12
1 ___________

Hamaara deen sirf ek yani islam

Embed Size (px)

DESCRIPTION

Hamaara Deen Sirf Ek Yani Islam

Citation preview

Page 1: Hamaara deen sirf ek yani islam

1

___________

Page 2: Hamaara deen sirf ek yani islam

2

HAMĀRĀ DĪN SIRF EK YA’NI ISLĀM

Allah tā’ā’lā hamārā hākam hai, it ā’at va ‘ibādat sirf usi ka haq hai. Mohammed Rasoolullah (saw), Allah ta’ā’lā aur us ke bandoń ke darmiyān vāsta hai. Jo Rasoolullah (saw) ki itā’at kartā hai voh goyā Allah ta’ā’lā hi ki itā’at kartā hai. Allah ta’ā’lā ne Rasoolullah (saw) ke vāste se jo qānoon hamāre liye bhejā hai us qānoon ko dīn kehte hain aur us dīn kā nām Islam hai. Irshād-e-bāri hai:- “main ne tumhāre liye jis dīn ko pasand kiyā voh Islām hai”.

Razeetu lakumul islaama deena (maida:3)

Allah ta’ā’lā ne apne dīn ka nām Islām rakhā aur us Islām ko apne tamām bandoń par vājib ul amal qarār diyā. Allah ta’ā’lā farmātā hai:- “be shak Allah ta’ā’lā ke nazdīk dīn sirf Islām hai”.

Innad’deena indallahil Islama (aal-e-imraan:19)

Islām ke ‘alāvā ko’i dīn yā qānoon Allah ke bandoń par nāfiz na’hīń ho saktā. Jo log Islām ke ‘alāvā kisi aur dīn yā qānoon ko haq mānte haiń, us par chalte haiń yā us ke mūtlā’shī haiń un ke mūta’al’liq Allah ta’ā’lā farmātā hai:- Kyā in logoń ko Allah ke dīn ke ‘alāvā kisi aur dīn ki talāsh hai hālānke āsmān va zamīn vāley sab tauan va karhan Allah hi ke farmābardār haiń aur usi ki

Afaghaira deenillaahi yabghoona valahoo islama man fis’samavaati valarzi tauav’va karhav’va ilaihi turja’oon. (aal-e-imraan:83)

Page 3: Hamaara deen sirf ek yani islam

3

taraf un sab ko laut kar jāna hai. (aal-e-imraan:83) Jo log Allah ta’ā’lā ke dīn ke ‘alāvah kisi aur qānoon yā zābte ki pairvī karta hai voh ākhirat me’n surkh-roo (successful) na’hīń ho sakta, Allah ta’ā’lā farmātā hai:- Jo shaksh Islām ke ‘alāvah kisi aur dīn kā mutlāshi hogā to voh dīn us se hargis qūbool na’hīń kiyā jāyega aur ākhirat maiń nūqsān ūthā ne vāloń me’n se hogā. (aal-e-imraan:85)

Vamay’yabtaqi ghairal islaami deenan falay’yuqbala minhoo va huva fil aakhirati minalkhaasireen.(aal-e-imraan:85)

Islām ke ma’ne itā’at va farmān bardāri ke haiń. Allah ta’ā’lā kā farmān hai:- Tūmhārā Ilāh sirf ek hai, lihāzā sirf usi ke liye Islām lāyeiń ya’ni sirf usi ki farmā bardāri karo. (haj:34)

Failaa hukum ilaahuv’vaahidun falahoo aslimu (haj:34)

Islām ke ma’nī pairvi kar ne ke bhi hai. Jab ko’ī shaksh Islām qubool kartā hai to goyā voh apne āp ko? Allah ta’ā’lā ke sipūr’d (entrust) kar detā hai, ab voh apnī khāhishāt (wish, desires) par na’hīń chaltā balke us ki tamām harakā’t-o-saka’nāt (gestures, postures movements) Allah ta’ālā ke ishāvah par hotī hai. Voh āzād na’hīń hotā balke ehkām-e-ilāhi kā pāband hotā hai, us kā to phir ye qaul hotā hai:- Meri zindagī aur maut sab Mahyaaya va mamaati lillahi

Page 4: Hamaara deen sirf ek yani islam

4

Allah Rab-ul-‘ālamīn ke liye hai. (anaam:162)

Rabilalameen (anaam:162)

Islām hi hidāyat hai aur islām par chalne hī se hidāyat miltī hai, Allah ta’ā’lā farmāyā hai:- (ai Rasool (saw) agar ye āp se jhag’re to kehdījiye ke main ne aur mere mutaba’yin ne Allah ke liye sar-taslīm kham kar diyā hai aur (ai Rasool (saw) āp ahl-e-kitāb aur nā khūvāndah logoń se poochiye “kyā tum Islām qubool kar te ho? Agar voh Islām qubool kar leiń to hidāyat yāb ho jāyeińge aur agar voh (Islām se) mūnh modeiń to āp kehdijiye ke mujhe to ye hukm milā hai ke main sab se pehle Islām qūbool karooń (aal-e-imraan:20)

Fain haajooka faqul aslamtu vajhiya lillahi va manit’taba’ani va qul’lillazeena ootul kitaaba valum’miy’yeena a aslamtum fain aslamoo faqadihtadav va in tavallav fain’namaa ‘alaikal balaaqu vallahu baseerun bi’ibaad (aal-e-imraan:20)

Islām ek ni’amat hai aur ye ni’amat usi ko miltī hai jis ko Allah ta’ā’lā kī taraf se hidāyat pāne kī taufīq ho. Allah ta’ā’lā irshād farmātā hai:- Jis shaksh ko Allah hidāyat denā chāhtā hai to us ke sīne ko Islām ke liye khol detā hai. (anaam:125) Jis shaksh ke sīne ko Allah

Famay’yuridullahu ay’yahdiyahoo yashrahoo sadrahoo lilislaam (anaam:125) Afaman sharahallahu

Page 5: Hamaara deen sirf ek yani islam

5

islām ke liye khol detā hai to phir voh apne Rab kī taraf se raushinī par hotā hai. (zamar:22)

sadrahu lil islaam fahuva ‘alaanoorim’mir’rab’bihi (zamar:22)

Aayāte bālā se sābit huvā ke islām nor-e-hidāyat hai, ye hidāyat Allah kī taraf se nāzil hotī hai. Insānon ke afkār aur tasav’vūrāt (conceptions,imaginations) kā us me’n ko’ī dakhal na’hīń hotā. Allah ta’ā’lā irshād farmātā hai:- (ai aulade Ādam) jab kabhi mere taraf se tumhāre pās hidāyat āye to jinhoń ne mere hidāyat ki pairvī kī unhaiń na ko’ī khauf hogā aur na voh ghamghīn honge.

Faim’ma ya’tiyan’nakum’min’ni hudan faman tabi’a hudaaya falaa khaufun ‘alaihim valahum yahzanoon. (baqara:38)

(ai Rasool (saw) āp kehdijiye ke Allah kī hidāyat hī dar haqīqat hidāyat hai. (baqara:12)

Qul inna hudallahi huvalhudaa (baqara:12)

Ye hidāyat islām kī soorat me’n nāzil huyī, us ke nāzil hone ke ba’ad ab kisī aur chīz kī pairvī me’n gumrahī ke sivā aur kyā mil saktā hai. Isī liye Allah ta’ā’lā ne sirf apne nāzil kardah qānoon (ya’ni islām) ki pairvī ko farz kar diyā aur doosroń kī pairvī ko harām kardiyā. Irshād-e-bārī hai:- (ai logoń !) jo cheez tumhāre Rab kī taraf se tumhārī taraf nāzil huyī hai (sirf) us kī pairvī karo aur us ke alāvah valiyoń ke pairvī na karo.

Ittabioo maaunzila ilaikum’mir’rabbikum vala tat’tabioo mindoonihee auliyaa. (‘araff:3)

Page 6: Hamaara deen sirf ek yani islam

6

Jo hidāyat Allah ta’ā’lā kī taraf se nāzil hoyī thī Allah ta’ā’lā ne use bhī kāmil kardiyā thā. Allah ta’ā’lā irshād farmātā hai:- Aaj main ne tumhāre liye dīn ko kāmil kar diyā aur tūm par apni ne’amat poori kar di. (maida:3)

Al yauma akmaltu lakum deenakum va atmamtu alaikum ne’mati (maida:3)

Ai īmān vāloń ! is āyat par ghaur kijiye, sonchiye ke āp kā dīn kāmil hai yā na’hīń? Kyā is me’n ko’ī kamī hai, kyā is me’ń koi nūqs hai? Agar is dīn me’ń koi kamī yā nūqs hai to phir dīn kāmil na’hīń ho saktā, yaqīnan is dīn ko āp kāmil hī samajhte hońge, to phir sonchiye ke ye dīn kis din kāmil huvā thā. Āp yahī kaheińge ke ūs din kāmil hūvā thā jis din mazkoorah bālā āyat nāzil hūyī thee. Āp ko ma’loom hogā ke ye āyat Rasoolullah (saw) kī vafāt se taqrīban tīn (three) mahīne pehle nāzil hoyī thī, goyā dīn islām, Rasoolullah (saw) ki hayāt-e-taibā me’ń kāmil hūvā thā. Phir āp sońcheye ke voh kyā chīzeiń theiń jin me’ń ye dīn kāmil hūvā thā. Yaqīnan voh do (2) hī chīzeiń theiń. Ek Qur’ān-e-majīd, doosri hadīs sharīf. Lihazā sābit hūvā ke islām sirf Qur’ān-e-majīd va hadīs ke andar mahfooz hai. Doosre lafzoń me’ń ye kehīye ke islām, Qur’ān va hadīs kā nām hai. In hī do (2) chīzoń me’ń islām mūkam’mal hūvā thā, tīsrī ko’ī chīz is dīn me’ń na us waqt shāmil thī aur na ab shāmil hosaktī hai. Tīsrī chīz is dīn me’ń isī waqt shāmil hosaktī hai jab ūs dīn ko nāqis mānā jaye lekin ye ‘aqīdah Qur’ān-e-majīd ke khilāf hai lihazā kurf hai. Khūlāsa ye hūvā ke islām kamil dīn hai lihazā ab ūs me’ń na kisī ke ijtemā va qiyās ko dākhil karne kā savāl paidā ho saktā hai aur nā kisī nek kām ko shāmil karne kā jo pehle se is me’ń maujood na ho. Ya’ni islām me’ń rāye aur bid’at-e-hasana kī ko’ī gońjāish na’hīń.

Page 7: Hamaara deen sirf ek yani islam

7

Qāryīn-e-krām, islām ko kāmil mān lene ke ba’ad ab āp zarā apnī hālat kā bhi jā’yezāh lijiye. Kyā āp kā dīn vahī hai jo Rasoolullah (saw) kā thā. Kyā āp kā dīn Qur’ān va hadīs ke andar hī maihfooz va mahsoor hai yā Qur’ān va hadīs ke ‘alāvā bhii ba’z chīzoń ko āp ne dīn shumār kar rakha hai. Agar āp is dīn ko Qur’ān va hadīs ke andar hee mehfooz va mahsoor mānte haiń to phir āp firqoń me’ń kyooń bate huye hain? Sab ka dīn ek kyooń na’hīń hotā? Kya ūs kī ye vaj’h to na’hīń ke āp ne sarchashma hidāyat se āge badh kar kisi aur chīz ko bhī hidāyat samajh rakhā hai? Kyā ye sahīh na’hīń ke ap ne ‘aim’ma aur ulemā ke fatvoń aur ijtehādāt ko bhi dīn samajh rakha hai, yahi na’hīń balke Qur’ān va hadīs ko un kā tābe’ kar diyā hai, kyā Allah ta’ā’lā ke qānoon ko insānoń ke rāye kā tā’be’ kiyā jā saktāhai? Kyā ye kufr na’hīń hai? Kyā āp ne kabhī mazhabi dūnyā kā jā’ezah liyā, ye to zaroor hai ke ba’az firqe ba’az firqoń ko gūmrah samajhte haiń lekin ba’az firqe ai’se bhi haiń jo āpas me’ń ek doosre ko haq par samajhte haiń. Kyā āp ne kabhi sounchā ke in chār yā pānch firqoń ke firqavārāna mazhab me’ń se har ek islām hai yā in firqevārāna mazāhib kā majmoo’a islām hai. Zāhir hai ke doosri bāt kā to āp bade asāni se inkār kar deińge is liye ke us ko mān lene ke ba’ad to kisī maz’hab me’ń bhī poora islām na’hīń hogā. Islām kā ek jūzhī hogā aur ye bāt kisi ko manzoor na’hīń hogī ke voh apne mazhab ko kāmil islām na samjhe. Rahgayī doosrī soorat, ya’ni in me’ń se har ek islām hai, to phir ek aur mushkil pesh ā’yegi. Voh ye ke in firqevārāna mazāhib me’ń behad ikhtelāf hai, halāl va harām ka farq hai. Ek hī chīz ek mazhab me’ń halal hai to doosre me’ń harām hai. Aur āp kehte haiń ke donoń haq par hai, ya’ni donoń firqevārāna mazhab islām hai. Sońchiye kyā har ek ko islām mān’ne ke ba’d natīja ye na’hīń niklegā ke ek islām ke ka’yī islām ban jāyeinge. Kyā

Page 8: Hamaara deen sirf ek yani islam

8

ye mūmkin hai? Kyā ye sahih soorat hai? Hargiz na’hīń, ek nau-muslim is bāt se kitnā pareshān hogā jabke us se ye kahā jā’yegā ke ye tamām mazāhib ek doosre ke mukhālif hote huye bhi islām hain. Agar kisi mazhab me’ń ko’ī chīz halāl hai to voh bhi islām hai, agar doosre mazhab me’ńn vahi chīz harām hai to voh bhi islām hai. Ain che būl’a’jabiat (wonder). Is ke muqābile me’ń agar is nau-muslim se ye kehdiyā jāye ke bas jo kuch Qur’ān va hadīs me’ń hai, voh islām hai. “to ye bāt us ke liye kitnī sūkoon bakhash hogī. Qāre’in-e-krām ghaur kījiye, ākhir in mazāhib ke banāne ke ki kyā zaroorat thī, fatvoń ko dīn me’ń dākhil kar ne kī kyā zaroorat thī, kyā Qur’ān va hadīs me’ń kāmil Islām na’hīń thā. Agar na’hīń thā to ye mānanā padegā ke Rasoolullah (saw) aur sahāba-e-krām (ra) kā islām nāqis thā na’auzubillah minzālik. In fatūvoń ne ek islām ke kayī islām banā diye. In kī vajhe se ūm’mat kayī firqoń me’ń taqsīm hogayī. Allah aur ūs ke Rasoolullah (saw) ne jis bāt kī sakhtī se mūmāni’at ki thī ūm’mat ūs par kārband hogayī, phir jo nukhsān hūvā voh zāhir va bāhar hai. Allah ta’ā’lā irshād farmātā hai:- Allah ki ras’si ko sab mil kar mazbooti se pakadlo aur firqa firqa na bano. (Aal-e-imran:

Va’tasimoo bihablillahi jameeaun valaa tafarraqoo. Aal-e-imran:

Allah ki ras’si yaqīnan Allah ta’ā’lā ki shariat hai jo us ne nāzil farmāyi hai aur jo zāhir hai ke sirf Qur’ān va hadīs ke andar mahfooz hai, lihāzā sirf Qur’ān va hadīs ko dīn mān’ne ke ba’d hi ham sab ek ho sakteiń haiń aur firqabandi se bach sakte haiń.

Page 9: Hamaara deen sirf ek yani islam

9

Ahl-e-kitaab me’ń bhī kayī firqe hogaye the. Allah ta’ālāne mo’minoń ko in ki ravish se hoshiyār kar ke firqabandi ki mūmāni’at farmāyi thī, irshād bāri hai:- (Ai īmān valoń) tūm in logoń ki tarah na hojānā jo firqe firqe hogaye aur vāzeh dalā’il āne ke ba’d bhī apne ikhtelāfāt par jame rahe, aise logoń ke liye ‘azāb-e-‘azīm hai.

Valaa takoonoo kallazeena tafarraqoo vaghtalafoo min ba’di maa jaa ’ahumulbaiy’yeenaatu va ulaa’ika lahum ‘azaabun ‘azeem. (aal-e-imran:105)

Doosri jagah phir Allah ta’ā’lā ne ahl-e-kitāb ki ghalat ra’vish (style behavior) ki vazāhat kar te huye farmāyā:- Ahl-e-kitāb dalīl ājāne ke ba’d bhi mūtafar’riq rahe (ya’ni apne apne mazbah par jame rahe) hālānke inhe ye hūkm diyā gayā thā ke voh Allah ki ‘ibādat kareiń. Dīn ko khālis Allah ke liye mānte hūye sirf Allah akele ke hojā’yeiń. (5 & 4:

Va maa tafarraqallazeena ootul kitaaba illah min ba’di maajaa at’humul bayyina. Va maa umiroo illah liya’budu vallahu mukhliseena lahuddeena hunafaa’a. (

Lekin unhoń ne aisā na’hīń kiyā, ulemā ke fatvoń aur firqavārāna mazāhib ko bhi dīn samajhte rahe. Allah ta’ā’lā ka farmān ma’loom hojāne ke ba’d bhi apne ūlemā ki batoń par jamey rahe, goyā ūnhoń ne ūn ūlemā, ki ‘ibā’dat ki hālānke ūnheiń ye hūkm diyā thā ke sirf Allah Akeley ki ‘ibā’dat kareiń. Qā’raein-e-krām sochiye kyā yahi soorat maujoodah firqoń me’ń na’hīń pāyi jāti? Kyā Qur’ān va hadīs ke thoos dalai

Page 10: Hamaara deen sirf ek yani islam

10

miljāne ke ba’d bhi har firqe ki log apne apne mazhab par jama’ na’hīń rahte? Ghaur kijiye kyā ye fa’l āyat-e-bālā ki roose shirk na’hīń? Kāsh in logoń me’ń ikhtelāf na hotā aur agar hogayā thā to vāzeh dalīl mil jāne ke ba’d use khatm ke dete, kāsh us ikhtelāf ko būnyād banā kar firqe na banāte, ūsool ek hi mānte ya’ni Qur’ān va hadīs hi ko dīn samajhte, jab āyat yā hadīs miljāti to ūs ki raushni me’ń apne āp ko mod letey, āyat yā hadīs ko na modte, apne ikhtelāf ki khātir Qur’ān va hadīs se sarfe nazar nā karte na Qur’ān va hadīs ko apne mazhab ka tābe banāte. Ai kāsh agar aisā hotā to ye firqabandi ki la’nat kabhi mūsal’lat na hoti, Allah ta’ā’lā ka rāsta ek thā hūm sirf usī par chalte to ek rehte. Allah ta’ā’lā farmātā hai:- Ye mera sīdha rāsta hai, is par chalte raho aur (khabardār) doosre rāstoń par na chalnā varna voh tūmheiń Allah ke rāste se bhatka deińge. (an’aam:153)

Va inna haaza siraati mustaqeeman fattabi’oohu valaa tattabi’ussubula fatafarraqa bikum an sabeelihee. (an’aam:153)

Dīn-e-islām par yek-soo hokar qā’m raho. (rom:30)

Fa aqim vaj’haka liddeeni haneefan. (rom:30)

Ya’ni Islām ke ‘alāvah kisi aur dīn ki taraf mūtavaje na ho, tūmhāri tamām tavajje ka markaz sirf Islām ho, ya’ni sirf Qur’ān va hadīs par yak-soo (all together) ho kar ‘amal karo. Firqabandi se bacho. Firqabandi būrī chīz hai. Allah ta’ā’lā farmātā hai:- Jin logoń ne apne dīn ko tūkde tūkde kar dāla aur firqa firqa bangaye (ai Rasool

Innallazina farraqoo deenahum vakaanoo shiya’allasta minhum

Page 11: Hamaara deen sirf ek yani islam

11

(saw) āp ka in se ko’ī ta’lūq na’hīń. (an’aam:159)

fi’sha’in. (anaam:159)

Firqabandi Allah ta’ā’lā ko sakht nā pasand hai aur yaqīnan ūse har shaks nā pasand karegā lekin us ki koi vaja samajme na’hīń āti ke vahi shakhs jo firqabandi se bezaar hai kyooń in maoujoodah firqoń se alag na’hīń hotā. Allah ta’ā’lā irshā farmātā hai:- Ye tūmhāri jamā’at haqiqatan ek hi jamā’at hai aur main tum sab ka Rab hon lihāza mujh se darte raho. (mo’minon:52)

Va inna haazihee ummatukum ummatavn vaahidatav va anaa rabbukum fattaqoon. (mo’minon:52)

Allah ta’ā’lā ham ko ek jamā’at dekhna chāhta hai to phir kyooń na ham ek jamā’at ban jāyeiń. Firqe firqe banalena Allah ta’ālā ki marzi ke khilāf hai aur jo chīz Allah ta’ālā ki marzi ke khilāf ho ham ko ūs se bezār honā chāhiye. Qāre’in-e-krām, sońchīye ikhtilāf aur firqabandi ko khatm kar ne ki kyā soorat hai. Agar āp sanjīdagī se ghaur kareińge to āp khud is natīje par pahońcheińge ke ūs ki bas ek hi soorat hai aur voh ye ke ham apnā dīn sirf Islām ko mānaiń, firqavārāna mazahib se kināra kash ho jāyeiń. Islām par amal kar ne ke liye sirf Qur’ān va hadīs ki taraf rūjoo’ kareiń. Jo chīz Qur’ān va hadīs me’ń na ho ūs par rāye zani na kareiń, na rā’ye zani hongi na ikhtilāfāt hońge. Jamaat-ul-muslimeen yahi da’wat le kar khadi hūyī hai, ūthiye, Jamaat-ul-muslimeen ki da’wat qūbool kijiye aur ūs ke sāth ta’āun farmā’iye.

Page 12: Hamaara deen sirf ek yani islam

12

Cell: 92463 43643 / 93471 39685 / 92463

43676

JAMAAT-UL-MUSLIMEEN [INDIA]

Flat #204, Saleem Masood Complex,

Nizam Colony, Toli chowki,

Hyderabad – 500 008 (A.P.)

Cell: 9246343676 / 7396620946