Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

Embed Size (px)

Citation preview

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

    1/26

    Surat 25. AI-Furqan / Part 1921. Aur jinhein humari mulaaqat ki tawaqqanahi unhoan nay kaha kay hum per farishtaykiyoan nahi utaaray jaattay? Ya hum apniaankhoan say apnay rabb ko dekh laytay?Unn loagoan nay apnay aap ko bahoat badasamajh rakha hai aur sakht sarkashi ker Ii hai.22. Jiss din yeh farishtoan ko dekh leingayuss din inn gunehgaroan ko koi khushi nahogi aur kaheingay yeh mehroom himehroom kiye gaey. (196)23. Aur enhoan nay jo amal kiye thay humnay unn ki taraf badh ker enhein paragandazarroan ki tarah ker diya.24. Albatta uss din jannatiyoan ka thikanabehtar hoga aur khuwaabgaah bhi umdahhogi.25. Aur jiss din aasman baadal samet phatjaeyga aur farishtay (197) lagattaar utaarayjaeyngay.26. V ss din sahih taur per mulk sirf rehmanka hi hoga aur yeh din kaafiroan per badabhaari hoga.27. Aur uss din zalim shaks apnay hathoan kochaba chaba ker kahay ga haaey kaash kaymein nay rasool (PBVH) ki raah ikhtiyaar kihoti.28. Haaey afsoas kaash kay mein nay falaanko dost na banaaya hota.29. Uss nay to mujhay iss kay baad gumrahker diya kay naseehat meray pass aapahonchi thi aur shaitaan to insaan ko (waqtper) dagha daynaywaala hai.30. Aur rasool kahay ga kay aey merayperwerdigaar! Bay-shak meri ummat nay issquran ko chhoad rakha tha. (198)31. Aur iss tarah hum nay her nabi kaydushman baaz gunehgaroan ko bana diya hai.Aur tera rabbb hi hidayat kemay waala aurmadad kemay waala kaafi hai.

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

    2/26

    Surat 25. Al-Furqan / Part 1932. Aur kaafiroan nay kaha kay iss per quransara ka sara aik saath hi kiyoan na utaaragaya issi tarah hum nay (thoda thoda ker kay)utaara taakay iss say hum aap ka dil qavirakhein hum nay issay thehar thehar ker hipadh sunaya hai.33. Yeh aap kay pass jo koi misaallaeyngayhum uss ka sachcha jawaab aur umdahtaujeeh aap ko batta dein gay.34. Jo loag apnay munh kay bal jahannum kitaraf jama kiye jaeyngay. Wohi bad-tarmakaan waalay aur gumrah tar raastaywaalay hain.35. Aur bila shuba hum nay Musa ko kitab diaur uno kay humrah uno kay bhai Haroon kouno ka wazir bana diya.36. Aur keh diya kay tum donoan unoloagoan ki taraf jao jo humari aayaton kojhutia rahey hain. Phir hum nay unhein bilkulhi paamaal ker diya.37. Aur qaum-e-Nooh nay bhi jab rasooloanko jhoota kaha to hum nay unhein gharaq kerdiya aur loagoan kay liye unhein nishaan-e-ibrat bana diya. Aur hum nay zaalimoan kayliye dard-naak azaab mohyya ker rakha hai.38. Aur Aadiyoan aur Samoodiyoan aurkoonwein waaloan ko aur uno kay darmiyaanki bahoat si ummatoan ko (halaak ker diya).39. Aur hum nay unn kay saamnay misaaleinbayaan kein phir her aik ko bilkul tabah-o-barbaad ker diya.40. Yeh loag uss basti kay pass say bhi aattayjaattay hain jin per buri tarah ki baarishbarsaee gaee kya yeh phir bhi issay dekhtaynahi? Haqeeqat yeh hai kay enhein marr kerji utimay ki umeed hi nahi.41. Aur tumhein jab kabhi dekhtay hain totum say maskhara pann kemay lagtay hain.Kay kya yahi woh shaks hain jinhein AllahTaalaa nay rasool bana ker bheja hai.42. (woh to kahiye) kay hum iss per jama

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

    3/26

    Surat 25. AI-Furqan / Part 19rahay wema enhoan nay to humein humaraymaboodon say behka daynay mein koi kasarnahi chhoadi thi. Aur yeh jab azaaboan kodekhein gay to enhein saaf maloom hojaey gakay poori tarah raah saybhatka hua kaun tha?43. Kya aap nay usay bhi dekha jo apnikhwahish-e-nafs ko apna mabood banaeyhuay hai kya aap uss kay zimay daar hosaktay hain?44. Kya aap issi khayaal mein hain kay unnmein say aksar suntay ya samajhtay hain.Woh to niray chopayoan jaisay hain bulkayuno say bhi ziyada bhatkay huay.45. Kya aap nay nahi dekha kay aap kay rabbnay saaey ko kiss tarah phaila diya hai? Agarchahatta to usay thehra hua hi ker dayta. Phirhum nay aftaab ko issi per daleel banaya.46. Phir hum nay usay aahista aahista apnitaraf khenchliya.47. Aur wohi hai jiss nay raat ko tumharayliye parda banaya aur neend ko raahat banaeeaur din ko uth khaday honay ka waqt.48. Aur wohi hai jo baaraan-e-rehmat saypahlay khush khabri daynay waali hawaoanko bhejta hai aur hum aasmaan say paak panibarsaattay hain.49. Takay uss kay zariye say murda sheharko zinda ker dein aur ussay hum apnimakhlooqaat mein say bahoat saychaupayoan aur insaanoan ko pilaattay hain.50. Aur bay-shak hum nay issay uno kaydarmiyan tarah tarah say bayaan kiya takaywoh naseehat haasil kerein magar phir bhiaksar loagoan nay siwaey na-shukri kaymaananahi.51. Agar hum chahattay to her her basti meindaraanay waala bhej daytay.52. Pas aap kaafiroan ka kehna na manein aurquran kay zariye uno say poori taaqat say

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

    4/26

    Surat 25. Al-Furqan / Part 19bada jihad kerein.53. Aur wohi hai jiss nay do samandar aapasmein mila rakhay hain yeh hai meetha aurmazedaar aur yeh hai khaari kedwa aur unndonoan kay darmiyaan aik hijab aur mazbootoat kerdi.54. Woh hai jiss nay paani say insaan kopaida kiya phir ussay nasab waala aur susralirishtoan waala ker diya. (199) Bila shuba aapka perwerdigaar (her cheez per) qaadir hai.55. Yeh Allah ko chhoad ker unn ki ibadatkertay hain jo na to enhein koi nafa daysakein na koi nuksan phonca sakein aurkaafir to hay hi apnay rabbb kay khilaaf(shaitaan ki) madad kemay waala.56. Hum nay to aap ko khush khabri aur darrsunanay waala (nabi) bana ker bheja hai.57. Kah dijiye kay mein quran kaypahonchaanay per turn say koi badla nahichahta magar jo shaks apnay rabb ki tarafraah paakadna chahey.58. Uss hamesha zinda ralmay waalay AllahTaalaa per tawakkal keren jissay kabhi mautnahi aur uss ki tareef kay saath paakeezgibayaan kertay rahein woh apnay bandoangunaahoan say kaafi khabardaar hai.59. Wohi hai jiss nay aasmanoan aur zameenaur inn kay darmiyaan ki sab cheezoan kocheh din mein paida ker diya hai phir arsh permustawi hua woh rehman hai aap uss kabaaray mein kissi khabar daar say poochhlein.60. Unn say jabb bhi kaha jaatta hai kayrehman ko sajda karo to jawaab daytay hainrehman hai kya? Kya hum ussay sajda kereinjiss ka tu hurnen hukm day raha hai aur iss(tableegh) nay unn ki nafrat mein mazeedizafa ker diya. (Sajda)61. Baa-barkat hai woh jiss nay aasman meinburj banaey aur uss mein aftaab banaaya aurmunavwar mahtaab bhi.

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

    5/26

    Surat 25. Al-Furqan / Part 1962. Aur ussi nay raat aur din ko aik doosraykay peechhay aanay jaanay waala banaaya(200) uss shaks kinaseehat kay liye jo naseehathaasil kemay ya shukar guzari kemay kairada rakhta ho.63. Rehman kay (sachay) banday woh hainjozameen per farotni kay saath chaltay hain aurjab bay ilm loag unn say baatein kemaylagtay hain to woh kah daytay hain kaysalaamhai.64. Aur jo apnay rabb kay samnay sajday aurqayam kertay huay raatein guzar daytay hain.65. Aur jo yeh dua kertay hain kay aeyhumaray perwerdigar! Hum say dozakh kaazaab paray hi paray rakh kyoan kay uss kaazaab chimatjaanay waala hai.66. Bay-shak woh thahemay aur ralmay kaylehaaz say bad-tareenjagah hai.67. Aur jo kharach kertay waqt bhi na toisraaf kertay hain na bakheeli bulkay unndonoan kay darmiyaan motadil tareeqay perkharach kertay hain.68. Aur Allah kay saath kissi doosray komabood nahi pukartay aur kissi aisay shaksko jissay qattal kema Allah Taalaa nay manaker diya ho woh ba-juz haq kay qattal nahikertay na woh zina kay muratkib hotay hainaur jo koi yeh kaam keray woh apnay oopersakht wabaallaaega.69. Ussay qayaamat kay din dogra azaab kiyajaeyga aur woh zillat-o-khuwari kay saathhamesha ussi mein rahay gao70. Siwaey uno loagoan kay jo tauba kereinaur emaan laaein aur nek kaam kerein aisayloagoan kay gunahoan ko Allah Taalaanekiyoan say badal dayta hai Allahbakhshnay waala meharbaani kemay waalahai.71. Aur jo shaks tauba keray aur nek amalkeray woh to (haqeeqattan) Allah Taalaa kitaraf sachcha rujoo kerta hai.72. Aur jo loag jhooti gawaahee nahi daytayaur jab kissi laghuw cheez per unn ka guzar

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

    6/26

    Surat 26. Ash-Shu'ara / Part 19hota hai to sharafat say guzar jaattay hain.73. AUfjab enhein unn kay rabb kay kalam kiaayatein sunaee jaati hain to woh andhaybehray ho ker unn per nahi girtay.74. AUfyeh dua kertay hain kay aey humarayperwerdigaar! Tu humein humaari biwiyoanaur aulaad say aankhoan ki thandak attafarma aur humein perhezgaroan ka paishwabana.75. Yehi woh loag hain jinhein unn kay sabarkay badlay jannat kay buland-o-baalakhaanay diye jaaengay jahaan unhein duasalaam pahonchaya jaaega.76. Uss mein yeh hamesha raheingay wohbahoat hi achchi jagah aur umdah muqaamhai.77. Kah dijiye! agar tumhari dua iltija(pukaarna) na hoti to mera rabb tumharimutlaq perwa na kerta tum to jhutla chukayabb anqareeb iss ki saza tumhein chimatjanay waali hogi.

    Surat Ash-Shu 'araAllah ke naam se shuru jo bada meherbaan

    nihayat hi rehem wala hai.01. Tuaa-Seen-Meem02. Yeh aayatein raushan kitab ki hain.03. Unn kay emaan na laanay per shayad aapto apnijaan kho deingay.04. Agar hum chahtay to unn per aasman saykoi aisi nishaani utaartay kay jiss kaysaanmay unn ki gardaneien kham ho jatein.05. AUf inn kay pass rehman ki taraf say jobhi naee naseehat aaee yeh uss sayroogardaani kemay waalay bann gaey.

    ~I~I~i~IJl~I.!I'~~~~

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

    7/26

    Surat 26. Ash-Shu'ara / Part 19 1416106. Inn loagoan nay jhutlaya hai abb inn kaypass jaldi say uss ki khabrein aajyen gi jisskay saath woh maskhara pann ker rahay hain.07. Kya enhoan nay zameen per nazareinnahi daaleen? Kay hum nay uss mein hertarah kay nafees joday kiss qadar ugaey hain?OS.Bay-shak uss mein yaqeenan nishani haiaur unn mein kay aksar loag momin nahihain.09. AUf tera rabb yaqeenan wohi ghalib aurmeharbaan hai.10. AUfjabb aap kay rabb nay Musa (alaih-e-salaam) ko aawaz di kay tu zaalim qaum kaypassjaa.11. Qaum-e-Firaun kay pass kya wohperhezgaari na kereingay.12. Musa (alaih-e-salaam) nay kaha merayperwerdigaar! Mujhay to khauf hai kaykaheen woh mujhayjhutla (na) dein.13. AUf mera seena tang horaha hai merizaban chal nahi rahi pas tu Haroon ki tarafbhi (wahee) bhej.14. AUfunn ka meray aik qasoor ka (dawa)bhi hai mujhay darr hai kay kaheen wohmujhay maar na dalein.15. Janaab-e-Baari nay farrnaya! Hergiz aisana hoga tum doanoan humari nishaniyan layker jao hum khud sunnay waalay tumharaysaath hain.16. Tum doanoan firaun kay pass ja ker kahokay bila shuba hum rabb-ul-Aalamaeen kaybhejay huay hain.17. Kay tu humaray saath bani israeel korawana ker day.IS. Fairaun nay kaha kya hum nay tujhayteray bachpan kay zamaanay mein apnayhaan nahi paala tha? AUf tu nay apni umarkay bahoat say saal hum mein nahi guzaray?19. Phir tu apna woh kaam ker gaya jo kergaya aur tu na shukroan mein hai.

    ~~l~~~~~~~O(i",~~,!~

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

    8/26

    Surat 26. Ash-Shu'ara / Part 19 1417120. (hazrat) Musa (alaih-e-salaam) nayjawaab diya kay mein nay uss kaam ko usswaqt kiya tha jabkay mein raah bhoolay huayloagoan mein say tha.21. Phir tum say khauf kha ker mein tummein say bhaag gaya phir mujhay meray rabbnay hukm-o-ilm atta farmaya aur mujhayapnay payghumbaroan mein say ker diya.22. Mujh per tera kiya yehi woh ehsaan hai?Jissay tu jaata raha hai kay tu nay bani israeelko ghulaam bana rakha hai.(201)23. Firaun nay kaha rabb-ul-Aalameen kyacheez hai?24. (hazrat) Musa (alaih-e-salaam) nayfarmaya woh aasamanoan aur zameen aurunn kay darmiyaan ki tamaam cheezoan karabb hai agar tum yaqeen rakhnay waalay ho.25. Firaun nay apnay ird-gird waaloan saykaha kay kya tum sunn nahi rahay?26. (hazrat) Musa (alaih-e-salaam) nayfarmaya woh tumhara aur tumharay aglaybaap daadoan ka perwerdigaar hai.27. Firaun nay kaha (loago!) tumhara yehrasool jo tumhari taraf bheja gaya hai yeh toyaqeenan deewana hai.28. (hazrat) Musa (alaih-e-salaam) nayfarmaya! Wohi mashriq-o-maghrib ka aurunn kay darmiyaan ki tamaam cheezoan karabb hai agar tum aqal rakhtay ho.29. Firaun kehnay laga sunn lay! Agar tu naymeray siwa kissi aur ko mabood banaya tumein tujhay qaidiyoan mein daal doonga.30. Musa (alaih-e-salaam) nay kaha agar chemein teray pass koi khulli cheez lay aaun?31. Firaun nay kaha agar tum sachchon meinsay hai to issay pesh ker.32. Aap nay (ussi waqt) apni laathi daal di joachaanak khullam khulla (zabardast) azdahabann gaee.33. AUf apna haath khench nikala to woh bhiussi waqt her dekbnay waalay ko safaid

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

    9/26

    Surat 26. Ash-Shu'ara / Part 19 14181chamkeela nazar aanay laga.34. Firaun apnay aas pass kay sardaroan saykehnay laga bhaee yeh to koi bada daanajadoogar hai.35. Yeh to chahatta hai kay apnay jadoo kayzor say tumhein tumhari sarzameen saynikaal day battao abb tum kya hukm daytayho.36. Unn sab nay kaha aap issay aur iss kaybhai ko mohlat dijiye aur tamaam shehroanmein harkaaray bhej dijiye.37. Jo aap kay pass zee ilm jadoogaroan kolayaaeyn.38. Phir aik muqarrara din kay waaday pertamaamjadoogar jama kiye gaey.39. AUf aam loagoan say bhi kah diya gayakay tum bhi majmay mein haazir hojao gay?40. Takay agar jadoogar ghalib aajaeyn tohum unhi ki pairwee kerein.41. Jadoogar aakar firaun say kehnay lagaykay agar hum jeet gaey to humein kuchchinaam bhi milay ga?42. Firaun nay kaha haan! (badi kbushi say)bulkay aisi soorat mein tum meray khasdarbari baunjaogay.43. (hazrat) Musa (alaih-e-salaam) nayjadoogaroan say farmaya jo kuchh tumheindaalna hai daal do.44. Unhoan nay apni rassiyaan aur laathiyaandaal deen aur kehnay lagay izzate firaun kiqasam! Hum yaqeenan ghaalib hi raheingay.45. Abb (hazrat) Musa (alaih-e-salaam) naybhi apni laathi maidaan mein daal di jiss nayussi waqt unn kay jhoot moot kay kartab konigalna ShUfOOer diya.46. Yeh dekbtay hi jadoogar bay ikhtiyaarsajdaymein girgaey.47. AUfunhoan nay saafkah diya kay hum toAllah rabb-ul-Aalameen per emaan laey.

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

    10/26

    Surat 26. Ash-Shu'ara / Part 19 1419148. Yani Musa (alaih-e-salaam) aur Haroonkay rabb per.49. Firaun nay kaha kay meri ijaazat saypablay tum iss per emaan lay aaey?Yaqeenan yehi tumhara woh bada (sardaar)hai jiss nay tum sab ko jadoo sikhaaya hai sotumhein abhi abhi maloom ho jaey ga qasamhai mein abhi tumhaaray haath paon ultaytaur per kaat doon ga aur tum sab ko sooli perlatka doon gao(202)50. Unhoan nay kaha koi haraj nabi hum toapnay rabb ki taraf lautnay waalay hain hi.51. Iss bina per kay hum sab say pahlayemaan waalay banay hain humein umeedpadti hai kay humara rabb humari sabkhattaeyn muaaf farma day gao52. AUf hum nay Musa ko wahee ki kayraaton raat meray bandon ko nikal ley chaltum sab peecha kiye jao gay.53. Firaun nay shehroan mein harkaaroan kobhej diya.54. Kay yaqeenan yeh giroh baboat hi kumtadaad mein hai.55. AUf iss per yeh humein sakht gazaab-naak ker rabay hain.56. AUfyaqeenan hum badi jamaat hain innsay chokanna rehnay waalay.57. Bil-aakhir hum nay unhein baghaat sayaur chashmoan say.58. AUfkhazanoan say. AUfachchay achchaymuqamaat say nikaal babir kiya.59. Issi tarab hua aur hum nay unn (tamaam)cheezoan ka waris bani israeel ko bana diya.60. Pas fiaroni sooraj nikaltay hi unn kaytaaqqub mein niklay.61. Pas jab dono nay aik doosray ko dekhliya to Musa kay saathiyoan nay kaba hum toyaqeenan paakad liye gaey.62. Musa nay kaha hergiz nahi. Yaqeenmaano mera rabb meray saath hai jo zaroormujhay raah dikhaeyga.63. Hum nay Musa ki taraf wahee bheji kaydarya per apni laathi maar pas ussi waqt

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

    11/26

    Surat 26. Ash-Shu'ara / Part 19 14201darya phat gaya aur her aik hissa paani kamisl baday pahaad kay hogaya.

    64. AUf hum nay ussi jagah doosron konazdeek laa khada kardiya.65. AUf Musa (alaih-e-salaam) ko aur uss kaytamaam saathiyoan ko neijat day di.66. Phir aur sab doosroan ko dubo diya. (203)67. Yaqeenan iss mein badi ibrat hai aur unnmein kay aksar loag emaan waalay nahi.

    68. AUf be-shak aap ka rabb bara hi ghalibaur meharbaan hai.69. Unhein Ibraheem (alaih-e-salaam) kawaaqeya bhi suna do.70. Jabkay unhoan nay apnay baap aur apniqaum say farmaya kay tum kiss ki ibaadatkertay ho?71. Unhoan nay jawaab diya kay ibaadatkertay hain butoan ki hum to baraabar unnkay mujaawar bann baithay hain.72. Aap nay farmaya jab tum unheinpukaartay ho to kya woh suntay bhi hain?73. Ya tumhein nafa nuksaan bhi pahonchasaktay hain.74. Unhoan nay kaha yeh (hum kuchh nahijaantay) hum nay to apnay baap dadoan koissi tarah kertay paaya.75. Aap nay farmaya kuchh khabar bhi haijinhein tum pooj rahay ho?76. Tum aur tumharay aglay baap dada wohsab meray dushman hain.77. Ba-juz sachchay Allah Taalaa kay jotamaam jahaan ka palanhaar hai.78. Jiss nay mujhay paida kiya hai aur wohimeri rahbari farmatta hai.79. Wohi hai jo mujhay khilatta pilaata hai.80. AUfjab mein beemar pad jaun to mujhayshifa ataa farmaata hai.81. AUf wohi mujhay maar daalay ga phirzinda ker day gao

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

    12/26

    Surat 26.Ash-Shu'ara / Part 19 1421182. AUf jiss say umeed bandhi hui hai kaywoh roz-e-jaza mein meray gunahoan kobakhsh day gao83. Aey meray rabbi Mujhay quvwat-e-faislaataa farma aur mujhay nek loagoan mein miladay.84. AUf mera zikr-e-khair pichblay loagoanmein bhi baaqi rakh.

    85. Mujhay nematoan waali jannat kaywarisoan mein say bana day.86. AUf meray baap ko bakhsh day yaqeenanwoh gumrahoan mein say tha.87. AUf jiss din kay loag doobaara jilaeyjaeyn mujhay ruswa na ker.88. Jiss din kay maal aur aulaad kuchh kaamna aaey gi.89. Laikin faaeday waala wohi hoga jo AllahTaalaa kay saanmay bay aib dillay ker jaey.90. AUf perhezgaroan kay liye jannat bilkulnazdeek laa di jaeygi.91. AUf gumrah loagoan kay liye jahannumzahir ker di jaeygi.92. AUf unn say poochha jaeyga kay jin kitum pooja kertay rahay woh kahaan hain?93. Jo Allah Taalaa kay siwa thay kya wohtumhari madad kertay hain? Ya koi badla laysaktay hain.94. Pas woh sab aur kul gumrah loagjahannum mein aundhay munh daal diayjaeyngay.95. AUf iblees kay tamaam kay tamaamlashkar bhi wahaan.96. Aapas mein ladtay jhagadtay huaykaheingay.97. K qasam Allah ki! Yaqeenan hum tokhulli ghalati per tbay.98. Jabkay tumhein rabb-ul-Aalameen kaybarabbar samajh baitbay thay.99. AUf humein to siwa inn badkaaroan kaykissi aur nay gumrah nahi kiya tba.100. Abb to humara koi sifaarshi bhi nahi.

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

    13/26

    Surat 26. Ash-Shu'ara / Part 19 14221101. AUf na koi (sachcha) ghamkhuwar dost.102. Agar kaash k humein aik martaba phirjaana milta to hum paakkay sachchay mominbannjaatay.103. Yeh maajra yaqeena aik badi zabardastnishaani hai unn mein say aksar loag emaanlaanay waalay nahi.104. Yaqeenan aap ka perwerdigaar highaalib meharbaan hai.105. Qaum-e-Nooh nay bhi nabiyoan kojhutlaya.106. Jabkay unn kay bhai Nooh (alaih-e-salaam) nay kaha k kya tumhein Allah kakhauf nahil.107. Sunol Mein tumhari taraf Allah kaamaanatdaar rasool hoon.108. Pas tumhein Allah say dama chahiay aurmeri baat maanni chahaye.109. Mein tum say iss per koi ajar nahichahta mera badla to sirf rabb-ul-Aalameenkay haan hai.110. Pas tum Allah ka khauf rakho aur merifarmanbardari karo.111. Qaum nay jawaab diya k kya hum tujhper emaan laaein! Teri taabaydaari to razeelloagoan nay ki hai.112. Aap nay farmaya! Mujhay kya khabarkay woh pahlay kya kertay rahay?113. Unn ka hisab to meray rabb kay zimmayhai agar tumhein shaoor ho to.114. Mein emaan waaloan ko dhakkaydaynay waala nahi.115. Mein to saaf taur per dara daynay waalahoon.116. Unhoan nay kaha aey Nooh! Agar tubaaz na aaya to yaqeenan tujhay sangsaarkardiya jaayga.117. Aap nay kaha aey meray perwerdigaar!Meri qaum nay mujhay jhutla diya.118. Pas tu mujh mein aur inn mein koiqattaee faisla ker day (204) aur mujhay aurmeray baa-emaan saathiyoan ko neijat day.

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

    14/26

    Surat 26. Ash-Shu'ara / Part 19 14231119. Chunacha hum nay ussay aur uss kaysaathiyoan ko bhari hui kashti mein (sawaarkera ker) nejat day di.120. Bad-azaan baqi kay tamaam loagoan kohum nay dubo diya.121. Yaqeenan iss mein bahoat badi ibrat hai.Unn mein say aksar loag emaan laanaywaalay thay bhi nahi.122. Aur bay-shak aap ka perwerdigar albattawohi hai zabardast reham kemay waala.123. Aadiyoan nay bhi rasooloan ko jhutlaya.124. Jabkay unn say unn kay bhai Hood naykaha kay kya tum dartay nahi?125. Mein tumhara amaanatdaar payghambarhoon.126. Pas Allah say daro aur mera kahamaano!127. Mein iss per tum say koi ujrat talab nahikerta mera sawaab to tamaam jahaan kayperwerdigaar kay pass hi hai.128. Kya tum aik aik teelay per bataur kheltamasha yaadgar (emaarat) bana rahay ho.129. Aur badi san'at waalay (mazboot mahaltameer) ker rahay ho goya k tum hameshayaheen rahogay.130. Aur jab kissi per haath daaltay ho tosakhti aur zulm say paakadtay ho.131. Allah say daro aur meri pairwee karo.132. Uss say daro jiss nay unn cheezoan saytumhari imdad kijinhein tumjaantay ho.133. Uss nay tumahri madad ki maal say auraulaad say.134. Baghaat say aur chashmoan say.135. Mujhay to tumhari nisbat baday din kayazaab ka andesha hai.136. Unhon nay kaha kay aap waaz kahein yawaaz kehnay waloan mein na hoan hum peryaksaan hai.137. Yeh to bus puraanay loagoan ki aadathai. (205)

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

    15/26

    Surat 26. Ash-Shu'ara / Part 19 14241138. Aur hum hergiz azaab nahi diyejaeyngay.139. Chunkay Aadiyoan nay hazrat Hood kojhutlaya iss liye hum nay unhein tabaah kerdiya yaqeenan iss mein nishani hai aur unnmein say aksar bay emaan thay.140. Bay-shak aap ka rabb wohi hai ghaalibmeharbaan.141. Samoodiyoan nay bhi payghambaroanko jhutlaya.142. Unn kay bhai Saleh nay unn sayfarmaya k kya tum Allah say nahi dartay?143. Mein tumhari taraf Allah kaamaanatdaar payghambar hoon.144. To tum Allah say daro aur mera kahamaano.145. Mein iss per tum say koi ujrat nahimaangta meri ujrat to bus perwerdigaar-e-aalam per hi hai.146. Kya unn cheezoan mein jo yahaan haintum aman kay saath chhoad diayjaogay.147. Yaani unn baghoan aur unn chashmoan.148. Aur unn khetoan aur inn khajooroan kaybaghoan mein jin kay shagoofay naram-o-nazuk hain.149. Aur tum pahaadoan ko taraash taraashker pur takalluf makaanat bana rahay ho.150. Pas Allah say daro aur meri ita'at karo.151. Bay baak hadd say guzar jaanaywaaloan ki ita'at say baaz aajao.152. Jo mulk mein fasaad phaila rahay hainaur islah nahi kertay.153. Woh bolay kay bus tu unn mein say haijin per jadoo ker diya gaya hai.154. Tu to hum jaisa insaan hai. Agar tusachchoan say hai to koi moajza lay aa.155. Aap nay farmaya yeh hai oontni paanipeenay ki aik baari iss ki aur aik muqarrar dinki baari paani peenay ki tumhari.

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

    16/26

    Surat 26. Ash-Shu'ara / Part 19 14251156. (khabardaar!) issay buraee say hath nalagana wema aik baday bhaari din ka azaabtumhari giraft ker lay gao157. Phir bhi unhoan nay uss ki kooncheinkaat daalein bus woh pashaymaan hogaye.158. Aur azaab nay unhein aa dabocha. Bay-shak iss mein ibrat hai. Aur unn mein sayaksar loag momin na thay.159. Aur bay-shak aap ka rabb badazabardast aur meharbaan hai.160. Qaum-e-loot nay bhi nabiyoan kojhutlaaya.161. Unn say unn kay bhai Loot (alaih-e-salaam) nay kaha kiya tum Allah ka khaufnahi rakhtay?162. Mein tumhari taraf amaanatdaar rasoolhoon.163. Pas tum Allah Taalaa say daro aur meriita'at karo.164. Mein tum say iss per koi badla nahimaangta mera ajar to sirf Allah Taalaa perhaijo tamaamjahaan ka rabb hai.165. Kya tamaam jahaan waloan mein saymardoan kay saath shehwatraani kertay ho.166. Aur tumahri jin aurtoan ko Allah Taalaanay tumhara joda banaya hai unn ko chhoaddaytay ho bulkay tum ho hi hadd say guzarjaanay waalay.167. Unhoan nay jawaab diya kay aey Loot!Agar tu baaz na aaya to yaqeenan nikaal diyajaeyga.168. Aap nay farmaya mein tumharay kaamsay sakht naa khush hoon.169. Meray perwerdigaar! Mujhay aur merayghaaranay ko uss (wabaal) say bacha lay joyeh kertay hain.170. Pas hum nay usay aur uss kaymutalaqqeen ko sab ko bacha liya.171. Ba-juz aik budhiya kay k woh peechhayreh jaanay waloan mein ho gaee.172. Phir hum nay baaqi aur sab ko halaakker diya.

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

    17/26

    Surat 26. Ash-Shu'ara / Part 19 14261173. Aur hum nay unn per aik khas qisam kamenh barsaaya pas bahoat hi bura menh thajo daraey gaey loagoan per barsa.174. Yeh majra bhi saraasar ibrat hai. Unnmein saybhi aksat Musalmaan na thay.175. Bay-shak tera perwerdigaar wohi haighalbay waala meharbaani waala.176. Aeeka waloan nay bhi rasoolon kojhutlaya.177. Jabkay unn say shoaib (alaih-e-salaam)nay kaha kay kiya tumhein darr khauf nahi?178. Mein tumhari taraf amaanatdaar rasoolhoon.179. Allah ka khauf khao aur merifarmaanbardaari karo.180. Mein iss per tum say koi ujrat nahichahta mera ajar tamaam jahaanoan kaypaalnay waalay kay pass hai.181. Naap poora bhara karo kum daynaywaaloan mein shamooliyat na karo.182. Aur seedhi sahih tarazoo say tola karo.183. Loagoan ko unn ki cheezein kami say nado bay baaki kay saath zameen mein fasaadmachatay na phiro.184. Uss Allah ka khauf rakho jiss nay khudtumhein aur agli makhlooq ko paida kiya hai.185. Unhoan nay kaha tu to unn mein say haijin per jadoo ker diya jaata hai.186. Aur tu to hum hi jaisa aik insaan hai aurhum to tujhay jhoot bolnay waaloan mein sayhi samajhtay hain.187. Agar tu sachchay loagoan mein say haito hum per aasamaan kay tukday gira day.188. Kaha kay mera rabb khoob jaannaywaala hai jo kuchh tum ker rahay ho.189. Chunkay unhoan nay ussay jhutlaaya tounhein saaibaan waalay din kay azaab nay

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

    18/26

    Surat 26. Ash-Shu'ara / Part 19 14271paakad liya. Woh baday bhaari din ka azaabtha.190. Yaqeenan uss mein badi nishani hai aurunn mein kay aksar Musalmaan na thay.

    191. Aur yaqeenan tera perwerdigaar albattawohi hai ghalbay waala merharbaani waala.192. Aur bay-shak-o-shuba yeh (quran) rabb-ul-aalameen ka nazil farmaya hua hai.193. Issay amaanatdaar farishta lay ker aayahai.194. Aap kay dil per utra hai kay aap aagahker daynay waaloan mein say ho jaeyn.195. Saaf arabbi zabaan mein.196. Aglay nabiyoan ki kitaboan mein bhi issquran ka tazkarah hai.197. Kya enhein yeh nishani kaafi nahi khaqqaniyat-e-quran koto bani-israeel kayulamaa bhi jaantay hain.198. Aur agar hum isay kissi ajami shaks pernazil farmaatay.199. Pas woh unn kay sanmay iss ki tilaawatkerta to yeh ussay bawar kemay waalay nahotay.200. Issi tarah hum nay gunehgaroan kaydiloan mein iss inkaar ko daakhil ker diyahai.201. Woh jab tak dard-naak azaaboan komulahiza na kerlein emaan na laeyngay.

    202. Pas woh azaab unn ko na gahaanaajaeyga unhein uss ka shaoor bhi na hoga.203. Uss waqt kaheingay kya humein kuchhmohlat dijaeygi?204. Pas kya yeh humaaray azaab ki jaldimacha rahay hain?205. Achcha yeh bhi battao k agar hum nayenhein kaee saal bhi faaeda uthanay diya.206. Phir enhein woh azaab aa laga jin sayyeh dhamkaey jaatay thay.207. To jo kuchh bhi yeh barattay rahay ussmein say kuchh bhi faaeda na pahonchasakay gao

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

    19/26

    Surat 26. Ash-Shu'ara / Part 19 14281208. Hum nay kisi basti ko halaak nahi kiyahai magar issi haal mein kay uss kay liyedaraanay waalay thay.209. Naseehat kay taur per aur hum zulmkemay waalay nahi hain.210. Iss quran ko shaitaan nahi laey.211. Aur na woh iss qaabil hain na unhein isski taaqat hai.212. Bulkay woh to sunnay say bhi mahroonker diye gaey hain.213. Pas tu Allah kay saath kissi aur maboodko na pukar k tu bhi saza paanay waaloanmein say ho jaey.214. Apnay qareebi rishtay waloan ko daraaday.215. Uss kay saath farotani say pesh aajo bhiemaan laanay waala ho ker teri taabay daarikeray.216. Agar yeh loag teri naa farmani kerein totu elaan ker dey k mein unn kamoan saybayzaar hoonjo tum ker rahay ho.217. Apna poora bharosa ghaalib meharbaanAllah per rakh.218. Jo tujhay dekhta rahta hai jabkay tukhada hota hai. (206)219. Aur sajda kemay waloan kay darmiyaantera ghoonma phima bhi.220. Woh bada hi sunnay waala aur khoobjannay waala hai.221. Kiya mein tumhein battaun k shaitaankiss per utartay hain.222. Woh her aik jhootay gunehgaar perutartay hain.223. (uchat'ti) hui suni sunaee pahonchadaytay hain aur unn mein say aksar jhootayhain.224. Shaaeroan ki pairwee woh kertay hain jobahekay huay hoan.225. Kya aap nay nahi dekha kay shaaer aikaik bayabaan mein sar takraatay phirtay hain.

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

    20/26

    Surat 27. An-Naml / Part 19226. Aur woh kahtay hain jo kertay nahi. (207)227. Siwaey uno kay jo emaan laaey aur nekamal kiay aur ba-kasrat Allah Taalaa ka zikrkiya aur apni mazloomi kay baad intiqaamliya jinhoan nay zulm kiya hai woh bhi abhijaan leingay k kiss kerwat ulat'tay hain. (208)

    Surat An-Naml

    Allah ke naam se shuru jo bada meherbaannihayat hi rehem wala hai.

    01. Tua-Seen yeh aayatein hain quran ki(yani waazeh) aur raushan kitab ki.02. Hidayat aur khushkhabri emaan waaloankay liye.03. Jo namaz qaaem kertay hain aur zakaatada kertay hain aur aakhirat per yaqeenrakhtay hain.04. Jo loag qayaamat per emaan nahi laatayhum nay unhein uno kay kartoot zeenatdaarker dikhaey hain pas woh bhattaktay phirtayhain.05. Yehi loag hain jin kay liay bura azaab haiaur aakhirat mein bhi woh sakht nuksaanyaafta hain.06. Bay-shak aap ko Allah hakeem-o-aleemki taraf say quran sikhayaja raha hai.07. (yaad hoga) jab Musa (alaih-e-salaam)nay apnay ghar waloan say kaha mein nayaag dekhi hai mein wahaan say ya to koikhabar lay ker ya aag ka koi sulagta huaangara lay ker abhi tumharay paas aajaungataakay tum senk taap kerlo.08. Jab wahaan pahonchay to aawaz di gaeekay baa-barkat hai woh jo iss aag mein haiaur barkat diya gaya hai woh jo uss kay aas

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

    21/26

    Surat 27. An-Naml / Part 19pass hai aur paak hai Allah jo tamaamjahanoan ka paalnay waala hai.09. Musa! Sunn baat yeh hai kay mein hiAllah hoon ghaalib baa-hikmat.10. Tu apni laathi daal day Musa nay jabussay hilta julta dekha iss tarah kay goya wohaik saanp hai to munh moday huay peethpher ker bhaagay aur palat ker bhi na dekhaaey Musa! Khauf na kha meray huzoor meinpayghamber dara nahi kertay.

    11. Lekin jo loag zulm kerein phir uss kayewaz neki kerein uss buraee kay peechhay tomein bhi bakshnay waala meharbaan hoon.12. Aur apna haath apnay girbaan mein daalwoh safaid chamkeela hoker niklay gabaghair kissi aib kay tu nau nishaaniyaan layker firaun aur uss ki qaum ki taraf jaayaqeenan woh bad-kaaroan ka giroh hai.13. Pas jab unn kay pass aankhein kholdaynay waalay humaray moajzzaypahonchay to woh kahnay lagay yeh tosareeh jadoo hai.14. Unhoan nay inkaar ker diya halaankayunn kay dil yaqeen ker chukay thay sirf zulmaur takabbur ki bina per. Pas dekh lijiye k innfitnaperdaaz loagoan ka anjaam kaisa kuchhhua.15. Aur hum nay yaqeenan Dawood aurSuleman ko ilm day rakha tha aur donoannay kaha tareef uss Allah kay laye hai jissnay humein apnay bahoat say emaandaarbandoan per fazeelat ataa farmaee hai.16. Aur Dawood kay waris Suleman huay aurkahnay lagay loago! Humein perindoan kiboli sikhaee gaee hai aur her cheez inayat kegaey hain. Bay-shak yeh bilkul khula huafazal-e-elahee hai.

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

    22/26

    Surat 27. An-Naml / Part 1917. Suleman kay saamnay uno kay tamaamlashkar jinoaat aur insaan aur perind mein sayjama kiye gaey (her her qisam ki) alag alagdarja bandi kerdi gaee.18. Jab woh chewntiyoan kay maidaan meinpahonchay to aik chewnti nay kaha aeychewuntiyon! Apnay apnay gharoan meinghus jao aisa na ho k bay khabri meinSuleman aur uss ka lashkar tumhein raunddalay.19. Uss ki iss baat per Suleman muskura kerhans diay aur dua kemay lagay kay aeyperwerdigaar! Tu mujhay taufiq day kaymein teri uno nematoan ka shukr baja laaunjo tu nay mujh per inam ki hain aur meraymaan baap per aur mein aisay nek amal kertarahoon jin say tu khush rahay mujhay apnirehmat say nek bandoan mein shaamil kerlay.20. Aap nay paerindoan ka jaeza liya aurfarmaanay lagay yeh kya baat hai kay meinhud hud ko nahi dekhta? Kya waqaee wohghair haazir hai?21. Yaqeenan mein ussay sakht saza doongaya usay zibah ker daloon ga ya meraysaamnay koi sareeh daleel bayaan keray.22. Kuchh ziyada dare na guzri thi kay aakeruss nay kaha mein aik aisi cheez ki khabarlaya hun kay tujhay uss ki khabar hi nahimein Saba ki aik sachchi khabar teray passlaaya hoon.23. Mein nay dekha kay unn ki baadshahataik aurat ker rahi hai jisay her qisam ki cheezsay kuchh na kuchh diya gaya hai aur uss katakht bhi badi azmat waala hai.24. Mein nay ussay aur uss ki qaum ko AllahTaalaa ko chhoad ker suraj ko sajda kertayhuay paya shaitaan nay uno kay kaam unheinbhalay ker kay dikhla ker sahih raah say rokdiya hai pas woh hidayat per nahi aattay.

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

    23/26

    Surat 27. An-Naml / Part 19

    25. K ussi Allah kay liye sajday kerein joaasmanoan aur zameenoan ki posheedacheezoan ko bahir nikalatta hai aur jo kuchhtum chhupaatay ho aur zaahir kertay ho wohsab kuchh jaanta hai.26. Uss kay siwa koi mabood bar-haq nahiwohi azmat waalay arsh ka maalik hai. (Sajda)

    27. Suleman nay kaha abb hum dekheingaykay tu nay sach kaha hai ya tu jhoota hai.28. Meray iss khat ko lay ja ker unhein dayday phir uno kay pass say hut aa aur dekh kwoh kya jawaab daytay hain.29. Woh kahnay lagi aey sardaaro! Meri tarafaik ba-waqa'at khat daala gaya hai.30. Jo Suleman ki taraf say hai aur jobakhsish kamay waalay meharbaan Allah kaynaam say ShUfOOhai.31. Yeh kay tum meray samney sirkashi nakero aur musalman bann ker meray passaajao.32. Uss nay kaha aey meray sardaaro! Tummeray iss muamlay mein mujhay mashwarado. Mein kissi amar ka qattaee faisla jab taktumhari maujoodgi aur raey na ho nahi kiyakerti.33. Uno sab nay jawaab diya k hum taqat aurquvwat waalay sakht bhidnay waalay hain.Aagay aap ko ikhtiyar hai aap khud hi sochlijiye k humein aap kya kuchh hukm farmaatihain.34. Uss nay kaha baadshah jab kissi bastimein ghustay hain to ussay ujaad daytay hainaur wahaan kay baa-izzat loagoan ko zaleelker daytay hain. AUf yeh loag bhi aisa hikareingay.

    t: ~~ I Y l O;i'fljtjl ~ ~(ie~~J:.I~~(i~

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

    24/26

    Surat 27. An-Naml / Part 1935. Mein unhein aik hadiya bhejnay waalihoon phir dekh loon gi kay qasid kya jawaablay ker laut'tay hain.36. Pas jab qasid hazrat Suleman kay passphoncha to aap nay farmaya kya tum maalsay mujhay madad dayna chahtay ho?Mujhay to meray rabb nay iss say bahoatbehtar day rakha hai jo uss nay tumhein diyahai pas tum hi apnay tohfay say khush raho.37. Jaa uno ki taraf wapes laut jaa hum uno(kay muqaablay) per woh lashkar laaengayjin kay saamnay padnay ki uno mein taaqatnahi aur hum unhein zaleel-o-past ker kaywahaan say nikal baher kareingay.38. Aap nay farmaya aey sardaro! Tum meinkoi hai jo uno kay Musalmaan ho kerpahonchnay say pahlay hi uss ka takhtmujhay laa day.39. Aik qavi haikal jinn kahnay laga aap apnimajlis say uthein uss say pahlay mein ussayaap kay pass laa dayta hoon yaqeen maaniyekay mein iss per qaadir hoon aur hun bhiamaanatdaar.40. Jiss kay pass kitab ka ilm tha woh bolutha kay aap palak jhapkaeyn uss say bhipahlay mein usay aap kay pass pahonchasakta hoon. Jab aap nay ussay apnay passmaujood paaya to farmanay lagay yahi merayrabb ka fazal hai taakay woh mujhayaazmaey k mein shukrguzari kerta hoon aurjo na shukri keray to mera perwerdigaar (bayperwa aur buzrug) ghani aur kareem hai.41. Hukm diya k iss kay takht mein kuchhpher badal kerdo taakay maloom hojaey kyeh raah paa layti hai ya uno mein say hotihaijo raah nahi paatay.42. Phir jab woh aagaee to uss say kaha(daryaft kiya) gaya kay aisa hi tera (bhi) takhthai? Uss nay jawaab diya kay yeh goya wohi

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

    25/26

    Surat 27. An-Naml / Part 19hai humein iss say pahlay hi ilm diya gayatha aur hum Musalmaan thay.43. Usay unhoan nay rok rakha thajin ki wohAllah kay siwa perastish kerti rahi thiyaqeenan woh kaafir loagoan mein say thi.44. Uss say kaha gaya k mahal mein chalijaojisay dekh ker yeh samajh ker kay yeh hauzhai uss nay apni pindliyaan khol deinfarmaya yeh to sheeshay say mandhi huiemaarat hai kahnay lagi aey merayperwerdigaar! Mein nay apnay aap per zulmkiya. Abb mein Suleman kay saath (209) Allahrabb-ul-Aalameen ki mootiy aurfarmaanbardaar banti hoon.45. Yaqeenan hum nay Samood ki taraf unokay bhai Saleh ko bheja k tum sab Allah kiibadat karo phir bhi woh do fareeq bann keraapas mein ladnayjhagadnay lagay.46. Aap nay farmaya aey meri qaum kayloago! Tum neki say pahlay buraee ki jaldikyoan macha rahay ho? Tum Allah Taalaasay istaghfaar kyoan nahi kertay taakay tumper reham kiyajaey. (210)47. Woh kahnay lagay hum to teri aur teraysaathiyoan ki bad-shagooni lay rahay hain?Aap nay farmaya tumhari bad-shagooni Allahkay haan hai bulkay tum fitnay mein padayhuay loag ho.48. Uss shehar mein nau sardar thay jozameen mein fasaad phailattay rahtay thayaur islaah nahi kertay thay.49. Unhoan nay aapas mein badi qasmein khakha ker ehad kiya k raat hi ko Saleh aur usskay ghar waaloan per hum chhaapamaareingay aur uss kay warisoan say saafkah deingay kay hum uss kay ahal ki halaakatkay waqt maujood na thay aur hum bilkulsachchay hain.

  • 8/6/2019 Holy Quran in Roman Urdu - 19 Parah

    26/26

    Surat 27. An-Naml / Part 1950. Unhoan nay makar (khufiya tadbeer) kiaur hum nay bhi aur woh ussay samajhtay hina thay.51. (abb) dekh lay unn kay makar ka anjaamkaisa kuchh hua? Kay hum nay unn ko auruno ki qaum ko sab ko ghaarat ker diya.52. Yeh hain uno kay makanaat jo uno kayzulm ki wajah say ujday paday hain jo loagilm rakhtay hain uno kay liye uss mein badinishaani hai.53. Hum nay uno ko jo emaan laey thay aurperhezgaar thay baal baal bacha liya.54. Aur Loot ka (zikar ker) jabkay uss nayapni qaum say kaha kay kya bawajooddekhnay bhaalnay kay phir bhi tum bad-kaariker rahay ho?55. Yeh kya baat hai kay tum aurtoan kochhoad ker mardoan kay pass shehwat sayaattay ho? Haq yeh hai kay tum badi hinaadani ker rahay ho.56. Qaum ka jawaab ba-juz iss kahnay kayaur kuchh na tha k aal-e-Loot ko apnayshehar say shahar badar kerdo yeh to badaypaak baaz bann rahay hain.57. Pas hum nay ussay aur uss kay ehal koba-juz uss ki biwi kay sab ko bacha liya usska andaza to baqi rah janay waloan mein humlaga hi chukay thay.58. Aur uno per aik (khas qisam ki) barishbarsa di pas uno dhamkaey huay loagoan perburi barish hui.59. Tu kah day kay tamaam tareef Allah hikay liey hai aur uss kay bar-gazeeda bandoanper salaam hai. Kya Allah Taalaa behtar haiya woh jinhein yeh loag shareek thehra rahayhain.