18
www.livequraneverymoment.org Juz 3 Question And Answers

Juz 3 Question And Answers - Darul Arqam - Home 3 – TILKA RASOOL Question & Answers Page | 3 Q7.Ayat 254 Ki Raushni Me Qayamat Ka Manzar Kya Hai? Ans. Koi Khareed O Farokht,.Koi

  • Upload
    ngothu

  • View
    470

  • Download
    26

Embed Size (px)

Citation preview

Page 1: Juz 3 Question And Answers - Darul Arqam - Home 3 – TILKA RASOOL Question & Answers Page | 3 Q7.Ayat 254 Ki Raushni Me Qayamat Ka Manzar Kya Hai? Ans. Koi Khareed O Farokht,.Koi

www.livequraneverymoment.org

Juz 3 Question And Answers

Page 2: Juz 3 Question And Answers - Darul Arqam - Home 3 – TILKA RASOOL Question & Answers Page | 3 Q7.Ayat 254 Ki Raushni Me Qayamat Ka Manzar Kya Hai? Ans. Koi Khareed O Farokht,.Koi

Juz 3 – TILKA RASOOL Question & Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 2

PARA 3- Tilkar Rasool (Surah Al Baqarah 253-273)

Part 1 Of 4 (First Quarter -Till Ruba)

Q1.Allah Taala Ne Baaz Rasoolon Ko Baaz Par Kaise Fazeelat Dee?

Ans. Kisi Se Baat Ki,Aur Unme Bhi Jaise Rasoolملسو هيلع هللا ىلص Koi Khaleel Ullah Hue

to,Hazrat Isa Ibn Maryam Ki Jibrael AS Se Madad Jaise Ke Mairaj Ki Ahadees

Se Bhi Milta Hai Ki Rasool Asmanoo Par Bhi Alag Alag Darjoon Par Hain.

Q2.Rasool(Saw)Ko Kya Doosre Rasoolon Par Fazeelat Hasil Hai?Bataiye

Kaise?

Ans..Woh Kisi Khas Qaum Ke Liye Nahi Puri Insaniyat Par Bheje

gaye

. Allah Ne Unse Baat Ki

Aakhirat Me Makam E Mehmooda Haasil Hoga

Waseela

. Deen Ki Takmeel Ki

Aagle Pichle Gunah Maaf Kiye Gaye

Qayamat Ke Din Shafaat E Kubra Hasil Hogi.

Q3.253 Me Baham Ikhtilaaf Kin Kin Ke Beech Hai Aur Iski Wajah Kya

Hai?

Ans.Alag Alag Rasoolon Ki Qaum K Beech. Zid, Takabur Aur Khud Ke Rasool

Par Fakhar Karte, Unhe Sab Say Behtareen Samjhne Ki Wajah Se.

Q4.Allah Taala Ne Kin Nabiyon Se Baat Ki?

Ans. Mohd ملسو هيلع هللا ىلص Moosa(A.S)

Q5.Rooh Ke Kitne Maine Ho Sakte Hai?253 Me Kaun Si Rooh Ka Zikr

Hai?

Ans. 1.Wahi;2. Jaan;3. Jibrael AS. Yahan Par Wahi Ya Jibrael (AS) Hai.

Q6.Agar Allah Nahi Chahte To Wo Baham Na Ladte,Lekin Allah Ki Marzi

Kya Hai?

Ans. Allah Ne Insaan Ko Ikhtyaar Diya Hai Aur Wo Unko Majboor Nahi Karte

Aur Chahte Hai Ki Insaan Apne Ikhtiyaar Se Sahi Kaam Kare.

Page 3: Juz 3 Question And Answers - Darul Arqam - Home 3 – TILKA RASOOL Question & Answers Page | 3 Q7.Ayat 254 Ki Raushni Me Qayamat Ka Manzar Kya Hai? Ans. Koi Khareed O Farokht,.Koi

Juz 3 – TILKA RASOOL Question & Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 3

Q7.Ayat 254 Ki Raushni Me Qayamat Ka Manzar Kya Hai?

Ans. Koi Khareed O Farokht,.Koi Dosti, Koi Sifarish Nahi Kaam Aaeygi Aur

Apne Apne Amaal Ka Pura Pura Badla Diya Jayega.

Q8.Khullat Aur Mohabbat Me Kya Farq Hai?

Ans. Muhabbat Chahne Ko Kehtay Hain Aur Khullat Aisi Muhabbat Hoti Hai Jo

Har Doosri Muhabbat Say Khaali Ho.

Q9.Ayat 255 Ka Naam Kya Hai?Is Ayat Me Allah Ki Kaun Si Sifaat Ka

Zikr Hai?

Ans. Ayat Ul Kursi.

Allah Ke Sewaye Koi Ilah Nahi

. Wo Hamesha Se Zinda Hai Aur Hamesha Qayam Rehega

Usko Neend Nahi Aati

. Oongh Nahi Aati

. Zameen Aur Asmaanoo Mein Jo Kuch Hai Usi Ka Hai.

Q10.Insaan Ki Maut Ke Baad Kaunsi Teen Cheezein Bach Jaati Hai?

Ans.

Sadqa-E- Jaariya

Ilm Jis se Doosroo Ko Faida Pahunche

Nek Aulad

Q11.Allah Ki Kursi-Kya Isko Aap Samjha Sakte Hai?Ye Kaunsi Aayaton

Me Shumaar Hai?

Ans. Ye Ayate Mutashabihaat Mein Se Hai. Alag Alag Rai Hay

Allah Ki Kursi

Allah K Qadam Rakhne Ki Jagah Jo Arsh Say Agay Hay.

Jo Bhi Hay Hadees Ke Mutabiq Aasmaan Aur Zameen Kursi Ke Muqable

Me aise Hai Jaise Sehra Me Padhi Mungri(Ring).

Page 4: Juz 3 Question And Answers - Darul Arqam - Home 3 – TILKA RASOOL Question & Answers Page | 3 Q7.Ayat 254 Ki Raushni Me Qayamat Ka Manzar Kya Hai? Ans. Koi Khareed O Farokht,.Koi

Juz 3 – TILKA RASOOL Question & Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 4

Q12.Taghoot Kya Hai?

Ans. Har Who Wujood Jo Bandage Ki Hadh Say Nikle, Ghair Allah, Har Who

Quwat Jo Neki Say Roke, Har Who Shaks Ya Cheez Jo Khud Bhi Haadein Paar

Kare, Allah K ilawa Paristish Kare Aur Doosroon Ko Bhi Le Jaaye.

Q13."Har Cheez Ki Bulandi Aur--"Is Hadees Ko Urdu Me Mukammil

Kijiye &Iske Raawi Ka Naam Likhiye?

Ans. Hazrat Abu Hurairah (R.A) Se Riwayat Hai Ki Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ne Farmaya: Har

Cheez Ki Bulandi Aur Kohan Hai Aur Surah Baqara Quraan Ki Bulandi hai Aur

Us Mein Bhi Ayat Ul Kursi Ayaton Ki Sardaar Hay.

Q14.Allah Kiski Sifarish Qubool Karega? Kya Duniya Me Kisi Ki Sifaarish

Qubool Karne Ka Allah Ke Paas Waada Hai?

Ans. Jiski Who Chahega, Allah Usi Ki Sifarish Qubool Karega. Ahadees Ke

Mutabiq Aap ملسو هيلع هللا ىلص Farishto, Quran, Surah Aal Imran Aur Baqara Waghaira Ki.

Aap ملسو هيلع هللا ىلصKe Ilawa Insaan Me Hosakta Allah Ijazat De Lekin Wada Kisi Se Nahi

Hai.

Q15.256-Deen Me Koi Jabr Nahi.Aap Isse Kya Samjhe?

Ans. Deen Mein Dakhil Hone Ke Liye, Islam Lane Ke Liye Koi Jabar Nahi,

Lekin Lane Ke Baad Aap Ko Apni Zindagi Islami Shariat K Mutabiq Guzarna

Hai.

Q16.256-Wazeh Ho Gayi Gumraahi Hidaayat Se.Hidaayat Kin Kin Shaklon

Me Hamaare Saamne Hai?

Ans.

Kaainat Ki Nishaniyoon Mein

Rasoolon Ke Zariye.

Kitaboon K Zariye

Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ki Sunnat Ke Zariye.

Page 5: Juz 3 Question And Answers - Darul Arqam - Home 3 – TILKA RASOOL Question & Answers Page | 3 Q7.Ayat 254 Ki Raushni Me Qayamat Ka Manzar Kya Hai? Ans. Koi Khareed O Farokht,.Koi

Juz 3 – TILKA RASOOL Question & Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 5

Q17.257 Me Noor Aur Zulumaat Kaunse Hai? Noor Quran Me Mufrad Aur

Zulumaat Jamaa Me Kyun Hai?

Ans. Noor Yani Raushni Aur Raushni Sirf Islaam Ki Hai Aur Andhere Buhat Se

Hai Jaise Gumrahi,Kufr,Jahalat,Nifaq,Fisq,Lailmi,Etc.

Q18.Allah Kin Kaa Dost Hai Aur Unke Saath Kya Karta Hai? 257

Ans. Allah Imaan Walon Ka Doost Hai Aur Wo Tamam Buraiyo Ke Andhero Se

Nikaal Kar Islam Ke Noor Ki Taraf Late Hai.

Q19.258-Kaun Ibraheem(A.S)Se Hujjat Kar Raha Hai Aur Kiske Baare

Me?Usne Khud Ko Zindagi Aur Maut Kaa Maalik Kaise Bataaya?

Ans. Namrood(Iraq) Ka Badshah Ibrahim AS Se Hujjat Kar Raha Hai Ke Wo

Rab Hai. Usne 2 Aadmi Qaidi Bulaye Aur Ek Ko Maut Ki Saza Dee Aur Dosre

Ko Chod Diya , Aur Maut Ka Hukm Dekar Kaha Ke Wo Zindagi Aur Maut Ka

Malik Hai.

Q20.Allah Ki Kitaab Me Sabse Azmat Waali Aayat Kaunsi Hai?

Ans. Ayat Ul Kursi

Q21.259 Me Kiskaa Zikr Hai? Aur Ye Waaqiyaa Kiske Saath Hua?

Ans. Kisi Ka Nabi Ka Hai, Riwayato Mei Zulqarnain Ya Uzair AS Ke Naam

Milte Hai Lekin Quraan Ya Ahadees Se Kaun Say Nabi Hain Wazahat Nahi

Milti.

Q22.Ambiyaa Ko Allah Taala Kyun Mushahade Karwaate Hai?

Ans. Taaake Wo Aam Logo Ko Bakhabar Karsakein Aur Unka Yaqeen Pukhta

Hojaye

Q23.Imaan Ke Kitne Darje Hain?

Ans. 1. Ilm Ul Yaqeen, 2. Aain Ul Yaqeen(Nishani Dekh Kar,Quraan Parh

Kar),3. Haqqul Yaqeen (Duniya Idhar Ki Idhar Ho)

Q24.Itmenaan Ke Lafzee Mayne.

Ans. Kisi Cheez Ka Apni Jagah Tik Jaana

Page 6: Juz 3 Question And Answers - Darul Arqam - Home 3 – TILKA RASOOL Question & Answers Page | 3 Q7.Ayat 254 Ki Raushni Me Qayamat Ka Manzar Kya Hai? Ans. Koi Khareed O Farokht,.Koi

Juz 3 – TILKA RASOOL Question & Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 6

Q25.261.Fee Sabeelillah Kharch Kiye Huye Maal Ka Kya Badlaa Hai?

Ans. 700 Gunah Tak Ya Ussay Bhi Zaida Usko Allah Badha Deay Hain.

Q26.Hadees Ke Mutabikh Jo Koi Ek Shaqs Apne Halaal Maal Me Se Ek

Luqmaa Kharch Kartaa Hai

Ans.Uhad Pahaad Ke Barabar Ho Jaata Hai.

Q27.Kaunsi Cheezen Sadaqaat Ko Zaaya Karti Hai?

Ans. 1. Azyatein,Takleef Dena,2. Ehsaan Jatana,3. Dikhawa Karna.

Q28.Bhali Baat Kis Cheez Se Behtar Hai?Kaise?

Ans. Sadaqa Dekar Jatane Se. Agar Koi Mangne Aaye Aur Dene Kuch Na Ho Tu

Usse Achi Baat Karni Hai, Acha Mashwara, Narmi Se Ya Bhale Tareeke Se Baat

Karni Hai.

Q29.Abdur Rahmaan Bin Auf(R.A) Ke Baare Me 4 Jumle Likhiye.

Ans. Unhe Jannat Ki Basharat Milli,2. Jab Madina Aaye To Un Ke Paas Kuch

Na Tha, Bajai Kisi Se Kuch Lene Ke Mehnat Karna Pasand Kiya,3. Jald Hee

Bahut Maldaar Hogaye Aur Be Inteha Deen Ki Rah Mein Kharch Karte Aur

Khush Hote,4. Apni Waseehat Mein Ashaab E Badar Aur Ummahat Ul

Momineen Ke Liye Bhi Maal Choda.

Q30.Jo Apne Sadaqaat Ko Zaaya Kar Detaa Hai Uski Misaal Kaisi Hai?

Ans. Ek Boodha Jo Zindagi Bhar Apne Bagh Par Mehnat Kare, Uske Chote

Bache Ho Jo Uski Madad Na Karsakein Aur Uska Saara Bagh Jal Jaye – (Saaf

Chatyal Pathar).

Q31.Sadaqaat Ke 7 Sharaayat Likhiye.

Ans. 1. Ehsaan Na Jatana Hai 2.Takleef Na Dena Hai3.Riya Na Ho4.Sirf Allah

Ki Raza Ke Liye,5. Pukhtagi Aur Sabit Qadmi Ke Liye,6. Tayab Maal

Say,7.Khabees Maal Na Ho

Q32.Maal Kharch Karne Se Saabit Qadmi Kaise Hoti Hai?

Ans. Jab Kharch Karte Hai To Sab Mera Hai Ka Khauf Chala Jata Hai, Doosri

Taraf Maal Kharch Karne Par Jab Badhta Hai To Yaqeen Badhhta Hai.

Page 7: Juz 3 Question And Answers - Darul Arqam - Home 3 – TILKA RASOOL Question & Answers Page | 3 Q7.Ayat 254 Ki Raushni Me Qayamat Ka Manzar Kya Hai? Ans. Koi Khareed O Farokht,.Koi

Juz 3 – TILKA RASOOL Question & Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 7

Q33.266.Me Kiskaa Zikr Hai?

Ans. Misaal Hai Ek Maal Daar Shaks Ki Jo Allah Ki Itaat Mei Maal Kharch

Karta HaI,Phir Shaitan Us Par Ghalib Ajata Hai Aur Gunaho Mei Mubtala Hokar

Apne Tamam Amaal Zaya Kardeta Hai.

Q34.267 Me “Tayyibaat” Aur “Khabees” Se Kya Muraad Hai?

Ans. Tayyab : Umdah,Pakeeza Aur Halal Aur Halal Maal Say; Khabees:

Galisadi, Napsandeedah, Makrooh,Dekhne Me Aachi Na Lage,Aur Haram Ya

Haram Maal Say Ho.

Q35.Shaytaan Kis Cheez Ka Waada Karta Hai?Aur Allah Kis Cheez Ka

Waada Karte Hai?

Ans. Shaitan Mohtaji Aur Fakeeri Se Darata Hai Aur Allah Bakhshish Aur Fazal

Ka Waada Karte Hai.

Q36.Hikmat Kya Hai?

Ans. Kaam Ko Durasat Karne Ki Salahiyat, Deen Ki Samajh.

Q37.Sadaqaat Kaise Kaise Karna Chahiye?

Ans. Khule Aur Chupe, Din Aur Raat.

Q38.Kya Ghair Musalmaan Par Maal Kharch Kiya Jaa Saktaa Hai?

Ans. Haan

Q39.Kise Maal Dene Ka Hukm Hai & Kyun? Nuzul Me Ye Kiske Bare Me

Hai?273

Ans. Jo Loog Deen Ke Kaam Me Mashghool Ho Aur Unhe Khud K Liye

Kamane Ka Waqt Na Ho. Ashaab E Sufha.

Q37.Maal Kharch Karne Waalon Ko Kis Cheez Ka Khauf Aur Gham Nahi

Hoga?

Ans. Sadaqat Qubool Na Hone Ka Aur Maal Kharch Karne Ka.

Page 8: Juz 3 Question And Answers - Darul Arqam - Home 3 – TILKA RASOOL Question & Answers Page | 3 Q7.Ayat 254 Ki Raushni Me Qayamat Ka Manzar Kya Hai? Ans. Koi Khareed O Farokht,.Koi

Juz 3 – TILKA RASOOL Question & Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 8

PARA 3 -Tilkar Rasool

(Surah Al-BAQARA 273-286. AL IMRAN 1-18)

Part 2 Of 4(2nd Quarter -Ruba To Nisf)

Q1.Riba Ke Lafzee Mayne Kya Hai?Riba Kya Cheez Hai?

Ans. Lafze: Badhana, Zyada Hona

Ek Hadees Ke Mutabiq Har Qarz Jo Nafa Khench Kar Laae Woh Riba Hay.

Q2.Riba Aur Tijaarat Me Kya Farq Hai?

Ans.

Riba Tijarat

1. Sirf Sarmaya Waqt Zehniyat Aur Paisa Lagta

Hai

2. Sirf Faida Faida Aur Nuqsaan Dono

3. Musalsal Faida Ek Waqt Ka Faida

4. Lene Wale Ki Majbori Lene Wale Ki Razamandi

5. Mashre Ki Tabahi Mashre Ki Tameer

Q3.Ek Hadees Ke Mutabiq 7 Mohlik Cheezon Se Bachnaa Hai.Wo 7

Cheezen Kaunsi Hai?

Ans. 1.Shirk,2. Jaadu,3. Nahaq Qatal,4. Sood,5. Yateem Ka Maal Khana,6. Jihad

Ke Waqt Bhagna,7. Paak Daman Aurat Par Ilzam Lagana

Q4.Sood Ke Gunaah Ke 70 Hisse Hai Aur Mamooli Hissa

Maa Ke Sath Zina Hai.

Q5.Ayat276-Allah Taala Riba Aur Sadaqaat Ke Saath Kya Maamlaa Karte

Hai?

Ans. Riba Ko Ghatate Hai- Maal Me Barkat Nahi hoti, Amaal Ka Zaaya Hona

Sadaqat Ko Badhate Hai- Maal Mein Barkat Aur Ajar Mein Izafa.

Q6.Kya Sood Khane Waalon Ke Liye Jahannum Ki Khabar Hai?Kahan?

Ans. Haan, Ayat 273 Surah Baqarah, Saathi Hain Aag Ke.

Page 9: Juz 3 Question And Answers - Darul Arqam - Home 3 – TILKA RASOOL Question & Answers Page | 3 Q7.Ayat 254 Ki Raushni Me Qayamat Ka Manzar Kya Hai? Ans. Koi Khareed O Farokht,.Koi

Juz 3 – TILKA RASOOL Question & Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 9

Q7.279-Sood Lene Waalon Ko Allah Kis Cheez Se Khabardaar Kar Rahe

Hai?

Ans. Allah Aur Uske Rasool Ke Sath Jang Karne Se.

Q8.Agar Maqrooz Tangdast Ho To Uske Saath Kaisa Sulook Karna

Chahiye?

Ans. Khushi Se Maaf Kar Dena Ya Mohlat Dena Hai Us Ki Asani Tak

Q9.Agar Kisi Ne Maqrooz Ko Mohlat Dee To Usko Kitnaa Ajr Hai?

Ans. Har Din Iwaz Sadaqa Ka Ajar Hai ,Duniya Aur Akherat Mei Sahulat Hogi,

Qayamat Ke Din Sab Se Pehle Allah Ke Saye Mei Hoga.

Q10. Ek Hadees Ke Mutabik—Ek Aisaa Zamaana Aayega Ke Har Shaqs

Sood Khaane

Waala Hoga, Agar Koi Bachega To Bhi Use Sood Ka Bukhaar/Ghubaar

Pahunchega.

Q11 .282-Dain Ka Mamala Kaise Karna Hai?

Ans.

Likhna Hai

Likhne wala Katib Adl Se Likhe

Kaatib Inkaar Na Kare

Maqrooz Imlaa Karaye

Likhne Me Kisi Cheez Ki Kami Na Kare

Maqrooz Agar Kamzoor,Bewakoof, Ya Istetaat Na Rakhta Ho Tu Us Ka

Wali Imla Karaye Adal Ke Sath

2 Mardon Ya I Mard Ki Jagah 2 Aurto Ko Gawah Ban a lia Kare

Gawah Inkar Ya Susi Na Kare

Choti Badi Har Cheez Likh Liya Kare

Katib Ya Gawah Ko Nuqsaan Na Phanchaya Jaye

Agar Safar Par Ho Aur Katib Na Ho To Koi Cheez Rehan Rakh Le

Rehan Rakhne Wala Amanat Dari Se Rakhe

Gawahi Na Chupai Jaye.

Q12.Gawahi Me Ek Mard Ki Jagah Do Aurtein Kyun Hai?

Ans. Agar Ek Bhool Jaye To Dosri Yaad Dilaye

Page 10: Juz 3 Question And Answers - Darul Arqam - Home 3 – TILKA RASOOL Question & Answers Page | 3 Q7.Ayat 254 Ki Raushni Me Qayamat Ka Manzar Kya Hai? Ans. Koi Khareed O Farokht,.Koi

Juz 3 – TILKA RASOOL Question & Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 10

Q13.Aayate Dain Ki Kya Khaas Baat Hai?

Ans. Who Quraan Paak Ki Sab Se Lambi Ayat Hai.

Q14.Len Den Me Quraan Ke Mutaabikh Kya Sharait Hai?

Ans. Agar Roz Marra Ki Khareed O Farokht Hai To Likhe Bina Hosakti Hai

Lekin Badi Tijarat Ka Likhwana Aur Gawaah Zaroori Hai.

Q15. Kya Rehan Rakhwaana Islaam Me Jaayaz Hai?

Ans. Haan, Agar Safar Par Na Ho Tab Bhi Aur Agar Katib Maujood Ho Tab

Bhi.

Q16. 283-Jo Gawaahi Chipaate Hai Unke Dil Kaise Hote Hai?

Ans. Gunah Gaar.

Q17.Rehan Rakhi Huyi Cheez Ka Asli Maalik Kaun Hoga?Cheez Se hone

wale Faayde Par Kiskaa Haq Hoga?

Ans. Jis Ki Cheez Hogi Wohi Hoga. Faida Aur Nuqsaan Bhi Usi Ka Hoga.

Rehan Rakhne Wala Us Cheez Par Kuch Kharch Karta Hai Tu Wo Faide Me Se

Us Kharch Ke Badle Kuch Faida Le Sakta Hai.

Q18.Sure Baqarah Ki Aaqri Do Aayaton Ki Fazeelat Me 2 Points Likhiye.

Ans. 1. Shayateen Bhaag Jate Hai2. Jo Dua Maangi Jaae Qubool Ki Jaaegi.

Q19.Ayat 284 Padhkar Sahaaba Ka Kya Haal Hua?

Ans. Who Dar Gaye Ke Har Khuli Chuppi Cheez Par Unki Pakad Hogi.

Q20.Kin Khayaalon Par Pakad Hai Aur Kin Par Nahi?

Ans. Waswaso Par Nahi Aur Un Khayalo Par Jab Tak Kisi Se Kaha Nahi Ya

Amal Na Kare

Q21.Kya Insaan Apne Aamaal Ki Wajah Se Jannat Me Daakhil Kiya

Jaayega?Ahadees Kya Bataate Hai?

Ans. Nahi Allah Ki Rehmat Se, hadith Ka Mafhoom “ Koi Shaks Bhi Jannat

Mein Apne Amaal Ki Bina Par Na Jaaega Sewaye Allah Ki Rehmat Ke, Jis Par

Allah Apni Rehmat Dhanp Day.”

Page 11: Juz 3 Question And Answers - Darul Arqam - Home 3 – TILKA RASOOL Question & Answers Page | 3 Q7.Ayat 254 Ki Raushni Me Qayamat Ka Manzar Kya Hai? Ans. Koi Khareed O Farokht,.Koi

Juz 3 – TILKA RASOOL Question & Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 11

Q22. Sure Baqara Ki 3 Fazeelatein Likhiye.

Ans.

Jis Ghar Mein Surah Fatiha Aur Surah Baqara Ki Akhri 2 Ayaat Ghar Mein

3 Din Tak Mutawatar Parhi Jaye Us Ghar Mein Shaytan Nahi Dakhil Hota,

Sabse Lambi Soorat Hai

Fustaat Ul Quran

Sanaa Ul Quran.

Q23. FUSTAAT-UL-QURAAN-----Quraan Ka Khaimaa Kis Soorat Ko

Kahaa Jaata Hai?

Ans. Surah Al Baqara.

Q24. Sure Baqara Aur Al Imraan Ko Kya Kaha Jaata Hai?

Ans. Az Zehra Wain.

Q25.Sure Aal Imraan Kin Haalat Me Naazil Huyi?

Ans. Wafd-E-Najran- Isaii Say Khitab

Q26.A4-Taurat Aur Injeel Naazil Hone Ka Maqsad.

Ans. Hidayat

Q27.A4-Me Furqan Kya Hai?

Ans. Quraan

Q28. 7-Qur-Aan Me Kin Kin Tarah Ki Aayat Hai?Unke Bare Me Likhiye.

Ans. Mutashabihaat , Mohkamat.

Mohkamat- Allah Ke Hukm Aur Wo Jo Aqal Ko Samjh Aaye

Mutashabihaat- Ghaib Ki Cheezain Jo Aqal Na Samjhe.

Q29.7-Mutashaabehat Ke Peeche Kaun Padh Jaate Hai?

Ans. Jin Ke Dilo Mein Tedha Pan Hai.

Q30.Mutashabehaat Ki Ek Misaal Dijiye Aur In Ayaat Ka Ilm Kiske Paas

Hai?

Ans. Ayat Ul Kursi, 1. Only Allah,2. Allah + Raseeqon Fil Ilm

Page 12: Juz 3 Question And Answers - Darul Arqam - Home 3 – TILKA RASOOL Question & Answers Page | 3 Q7.Ayat 254 Ki Raushni Me Qayamat Ka Manzar Kya Hai? Ans. Koi Khareed O Farokht,.Koi

Juz 3 – TILKA RASOOL Question & Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 12

Q31. Taweel Kise Kehte Hai?

Ans. Ilm Ya Fail Ko, Asal Muraad Ki Taraf Lautana.

Q32.Raasiqoon Fil Ilm-Kaun Hote Hai? Wo Log Kya Kehte Hai Aur Kya

Dua Maangte Hai?

Ans. Jin Ka Ilm Pukhta Hay,Ilm Mein Wussat Ho, Gehrai Tak Jaante Ho

وهابهديتنا وهب لنا من لدنك رحمةو انك انت ال اذ ربنا التزغ قلوبنا بعد.

Q33.A13-Me Kis Waaqiye Ka Zikr Hai?

Ans. Jang E Badar

Q34.Logon Ke Liye Kaun Kaun Si Cheezen Khoobsoorat Bana Di Gayi

Hai? Ye Cheezein Insaan Ke Liye Kaise Faydemand Ho Sakti Hai?

Ans. 1.Aurtein,2.Bete,3.Jama Kiy Huwa Khazana,4. Sona,5.Chandni,6. Nishaan

Lage Howe Ghode,7. Maweshi Janwar,8. Kheti.

Q35.Ek Hadees Ke Mutabikh Rasool(Saw) Ne Mardon Ke Liye Apne Baad

Jo Sabse Bada Fitnaa Chodaa Hai Wo Kaunsaa Hai?

Aurtein

Q36.Kaisi Aurat Imra-Atu Saaleha Hai?

Ans. Uska Shohar Dekhe Uski Taraf To Usko Khushi Ho , Kuch Hukum Usko

De To Wo Itaat Kare, Ghaib Me Apni Aur Apne Shohar Ke Mal Ki Hifazat Kare

Q37.16,17-Jannati Log Kya Dua Karte Hai Aur Wo Kaise Hote Hai?Dua

Arabi Me Likhiye.

Ans. ربنا اننا امنا فاغفرلنا ذنوبنا وقنا عذاب اانار.

Page 13: Juz 3 Question And Answers - Darul Arqam - Home 3 – TILKA RASOOL Question & Answers Page | 3 Q7.Ayat 254 Ki Raushni Me Qayamat Ka Manzar Kya Hai? Ans. Koi Khareed O Farokht,.Koi

Juz 3 – TILKA RASOOL Question & Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 13

Para 3 - Tilkar Rasool

Surah Aale Imraan (19 - 54)

Part 3 (Third Quarter - Nisf To Salaas)

Q1. Deen Ka Matlab Kya Hai? Allah Ke Nazdeek Deen Kya Hai?

Ans. Millat, Shariat Aur Tarika E Zindagi

Islam.

Q2. 21-Kinke Liye Dardnaak Azaab Hai?

Ans. 1. Jo Ayato Ka Kufr Karte Hai,2. Nahaq Nabiyo Ka Qatl Karte Hai,3.

Insaaf Ka Hukm Dene Walo Ka Qatl Karte Hai.

Q3. 23-Kin Haalaat Me Naazil Huyi?

Ans. Khyber Ke Bashindon Mei Se Alaa Mukaam Rakhne Wale Mard Aur Aurat

Ne Zina Kiya, Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ke Paas Faisle Ke Liye Aaye. Taurat Aur Quran Duno

Mein Rajam Ka Hukm Hai.

Q4.24-Ahle Kitaab Kyun Hai Hi Airaaz Karne Waale?

Ans. Kyun Ki Wo Soochte Hai Ki Un Ko Aag Nahi Chuyegi Magar Thode Din

Ke Liye.

Q5. 27-Murde Se Zindaa Aur Zinde Se Murdaa---Samjhaayi-Ye

Ans. Murde Se Zinda- Ande Se Murghi, Beej Se Jhad, AAzar Say Unke Bete

Ibrahim AS( Jo Deen Par Nahi Who Murde Ke Barabar Hai)

Zinde Se Murda- Murghi Say Anda, Jhaad Say Beenj, Nooh Say Unke Bete.

Q6. Mominon Ko Kaafiron Ke Saath Kaisa Sulook Karnaa Chahiye?

Ans. Maamlaat,Moasaat Aur Mudaraat Kar Sakte Hain Lekin Unko Gehra

Dost,Wali,Himayti,Madadgaar Nahi Banana Chahiye

Q7. Hadees Ke Mutabikh Iman Ka Sabse Mazboot Kada Kaun Sa Hai?

Ans. Allah Ke Liye Dosti Aur Allah K Liye Dushmani

Q8 .28-Kaafiron Ke Saath Dosti Me__Ehtiyaat___Rehnaa Hai

Q9. 31-Allah Se Mohabbat Hai To Kya Karnaa Hai?

Ans. Rasool ملسو هيلع هللا ىلص Ki Pairvi Karni Hai

Page 14: Juz 3 Question And Answers - Darul Arqam - Home 3 – TILKA RASOOL Question & Answers Page | 3 Q7.Ayat 254 Ki Raushni Me Qayamat Ka Manzar Kya Hai? Ans. Koi Khareed O Farokht,.Koi

Juz 3 – TILKA RASOOL Question & Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 14

Q10. 33,34-Allah Ne Kin Kin Ko Kaise Kaise Chun Liya?

Ans. 1. Adam- Se Ham Sab Aulaad,2. Nooh- Adam E Saani,3. Ibrahim- Tamam

Ke Imam 4. Imran – Maryam Aur Isa A.S.

Q11.Maryam (As )Ki Waalida Ka Kya Naam Tha?Unhone Kya Nazar

Maangi Aur Kyun?

Ans. Hanna Bine Faqoos, Ke Unki Aulaad Ko Unki Khidmat Say Azaad Karke,

Bait Ul Muqaddas Ke Liye Waqf Karenge.

Q12.36-Ladkaa Ladki Ke Maanind Nahi—Kis Tarah?

Ans. Ladki Jo Insaan Ki Takhleeq Mein Hissa Le Sakti He Wo Ladka Nahi Le

Sakta.

Q13.36-Maryam(As)Ki Maa Ne Kya Dua Maangi?

Ans. جيماعيذها بك وذريتها من الشيطن الر .

Q14. Maryam (As)Ki Kafaalat

Zakariya A.S Ne Kee.

Q15. 37-Maryam(As) Ke Paas Rizq Dekhkar Zakariya(As)Ne Kya Dua Ki?

Ans. Unhe Qayesh Hui Ke Jab Allah Maryam (As) Ko Rizq De Sakta Hai To

Unhe Is Umr Me Aulaad Bhi De Sakta Hai.To Unhone aulaad Ki Dua Mangi.

Q16. 39-Kalimatim Minallah-----Kya Hai?

Ans. Isa A.S.

Q17. 39-Yahya(As)Ki Kaun Kaun Si Khoobiyo Ka Zikr Hai?

Ans. 1.Issa AS Ki Tasdeeq Karenge,2.Sardaar Honge,3.Paak Baaz Honge,4.Nabi

Honge,5.Naik Logon Mei Se Honge.

Q18. 41-Zakariya(As)Ko Aulaad Hone Ki Allah Ki Taraf Se Kya Nishhani

Aayi?Uske Saath Allah Ne Unhe Kya Hukum Diya?

Ans. Who Logon S 3 Din Tak Baat Nahi Karenge. Subah Aur Sham Allah Ki

Buhat Zyada Tasbeeh Aur Yaad Ka Hukm Hua.

Page 15: Juz 3 Question And Answers - Darul Arqam - Home 3 – TILKA RASOOL Question & Answers Page | 3 Q7.Ayat 254 Ki Raushni Me Qayamat Ka Manzar Kya Hai? Ans. Koi Khareed O Farokht,.Koi

Juz 3 – TILKA RASOOL Question & Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 15

Q19. 46-Isa?(As)Ne Panghude Me Kya Kaha?

Ans. انى عبدهللا ءاتنى الكتاب

Q20.Isa(As)Ke Naam Ke Saath Hamesha Ibn Maryam Kyun Aata Hai?

Ans. Waze Karne Ke Liye Ke Wo Allah Ke Bete Nahi Maryam AS Ke Bete Hai.

Q21.46-Badi Umr Me Baat Karenge Yaani…..?

Ans. Who Dubara Jab Duniya Me Aaenge Wohi Bolenge ( Mein Adullah

Hooon…)+ Bade Hone Ke Baad Bhi Apni Baat Par Qayam Rehenge.

Q22. 49-Apne Rasool Hone Ki Isa(As) Ki Taraf Kaun Kaun Si Nishaaniyaan

Aayi?

Ans. 1. Matti Ke Parinde Me Jaan,2. Paidaishi Andhe Aur Kodh Ko Theek,3.

Murde Ko Zinda Karna.

Q23.Isa(As)Ko Masseh Kyu Kaha Jaata Hai?

Ans. 1. Haath Pherte To Bemaar Theek Hojata,2. Tableeq Ke Liye Sair Karte,3.

Ibraani Maseeh-Mubarak,4. Also Mean Siddique.

Q24. Hawaaree Kaun Hai?Unka Ye Naam Kaise Padha?

Ans. Isaa AS Ki Qaum Ke Log,1. Unke Dil Saaf The,2. Unke Libas Safed,3.

Dhobi

Q25. 51-Seedha Raasta Kaun Sa Hai?

Ans. Allah Ki Ibadat

Q.52,53-Ansaari Kaun Hai?Unhone Kya Kaha?

Ans. Ham Allah Ke Madadgaar Hai,Ham Imaan Laye Allah Par Aur Beshak

Hum Musalmaan Hain.

Q.54-Kin Logon Ne Kis Tarah Ki Chaal Chali Aur Allah Ne Kya Tadbeer

Ki?

Ans. Yahoodiyo Ne Isa AS Ke Upar Bad-Deeni Aur Baghawat Ka Ilzam Lagakar

Sooli Par Chadhane Ki Chaal Chali Aur Allah Ne Tadbeer Se Isa AS Ko Apni

Taraf Utha Liya Aur Unko Bacha Liya.

Page 16: Juz 3 Question And Answers - Darul Arqam - Home 3 – TILKA RASOOL Question & Answers Page | 3 Q7.Ayat 254 Ki Raushni Me Qayamat Ka Manzar Kya Hai? Ans. Koi Khareed O Farokht,.Koi

Juz 3 – TILKA RASOOL Question & Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 16

Para 3 Tilkar Rasool

Surah Aale Imraan (55- 91 )

Part 4 (Fourth Quarter- Salaas Til End)

Q1.Isa(As)Ko Lekar Yahood Nasara Aur Musalmaano Me Kya Ikhtilaaf

Hai?

Ans.

Yahood Nasara Musalmaan

1.Risalat Ka Inkaar

2. Masloob Aur Dafan

Ibn Ullah

Soli Par Chahye Gaye,

3 Din Baad Zinda

Hoye Aur Utha Liya

Gaya.

Only Rasool

Allah ne unhe Utha

Liya

Q2.Allah Taala Ne Isa (As)Se Kaunse 5 Waaade Kiye?55

Ans. 1. Who Log Kuch Nahi Bigad Saktd(Upar Uthanay Ka Waada),2. Ilzamo

Se Bari,3. Kaafiroon Se Paak,4. Payreookar Galba Paaenge,5. Sab Ikhtelafaat Ka

Faisla Qayamat K Din.

Q3.59-Isa(As)Aur Adam(As) Ki Ek Jaisi Misaal Kaise Hai?

Ans. Isa AS Bin Baap Ke, Adam AS Bin Maa Baap Ke, Takhleeq Mein Ek Jaisi

Misaal Hain.

Q4.MUBAHELA---Kya Cheez Hai?61

Ans. Buland Awaz Mein ,Amne Samne Hokar Jhoot Bolne Wale Par Allah Ki

Lanat

Q5.Hadees Ke Mutabikh Agar Wafade Najran Mubahela Kar Lete To Kya

Hota?

Ans. Lautne Ke Baad Unko Na Maal Milta Na Aulaad.

Q6.Hamaare Aur Ahle Kitaab Ke Darmyaan Kya Cheez Barabar Hai?64

Ans. Ek Allah Ki Ibadat

Q7.Ibraheem(As)Ka Deen Kaunsa Tha?

Ans. Islam

Page 17: Juz 3 Question And Answers - Darul Arqam - Home 3 – TILKA RASOOL Question & Answers Page | 3 Q7.Ayat 254 Ki Raushni Me Qayamat Ka Manzar Kya Hai? Ans. Koi Khareed O Farokht,.Koi

Juz 3 – TILKA RASOOL Question & Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 17

Q8.Rasoolملسو هيلع هللا ىلصNe Kis Aayat Ki Buniyaad Par Rome,Iraq Waghaira Ke

Baadshaahon Ko Islaam Ki Daawat De?

Ans. Ayat 64

Q9.Ahle Kitaab Kya Chahte Hai?69

Ans. Ke Musalmano Ko Gumrah Karde

Q10.Kis Cheez Ka Ilm Hone Ke Bawajood Ahle Kitaab Chipaate Hai?71

Ans. Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ke Akhri Nabi Hone Ka.

Q11.72-Ahle Kitaab Musalmaano Ko Kis Tarah Shubeh Me Daalna Chahte

Hai?

Ans. Subah Iman Lakar Aur Sham Ko Phir Kar.

Q12.73-Jumla Mautariza Kaunsa Hai.Ayat Me Alag Kijiye.

Ans. Innal Huda Hudallah

Q13.Allah Apna Fazl Jise Chahte Hai Dete Hai! Yahaan Kaunsaa Khaas

Fazl Hai?

Ans. Aap ملسو هيلع هللا ىلص Ko Nabuwat Ke Liye Chunna

Q14 Amaanat Ke Saath Ahle Kitaab Ka Kya Sulook Hai?

Ans. Kuch Log Agar Khazae Bhi Rakhwaye To Wapis Kardenge Lekin Kuch

Log Agar Ek Dinar Bhi Un Ke Paas Amanat Rakhwaenge Te Amanat Me

Khayanat Karenge Kyu Ke Wo Log Soochte Hai Ke Ghair Yahood Ke Sath Wo

Aisa Sulook Karsakte Hai.

Q15.Kya Yahood Ke Nazdeek Sood Jayez Hai?

Ans. Nahi Hai Lekin Unhone Khud se Bana Liya Ke Yahood Ka Yahood Se

Sood Jayaz Nahi Par Ghair Yahood Se Lena Jaiz Hai.

Q16. Yaumul Qiyaamah Ke Din Allah Kin Kin Se Baat Nahi Karenge?Ayat

77

Jo Allah Ke Ahad Ko Aur Apni Qasmo Ko Thodi Qeemat Par Bechte Hai

Q17.78-Zabaan Ka Modhna Kya Hai Aur Kyun Hai?Pehle Padhe Huye

Waaqiyon Se Misaal Dijiye.

Ans. Hissi Aur Manvi Dunoo Tareeqoon Se, Alag Tareeqe Se Padhkar Ya

Mayne Badal Kar, Take Kalaam Mein Raddo Badal Ho Jaaye, Asal Maayne Na

Rahe. E.G: Rayeena, Hittatun

Page 18: Juz 3 Question And Answers - Darul Arqam - Home 3 – TILKA RASOOL Question & Answers Page | 3 Q7.Ayat 254 Ki Raushni Me Qayamat Ka Manzar Kya Hai? Ans. Koi Khareed O Farokht,.Koi

Juz 3 – TILKA RASOOL Question & Answers

www.livequraneverymoment.org Page | 18

Q18.79-Rabbani Kaun Shaqs Hai?

Ans.1. Aisa Ilm Wala Jo Khud Bhi Amal Kare Aur Dosroon Ko Bhi

Karwaye(Sikhaye),2. Ilm,Ikhlas Aur Darajaate Qurb Mein Khud Bhi Kamil Ho

Aur Dosroon Ko Bhi Karwaye,3. Ilm Ki Taraqqi Aur Takmeel Karwye.

Q19. Aayaat 79,80-Ka Nuzool?

Ans. Jab Mohd ملسو هيلع هللا ىلص Ne Yahood Aur Wafd E Najraan Ko Islaam Ki Dawat Di

To Ek Yahood Abu Rafe Qwaizi Ne Poocha- Aye Mohd. Tum Chahte Ho Ke

Hum Tumhari Aisi Poooja Kare Jaise Nasara Isa Ibn Maryam Ki Karte Hai.

Q20.Paighambaron Se Kaunsa Ahad Liya Jaa Raha Hai?81

Ans. Agar Rasool ملسو هيلع هللا ىلص Unki Zindagi Mei Aaye To Unki Tasdeeq Karna,Inpar

Imaan Lana Aur Unki Madad Karna.

Q21.Islaam Ke Siwaaye Dosre Deen Ko Chahne Waale Ke Liye Kya Hai?85

Ans. Wo Qubool Nahi Kiya Jaayega Aur Wo Khasara Uthane Walo Me Se

Honge.

Q22.87-Haq Ko Pehchan Ne Ke Baad Qubool Naa Karne Waalo Ke Liye

Kya Hai?

Ans. Allah Ki, Farishton Ki Aur Sab Ke Sab Logo Ki Laanat Hai.

Q23.90-Kin Ki Taubaa Qubool Nahi Hogi?

Ans. Jo Kufr Karte Ho Phir Usme Bahut Badh Jaate Hai

Q24.91-Kufr Ki Haalat Me Marne Waale Ka Kya Haal Hoga?

Ans. Agar Woh Zameen Bhar Sona Bhi Fidya Mei Denge Tu Nahi Qubool Kiya

Jaaega,Unke Liye Dardnaak Azaab Hai Aur Un Ke Liye Koi Madadgaro Me Se

Nahi Hoga.