown me he aaj Kuchh naee boo bheeni bheeni pyari pyari wah wah Is tharaf rowze ka noor us samth mimbar ki bahaar Beech me jannath ki pyari pyari kyari wah wah Paara-e dil bhi na nikla dil se thohfe me Raza Un sagaan-e-ku se ithni jaan pyari wah wah

Kya Hi Zowq Afza

www.noorimehfil.com

Kya mahakthe hein mahakne waale Boo pe chalthey hein bhatakne waale Jagmagaa ut’hi meri gowr ki khaak Therey qurbaan chamak ne waale Mahe be daagh ke sadqe jaaoon Yun damakthe hein damakne waale Aaasiyo thhaam lo daaman unka Woh nahi haath jhatakne waale Sunniyo un se madad maange jaa’o Padey bakthey rahein bakne waale Mauth kehthi he ke jalwa he qareeb Ik zaraa sowlein bilakne waale Jab girey munh soo-e maikhaana thha Hosh me hein ye bahakne waale Kafe dariyaa’e karam me hai Raza Paanch fawwaare chhalakne waale

Kya Mahakthe Hein

www.noorimehfil.com

Laa mawjooda illallah La mash’hooda illallah La maqsooda illallah la ma’booda illallah Laa ilaaha illallah Aamanna bi Rasoolillah Hai mawjood e haqeeqi woh hai mash’hood e haqeeqi woh Hai maqsood e haqeeqi woh ma’bood e haq o haqeeqi woh Laa ilaaha illallah Aamanna bi Rasoolillah Anthal haadi anthal haq range baathil us se faq Qalbe mubthil sun kar shaq qalbe muslim ki rownaq Laa ilaaha illallah Aamanna bi Rasoolillah Bun ko banaaya hai us ne bun ko jamaaya hai us ne Bun ko ugaaya hai us ne baagh khilaaya hai us ne Laa ilaaha illallah Aamanna bi Rasoolillah Woh hai munazzah shirkath se paak sukoon o harkath se Kaam hai uske hikmath se kartha hai sab qudrath se Laa ilaaha illallah Aamanna bi Rasoolillah Sowtha peetha khaatha nahi us ka rishtha naatha nahi Us ke pitha aur maatha nahi us ke jowro jaatha nahi Laa ilaaha illallah Aamanna bi Rasoolillah Mai hoon banda woh mowla kown hai apna us ke siwa Mai hoon us ka woh hai mera jis ne banaaya aur paala Laa ilaaha illallah Aamanna bi Rasoolillah Juz mai woh hai kul mai woh rang o boo e gul mai woh Afghaane bulbul mai woh naghmaathe qulqul mai woh Laa ilaaha illallah Aamanna bi Rasoolillah Bulbul thoothi parwaana har ik us ka diwaana Qumri kis ka masthaana kown chakowr ka jaanaana Laa ilaaha illallah Aamanna bi Rasoolillah Jalwe us ke hein har jaa zaath hai uski jaa se waraa Qudrath se woh un me huwa zaath me hai woh sab se judaa Laa ilaaha illallah Aamanna bi Rasoolillah Apne karam se rabbe kareem ham pe kiya ehsaan e azeem Bheja hum me bafazle ameem behre karam ka durre yatheem Laa ilaaha illallah Aamanna bi Rasoolillah Mowla dil ka zang chhuda qalbe Noori paa e jilaa Dil ko karde aaina jis me chamkey ye kalima

La Mawjooda Illallah

www.noorimehfil.com

Laa ilaaha illallah Aamanna bi Rasoolillah

www.noorimehfil.com

Lam ya'thi nazeeruka fi nazrin misle tho na shud paida jaana Jag raaj ko thaaj thorey sar so hai thujh ko shahey do sara jaana Al bahru ulaa wal mavju taghaa man bekaso thufaan hosh ruba Manjdhaar mei hun bigdi hai hawaa mori nayya paar laga jaana Ya shamsu nazarthi ila layli chuba Taiba rasi arze ba kuni Thori jowth ki jhal, jhal jag me rachi meri shab ne na din hona jaana Ana fi atashinw wa sakhaa ka atam aey geysu-e paak, aey abre karam Barsan haare rimjhim, rimjhim do boond idhar bhi gira jaana Alqalbu shajun wal hammu shujoon dil zaar chuna jaan zeyr-e chunoo Path apni bipath mai kaa se kahoo mera kaun hai therey siwa jaana Ar roohu fidaaka fazid harqaa yak sho’la digar barzan ishqa Mora tan, man, dhan, sab phoonk diya yeh jaan bhi pyaare jala jaana Bas khaama-e khaam nawaa-e Raza na yeh tharz meri na yeh rang mera Irshaade ahibba naathiq thha naa chaar is raah padaa jaana

Lam Ya’thi Nazeeruka

www.noorimehfil.com

Lutf unkaa aam ho hi jaa-ega Shaad har naa kaam ho hi jaa-ega Jaan de do waada-e deedaar par Naqd apna daam ho hi jaa-ega Be nishaanown ka nishaan mit’tha nahi Mit’the mit’the naam ho hi jaa-ega Saailow daaman sakhee ka thhaam lo Kuch na kuch in’aam ho hi jaa-ega Yaad-e abroo kar ke tadpow bulbulo Tukde tukde daam ho hi jaa-ega Mufliso un ki galee me jaa pado Baagh-e khuld ikraam ho hi jaa-ega Ab tho laa-e hey shafa’at afw par Badthe badthe aam ho hi jaa-ega Ae Raza har kaam ka ik waqth hey Dil ko bhi aaraam ho hi jaa-ega

Lutf Unka Aam

www.noorimehfil.com

Maqbool dua karna manzoor sana karna Mid’hath ka sila dena maqbool sana karna Dil zikr shareef un ka har sub’h-o-masa karna Din raath japaa karna har aan rataa karna Seene pe qadam rakhna dil shaad mera karna Dard-e-dil-e muzthar ki Sarkaar dawa karna Sansaar bhikaari hai jug daatha daya karna Hai kaam thumhaara hi Sarkaar ataa karna Kab aapke koochey mei mangtha ko sadaa karna Khud bheek liye thum ko mangtha ko nidaa karna Din raath hai Taiba mei dowlath ka lutaa karna Mangtha ki dawa karna mangtha ka bhala karna Din raath khathaa-own par hum ko hai khathaa karna Aur thum ko athaa-own par hard dum hai atha karna Hum apni khathaa-own par naadim bhi nahi hothe Aur un ko athaa-own par har baar atha karna Wallah woh sunleynge aur dil ki dawa deynge Beykaar na jaa-ega faryaad-o-bukaa karna Aada ko khuda waala jab thum ne banaa daala Dushwaar hai thum par kya mujh badd ka bhaala karna Taiba mei bulaa lena aur apna banaa lena Qeydi gham-e furqath ke Sarkaar rahaa karna Hum arz kiye jaa-ein Sarkaar suney jaa-ein Kya door karam se hai din aisa shaha karna Parde mei jo rehthe ho parda hai chale aa-o Aankhown me basaa karna thum dil me rahaa karna Hoon thishna magar saaqi deedar ke sharbath ka Ek jaam mujhe pyaare lillah athaa karna Hai pyaas se haal abthar nikli he zabaan baahar Ek jaam mujhe Sarwar kousar ka athaa karna Dunya baney ya bigdey dunya rahey ya jaa-e Thu deen banaa pyaare dunya ka he kya karna Khaaya piya aur pehna achhown se rahaa achha Kuch deen ka bhi kar ley dunya ka he kya karna Barbaad na ho mitty is khaak ke puthley ki Allah mujhe unki khaak-e-kaf-e-paa karna Kyun naqsh-e-kaf-e-paa ko dil se na lagaaye woh Hai aayina-e dil ki Noori ko jilaa karna

Maqbool Dua Karna

www.noorimehfil.com

Mazhar-e-shaan-e-ghousul wara hein raza Aur zille raza mustafa shaah raza Jaan tho jaan hai maan tho maan hai Ishq-e-ahmad tho imaan ki jaan hai Ye jo najdi hai be deen-o-imaan hai Thum ne sikhlaadiya mustafa shaah raza Kithne zarrown ko khursheed e thaabaan kiya Kithne qathrown ko behr-e-be paaya kiya Kithne soone banown ko gulisthaan kiya Wah faiz-e-raza mustafa shaah raza Kithne rothe hanse kithne sothe jage Kithne girthe ut’he kithne doobe thire Jab dua ke liye haath ut’he aap ke Kya se kya ho gaya mustafa shaah raza Josh-e-toofaan thha naa-khuda chal basa Raah pur kham thhi aur rahnuma chal basa Ya khuda rahm-o-bar haal maa chal basa Muqthada rehnuma mustafa shaah raza Meet’hi meet’hi woh baathein muhabbath bhari Pyari pyari adaa-ein woh ulfath bhari Yaad aathi raheygi woh shafqath theri Sunniyown ko sadaa mustafa shaah raza Har sajaawat fida saadgi par theri Sadqe hoon sow chaman ek hansee par theri Jaan waare sukhan khaamushi par theri Baath hai theri kya mustafa shaah raza Dil hai beykal zaraa haath rakh deejiye Lutf-o-shafqath bharaa haath rakh deejiye Ho ye khota kharaa haath rakh deejiye Behre ghousul waraa mustafa shaah raza Zulm-e-kufaar-e-naari se kyun woh darey Taaqath-e-dew-e-najdi se kyun woh darey Badd aqeedah wahabi se kyun woh darey Jo thera ho gaya mustafa shaah raza Maqtha-e-dil nasheen naadim-e-zaar ne Is tarah keh ke bas apne lab see liye Shaan ahle baseerath hee jaanein their Kya mai kya munh mera Mustafa shah raza

Mazhar-e Shaan

www.noorimehfil.com

Mere Allah ke nigaar salaam Dasth-e-qudrath ke shaahkaar salaam Dono aalam ke thaajdaar salaam Jaan-e-har jaan-o-jaandaar salaam Nik’hath-e-har chaman hazaar salaam Jaan-e-har bulbule hazaar salaam Khaak-e-Taiba baney meri hasthi Arz kartha he khaaksaar salaam Phir madeene me kab bulawo ge Thum se kehtha ke inthizaar salaam Mujh ko zaalim pe ikhthiyaar nahi Thum tho rakhthe ho ikhthiyaar salaam Khuld kehthi he yun madeene se Thuj pe ae khuld ki bahaar salaam Mothiyown ko sajaa ke palkown par Kehthi he chashm-e-ashkbaar salaam Apni ulfath ka aisa jaam pila Jis ka bad’htha rahe khumaar salaam Darde ulfath me dey maza aisa Dil na paa-e kabhi qaraar salaam Theri khaathir zaleel hona he Meri izzath mere waqaar salaam Apne Akhthar ka lo salaam shaha Thum pe ae jaan ae qaraar salaam

Mere Allah Ke Nigaar

www.noorimehfil.com

Mufthy-e aazam-e-deen-e-khairul wara Jalwa-e shaan-e-irfan-e-ahmad raza Deed-e ahmad raza he thumhein dekhna Zaath-e-ahmad raza ka ho thum aaina Kya kahoon haq ke ho keyse thum muqthada Muqthadaayaan-e-haq karthe hein iqthida Unki mid’hath ko mai kis se maangu zabaan Kya maqaam-e-surayya bathaa-e sara Ahmad-e-noori ke hein ye mazhar thamam Ye hein noori miyan noori har har adaa Hein bohoth ilm waale aur peer bhi Aankhown dekha na unsa na kaanown suna Un ke haasid pe woh dekho bijli giree Woh jalaa dekh kar woh jalaa woh jalaa Woh jaleynge hameisha jo thujh se jalein Mar ke bhi dil jalown ko na chein aayega Aashiqown ke jigar unse t’hande rahein Dushmanown par rahein banke shakl-e-qaza Aur honge jinhein thujh se laalach ho kuch Therey Akhthar ko kaafi he theri raza

Mufthy-e Aazam

www.noorimehfil.com

Muraadein mil rahee hein shaad shaad un ka sawaali hai Labown par ilthija hai haath me rowze ki jaali hai Theri soorath theri seerath zamaane se niraali hai Theri har har adaa pyare daleel-e-be misaali hai Bashar ho ya malak jo hai therey dar ka sawaali Theri Sarkaar waala hai thera darbaar aali hai Woh jug daatha ho thum sunsaar baadey ka sawaali he Daya karna ke is mangtha ne bhi gud’di bichhaali hai Who hein Allah waale jo thujhe waali kahein apna Ke thoo Allah waala hai thera Allah waali hai Faqeero be nawaa-o apni apni jholiyaan bhar lo Ke baada but raha hai faiz par saarkar-e-aali hai Nikala kub kisi ko bazm-e-faiz-e-aam se thum ne Nikaali hai tho aane waalown ki hasrath nikaali hai Faqath ithna sabab hey in’iqaad e bazme mehshar ka Ke unki shaane mahboobi dikhaa-i jaane waali hai Khuda shaahid ke rowze hashr ka khatka nahi rehtha Mujhe jab yaad aatha hai ke mera kown waali hai Hamesha thum karam karthey ho bigdey haal waalown par Bigad kar meri haalath ne meri bigdi banaali hai Thumhaare dar thumhaare aasthaan se mai kahaan jaa-oon Na mujh sa koi be kas hai na thum sa koi waali hai Hasan ka dard dukh mowqoof farma kar bahaali do Thumhaare haath me dunya ki mowqoofi bahaali hai

Muraadein Mil Rahee

www.noorimehfil.com

Mustafa kheir-ul waraa ho Sarware har do saraa ho Apne achhown ka thasadduq Hum badown ko bhi nibha ho Kis ke phir ho kar rahein hum Gar thumhee hum ko na chaaho Bad karein har dam buraai Thum kaho un ka bhala ho Hum wahi shaayan e rad hai Thum wahi shaane sakhaa ho Hum wahi be sharm o badd hai Thum wahi kaane haya ho Hum wahi qaabil saza ke Thum wahi rehme khuda ho Umr bhar tho yaad rakha Waqth par kya bhoolna ho Waqthe paidaish na bhoole Kaifa yansaa kyun qaza ho Ye bhi moula arz kardoon Bhool agar jaa-o tho kya ho Mar mitein barbaad bande Khaana aabad aag ka ho Thum ko gham se haq bachaa-e Gham adoo ko jaan guzaa ho Thum se gham ko kya tha’aluq Bekasown ke gham zuda ho Haq daroodein thum pe bheyje Thum madaam usko sara ho Woh ataa dey thum ataa lo Woh wahi chaahe jo chaaho Kyun Raza mushkil se darye Jab Nabi mushkil kusha ho

Mustafa Kheir-Ul

www.noorimehfil.com

www.noorimehfil.com

Mustafa jaan e rehmath pe laakhown salaam Sham-e bazme hidaayath pe laakhown salaam Shehr yaar-e iram thaajdaar-e haram Nau bahaare shafa'ath pe laakhown salaam Shab-e asraa ke doolha pe daaim durood Nausha-e bazme jannath pe laakhown salaam Hum gharibown ke aaqa pe beyhad durood Hum faqirown ki sarwath pe laakhown salaam door-o nazdeek ke sunne waale woh kaan Kaan-e-laal-e-karamath pe laakhown salam Jis ke maathhey shafa'ath ka sehra raha Us jabeen-e sa'aadath pe laakhown salaam Jin ke sajde ko mehraab-e kaa'bah jhuki Un bhawon ki lataafath pe laakhown salaam Jis taraf ut’h gayi dam me dam aa gaya Us nigaahe inaayath pe laakhown salaam Pathli pathli gul-e quds ki paththiyaan Un labown ki nazaakath pe laakhown salaam Jis ki thaskeen se rowte huwey hans padey Us thabassum ki aadath pe laakhown salaam Haath jis simth utt’ha ghani kardiya Mouj-e-behre samaahath pe laakhown salam Noor ke chashme lehraa-ein,darya bahein Ungliyown ki karaamath pe laakhown salaam Kul jahaan milk aur jaw ki roti ghiza Us shikam ki qanaa'ath pe laakhown salaam Jis suhaani ghadi chamka Taibah ka chand Us dil afroz saa'ath pe laakhown salaam Woh dasown jin ko jannath ka muzda mila Us mubarak jama'ath pe laakhown salaam Ghous-e-a’zam imam-uth-thuqa wannuqa Jalwa-e shaane qudrath pe laakhown salam Noor-e jaan ithr-e majmooa aal-e rasool Mere aaqa-e ni’math pe laakhown salam Eik mera hi rahmath me daa’wa nahi Shaah ki saari ummath pe laakhown salam Kaash mehshar me jab unki aamad ho aur Bhejein sab unki shaukath pe laakhown salaam Mujh se khidmath ke qudsi kahein haan Raza Mustafa jaan-e rehmath pe laakhown salaam

Mustafa Jaane Rehmath

www.noorimehfil.com

Na chheydo-zikr-e-jannath ab madeena yaad aaya hai Nabi ka sabz gumbad dil ki aankhown me samaaya hai Mila karthi hein munh maangi muraadein un ke rowze par Ghulaamown ne therey dar se jo maanga hai woh paaya hai Nazar aatha hai ooncha aasmanown se thera gumbad Buland arsh-e-mu’azzam se theri thurbath ka paaya hai Khuda ki saltanath ke thum ho doolha ya Rasoolallah Thumhaare waasthe Rab ne ye sab aalam sajaaya hai Shab-e-asraa mubaarak baad thhi ye hoor-o-ghilmaan me Muhammad ko khuda-e-paak ne doolha banaya hai Namaazown me azaan me kalme me aur arsh par har jaa Khuda ne naam thera naam se apne milaaya hai Zameen ko cheerthe dowd’the huwe aaye hein khidmath me Darakhthown ne ishaara aapka jis waqth paaya hai Ijaabath ne liya bowsa thumhaare pyaare hownto ka Dua ke waaste jis waqth thum ne lab hilaaya hai Sanaa-e-Mustafa woh bhi riwaayaath-e-saheeh se Jameel-e-qadrii kya khoob therey paas maaya hai

Na Cheyydo-Zikr

www.noorimehfil.com

Na ho aaraam jis beemaar ko saare zamaane se Ut’ha le jaa-e thhowdi khaak unke aasthaane se Thumhaare dark e tukdown se padaa paltha hai ek aalam Guzaara sab ka hotha hai usee muhthaaj khaane se Na kyun unki taraf Allah sau sau pyaar se dekhe Jo apni aankhein malthey hein thumhaare aasthaane se Thumhaare tho woh ehssan aur ye naa-farmaaniya apni Hamein tho sharm si aathi hai thum ko munh dikhaane se Zameen thhodi se de de behr-e-madfan apne koochey me Lagaade mere pyaare meri mitti bhi t’hikaane se Palat’tha hai jo zaair us se kehtha hai naseeb uska Arey ghaafil qazaa behthar hai yaan se phir ke jaane se Bulaalo apne dar par ab tho hum khaana badoshown ko Phirey kab thak zaleel-o-khwaar dar dar be t’hikaane se Na pohonche un ke qadmown thak na kuch husn-e-amal hi hai Hasan kya poochthe ho hum gaye guzre zamaane se

Na Ho Aaraam

www.noorimehfil.com

Na kyun aaraa-ishein kartha khuda dunya ke saamaan mai Thumhey doolha banaa kar bhejna thha bazme imkaan mai Ye rangeeni ye shaadaabi kahaan gulzaare rizwaan mai Hazaarown jannathein aakar basi hai koo-e jaanaan mai Thum aaye roshni pheyli huwa din khul gayi aankhein Andheira sa andheira chhaa rahaa thha bazme imkaan mai Thumhara kalma padtha utt’he thum par sadqe howne ko Jo paa-e paak se t’hokar laga do jism-e be jaan mai Ajab andaaz se mehboob-e haq ne jalwa farmaya Suroor ankhown mai aaya jaan dil mai noor imaan mai Hawa badli ghirey baadal khiley gul bulbulein chehkeen Thum aaye ya bahaare jaan fiza aa-i gulisthaan mai Use qismath ne uske jeethe ji jannath mai pohonchaya Jo dam leyne ko beit’ha saaya-e deewar-e jaanaan mai Chaman kyunkar na mehkein bulbulein kyunkar na aashiq hown Thumhaara jalwa-e rangeen bharaa phoolown ne daamaan mai Yahaan ke sang reyzown se Hasan kya laal ko nisbath Ye unki reh guzar mai hein woh path’har hein badakhshaan mai

Na Kyun Aaraa-ishein

www.noorimehfil.com

Nabi aaj payda huwa chahtha hai Ye ka’aba ghar uska huwa chahtha hai Na kyun aaj ka’aba baney rashk-e gulshan Woh gul jalwa farma huwa chahtha hai Ye row row ke aapas me buth keh rahey hein Khuda jaaney ab kya huwa chahtha hai Nidaa aarahi hai ke haq ke qamar ka Jahaan me ujaala huwa chahtha hai Khareedega isyaan ko rehmath ke badle Khareedaar payda huwa chahtha hai Ye aalam banaaya he jiska baraathi Huweyda wo doolha huwa chahtha hai Jo aalam ko qathre se sayraab kardey Rawaan aisa darya huwa chahtha hai Falak ke sithaare jhukey aarahey hein Ke payda woh maula huwa chahtha hai Khuda ke khazaanown ka mukhthaar-o-haakim Shahe deen-o-dunya huwa chahtha hai Malaaik mu’addab rahein hukme Rab hai Ke mahboob payda huwa chahtha hai Salaath-o-salaam arz kar ae Jameel ab Ijaabath ka dar waa huwa chahtha hai

Nabi Aaj Payda

www.noorimehfil.com

Nabi sarwar e har rasool o wali hai Nabi raaz daare ma’Allah li hai Woh naami ke naam e Khuda naam thera Raoof o Raheem o Aleem o Ali hai Hai beythaab jis ke liye arsh e a’zam Woh is rehraw-e laa makaan ki gali hai Nakeerain karthe hein tha’zeem meri Fida ho ke thujh pe ye izzath mili hai Thala tum hai kashthi pe thoofan e gham ka Ye keysi hawaa-e muhkaalif chali hai Na kyunkar kahoon Ya Habeebi Aghisni Isee naam se har museebath talee hey Therey chaarown hamdam hein yak jaan o yak dil Aboobakr o Farooq o Usmaan Ali hai Khuda ne kiya thujh ko aagah sab se Do aalam mai jo kuch khafi o jali hai Thamanna hai farmaaiye rowze mehshar Ye theri rihaa-i ki chit’hi mili hai Jo maqsad ziyaarath ka bar aa-e phir tho Na kuch qasd keejiye ye qasde dili hai Therey dar ka darbaan hai jibreel-e a’zam Thera mad’h khwaan har Nabi o Wali hai Shafa’ath karey hashr me jo Raza ki Siwa therey kis ko ye qudrath mili hai

Nabi Sarwar e Har

www.noorimehfil.com

Nazar ik chaman se do chaar hai na chaman chaman bhi nisaar hai Ajab us ke gul ki bahaar hai ke bahaar bulbul-e zaar hai Woh hai bheeni bheeni wahaan mahak ke basaa hai arsh se farsh thak Woh hai pyaari pyaari wahaan chamak ke wahaan ki shab bhi nihaar hai Ye saman ye sowsan-o yaasman ye banaqsha sumbul-o-nastharan Gul-o-sarw-o-laala bharaa chaman wahi ek jalwa hazaar hai Wahi jalwa shehr Ba-shehr hai wahi asl-e-aalam-o-deher hai Wahi beher hai wahi leher hai wahi paat hai wahi dhaar hai Ba-adab jhuka lo sarey vilaa ke mai naam loon gul-o-baagh ka Gul-e-thar Muhammad Mustafa chaman un ka paak diyaar hai Wahi aankh unka jo munh thakey wahi lab ke mehw hown naath ke Wahi sar jo unke liye jhukey wahi dil jo unpe nisaar hai Rusul-o-malak pe durood ho wahi jaane un ke shumaar ko Magar ek aisa dikha tho do jo shafee-e rowz-e shumaar hai Woh theri thajalli-e dil nasheen ke jhalak rahein hein falak zameen Therey sadqe mere mahe mubeen meri raath kyun abhi thaar hai Gunah-e-Raza ka hisaab kya woh agar che laakhown se hein siwa Magar ae afoo therey afw ka tho hisaab hai na shumaar hai Woh Raza ke neyz-e ki maar hai ke adoo ke seene me ghaar hai Kise chaara joo-i ka waar hai ke ye waar waar se paar hai

Nazar Ik Chaman

www.noorimehfil.com

Ni'mathein baant-tha jis samth woh zeeshaan gaya Saath hi munshi-e rehmath ka qalam daan gaya

Le khabar jald ke ghairon ki tharaf dhyaan gaya Mere maula mere aaqa therey qurbaan gaya

Aah woh aankh ke naa kaame thamanna hi rahi Haa-e woh dil jo therey dar se pur armaan gaya

Dil he woh dil jo theri yaad se ma'moor raha Sar he woh sar jo therey qadmown pe qurbaan gaya

Unhein jaana unhein maana na rakh’ha ghair se kaam Lillaahil hamd me dunya se musalman gaya

Aur thum par mere aaqa ki inaayath na sahi Najdiyo kalma pad’haane ka bhi ehsaan gaya

Aaj le unki panaah aaj madad maang unse Phir na maanenge qiyamath me agar maan gaya

Uf rey munkir ye bad’ha josh-e tha’assub aakhir Bheed me haath se kambakhth ke eemaan gaya

Jaan o dil howsh o khirad sab tho madeene pohonche Thum nahi chalthe Raza saara tho saamaan gaya

Ni’mathein Baant-tha

www.noorimehfil.com

Paa-t wo kuch dhaar ye kuch zaar hum Yaa ilaahi kyoo kar uthre paar hum Kis balaa ki mai se hein sarshaar hum Din d-halaa hothe nahi hoshyaar hum Thum karam se mushthari har aib ke Jin se naa-maqbool har baazaar hum Dushmanown ki aankh me bhi phool thum Dosthown ki bhi nazar me khaar hum Lagzishe paa ka sahaara ek thum Girne waale laakhown naa-hanjaar hum Sadqa apne baazuwon ka al-madad Kaise thowde ye buth e pindaar hum Dam qadam ki khair ae jaane maseeh Dar pe laaye hein dile beemaar hum Apni rahmath ki tharaf dekhein huzoor Jaanthe hein jaise hein badkaar hum Apne mehmaanown ka sadqa ek boond Mar mite pyaase idhar sarkaar hum Haath ut-ha kar ek tukda ae kareem Hein sakhee ke maal me haqdaar hum Baa-ataa thum shaah thum mukhthaar thum Be-nawaa hum zaar hum naa chaar hum Thum ne tho laakhown ko jaane pher dee Aisa kithna rakhthe hein aazaar hum Apni satthaari ka yaa rab waastha Yun na ruswa barsare darbaar hum Me nisaar aisa musalmaa keejiye Thowd daale nafs ka zunnaar hum Sunniyath se khatke sab ki aankh me Phool ho kar ban gaye kya khaar hum Qismathe sowr-o hiraa ki hirs hai Chaahthe hein dil me gehraa ghaar hum Unke aage daa’waa-e hasthi Raza Kyaa bakey jaatha hai ye harbaar hum

Paa-t Wo Kuch

www.noorimehfil.com

Payaam le ke jo aayi sabaa madeene se Mareeze ishq ki laayi dawaa madeene se Miley hamaare bhi dil ko jilaa madeene se Ke mahr-o-maah ne paayi ziyaa madeene se Thamaam shaah o gadaa pal rahey hein is dar se Milee jahaan ko rowzi sadaa madeene se Bathaa de koyi kisi aur se bhi kuch paaya Jisey mila jo mila woh mila madeene se Na chein paayega ye ghamzada kisi soorath Mareeze gham ko milegi shifaa madeene se Lagaawo dil ko na dunya me har kisee shey se Tha’alluq apna ho kaa`be se yaa madeene se Chaman ke phool khiley murda dil bhi jee utthey Naseem khuld se aayi hai ya madeene se Thumhaare qadmown pe sar sadqe jaan fida hojaaye Na laaye phir mujhe mera khuda madeene se Therey habeeb ka pyaara chaman kiya barbaad Ilaahi nikle ye najdi balaa madeene se Therey naseeb ka Noori milega thujh ko bhi Le aaye hissa ye shaah o gadaa madeene se

Payaam Le Ke Jo

www.noorimehfil.com

Peerown ke aap peer hein ya ghous al madad Ahle safa ke meer hein ya ghous al madad Ranj-o alam kaseer hein ya ghous al madad Hum aajiz-o aseer hein ya ghous al madad Hum kaise jee rahe hein ye thum se kya kahein Hum hein alam ke theer hein ya ghous al madad Theere nazar se pher do saare alam ke theer Kya ye alam ke theer hein ya ghous al madad Therey hi haath laaj hai ya peer-e dasthageer Hum therey dasthageer hein ya ghous al madad Sadqa Rasool-e paak ka jhowli me daal do Hum qadri faqeer hein ya ghous al madad Dil ki sunaaye Akhthar dil ki zabaan me Kehthe ye behthe neer hein ya ghous al madad

Peerown Ke Aap

www.noorimehfil.com

Peyshe haq muzda shafa’at ka sunaathe jaayenge Aap rowthe jaayenge hum ko hansaathe jaayenge Dil nikal jaane ki jaa hai aah kin aankhown se wo Hum se pyaasown ke liye darya bahaathe jaayenge Haan chalo hasrath zado sunthey hein wo din aaj hai Thhee khabar jiski ke wo jalwa dikhaathe jaayenge Kuch khabar bhi hey faqeero aaj wo din hey ke woh Ni’mathe khuldh apne sadqe me lutaathe jaayenge Wus’athein dee hein khuda ne daamane mahboob ko Jurm khulthe jaayenge aur woh chhupaathe jaayenge Sowkhtha jaano pe woh purjosh rahmath aaye hein Aab e kausar se lagi dil ki bujhaathe jaayenge Aafthab unka hi chamkega jab aurown ke chiraagh Sar sarey joshe balaa se jhilmilaathe jaayenge Hashr thak daalenge hum peydaishe maula ki dhoom Misle faaras najd ke qil’ei giraathe jaayenge Khaak ho jaaye adoo jal kar magar hum tho Raza Dum me jub thak dum hey zikr unka sunaathe jaayenge

Peyshe Haq Muzda

www.noorimehfil.com

Phir ke gali gali thabaah t’hokarein sab ki khaaye kyun Dil ko jo aql de khuda theri gali se jaaye kyun

Rukhsath e qaafila ka showr ghash se hamein ut’haaye kyun Sowthe hein unke saaye me koyi hamein jagaaye kyun

Yaade huzoor ki qasam ghaflathe aish hai sitham Khoob hein qayde ghum me hum koyi hamein chhudaaye kyun

Jaan he ishqe mustafa rowz fazoon karey khuda Jis ko ho dard ka mazaa naaze dawa ut’haaye kyun

Unke jalaal ka asar dil se lagaaye hai qamar Jo ke ho lowte zakhm par daagh-e-jigar mitaaye kyun

Ab tho na rowk ae ghani aadathe sag bigad gayi Merey kareem pehle hi luqma-e thar khilaaye kyun

Sange darey huzoor se hum ko khuda na sabr dey Jaana hai sar ko jaa chukey dil ko qaraar aaye kyun

Hai to Raza niraa sitham jurm pe gar lajaaye hum Koi bajaaye soze ghum saaze tharab bajaaye kyun

Phir Ke Gali Gali

www.noorimehfil.com

Pul se uthaaro raah guzar ko khabar na ho Jibreel par bichhaa-e tho par ko khabar na ho Kaantaa merey jigar se gham-e rowzgaar ka Yun kheench leejiye ke jigar ko khabar na ho Faryaad ummathee jo karey haal-e zaar me Mumkin nahi ke khayre bashar ko khabar na ho Kehthi thhi ye buraaq se uski subuq ravee Yun jaaiy-e ke girde safar ko khabar na ho

Aisa guma de unki vilaa me khuda hamein Dhoonda karey par apni khabar ko khabar na ho Ae khaar-e taibah dekh ke daaman na bheeg jaa-e Yun dil me aa ke deeda-e thar ko khabar na ho Ae shauq-e dil ye sajdah gar un ko rawaa nahi Achha wo sajda keeje ke sar ko khabar na ho Unke siwa Raza koi haami nahi jahaa Guzra karey pisar pe, pidar ko khabar na ho

Pul se uthaaro

www.noorimehfil.com

Purnoor hai zamaana sub’he shabe wilaadath Parda ut-haa hai kiska sub’he shabe wilaadath Jalwa hai haq ka jalwa sub’he shabe wilaadath Saaya khuda ka saaya sub’he shabe wilaadath Fasle bahaar aayi shakle nigaar aayi Gulzaar hai zamaana sub’he shabe wilaadath Phoolown se baagh mahke shaakhown pe murg chahke Ahd-e bahaar aaya sub’he shabe wilaadath Dil jagmaga rahe hein qismath chamak ut’hi hai Phela nayaa ujaala sub’he shabe wilaadath Shaukath ka dab-dabaa hai haibath ka zalzalaa hai Shaq hai makaane kisraa sub’he shabe wilaadath Khutba huwa zamee par sikka padaa falak par Paaya jahaan ne aaqa sub’he shabe wilaadath Aayi nayee hukoomath sikka naya chaleyga Aalam ne rang badla sub’he shabe wilaadath Roohul ameen ne gaada kaa`be ki chhath pe jhanda Thaa arsh udaa phareyra sub’he shabe wilaadath Padhthey hein arsh waale sunthey hein farsh waale Sulthane naw ka khuthbaa sub’he shabe wilaadath Pyaare rabi-ul-awwal theyri jhalak ke sadqe Chamka diya naseeba sub’he shabe wilaadath Nausha banaawo un ko doolha banaawo un ko Hai arsh thak ye shohrah sub’he shabe wilaadath Mahroom reh na jaaye din raath barakathown se Is waasthe wo aaya sub’he shabe wilaadath Aawo faqeero aawo munh maangi aas paawo Baabe kareem hai waa sub’he shabe wilaadath Sookhi zabaano aawo ae jalthi jaano aawo Lehra raha hai darya sub’he shabe wilaadath Theri chamak damak se aalam jhalak rahaa hai Mere bhi bakhth chamkaa sub’he shabe wilaadath Baantaa hai do jahaan mey thu ne ziyaa ka baada Dey de Hasan ka hissa sub’he shabe wilaadath

Purnoor Hai Zamaana

www.noorimehfil.com

Mawlaya salli wasallim daaiman abadan Alaa habeebika khayril khalqi kullihimi Amin thazakkuri jeeraanim bizee salami Mazajtha dam’an jaraa mim muqlathim bidami Am habbathir reehu min thilqaai kaazwimathin Aw aw madhzal barqu fi zzwalmaai min idhzami Famaa li aynayka in qulthakfufaa hamathaa Wa maa li qalbika in qulthastha fiq yahimi Ayahsabus swabbu annal hubba munkathimun Maa bayna munsajimim minhu wa mudhztharami Law lal hawaa lam thuriq dam’an alaa thwalalin Walaa ariqtha li zikril baani wal alami Fakayfa thunkiru hubbam ba’da maa shahidath Bihi alayka udoolud dam’i was saqami Na’am saraa thwayfu man ahwaa fa arraqani Wal hubbu ya’tharidhzul lazzaathi bil alami Adathka haali wa laa sirree bimusthathirin Anil wushaathi walaa daa-i bi munhasimi Muhammadun sayyidul kawnayni wassaqalayni Wal fareeqayni min urbinw wa min ajami Huwal habeebul lazee thurjaa shafa’athu hu Likulli hawlim minal ahwaali muqthahimi Wa kulluhum mir rasoolillaahi multhamisun Gharfam minal bahri aw rashfam minad diyami Kaz zahri fee tharafinw wal badri fee sharafin Wal bahri fee karaminw wad dahri fee himami Ka annamal lu’lu’l maknoonu fee swadafin Mim ma’dinai manthiqim minhu wa mubthasami Maa saamanid dahru dhzaymanw wasthajarthu bihi Illaa wanilthu jawaaram minhu lam yudhzami Walal thamasthu ghinad daarayni miny yadihi Illasthalamthun nadaa min khayri musthalami Kam abra’ath waswibam bil lamsi raahathuhu Wa athwlaqath aribam mir ribqathil lamami Yaa akramal khalqi maa lee man aloozu bihi Siwaaka inda huloolil haadisil amami Fa inna min joodikad dunya wadhzarratha haa Wa min uloomika ilmal lawhi wal qalami Yaa rabbi waj’al rajaaee ghayra mun’akisin Ladayka waj’al hisaabee ghayra munkharimi Wa’zal lisuhbi swalaathim minka daaimathin

Qaseeda Burdah Shareef

www.noorimehfil.com

Alan nabiyyi bi munhalliw wa munsajimi Wal aali wasswahbi summath thaabi’eena lahum Ahlith thuqaa wan naqaa wal hilmi wal karami Summar ridhzaa an abee bakrinw wa an umara Wa an aliyyinw wa an usmaana zil karami Maa rannahath azabaathil baani reehu swaba Wa athwrabal eesa haadil eesi bin naghami Yaa rabbi bil Musthwafa balligh maqaaswidana Waghfirlana maa madhza yaa waasi’al karami

www.noorimehfil.com

Raah pur khaar hai kya howna he Paaown ifgaar hai kya howna hai Chhupke logown se kiye jis ke gunaah Woh khabardaar hai kya howna hai Arey o mujrim be parwa dekh Sar pe thalwar he kya howna hai Haa-e rey neend musaafir theri Kooch thayyaar hai kya howna hai Door jaana hai raha din thhoda Raah dushwaar hai kya howna hai Paar jaana hai nahi milthi naa-o Zowr par dhaar hai kya howna hai Roshni ki humey aadath aur ghar Theera-o thaar hai kya howna hai Haa-e bigdi tho kahaan aakar naa o Ayn manjhdaar hai kya howna hai Kal tho deedar ka din aur yahaan Aankh beykaar hai kya howna hai Un ko reham aaye tho aaye warna Woh kadee maar hai kya howna hai Waa nahi baath banaane ki majaal Chaara iqraar hai kya howna hai Saath waalown ne yehi chhowd diya Beykasi yaar hai kya howna hai Aakhri deed hai aao mil lein Ranj beykaar hai kya howna hai Dil humey thum se lagaana hi na thhaa Ab safar baar hai kya howna hai Jaane waalown pe ye rowna kaisa Banda naa chaar hai kya howna hai Naz’a me dhyaan na batt jaa-e kaheen Ye abas pyaar hai kya howna hai Baathein kuch aur bhi thumse karthey Par kahaan waar hai kya howna hai Kyun Raza kud’hthey ho hansthe ut’ho Jab woh Ghaffar hai kya howna hai

Raah Pur Khaar

www.noorimehfil.com

Range chaman pasand na phoolown ki boo pasand Sehraa-e Taiba hai dil-e bulbul ko thu pasand Apna azeez woh hai jise thu azeez hai Hum ko hai woh pasand jisey aaye thu pasand Maayoos ho ke sabse me aaya hoon therey paas Ae jaan karle toote huwey dil ko thu pasand Kyoon kar na chaahein theri gali me ho mitt ke khaak Dunya me aaj kis ko nahi aabroo pasand Qul keh kar apni baath bhi lab se therey sunee Allah ko hai ithni theri gufthagoo pasand Taiba me sar jhukaathe hein khaake niyaaz par Kaunein ke badey se badey aabroo pasand Hey khwaahishe wisaale darey yaar ae Hasan Aaye na kyun asar ko meri aarzoo pasand

Range Chaman Pasand

www.noorimehfil.com

Rukh din he ya mehre samaa ye bhi nahi wo bhi nahi Shab zulf ya mushke khutha ye bhi nahi wo bhi nahi Mumkin me ye qudrath kahaan waajib me abdiyyath kahaan Heyraan hun ye bhi hai khataa ye bhi nahi wo bhi nahi Haq ye ke hai abde ilaah aur aalame imkaan ke shaah Barzakh hein wo sirre khuda ye bhi nahi wo bhi nahi Bulbul ne gul un ko kahaa qumri ne sarwe jaan fiza Heyrath ne jhunjhlaa kar kahaa ye bhi nahi wo bhi nahi Khursheed thha kis zowr par kya bad’h ke chamka thha qamar Be-parda jab woh rukh huwa ye bhi nahi wo bhi nahi Dar thha ke isyaan ki sazaa ab hogi ya rowze jazaa Dee unki rahmath ne sadaa ye bhi nahi wo bhi nahi Din lahw me khowna thujhe shab sub’h thak sowna thujhe Sharme Nabi khaufe khuda ye bhi nahi wo bhi nahi Rizqe khuda khaaya kiya farmaane haq taala kiya Shukre karam tharse sazaa ye bhi nahi wo bhi nahi Hai bulbule rangeen Raza ya thoothiye naghmaa saraa Haq ye ke vaasif hey thera ye bhi nahi wo bhi nahi

Rukh Din He Ya

www.noorimehfil.com

Rusul unhi ka tho muzdah sunaane aaye hein Unhi ke aane ki khushiyaan manaane aaye hein Farishthey aaj jo dhoomein machaane aaye hein Unhi ke aaney ki shaadi rachaane aaye hein Falak ke hoor-o malak geeth gaane aaye hein Ke do jahaan me ye danke sajaane aaye hein

Ye seedhaa raastha haq ka bathaane aaye hein Ye haq ke bandown ko haq se milaane aaye hein Ye qayd o bande alam se chhudaane aaye hein Lo muzdah ho ke rihaayi dilaane aaye hein Chamak se apni jahaan jagmagaane aaye hein Mahak se apni ye kooche basaane aaye hein Yahi tho sowthey huwown ko jagaane aaye hein Yahi tho rowthey huwown ko hansaane aaye hein Inhey khuda ne kiya apne mulk ka maalik Inhee ke qabze me Rab ke khazaane aaye hein Jo chaahenge jisey chaahenge ye usey denge Kareem hein ye khazaane lutaane aaye hein Sunowge Laa na zabaane kareem se Noori Ye faiz-o jood ke darya bahaane aaye hein

Rusul Unhi Ka Tho

www.noorimehfil.com

Sab se aula o a’la hamaara nabi Sab se baala o waala hamaara nabi Apne mawla ka pyaara hamaara nabi Dono aalam ka doolha hamaara nabi Bazme aakhir ka sham’a farowza huwa Noor-e awwal ka jalwa hamaara nabi Bujhgaeen jis ke aage sabhi mash’alein Sham’a woh lekar aaya hamaara nabi Jiske thalwown ka dhowan hai aabe hayaath Hai woh jaane maseeha hamaara nabi Khalq se auliya auliya se rusul Aur rasoolown se a’la hamaara nabi Jis ki do boond hein kausar-o salsabeel Hai woh rahmath ka darya hamaara nabi Jaise sab ka khuda ek hai wayse hi In ka un ka thumhaara hamaara nabi Qarno badlee rasoolown ki hothi rahi Chand badli ka nikla hamaara nabi Kaun deytha hai deyne ko munh chaahiye Deney waala hai sachcha hamaara nabi Kya khabar kithne thaarey khiley chhup gaye Par na doobey na dooba hamaara nabi Saare achhown me achha samajhiye jisey Hai us achhe se achha hamaara nabi Saare oonchown me ooncha samajhiye jise Hai us oonche se ooncha hamaara nabi Jis ne tukde kiye hein qamar ke woh hai Noor-e wahdath ka tukda hamaara nabi Sab chamak waale ujlown me chamka kiye Andhey sheeshown me chamka hamaara nabi Ghamzadown ko Raza muzda deeje ke hai Bey kasown ka sahaara hamaara nabi

Sab Se Aula O A’la

www.noorimehfil.com

Sachchi baath sikhaathe ye hein Seedhi raah chalaathe ye hein Doobi naavein thiraathe ye hein Hilthi Neeve Jamaathe ye hein Tooti aasein bandhaathe ye hein Chhooti nabzein chalaathe ye hein Jal thi jaanein bujhaathe ye hein Rothi aankhein hansaathe ye hein Qasre danaa thak kis ki rasaa-i Jaathe ye hein Aathe ye hein Us ki bakhshish inka sadqa Detha woh he dilaathe ye hein In ke Haath me har kunji he Maalike kul kehlaathe ye hein Innaa a’thaina kal kawsar Saari kasrath paathe ye hein Rab he mu’thi ye hein qaasim Rizq uska he khilaathe ye hein Maatham ghar me ek nazar me Shaadi shaadi rachaathe ye hein Apni bani hum aap bigade Kaun banaa-e banaathe ye hein Laakhown balaaein karorown dushman Kaun bachaa-e bachathe ye hein Naz’a rooh me asaani dein Kalma yaad dilaathe ye hein Marqad me bandown ko thhapak kar Meet’hi neend sulaathe ye hein Baap jahaan beyte se bhaage Luthf wahaan farmaathe ye hein Maa jab ek lowthe ko chhode Aa aa keh ke bulaathe ye hein Apne bharam se hum halkown ka Palla bhaari banaathe ye hein T’handa t’handa meet’ha meet’ha Peethey hum hein pilaathe ye hein Sallim sallim ki dhaaras se Pul par hum ko chalaathe ye hein Kehdo Raza se khush ko khush reh Muzda Raza ka sunaathe ye hein

Sachchi Baath Sikhaathe

www.noorimehfil.com

Sahaabe rehmath e baari he baarahween thaareekh Karam ka chashma e jaari he baarahween thaareekh Hamey tho jaan se pyaari he baarahween thaareekh Adoo ke dil ko kataari he baarahween thaareekh Hazaar eid hown ek ek lehze par qurban Khushi dilown pe woh thaari he baarahween thaareekh Falak pe arshe baree ka gumaan hotha he Zameen e khuld ki kyaari he baarahween thaareekh Thamaam hogayi meelad e ambiya ki khushi Hamesha ab theri baari he baarahween thaareekh Wilaadath e shahe deen har khushi ke baais he Hazaar eid se bhaari he baarahween thaareekh Hamesha thu ne ghulamown ke dil kiye t’hande Jaley jo thujh se woh naari he baarahween thaareekh Hasan wilaadathe sarkaar se huwa roshan Mere khuda ko bhi pyaari he baarahween thaareekh

Sahaabe Rehmath

www.noorimehfil.com

Sambhal jaa ae dile muzthar madeena aane waala hai Lutaa ae chashme thar gohar madeena aane waala hai Qadam ban jaa-e mera sar madeena aane waala hai Bichhoon rah me nazar ban kar madeena aane waala hai Jo dekhe unka naqshe pa khuda se woh nazar maangoon Charaaghe dil chalo ley kar madeena aane waala hai Nichhaawar hai madeene ki ye mera dil meri aankhe Nichhaawar hoon madeena par madeena aane waala hai Mujhe kheenche liye jaatha hai showqe koo’cha-e jaana Khincha jaatha hoon me yaksar madeena aane waala hai Woh chamka gumbade khazra woh shehre pur ziya aaya Dhaley ab noor me paikar madeena aane waala hai Thalabgaare madeena thak madeena khud hi aajaa-e Thu dunya se kinaara kar madeena aane waala hai Madeena aagaya ab deyr kya hai sirf ithni si Thu khaali kar ye dil ka ghar madeena aane waala hai Falak shaayad zameen par reh gaya khaake guzar ban kar Bichhey hein raah me Akhthar madeena aane waala hai Muhammad ke gadaa kuch farsh waale hi nahi dekho Woh aatha hai shahey khaawar madeena aane waala hai Ghubaare raahe anwar kis qadar purnoor hai Akhthar Thanee hai noor ki chaadar madeena aane waala hai

Sambhal Jaa Ae

www.noorimehfil.com

Sar soo-e rowza jhuka phir thujh ko kya Dil thha saajid najdiya phir thujh ko kya Beit’hthe ut’hthe madad ke waasthe Ya Rasoolallah kaha phir thujh ko kya Be khudi me sajda e dar ya tawaf Jo kiya achha kiya phir thujh ko kya Unko thamleeke malikul mulk se Maalike aalam kaha phir thujh ko kya Unke naame paak par dil jaan maal Najdiya sab thaj diya phir thujh ko kya Yaa’ibaadi keh ke hum ko shaah ne Apna banda karliya phir thujh ko kya Dew ke bandown se kab he ye khithaab Thu na unka he na thha phir thujh ko kya Najdi martha he ke kyun thaazeem ki Ye hamaara deen thha phir thujh ko kya Dew thujh se khush he phir hum kya karein Hum se raazi he khuda phir thujh ko kya Theri dowzakh se tho kuch chheena nahi Khuld me pohoncha Raza phir thujh ko kya

Sar Soo-e Rowza

www.noorimehfil.com

Sarwar kahoon ke maalik o maula kahoon thujhe Baagh-e khaleel ka gul e zaiba kahoon thujhe Hirmaa naseeb hoon thujhe ummeed gah kahoon Jaane muraad o kaane thamanna kahoon thujhe Gulzaar-e Quds ka gul-e rangeen adaa kahoon Darmaan-e dard-e bulbul-e shayda kahoon thujhe Sub’he wathan pe shaam-e ghareebaan ko doon sharaf Bekas nawaaz geysuown waala kahoon thujhe Allah re therey jisme munawwar ki thaabishein Ae jaan-e jaan mein jaane thajalla kahoon thujhe Mujrim hoon apne afw ka saamaan karoon shahaa Yaanee shafee’ rowz-e jazaa ka kahoon thujhe Therey tho wasf aib-e thanaahi se hein baree Heyraan hoon mere shaah mein kya kya kahoon thujhe Keh legi sab kuchh unke sanaa khwaan ki khaamushee Chup ho rahaa he keh ke me kya kya kahoon thujhe Leikin Raza ne khathm-e sukhan is pe kar diya Khaaliq ka banda Khalq ka aaqaa kahoon thujhe

Sarwar Kahoon

www.noorimehfil.com

Seyre gulshan kaun dekhey dashthe Taiba chhowd kar Soo’e jannath kaun jaa-e dar thumhaara chhowd kar Sarguzishthe ghum kahun kis se therey hothey huwe Kis ke dar par jaa-oon thera aasthaana chhowd kar Be liqaa-e yaar unko chein aajaatha agar Baar baar aathe na yun jibreel sidra chhowd kar Mar-hi jaa-oon mey agar is dar se jaa-oon do qadam Kya bachey beemaare ghum qurb-e maseeha chhowd kar Bakhshwaana mujh se aasi ka rawaa hoga kisey Kis ke daaman me chhupoon daaman thumhaara chhowd kar Khuld kaisa nafse sarkash jaa-oonga Taiba ko me Bad-chalan hat kar khada ho mujhse rastha chhowd kar Aise jalwe par karoon mai laakh hoorown ko nisaar Kya gharaz kyun jaa-oon jannath ko madeena chhowd kar Hashr me ek ek ka munh thakthe phirthe hein adoo Aafathown me phans gaye un ka sahaara chhowd kar Mar ke jeethey hein jo unke dar pe jaathey hein Hasan Jee ke marthey hein jo aathey hein madeena chhowd kar

Seyre Gulshan Kaun

www.noorimehfil.com

Saiyyadi murshidi jaane ahle sunan Pur bahaar un se hey gulshane ilm-o fun Door unse rahey saare ranj o mihan Hey meri ilthija thujh se ae zulminan Aur phoole phale ye raza ka chaman Aur phoole phale ye raza ka chaman Jin ke deedaar se yaad aaye khuda Jin ki aankhown me he jalwa-e mustafa Zille ghausul waraa akse ahmad raza Haami e bekasaan murshide baa wafa Unke chehre se phoote he noori kiran Aur phoole phale ye raza ka chaman Muskura dein tho kaliyaan dilown ki khilee Aarzu-own ke bujhthe diye jal ut’he Jiski thaskeen se rothe huwe hans padey Be sahaarown ki aasaan ho mushkilein Phool jhadthe hein honto se waqthe sukhan Aur phoole phale ye raza ka chaman Dashthe ghurbath zada laala zaar unse he Be kasown ki khazaan me bahaar unse he Be qaraarown ke dil ka qaraar unse he Ahle sunnath ka sultaan waqaar unse he Un pe sadqe hamaare dil-o- jaan-o- than Aur phoole phale ye raza ka chaman Daulathe maangne waale paathey rahein Aaye rothe huwey hans ke jaathey rahein Bazme naathe nabi ye sajaathey rahein Aur hum manqabath unki gaathey rahein Mere aaqa rahein yunhi jalwa figan Aur phoole phale ye raza ka chaman

Saiyyadi Murshidi

www.noorimehfil.com

Shaahe kaunain jalwa numa ho gaya Rang aalam ka bilkul naya ho gaya Munthakhab aap ki zaathe waala huwi Naame pak aap ka Mustafa ho gaya Mil gaya thujh se Allah ka raastha Haq se milne ka tho waastha ho gaya Aisi naafiz thumhari hukumath huwi Thum ne jis waqth jo kahaa ho gaya Maah do paara huwa sooraj ulta phira Jab ishara thumhaara zaraa ho gaya Us ko fursath ghame do jahaan se mili Jo bhi dil se ghulam aap ka ho gaya Rowze mahshar har ek naam lewa thera Ek ishaare me therey rihaa ho gaya Khalq kyun kar naa usko kahey thaajdar Jo therey aasthaan ka gada ho gaya Naam thera dam e naz’a jis ne liya Uska imaan par khaathma ho gaya Naaz kar ae Jameel apni qismath pe thu Khaake naalein e ahmad raza ho gaya

Shaahe Kaunain

www.noorimehfil.com

Shahe arshe a’la salaamun alaikum Habeebe khuda ya salaamun alaikum Mere maahe Taiba salaamun alaikum Shehansha he bath-ha salaamun alaikum Jo thashreef laa-e woh sulthaane aalam Tho kaaba pukaara salaamun alaikum Do aalam ka aaqa o maula banaa kar Thumhe haq ne bheja salaamun alaikum Ye aawaz har simth se aarahi he Shahe deen o dunya salaamun alaikum Thamanna he apni madeene pohonch kar Kahoon peyshe rowza salaamun alaikum Dua he ke jab waqth ho jaankani ka Ho lab pe wazeefa salaamun alaikum Jameel apne aaqa shafee-ul umam par Pad’he ja hamesha salaamun alaikum

Shahe Arshe A’la

www.noorimehfil.com

Shuja’ath Naaz karthi he jalaalath naaz karthi he Woh sultaane zamaan he un pe shaukath naaz karthi he Sadaaqath naaz karthi he amaanath naaz karthi he Humiyyath naaz karthi he murawwath naaz karthi he Shahe khoobana pe har khoobi-o khaslath naaz karthi he Kareem aise hein woh un par karaamath naaz karthi he Jahaan e husn me bhi kuch niraali shaan he un ki Nabi ke gul pe gulzaarown ki zeenath naaz karthi he Shehanshaahe shaheedaan ho anokhi shaan waale ho Husein ibne ali thum par shahaadath naaz karthi he Bit’ha kar shaana e aqdas pe kardi shaan do bala Nabi ke laadlown par har fazeelath naaz karthi he Nigaah e naaz se naqsha badal deythe hein aalam ka Adaa-e sarware khoobaan pe nudrath naaz karthi he Fidaa-i hoon tho kis ka hoon koi dekhe meri qismath Qadam par jis Haseen ke jaane thal’ath naaz karthi he Khude ke fazl se Akhthar mai unka naam lewa hoon Me hoon qismath pe naazaan mujh pe qismath naaz karthi he

Shuja’ath Naaz

www.noorimehfil.com

Shukre khuda ke aaj ghadi us safar ki he Jis par nisaar jaan falaah-o-zafar ki he Garmi he thap he dard he kulfath safar ki he Na shukr ye tho dekh azeemath kidhar ki he Maahe madeena apni thajalli athaa kare Ye dhalthi chaandni tho pahar do pahar ki he Us ke Tufail hajj bhi khuda ne kara diye Asle muraad haaziri us paak dar ki he Ka’abe ka naam thak na liya Taiba hi kaha Poochha thha hum se jis ne ke nehzath kidhar ki he Kaaba bhi he unhi ki thajalli ka ek zil Roshan unhi ke aks se pathli hajar ki he Hothe kahaan khaleel-o bina k’aaba o mina Laulaak waale saahibi sab therey ghar ki he Maula Ali ne waari theri neend par namaz Aur wo bhi asr sab se jo aala khathar ki he Siddeeq balke ghaar mein jaan us pe dey chukey Aur hifze jaan tho jaan furooz e ghurar ki he Haan thu ne unko jaan unhein pheir dee namaz Par woh tho kar chukey t’hey jo karni bashar ki he Saabith huwa ke jumla faraaiz furoo’ hey Aslul usool bandagi us thaajwar ki he Mujrim bulaa-e aaye hein jaaooka he gawah Phir rad ho kab ye shaan kareemown ke dar ki he Badd hein magar unhi ke hein baaghi nahi hein hum Najdi na aaye usko ye manzil khathar ki he Thuf najdiyath na kufr na islam sub pe hurf Kaafir idhar ki he na udhar ki adhar ki he Haakim hakeem daad-o-dawaa dein ye kuch na dein Mardood ye muraad kis aayath khabar ki he Zikre khuda jo unse juda chaaho najdiyo Wallah zikre haq nahi kunji saqar ki he Be unke waasthe ke khuda kuch atha kare Haasha ghalath ghalath ye hawas be basar ki he Dunya mazaar hashr jahaan hein ghafoor hein Har manzil apne chand ki manzil ghafar ki he Mu’min hoon mu’minown pe raoofun raheem ho Saa’il hoon saai’lown ko khushi laa nahar ki he Daaman ka waastha mujhe is dhoop se bacha Mujh ko tho shaaq jaadown me is do peher ki he

Shukre Khuda Ke

www.noorimehfil.com

Aa kuch suna de ishq ke bolo me ae Raza Mushthaaq thab’e lazzathe sowze jigar ki he

www.noorimehfil.com

Soona jangal raath andheri chhaayi badli kaali he Sowne waalo jaagthe rahi-o chowrown ki rakhwaali he Aankh se kaajal saaf churaalein yaan woh chor balaake hein Theri gat’hri thaaki he aur thu ne neend nikaali he Ye jo thujh ko bulaatha hai ye t’hag he maar hi rakhhe ga Haa-e musafir dum me na aana math kaisi mathwaali he Sona paas he soona bun he sowna zeher he ut’h pyaare Thu kehtha he neend he meet’hi theri math hi niraali he Baadal garje bijli thadpe d’hak se kaleja ho jaa-e Ban me ghata ki bhayanak soorath kaisi kaali kaali he Saathhi saathhi keh ke pukaroon saathhi ho tho jawaab aaye Phir jhunjhlaa kar sar dey patkoon chal re mowla waali he Thum tho chaand arab ke ho pyaare thum tho ajam ke sooraj ho Dekho mujh bey kas par sab ne kaisi aafath daali he Dunya ko thu kya jaane ye bas ki ghaant he harraafa Soorath deykho zaalim ki tho kaisi bholi bhaali he Shehad dikhaa-e zehar pilaa-e qaathil daa-in shauhar kush Us murdar pe kya lalchaaya dunya dekhi bhaali he Woh tho nihaayath sastha sowda beych rahey hein jannath ka Hum muflis kya mowl chukaa-e apna haath hi khaali he Mowla therey afw o karam hown mere gawaah safaa-i ke Warna Raza se chowr pe theri degree tho iqbaali he

Soona Jangal

www.noorimehfil.com

Subh Taiba me huwi bat-tha hai baada noor ka Sadqa leyne noor ka aaya hai thaara noor ka Baaghe Taiba me suhaana phool phoola noor ka Masth boo hein bulbulein padhthi he kalma noor ka Baarahween ke chand ka mujra hai sajda noor ka Baarah burjown se jhuka ek ek sithara noor ka Aa-i bid’ath chhaayi zulmath rang badla noor ka Maahe sunnath mehre thal’ath le le badla noor ka Me gada thu badshah bharde pyaala noor ka Noor din doona thera dey daal sadqa noor ka Thaaj waale dekh kar thera imaama noor ka Sar jhukaathe hein ilaahi bowl baala noor ka Ye kithabe kun me aaya tharfa aaya noor ka Ghair-e qaail kuchh na samjha koi maana noor ka Subh kardi kufr ki sachcha thha muzda noor ka Shaam hi se thha shab e theera ko dhadka noor ka Naariyown ka dowr thha dil jal raha thha noor ka Thum ko dekha ho gaya t’handa kaleja noor ka Chand jhuk jaatha jidhar ungli ut’haathe mahad me Kya hi chaltha thha ishaarown par khilona noor ka Bheek le sarkar se laa jald kaasa noor ka Maahe naw Taiba me bat-tha he maheena noor ka Ae Raza ye ahmad-e noori ka faize noor hai Ho gayi meri ghazal bad’h kar qaseeda noor ka

Subh Taiba Me Huwi

www.noorimehfil.com

Sultaan-e jahaan mahboob-e khuda theri shaan-o shaukath kya kehna Har shey pe likha hai naam thera therey zikr ki rifa’ath kya kehna Hai sar pe thaaj nubuwwath ka jowda hai than pe karaamath ka Sehra hai jabeen pe shafa’ath ka ummath pe hey rahmath kya kehna Me’raj huwi thaa arsh gaye haq thum se mila thum haq se mile Sab raaze fa’awha dil pe khuley ye izzath o hashmath kya kehna Hooro ne kahaa subhanallah ghilmaa ne pukaara sallallah Aur qudsi bole illallah hai arsh pe da’wath kya kehna Qur’aan kalaame baari hai aur theri zabaan se jaari hai Kya theri fasaahath pyaari hai aur theri balaaghath kya kehna Baathown se tapakthi lazzath hai aankhown se barasthi rahmath hai Khutbe se chamakthi haibath hai ae shaahe risaalath kya kehna Har zarra thera deewana hai har dil me thera kaashana hai Har sham’a theri parwaana hai ae sham’e hidaayath kya kehna Siddeeq-o umar usman-o ali aur unke siwa as-haabe nabi Qurbaan rahey aaqa pe sabhi ki khoob rifaaqath kya kehna Siddeeq hein jaan sadaqath ki faarooq hein shaan adaalath ki Usman hein kaan murawwath ki haider ki wilaayath kya kehna Do phool bathooli gulshan ke ek sabz huwe ek surkh huwe Baghdad o arab jin se mehke un phoolown ki nik’hath kya kehna Gesoo-e karam khil jaaye agar rahmath ki ghataa barsey jam kar Pyaase ye kahein khush ho ho kar ae abre rahmath kya kehna Shohrath he Jameel ithni theri ye sab hai karaamath murshid ki Kehthe hein thujhe maddaah-e-nabi sab ahle sunnath kya kehna

Sulthaan-e Jahaan

www.noorimehfil.com

Sunthey he ke mahshar me sirf unki rasaa-i hai Gar un ki rasaa-i hai lo jab tho ban aa-i hai Machla hai ke rahmath ne ummeed bandhaa-i hai Kya baath theri mujrim kya baath ban aa-i hai Sab ne safe mahshar me lalkaar diya hum ko Ae bekasown ke aaqa ab theri duhaa-i hai Yun tho sab unhee ka hai par dil ki agar poochho Ye toote huwe dil hi khaas unki kamaa-i hai Girthey huwown ko muzda sajde mai girey mowla Ro ro ke shafa’ath ki thamheed ut’haa-i hai Ae dil ye sulagnaa kya jalna hai tho jal bhi ut’h Dum ghutne lagaa zaalim kya dhooni ramaa-i hai Mujrim ko na sharma-o ahbaab kafan dhak do Munh dekh ke kya hoga parde me bhalaa-i hai Ab aap hi sambhalein tho kaam apne sambhal jaa-e Ham ne tho kamaa-i sab khelown me gunwaa-i hai Ae ishq therey sadqe jalne se chhutey sasthey Jo aag bhuja degi woh aag lagaa-i hai Taiba na sahee afzal makka hi badaa zaahid Hum ishq ke bande hein kyun baath bad’haa-i hai Mathle me ye shak kya thha wallah Raza wallah Sirf un ki rasaa-i hai sirf un ki rasaa-i hai

Sunthey He Ke Mahshar

www.noorimehfil.com

Tabee-ath aaj kyun aisi rasaa he Ke khud apni zabaan par marhaba he Saba kyoo is qadar ithra rahi he Chaman me kaun sa ghuncha khila he Anaadil gaa rahe hein kyun tharaane Ye kaisa shaad har shaah o gadaa he Ye kaise shaadiyaane baj rahey hein Ye kyun baabe musarrath aaj waa he Thahayyur jab bad’ha haathif pukaara Raza-e qadri doolha banaa he Baraathi hein thamaami ahle sunnath Raza-e qadri doolha banaa he Thawakkal ke shajr me phal ye aaya Ke abdul mustafa doolha banaa he Tharaane gaa rahi he kumriyaan aaj Ke abdul mustafa doolha banaa he Ummeedown ke khiley hein aaj ghunche Ke abdul mustafa doolha banaa he Bareyli ka naseeba jugmagaaya Ke abdul mustafa doolha banaa he Baraathi aarahe hein wajd karthe Ke abdul mustafa doolha banaa he Ye dekho sadqe siddeeqe akbar Ke abdul mustafa doolha banaa he Ye he farooqe azam ki karaamath Ke abdul mustafa doolha banaa he Karam usman e zun noorein ka he Ke abdul mustafa doolha banaa he Sakhaaaath he ali murthaza ki Ke abdul mustafa doolha banaa he Ghataa baghdad se ut’hi karam ki Ke abdul mustafa doolha banaa he Mubarak ahle sunnath ko mubarak Raza-e qadri doolha banaa he Kaheen kyun kar na achhe thujh ko achha Huzoor achhe ka thu achha huwa he Bhikaari aarahe hein bheek le ne Raza ke darse baada bat raha he Jalein aadaa-e deen naare hasad me Ke yun hi unki qismath me likha he Raza kyun kar na ho aadaa pe ghaalib Ke woh tho naaib e shehre khuda he Munafiq he adoo us aasthaan ka Jo sunni he woh us dar ka gadaa he Rukhe qibla agar poochho tho kehdoon Dar e ahmed raza qibla numa he Bihamdillah khushboo-e raza se Dimaaghe ahle sunnath bas raha he Phaley unka Ilaahi baaghe aulaad Ye har sunni ke lab par ilthija he Jameel-e-qadiri alhamdulillah Ke thu us aasthaane ka gadaa he

Tabeeath Aaj Kyoon

www.noorimehfil.com

Talab ka Munh tho kis qaabil he ya ghous Magar thera karam kaamil he ya ghous Duhaa-i ya muhiyyuddeen duhaa-i Balaa islam par naazil he ya ghous Khudara naa khuda aa dey sahaara Hawa bigdi bhanwar haa’il he ya ghous Jilaade deen jalaade kufr o ilhaad Ke thu muhiy he thu qaathil he ya ghous Thera waqth aur padey yun deen par waqth Na thu aajiz na thu ghaafil he ya ghous Khudaara marhame khaake kadam de Jigar zhakmi he dil g’haa’il he ya ghous Na deykhoon shakle mushkil therey aage Koi mushkil si ye mushkil he ya ghous Thu quwwath de mai thanha kaam basyaar Badan kamzowr dil kaahil he ya ghous Adoa badd deen maz’hab waale haasid Thu hi thanha ka zowre dil he ya ghous Hasad se in ke seene paak kar de Ke badhthar diq se bhi ye sil he ya ghous Diya mujh ko unhe mahroom chhoda Mera kya jurm haq faasil he ya ghous Khuda se le ladaayi woh he mu’thi Naabi qaasim he thu moosil he ya ghous Therey baaba ka phir thera karam he Ye munh warna kisi qaabil he ya ghous Bharan waale thera jhaala tho jhaala Thera chheenta mera ghaasil he ya ghous Raza ka khathma bil khair hoga Theri rahmath agar shaamil he ya ghous

Talab Ka Munh

www.noorimehfil.com

Thajalli-e- noor-e qidam ghouse a`zam Ziyaa-e siraajuz zulam ghouse a`zam Thera hil hai thera haram ghouse a`zam Arab thera thera ajam ghouse a`zam Mukhaalif hoo gow so padam ghouse a`zam Hamey kuch nahi us ka gham ghouse a`zam Chala aisi theighe do dam ghouse a`zam Ke aadaa ke sar hown qalam ghouse a`zam Wo ek waar ka bhi na hoga thumhaare Kahaa hai mukhaalif me dam ghouse a`zam There hothey hum par sitham dhaaye dushman Sitham hai sitham hai sitham ghouse a`zam Bad’he howsle dushmanown ke ghataa de Zaraa le le theighe do dam ghouse a`zam Nahi laatha khaathir me shaahown ko shaaha Thera banda e be-daram ghouse a`zam Karam chaahiye thera therey khuda ka Karam ghouse a`zam karam ghouse a`zam Bad’ha haath kar dasthageeri hamaari Bad’ha abrey ghum dam ba-dam ghouse a`zam Khabar lo hamaari ke hum hein thumhaare Karo hum pe fazl o karam ghouse a`zam Damey naz’a sarhaane aaja-o pyaare Thumhe dekh kar nikle dam ghouse a`zam Damey naz’a aa-o ke dam aaye dam me Karo hum pe yaaseen dam ghouse a`zam Ye dil ye jigar hai ye aankhein ye sar hai Jahaan chaaho rakkho qadam ghouse a`zam Thumhaari mahak se gali kooche mahke Hai baghdaad rashke iram ghouse a`zam Karam se kiya rahnumaa rahzanown ko Idhar bhi nigaah-e karam ghouse a`zam Na palla ho halka hamaara na hum hown Na bigdey hamaara bharam ghouse a`zam Thumhaare karam ka hai Noori bhi pyaasa Mile yam se is ko bhi nam ghouse a`zam

Thajalli-e-Noor

www.noorimehfil.com

Therey daaman-e karam me jisey neend aagayi hai Jo fanaa na hogi aisi use zindagi milee hai Mujhe kya padee kisi se karoon arz mud’da-a mai Meri low tho bas unhee ke dar-e jood se lagee hai Woh jahaan bhar ke daatha mujhe pheyr denge khaali Meri thauba ae khuda ye merey nafs ki badee hai Jo pa-e sawaal aaye mujhe dekh kar ye bole Usey chein se sulaa-o ke ye banda-e-nabi hai Mein maroo tho mere maula ye mala’ika se kehdein Koi is ko math jagaana abhi aankh lag gayi hai Theri yaad thhapki de kar mujhe ab shahaa sulaadey Mujhe jaagthe huwe yun badi deyr ho gayi hai Tera dil shakistha Akhthar isee inthazaar me hai Ke abhi naweed-e-waslath there dar se aarahi hai

Therey Daaman

www.noorimehfil.com

Therey dar pe saajid hein shaahane aalam Thu sulthaane aalam hai ae jaane aalam Ye pyaari adaaein ye neechi nigaahein Fida jaane aalam ho ae jaane aalam Me sarkaare aali ke qurbaan jaawoon Bhikaari hein is dar ke shaahaane aalam Mere dab dabey waale mai therey sadqe Therey dar ke kutthey hein shaahaane aalam Musalmaan musalmaan hai therey sabab se Meri jaan thu hi hai eemaane aalam Na dekha koyi phool thujh sa na dekha Bohoth chhaan daale gulisthaane aalam Therey kooche ki khaak t’hehri azal se Meri jaan ilaaje mareezaane aalam Samee-an khudaara Hasan ki bhi sun le Balaa me hai ye laus daamaane aalam

Therey Dar Pe Saajid

www.noorimehfil.com

Thu sham-e-risaalath hai aalam thera parwaana Thu maahe nubuwwath hai ae jalwa-e jaanana Jo saaqi-e kausar ke chehre se niqaab ut’he Har dil bane maikhaana har aankh ho paimaana Sarshaar mujhe karde ik jaame laba lab se Thaa hashr rahe saaqi aabaad ye maikhaana Is dar ki huzoori hee isyaan ki dawaa t’hehri Hai zehre ma’aasi ka taiba hi shifa khaana Khaathe hein therey dar ka peethe hein therey dar ka Paani hai thera paani daana hai thera daana Har phool me boo theri har sham’a me zow theri Bulbul hai thera bulbul parwaana hai parwaana Gir pad ke yahaan pohoncha mar mar ke ise paaya Chhoote na ilaahi ab sange dare jaanana Har aarzoo bar aaye sab hasrathein poori ho Wo kaan zaraa dhar kar sun le mera afsaana Sange dare jaana par kartha hun jabeen saayi Sajda na samajh najdi sar detha hoo nazraana Wo kehthe na kehthe kuch wo karthe na karthe kuch Ae kaash wo sun leythe mujh se mera afsaana Sarkaar ke jalwon se roshan hai dile Noori Tha hashr rahey roshan Noori ka ye kashaana

Thu Sham-e-Risaalath

www.noorimehfil.com

Thum par laakhown salaam Thum par laakhown salaam Sab se aa’la izzath waale Ghalba-o-qahr-o-taaqath waale Hurmath waale karaamath waale Thum par laakhown salaam Aap ka chaaha rab ka chaaha Rab ka chaaha aap ka chaaha Rab se aisi chaahath waale Thum par laakhown salaam Rab ke pyaare raaj dul’haare Hum hein thumhaare thum ho hamaare Ae daamaane rahmath waale Thum par laakhown salaam Dag mag dag mag nayya haale Jiyara kaanpe thoo-i sambhaale Aao duhaayi rahmath waale Thum par laakhown salaam Bigdi naa-o kaun sambhaale Haaye bhanwar se kaun nikaale Haa haa zowr-o-taaqath waale Thum par laakhown salaam Raaja parja aapke duwaare Sab hein bait’hey jhowli pasaare Daatha pyaare daulath waale Thum par laakhown salaam Arshe ulaa par rab ne bulaaya Apna jalwa-e khaas dikhaaya Khalwath waale jalwath waale Thum par laakhown salaam Thum ko dekha haq ko dekha Aap ki soorath us ka jalwa Achhi achhi soorath waale Thum par laakhown salaam Khwaab me jalwa apna dikhaawo Noori ko thum noori banaawo Ae chamkeeli rangath waale Thum par laakhown salaam

Thum Par Laakhown

www.noorimehfil.com

Thum zaathe khuda sey na juda ho na khuda ho Allah ko ma’loom hai kya jaaniye kya ho Ye kyoon kahoo mujh ko ye atha ho ye atha ho Woh do ke hamesha mere ghar bhar ka bhala ho Mitti na ho barbaad pasey marg ilaahi Jab khaak udey meri madeene ki hawa ho Mangtha tho hai mangtha koi shaahown me dikha de Jis ko mere sarkar se tukda na mila ho Abraar nekowkaar khuda ke hein khuda ke Un ka hai woh un ka hai jo badd ho jo buraa ho Allah yun hi umar guzar jaaye gadaa ki Sar kham ho dar-e paak par aur haath ut’haa ho Shaabaash Hasan aur chamakthi si ghazal pad’h Dil khowl kar aaina e eemaan ki jilaa ho

Thum Zaathe Khuda

www.noorimehfil.com

Thumhaara naam museebath me jab liya hoga Hamaara bigda huwa kaam ban gaya hoga Gunaahgaar pe jab luthf aap ka hoga Kiyaa bagheir kiyaa be-kiyaa kiyaa hoga Khuda ka luthf huwa hoga dasthageer zaroor Jo girthe girthe thera naam ley liya hoga Dikhaa-i jaayegi mahshar me shaane mahboobi Ke aap hi ki khushi aap ka kahaa hoga Khuda e paak ki chaahenge agle pichhle khushi Khuda e paak khushi in ki chaahtha hoga Kisi ke paawon ki beydi ye kaat-they honge Koyi aseere gham un ko pukaartha hoga Kisi tharaf se sadaa aayegi huzoor aawo Nahi tho dam me ghareebown ka faisla hoga Kisi ke palle pe ye hownge waqthe wazne amal Koyi ummeed se munh un ka thak raha hoga Koyi kahega duhaayi hai ya rasoolallaah Tho koyi thhaam ke daaman machal gaya hoga Kisi ko le ke chaleynge farishthe soo-e- jaheem Wo un ka raastha phir phir ke dekhtha hoga Shakistha paa-hoon mere haal ki khabar kardo Koyi kisi se ye row row ke kehraha hoga Pakad ke haath koyi haale din sunaayega Tho row ke qadmown se koyi lipat gaya hoga Zabaan sookhi dikhaa kar koyi labe kausar Janaabe paak ke qadmown pe gir gaya hoga Koyi qareebe tharaazoo koyi lab-e-kousar Koyi siraath pe un ko pukaartha hoga Wo paak dil ke nahi jis ko apna andeysha Hujoome fikr-o taraddud me ghir gaya hoga Hazaar jaan fidaa narm narm paa-own se Pukaar sun ke aseerown ki dowdhthaa hoga Azeez bachche ko maa jis tarah thalaash karey Khuda gawaah yehi haal aap ka hoga Kahengey aur nabi iz-haboo ilaa-ghairee Mere huzoor ke lab par anaa-lahaa hoga Ghulam un ki inaayath se chein me honge Adoo huzoor ka aafath me mubthilaa hoga Me un ke dar ka bhikaari hoon fazle maula se Hasan faqeer ka jannath me bistharaa hoga

Tumhaara Naam

www.noorimehfil.com

Thumhe jis ney bhi dekha keh ut’ha ahmad raza thum ho Jamaal-e-hazrath-e-ahmad raza ka aaina thum ho Thumhaare naam me thum ko buzurgi ki sanad hasil Raza wajhe buzurgi hai raza-e mustafa thum ho Thumhaare naam me yun hai raza-o mustafa do juz Raza waale yaqeenan mustafa ke mustafa thum ho Thumhaari rif’athown ki ibthida bhi paa nahi saktha Ke ufthaadah zameen hoon me bulandi ka samaa thum ho Hayath-o mauth waabastha thumhaare dam se hai dono Hamari zindagi ho aur dushman ki qaza thum ho Ye noori chehra ye noori adaa-ein sab ye kehthe hein Shabeehe ghaus ho noori miya ho aur raza thum ho Janab-e-mufthiye aazam ke faizaane thajalli se Shabisthaan-e-raza me khair se Akhthar raza thum ho

Tumhe Jis Ney Bhi

www.noorimehfil.com

Unki Mahak Ne Unki mahak ne dil ke ghunche khilaa diye hein Jis raah chal gaye hein kooche basaa diye hein Jab aagayee hein joshe rahmath pe unki aankhe Jalthe bujha diye hein rothe hansaa diye hein Ik dil hamaara kya hey aazaar us ka kithna Thum ne tho chalte phirte murdey jilaa diye hein Un ke nisaar koyi kaise hi ranj me ho Jab yaad aagaye hein sab ghum bhulaa diye hein Hum se faqeer bhi ab pheri ko ut-the honge Ab tho ghani ke dar par bisthar jamaa diye hein Aane do ya dubo do ab tho thumhaari jaanib Kashthi thumhee pe chhodi langar utha diye hein Allah kya jahannam ab bhi na sard hoga Ro ro ke Mustafa ne darya baha diye hein Mere kareem se gar qatra kisi ne maanga Daryaa bahaa diye hein dur bey bahaa diye hein Mulke sukhan ki shaahi thum ko raza musallam Jis simth aagaye ho sikke bit’haa diye hein

www.noorimehfil.com

Ut’haado pardah dikhaado chehra ke noore baari hijab me hey zamaana thaareek ho rahaa hai ke mehr kab se naqaab me hey

Nahi wo meet’hi nigaahe waala khuda ki rahmath he jalwa farma ghazab se unke khuda bachaaye jalaale baari ithaab me hey

Jalee jalee boo se uski paidaa hey sowzishe ishqe chashm waala kabaabe aahoo me bhi na paaya mazaa jo dil ke kabaab me hey

Unhee ki boo ma ya’e saman hey unhee ka jalwa chaman chaman hey unhee se gulshan mahak rahe hein unhee ki rangath gulaab me hey

Khadey hein munkar nakeer sar par na koyi haami na koyi yaawar bathaado aakar merey payambar ke sakhth mushkil jawab me hey

Khuda-e qah’haar hey ghazab par khuley he badkaariyon ke dafthar bachaalo aakar shafee-e mahshar thumhara banda azaab me hey

Kareem aisa mila ke jiske khuley hein haath aur bharey khazaaney batha’o ae mufliso ke phir kyoo thumhara dil izthiraab me hey

Kareem apne karam ka sadqa la’eem be qadr ko na sharma thu aur raza se hisaab leyna raza bhi koyee hisaab me hey

Ut’haado Pardah

www.noorimehfil.com

Wah kya jood o karam he shahe bath’ha thera Nehi suntha hi nehi maangne waala thera D’haare chalthe hein ataa ke woh he qathra thera Thaare khilthe hein sakhaa ke woh he zarra thera Faiz he yaa shah-e thasneem niraala thera Aap pyaasown ke thajassus me he darya thera Farsh waale theri showkath ka uloo kya jaanein Khusrawa arsh pe ud’tha he phareira thera Mai tho maalik hi kahoonga ke ho maalik ke habeeb Yaani mehboob o muhib me nehin mera thera Therey qadmown me jo hein ghair ka munh kya dekhein Kaun nazrown pe chad’hey dekh ke thalwa thera Dil abas khauf se path’tha sa udaa jaatha he Palla halka saheeh bhaari he bharosa thera Ek mai kya mere isyaan ki haqeeqath kithni Mujhse sow laakh ko kaafi he ishaara thera Mufth paala thha kabhi kaam ki aadath na padi Ab amal poochhthe hein haa-e nikamma thera Therey tukdown se paley ghair ki tt’hokar pe na daal Jhidkiyaan khaa-e kahaan chhod ke sadqa thera Meri thaqdeer buri ho tho bhali karde ke he Mehwe isbaath ke dafthar pe kadowda thera Thu jo chaahe tho abhi meil mere dil ke dhuley Ke Khuda dil nehin kartha kabhi meila thera Kiska munh thakiye kahaan jaaiye kis se kahiye Therey hi qadmown pe mit jaaye ye paala thera Thu ne islam diya thu ne jama’ath me liya Thu Kareem ab koi phirtha he atiyya thera Therey sadqe mujhe ek boond bohoth he theri Jis din achhown ko mile jaam chhalaktha thera Haram o Taiba o Baghdad jidhar keeje nigah Jooth pad’hthi he theri noor he chhat tha thera Theri Sarkar me laatha he Raza usko shafee’ Jo mera ghous he aur laadla beta thera

Wah Kya Jood o Karam

www.noorimehfil.com

Wah kya marthaba ae ghous hai baala thera Oonch-e-oonchown ke sarown se qadam a’la thera Sar bhalaa kya koi jaane ke hai kaisa thera Auliya malthey hein aankhein woh hai thalwa thera Kya dabey jis pe himaayath ka ho panjaa thera Sheyr ko khathre me laatha nahi kuththa thera Qasmein de de ke khilaatha hai pilaatha hai thujhe Pyaara Allah thera chaahne waala thera Mustafa ke than-e be saaye ka saaya dekha Jis ne dekha meri jaan jalwa-e-zaiba thera Jaan tho jaathe hi jaayegi qiyaamath ye hai Ke yahaan marne pe t’hehra hai nazaara thera Thujh se dar,dar se sag aur sag se hai mujh ko nisbath Meri gardan me bhi hai door ka dowra thera Is nishaanee ke jo sag hein nahi maare jaathe Hashr thak mere galey me rahe pattaa thera Meri qismath ki qasam khaa-e sagaan-e-baghdad Hind me bhi hoon tho detha rahoon pehra thera Bad’ sahee chor sahee mujrim-o-naakaara sahee Ae woh kaisa hi sahee hai tho Kareema thera Mujhko ruswa bhi agar koi kahega tho yun hi Ke wohee na woh Raza banda-e-ruswa thera Fakhre Aaqa me Raza aur bhi ik naz’me rafee’ Chal likha laa-ein sanaa khwaano me chehra thera Jo wali qabl thhey yaa baad huwe yaa honge Sab adab rakhthe hein dil me mere Aaqa thera Saare aqtaabe jahaan karthe hein kaabe ka tawaaf Kaaba kartha hai tawaaf-e-dar-e waala thera Aql hothi tho khuda se na-ladaa-i lethe Ye ghataayein usey manzoor bad’haana thera Warafa’na laka zikrak ka hai saaya thujh par Bol baala hai thera zikr hai ooncha thera

Wah Kya Marthaba

www.noorimehfil.com

Mitga-e mit-the hein mit jaayenge aada therey Na mitaa hai na mitega kabhi charcha thera

www.noorimehfil.com

Wah kya marthaba huwa thera Thu khuda ka khuda huwa thera Thaaj waale hown is me ya muhthaaj Sab ne paaya diya huwa thera Aaj sunthe hein sunne waale kal Dekhlenge kahaa huwa thera Usey thoo jaane ya khuda jaane Peyshe Haq ruthba kya huwa thera Thaaj daarown ka thaajdaar banaa Ban gaya jo gadaa huwa thera Zaath bhi theri inthikhaab huwi Naam bhi Mustafa huwa thera Kaam bigde huwe banaa dena Kaam kiska huwa huwa thera Ae jinaan mere gul ke sadqe me Thakhtha thakhtha basaa huwa thera Ae falak mehr-e-haq ke baade se Kaasa kaasa bhara huwa thera Ae chaman bheek hai thabassum ki Ghuncha ghuncha khila huwa thera Hown zameen waale ya falak waale Sab ko sadqa ataa huwa thera Har ghadi ghar se bheek ki thaqseem Raath din dar khula huwa thera Mujh se kya ley sake ado eemaan Aur woh bhi diya huwa thera Therey sar ko thera khuda jaane Thaaje sar naqsh-e paa huwa thera Bigdi baathown ki fikr kar na Hasan

Wah Kya Marthaba

www.noorimehfil.com

Kaam sab hai banaa huwa thera

www.noorimehfil.com

Wahi Rab hai jis ne thujh ko hama than karam banaya Hamein bheek maangne ko thera aasthaan bathaya Thujhe hamd hai khudaya Thumhein haakime baraaya thumhein qaasime athaaya Thumhein daafi-e-balaaya thumhein shaafi-e-khathaaya Koi thumsa kaun aaya Woh kunwari paak Maryam woh nafakhthu feehi kaadam Hai ajab nishaane a’zam magar Aamina ka jaaya Wahi sab se afzal aaya Yahi bowle sidra waale chaman-e-jahaan ke th’haale Sabhi mai ne chhaan daale therey paaye ka naa paaya Thujhe yak ne yak banaya Fa-izaa faraghtha fansab ye mila he thumko mansab Jo gadaa banaa chuke ab utt’ho waqth-e-bakhshish aaya Karo qismathe athaaya Wa ilal ilaahi farghab karo arz sab ke matlab Ke thumheen ko thakthe hein sab karo in par apna saaya Bano shaafi-e-khathaaya Arey ae khuda ke bando koi mere dil ko dhoondo Mere paas thha abhi tho abhi kya huwa khudaya Na koyi gaya na aaya Hamein ae Raza therey dil ka patha chalaa ba-mushkil Dar-e-rowze ke muqaabil woh hamein nazar tho aaya Ye na pooch kaisa paaya

Wahi Rab Hai Jis

www.noorimehfil.com

Wasf-e-rukh unka kiya karthe hein shar-ha-wa’shshams-o-duha karthe hein Un ki hum mad’h-o-sanaa karthe hein jin ko mahmood kahaa karthe hein Maah-e shaq gushtha ki soorath dekho kaanp kar mehr ki raj’ath dekho Mustafa pyaare ki qudrath dekho kaise e’jaaz huwa karthe hein Thu hey Khursheed-e-Risaalath pyaare chhup gaye theri ziya me thaarey Ambiya aur hai sab mah paare thujh se hi noor liya karthe hein Ungliyaan paa-een woh pyari pyari jin se daryaa-e karam hai jaari Josh par aathi hey jab ghamkhwaari thishne sayraab huwa karthe hein Jab saba aathi hai Taiba se id’har khil khila pad’thi hein kaliyaan yaksar Phool jaame se nikal kar baahar rukh-e-rangeen ki sanaa karthe hein Kyun na zaiba ho thujhe thaaj wari therey hi dum ki hai sab jalwa gari Malak-o-jinn-o-bashar hoor-o pari jaan sab thujh pe fidaa karthe hein Toot pad’hthi hein balayein jin par jin ko miltha nahi koyi yaawar Har taraf se woh pur armaan phir kar unke daaman me chhupa karthe hein Lab pe aa jaatha hai jab Naam-e-Janab munh me ghul jaatha hey shehd-e naayaab Wajd me ho ke hum ae jaan beythaab apne lub choom liya karthe hein Apne dil ka hey unhee se aaraam sownpe hein apne unhee ko sab kaam Law lagi hey ke ab is dar ke ghulam chaara-e dard-e-Raza karthe hein

Wasf-e-Rukh Unka

www.noorimehfil.com

Woh Bad’htha saaya-e rahmath chala zulf-e mu-ambar ka Hamein ab dekh na hai howsla khursheed-e mahshar ka Jo be parda nazar aaja-e jalwa roo-e anvar ka Zara sa munh nikal aaye abhi khursheed-e khaavar ka Chamak saktha hai tho chamke maqaabil unki thal’ath ke Hamein bhi dekhna hai howsla khursheed-e mahshar ka Ravaan ho salsabeel-e ishq-e Sarwar mere seene me Na ho phir naar ka kuch gham na darr khursheed-e mahshar ka Thera zarra woh hai jis ne khilaa-e un ginth thaarey Thera qathra woh hai jis se mila d’haara samandar ka Bathana thha ke neychar un ke zeyr-e paa musakhkhar hai Banaa paththar me yun naqshe kaf-e paa mere Sarwar ka Woh zille zaath-e Rahman hein Nubuwwath ke mah-e thaabaan Na zil ka zil kaheen dekha na saaya mah-o Akhthar ka

Woh Bad’htha Saaya

www.noorimehfil.com

Woh husn hai ae Sayyad-e Abraar thumhara Allah bhi he taalib-e deedar thumhara Mehboob ho thum khaaliq-e kul maalik-e kul ke Kyun khalq pe qabza na ho Sarkaar thumhara Kyun deed ke mushthaq na ho hazrath-e Yoosuf Allah ka deedar he deedar thumhara Bigde huwe sab kaam sambhal jaaein isee dam Dil se koi gar naam ley ek baar thumhara Ummath ke ho thum haami-o gam khwaar taraf daar Allah Tha’ala he tharaf daar thumhara Sar he wahee sar jisme therey dhyaan he har dum Aur dil hai wahee jo he talab gaar thumhara Jis ko marze ishq nehin he wahee beemar Achha tho wahee he jo he beemar thumhara Har waqth tharakki pe rahey dard-e muhabbath Changa na ho maula kabhi beemar thumhara Dil mein nehin kuch iske siwa aur thamanna Allah dikhaade hamein darbaar thumhara Laashey ko karein dafan Madeene me farishthey Mar jaa-e agar hind me beemar thumhara Ummath bhi thumhari hui Allah ko pyaari Allah se woh pyaar he Sarkaar thumhara Din raath jo karthe hein khathaa-on pe khathaa-ein Bakhshish ke liye unki he israar thumhara Allah ne wa’da ye kiya he shabe me’raj dozakh me rahega na gunahgaar thumhara Ei aasiyo thum apne gunaahon se ye kehdo Sarkaare madeena he khareedaar thumhara Dunya me qiyamath me sar-e pul pe lahad me Daaman na ch’hutey haath se Sarkaar thumhara Aada ko jalaane ke liye naare hasad me Hum zikr kiye jaaenge Sarkaar thumhara Thowheed pe marthe hein magar us se hein ghaafil Allah ka inkaar he inkaar thumhara Thowheen ko thowheed samajh-the hein wahabi Samjhe unhein Rab Waahid-e Qahhaar thumhara Bulbul he Jameel-e-Razavi ae gule wahdath

Woh Husn Hai Ae

www.noorimehfil.com

Miljaaye ise rehne ko gulzaar thumhara

www.noorimehfil.com

Woh kamaal-e-husne huzoor hai ke gumaan-e naqsh jahaan nahi Yahi phool khaar se door hai yahi sham’a hai ke dhuwaan nahi Mai nisaar therey kalaam par mili yun tho kis ko zabaan nahi Woh sukhan hai jis me sukhan na ho woh bayaan hai jis ka bayaan nahi Ba-khuda khuda ka yahi hai dar nahi aur koi mafar maqare Jo wahaan se ho yahi aake ho jo yahaan nahi tho wahaan nahi Karey Mustafa ki ihaanathein khule bandown us pe ye jur’athein Ke mai kya nahi hoon Muhammadee arey haan nahi arey haan nahi Wahi noor-e-Haq wahi zille Rab hai unhi se sab hai unhi ka sab Nahi un ki milk me aasmaan ke zameen nahi ke zamaan nahi Wahi laa makaan ke makeen huwey sar-e arsh thakhth nasheen huwey Woh Nabi hey jis ke hein ye makaan woh khuda hai jis ka makaan nahi Karoon therey naam pe jaan fidaa na bas eik jaan do jahaan fida Do jahaan se bhi nahi jee bharaa karoon kya karorown jahaan nahi Karoon mad’he ahle duwal Raza padey is balaa me meri balaa Mai gadaa hoon apne Kareem ka mera deen paara-e-naa nahi

Woh Kamaal-e Husne

www.noorimehfil.com

Woh sarwar-e kishwar-e risaalath jo arsh par jalwa gar huwe thhey Naye niraale tharab ke saamaan arab ke mehman ke liye thhey Bahaar hai shaadiyaan mubarak chaman ko aabadiyaan mubarak Malak falak apni apni lai me ye ghur anaadil ka bolthe thhey Khushi ke baadal umand ke aa-e dilown ke thaaoos rang laa-e Woh naghma-e naath ka samaa thha haram ko khud wajd aarahe thhey Khuda hi de sabr jaane pur gham dikhaoon kyun kar thujhe woh aalam Jab un ko jhurmat me le ke qudsi jinaan ka doolha banaa rahe thhey Uthaar kar unke rukh ka sadqa ye noor ka bat’raha thha baada Ke chaand sooraj machal machal kar jabeen ki khairaath maangthe thhey Wahi tho ab thak chhalak raha hai wahi tho joban tapak raha hai Nahaane me jo gira thha paani katowre thaarown ne bhar liye thhey Bacha jo thalwon ka un ke dhowan bana woh jannath ka rang o roghan Jinhown ne doolha ki paai uthran woh phool gulzaar e noor ke thhey Jo hum bhi waan hothe khaake gulshan lipat ke qadmown se leythe uthran Magar karein kya naseeb me tho ye na muraadi ke din likhe thhey Namaz-e Aqsa me thha yehi sirr ayaan ho ma’na-e awwal aakhir Ke dasth bastha hein peechhe haazir jo saltanath aage kar gaye thhey Suna ye ithne me arsh e Haq ne ke ley mubarak hown thaaj waale Wahi qadam khair se phir aa-e jo pehle thaaj-e sharaf therey thhey Jhuka thha mujre ko arsh e a’la gire thhey sajde me bazme baala Ye aankhein qadmown se mal raha thha woh gird qurban ho rahe thhey Yehi samaa thha ke peyke rehmath khabar ye laaya ke chaliye Hazrath Thumhaari khaathir kushaada hai jo Kaleem par band raasthe thhey Bad’h ae Muhammad qareen ho Ahmad qareeb aa sarwar-e Mumajjad Nisaar jaa-oon ye kya nidaa thhi ye kya samaa thha ye kya mazey thhey Thabarakallah shaan theri thujhi ko zaiba hai be niyazi Kaheen tho woh joshe lan tharaani kaheen thaqaaze wisaal ke thhey Wahi hai awwal wahi hai aakhir wahi hai baathin wahi hai zaahir Usee ke jalwe usee se milne usee se us ki tharaf gaye thhey Nabi-e rehmath shafee-e ummath Raza pe Lillaah ho inaayath Isey bhi un khil’athown se hissa jo khaas rehmath ke waan batey thhey

Woh Sarwar-e Kishwar

www.noorimehfil.com

www.noorimehfil.com

Woh soo’e laala zaar phirthe hein Therey din ae bahaar phirthe hein Jo therey dar se yaar phirthe hein Dar badar yun hi khwaar phirthe hein Us gali ka gadaa hoon me jisme Maangthe thaajdaar phirthe hein Phool kya dekhoon meri aankhown me Dashthe Taiba ke khaar phirthe hein Laakhown qudsi hein kaar-e khidmath par Laakhown girde mazaar phirthe hein Haa-e ghaafil woh kya jagaa he jahaan Paanch jaathe hein chaar phirthe hein Koyi kyun poochhe theri baath raza Thujh se kithne hazaar phirthe hein

Woh Soo’e Laala

www.noorimehfil.com

Ya Ilaahi har jagah theri ataa ka saathh ho Jab padey mushkil shah-e mushkil kusha ka saathh ho Ya Ilaahi bhool jaa-oo naz’a ki thakleef ko Shaadi-e-deedare husne Mustafa ka saathh ho Ya Ilaahi gowr-e theerah ki jab aaye sakhth raath Un ke pyaare munh ki subhe jaanfiza ka saathh ho Ya Ilaahi jab padey mahshar me showr-e daar-o geer Amn deyne waale pyaare peshwa ka saathh ho Ya Ilaahi jab zabaanein baahar aayein pyaas se Saahibe kausar shah-e jood-o-ataa ka saathh ho Ya Ilaahi sard mehri par ho jab khursheede hashr Syyid-e be saaya ke zill-e liwa ka saathh ho Ya Ilaahi garmi-e mahshar se jab bhadkein badan Daaman-e mahboob ki t’handi hawa ka saathh ho Ya Ilaahi naama-e a’maal jab khulne lagein Aibe poshe khalq saththaare khataa ka saathh ho Ya Ilaahi jab bahein aankhein hisaabe jurm me Un thabassum reiz hownto ki dua ka saathh ho Ya Ilaahi jab hisaabe khandae be jaa rulaa-e Chashme giryaane shafee-e murthaja ka saathh ho Ya Ilaahi rang laayein jab meri be baaqiyaan Un ki neechi neechi nazrown ki hayaa ka saathh ho Ya Ilaahi jab chaloon thaareek raah-e pul siraat Aafthaabe hashmi noorul huda ka saathh ho Ya Ilaahi jab sar-e shamsheer par chalna padey Rabbi sallim kehne waale ghumzuda ka saathh ho Ya Ilaahi jo dua-e neik mai thujh se karoon Qudsiyon ke lab se aameen rabbana ka saathh ho Ya Ilaahi jab Raza khwaabe giraan se sar ut’haaye

Ya Ilaahi Har Jagah

www.noorimehfil.com

Daulath-e beydaar-e ishqe Mustafa ka saathh ho

www.noorimehfil.com

Ya Ilaahi rehem farma Mustafa ke waasthe Ya Rasoolallah karam keeje khuda ke waasthe. Mushkilein hal kar shah-e mushkil kusha ke waasthe Kar balaa-ein radd shaheed-e karbala ke waasthe. Sayyid-e sajjaad ke sadqe me saajid rakh mujhe I'lm-e haq de baaqir-e i'lm-e-huda ke waasthe Sidqe saadiq ka thasadduq saadiqul islam kar Be ghazab raazi ho kaazim aur raza ke waasthe Behre ma'roof-o-siree ma'roof de be-khud saree Jund-e-haq me gin junaid-e-baa safa ke waasthe Behre shibli sheyre haq dunya ke kuththown se bacha Eik ka rakh abde-waahid be-riya ke waasthe Bul farah ka sadqa kar ghum ko farah de husn-o- sa'd Bul hasan aur bu saeed-e sa'dza ke waasthe Qaadiri kar qaadiri rakh qaadiriyon me ut'ha Qadre abdul qaadire qudrath numaa ke waasthe Ahsanallahu lahoo rizqan se de rizqe hasan Banda'e Razzaaq thaaj-ul asfiya ke waasthe Nasrabi saaleh ka sadqa saalih-o- mansoor rakh De hayaat-e-deen muhiy'ye jaan fazaa ke waasthe Toor-e-irfaan-o uluw-o hamd-o husna-o bahaa De ali moosa hasan ahmad bahaa ke waasthe Behr-e-ibraheem mujh par naar-e-ghum gulzaar kar Bheek de daatha bhikaari baadshah ke waasthe Khaana'e dil ko ziya de roo'e eemaan ko jamaal Sheh zia maula jamaalul auliya ke waasthe De Muhammad ke liye rowzi kar ahmad ke liye Khwaane fazlullah se hissa gadaa ke waasthe Deen o dunya ke mujhe barkaath de barkaath se Ishqe haq de ishqi-e-ishq inthima ke waasthe Hubbe ahle baith de aale Muhammad ke liye Kar shaheede ishqe Hamza peshwa ke waasthe Dil ko ach'ha than ko suth’hra jaan ko pur noor kar Achhe pyaare shams-e deen badrul ula ke waasthe Do jahaan me khaadime aale Rasoolullah kar Hazrathe aale Rasoole muqthada ke waasthe Noor-e-jaan-o noor-e-imaan noor-e-qabr-o hashr de Bul husain-e ahmad-e noori ziya ke waasthe Kar athaa Ahmad raza-e-ahmad-e mursal mujhe Mere maula hazrath-e ahmad raza ke waasthe Haamid-o mahmood-o hammaad-o ahmad kar mujhe Mere maula hazrath-e haamid raza ke waasthe Saaya-e jumla mashaa'ikh ya khuda hum par rahe Rehem farma aale rahmaan mustafa ke waasthe Behr-e-ibraheem bhi lutf-o ataa-e khaas ho Noor ki baarish sadaa ibne raza ke waasthe Ae khuda Akhthar Raza ko charkh par islam ke

Ya Ilaahi Rehem

www.noorimehfil.com

Sadqa in a’yaan ka de chhey ain izz-o ilm-o amal Afw-o irfaan aafiyath is be nawaa ke waasthe

www.noorimehfil.com

Ya Rab mere dil me hai thamannaa-e-madeena In aankhown se dikhlaa mujhe sehraa-e-madeena Nikle na kabhi dil se thamannaa-e-madeena Sar me rahe ya Rab mere saudaa-e-madeena Aisa meri nazrown me samaa jaa-e-madeena Jab aankh ut’haa-oon tho nazar aa-e-madeena Phirthe hein yahaan hind me hum be-sar-o saamaan Taiba me bulaalo humein Aaqa-e-madeena Yaad aatha hai jab rowza-e-purnoor ka gumbad Dil se ye nikalthee he sadaa haa-e-madeena Kyun gowr ka khatka ho qiyaamath ka ho kya ghum Sheydaa-e-madeena hoon mai sheydaa-e-madeena Bulwaa ke madeene me Jameel-e-Razavi ko Sag apna banaalo ise maula-e-madeena

Ya Rab Mere Dil

www.noorimehfil.com

Ya Rasoolallah aakar dekh lo Ya Madeene me bulaa kar dekh lo Saikadown ke dil munawwar kar diye Is tharaf bhi aankh ut’haa kar dekh lo Ranj-o Gham Dard-o Alam ki mere gird Bheed hai Sarkaar aa kar dekh lo Chheyde jaathe hein humein Munkar Nakeer Gowr me thashreef laa kar dekh lo Ye kabhi inkaar karthe hi nahi Be-nawaa’o aazma kar dekh lo Chaahe jo maango ataa farma-einge Na muraado haath ut’ha kar dekh lo Seyr-e-jannath dekhna chaaho agar Rowza-e-anwar pe aakar dekh lo Do jahaan ki sarfaraazi ho naseeb Un ke aage sar jhuka kar dekh lo Unki rif’ath ka patha miltha nahi Mahr-o-mah chakkar lagaa kar dekh lo Is Jameel-e-Qadiri ko bhi Huzoor Apne dar ka sag banaa kar dekh lo

Ya Rasoolallah Aakar

www.noorimehfil.com

Yaad me jis ki nahi hosh-e than-o-jaan hum ko Phir dikhaade woh rukh ae mehr-e-farozaan hum ko Deyr se aap me aana nahi miltha hai hamein Kya hi khud raftha kiya jalwa-e jaanaan hum ko Jis thabassum ne gulisthaan pe giraa-i bijli Phir dikhaade woh adaa’e gule khandaan hum ko Sham’e Taiba se mai parwaana rahoon kab thak door Haan jala de sharare aathish-e pinhaan hum ko Khaak ho jaa-e dare paak pe hasrath mit jaa-e Ya Ilaahi na phira be sar-o saamaan hum ko Paa-on ghirbaal huwe raahe madina na mili Ae junoon ab tho mile rukhsath-e zindaan hum ko Mere har zakhm-e jigar se ye nikalthi hai sadaa Ae Maleeh-e-Arabi kar de namak daan hum ko Jab se aankhown me samaayi hai madine ki bahaar Nazar aathe hein khizaan deedah gulisthaan hum ko Gar lab-e-paak se iqraar-e-shafa’ath ho jaa-e Yun na be chein rakhe joshish-e isyaan hum ko Parda us chehra-e anwar se ut’ha kar ek baar Apna aa-eena banaa ae mah-e thaabaan hum ko Ae Raza wasf-e-rukh-e paak sunaan-e-ke liye Nazr dethe hein chaman murgh-e-ghazal khwaan hum ko

Yaad Me Jis Ki

www.noorimehfil.com

Ye woh mehfil hai jis me Ahmad-e-Mukhthar aathey hai Malaa’ik leyke rahmath ke yahaan anwaar aathey hein Ziyarath ke liye ban kar malak zawwaar aathey hein Nabi ko dekhne yaan taalib-e-deedar aathey hein Ghulaman-e-shah-e deen bazm me yun aathey hein jaise Bhikaari bheek leyne bar sare darbaar aathey hein Chalo hai meyzbani josh par Sarkar-e-Taiba ki Liye rahmath ke khwaanown me malak anwaar aathey hein Nigah-e-kowr-e-baathin qaasir-o-majboor hai lekin Shahe koun-o-makaan har dil me sau sau baar aathey hein Mukhaalif be adab is zikr ki rif’ath ko kya sumjhe Yahaan par sar ke bal ahl-e-sunan deendaar aathey hein Ye unke sabz gumbad par ba khath-e noor likha hai Woh achhe ho ke jaathe hein jo yaan beemar aathey hein Ut’hega showr mehshar me na ghabraa-o gunahgaaro Woh dekho Shaah khowle geysu-e khamdaar aathey hein Khareedeinge jo rahmath ke ewaz ambaar isyaan ke Khareedaar-e-gunah ab bar sar-e-baazaar aathey hein Jo kehthe hein museebath me aghisni Ya Rasoolallah Madad karne ko unki Sayyad-e Abraar aathey hein Shab-e-thaareek-e-marqad se na ghabra ae dil-e muztar Koyi dam me nazar woh chand se rukhsaar aathey hein Khudawanda dam-e-aakhir ye izraeel farmayein Jameel-e-Qadiri hoshiyar ho Sarkaar aathey hein

Ye Woh Mehfil

www.noorimehfil.com

Zahey izzath o e’thilaa e Muhammad Ke he arsh-e-haq zeyre paaye Muhammad (Sallallahu Alaihiwasallam)

Makaan arsh unka falak farsh un ka Malak khaadimaan-e-saraa e Muhammad (Sallallahu Alaihiwasallam)

Khuda ki raza chaahthe hein do aalam Khuda chaahtha he raza e Muhammad (Sallallahu Alaihiwasallam)

Dam e-naz’a jaari ho meri zabaan par Muhammad khuda e Muhammad (Sallallahu Alaihiwasallam)

Asaa e kaleem azdaha e ghazab thha Girown ka sahaara asaa e Muhammad (Sallallahu Alaihiwasallam)

Khuda unko kis pyaar se dekhta he Jo aankhein hein mahwe liqaa e Muhammad (Sallallahu Alaihiwasallam)

Ijaabath ne jhuk kar galey se lagaaya Bad’hi naaz se jab dua e Muhammad (Sallallahu Alaihiwasallam)

Ijaabath ka sehra inaayath ka jowda Dulhan ban ke niklee dua e Muhammad (Sallallahu Alaihiwasallam)

Raza pul se ab wajd karthe guzarye Ke he rabbi sallim sadaa e Muhammad (Sallallahu Alaihiwasallam)

Zahey Izzath

www.noorimehfil.com

Zameen o zamaan thumhaare liye makeen o makaan thumhaare liye Chuneen o chunaan thumhaare liye baney do jahaan thumhaare liye Dahan me zabaan thumhaare liye badan me he jaan thumhaare liye Hum aaye yahaan thumhaare liye ut’he bhi wahaan thumhaare liye Kaleem o Naji Maseeh o Safi Khaleel o Razi Rasool o Nabi Atheeq o Wasi Ghani o Ali sana ki zabaan thumhaare liye Thumhari chamak thumhari damak thumhari jhalak thumhari mahak Zameen o falak simaak o samak me sikka nishaan thumhaare liye Ye shams o qamar ye shaam o sahar ye barg o shajar ye baagh o samar Ye theigh o sipar ye thaaj o kamar ye hukme rawaan thumhaare liye Jinaan me chaman chaman me saman saman me phaban phaban me dulhan Sazaa-e mihan pe aise minan ye amn o amaan thumhaare liye Khaleel o Naji Maseeh o Safi sabhi se kahee kaheen bhi bani Ye be-khabari ke khalq phiree kahaan se kahaan thumhaare liye Ishaare se chand cheer diya chhupe huwe khur ko pher liya Gaye huwe din ko asr kiya ye thaab o thawaan thumhaare liye Saba woh chaley ke baagh phaley wo phool khiley ke din hown bhaley Liwa ke thaley sana me khuley Raza ki zabaan thumhaare liye

Zameen o Zamaan

www.noorimehfil.com

Zeenathe sajjaada-o bazme qaza miltha nahi Laal e yakthaa e shahe ahmad raza miltha nahi Woh jo apne dowr ka siddeeq thha miltha nahi Mahrame raaz e Muhammad Mustafa miltha nahi Ab chiraaghe dil jalaa kar ho sakey tho dhoondiye Parthawe Ghous-o Raza-o Mustafa miltha nahi Aalimown ka mu’thabar woh peshwa miltha nahi Jo mujassam ilm thha woh kya huwa miltha nahi Zaahidown ka woh musallam muqthada miltha nahi Jis pe naazaan zuhd thha woh paarsa miltha nahi Isthiqaamath ka woh kowh muhkam-o baala thareen Jis ke jaane se zamaana hil gaya miltha nahi Chaar yaarown ki adaaein jis me thhee jalwa numa Chaar yaarown ka woh roshan aaina miltha nahi Ek shaakhe gul nahi saara chaman ando hageen Mustafa ka andaleebe khushnawa miltha nahi Mufti e aazam ka zarra kya banaa Akhthar raza Mehfile anjum me Akhthar doosra miltha nahi

Zeenathe Sajjaada

www.noorimehfil.com

Allah ki sar tha ba-qadam shaan hein ye In saa nahi Insaan Wo insaan hein ye Qur’aan tho eemaan batha tha he inhein Aur eemaan ye kehtha he meri jaan he ye Dunya me har aafath se bachaana maula Uqbaa me na kuch rang dikhaana maula Beit’hoon jo dare paake payambar ke huzoor Eemaan pe us waqth ut’haana maula Waadi Raza Ki kohe himaala raza ka hai Jis simth dekhiye wo ilaaqa raza ka hai Aglown ne bhi likha hai bohoth ilme deen par Jo kuch hein is sadee me wo thanha raza ka he

Rubaa’iaath

www.noorimehfil.com

T Our Patron, Hazrath Allama Mowlana Mufthy Noorul

Hassan Noori Qibla Sahib for his continues support and motivation.

T Allama Maulana Aftab Qasim Sahib for conveying his

message in to this book. T Hafiz Ehsan Iqbal Patel for the immense assistance in

proof reading, correcting the Naaths completely, and guiding us through it at all times.

T The Managing Committee of Madrasa Faiz-e-Raza for

their immeasurable assistance at every stride. T Hussain Raza Zicker Sivani in helping us to cope with

the typed and written documents. T Our donors, for their generosity in sponsoring for this

book. T Everyone who helped us to prepare this book.

T Finally, Our Project Committee, for the effort and

commitment, in compiling this book.

Our Thanks to…

www.noorimehfil.com