22
Barbaad karna tha tu kisi aur tareeqey se kartay ... zindagi ban kar zindagi hi cheen li tum ne .. Suno Barish , Kabhi Khud Sey Bhi Barh Kar koi Dekha hai Jawab Aaya Un Aankhon Kii Magar Barsaat Gehri Thi Tumse main aaj lipat jaoon to muaff kar dena Hud se agar aage badh jaoon to muaff kar dena Shokhiyan aankhon ki jo betaab kar rahi hain Aaj kahin inn mein doob jaoon to muaff kar dena Bheenge hothon ke paimane na diklhao humko Inhe peene ko lub lalchaye to muaff kar dena Dil ki baat ko juban tak hi rok lete hain hum Khat mere kabhi kitabon mein pao to muaff kar dena Har saans meri tere husn ki karzdar ho chuki hai Dil mohabbat-e-izhar kar jaye to muaff kar dena Ulfat ke afsane to gunjte hain qayamat tak Ishq ki dehleez tak main pahuncha hoon mujhe muaff kar dena

Barbaad karna tha tu kisi aur tareeqey se kartay.docx

Embed Size (px)

Citation preview

Page 1: Barbaad karna tha tu kisi aur tareeqey se kartay.docx

Barbaad karna tha tu kisi aur tareeqey se kartay ...zindagi ban kar zindagi hi cheen li tum ne ..

Suno Barish , Kabhi Khud Sey Bhi Barh Kar koi Dekha hai

Jawab Aaya Un Aankhon Kii Magar Barsaat Gehri Thi

Tumse main aaj lipat jaoon to muaff kar dena

Hud se agar aage badh jaoon to muaff kar dena

Shokhiyan aankhon ki jo betaab kar rahi hain

Aaj kahin inn mein doob jaoon to muaff kar dena

Bheenge hothon ke paimane na diklhao humko

Inhe peene ko lub lalchaye to muaff kar dena

Dil ki baat ko juban tak hi rok lete hain hum

Khat mere kabhi kitabon mein pao to muaff kar dena

Har saans meri tere husn ki karzdar ho chuki hai

Dil mohabbat-e-izhar kar jaye to muaff kar dena

Ulfat ke afsane to gunjte hain qayamat tak

Ishq ki dehleez tak main pahuncha hoon mujhe muaff kar dena

Page 2: Barbaad karna tha tu kisi aur tareeqey se kartay.docx

Mat poochh mujhe iss tasweer mein kya rakha hai

bholi si aankhon mein sansaar racha rakha hai

inn ankhon se jhalakte sawalon mein,main hoon

tumne khud mein kahin mujhko chhupa rakha hai

jab bhi laati hoon aks tera khud ke khayalon mein

paa jati hoon her taraf raah,ghane baadalon mein

muskaan teri mujhko bahut suhati hai

zameen meri kahin tham si jaati hai

yeh honth tere kuchh na bol kar bhi bol jaate hai

sunna chahti hoon jo main woh ras kaanon mein ghol jaate hai

dekhte ho iss tarah ki badh kar utha loge mujhko

jab bhi hogi pareshan seene se laga loge mujhko

jab bhi tasweer teri aankhon ke saamne laati hoon

band kar ke aankhon ko bahut sukoon paati hoon

mat poonchh mujhe iss tasweer mein kya rakha hai

teri aks ne mere khayalon mein mera khawaab saja rakha ha

Page 3: Barbaad karna tha tu kisi aur tareeqey se kartay.docx

Durr reh kar bhi tujh se mohabbat karna mujhe achcha laga

tu bata aakhir tujhe yeh waqiya kaisa laga

itne fasley mein bhi hai teri qurbat ke maze

mujhe se milna tujh ko chahna mujhe achcha laga

raakh uddne lagi hai mann mein jalti bujhti yaadon ki

shaam dhale teri yaad ke deep jalana mujhe achcha laga

kaise kahun tere bin ddasti hai mujhko tanhai

teri ulfat teri furqat mein rat-jaga mujhe laga laga

woh aanchh thi hawa mein ke kali tak sulag gayi

aise mein tera ghata ban ke barsna mujhe achcha laga

faasle miitt na paayeinde in durriyon ke kabhi

tasweer mein tera aa ke dil ko behlana mujhe achcha laga

chheen li neend jab aa ke tare khayalon ne

teri tasweer pe chhupke se hotho ko rakhna mujhe achcha laga.

Page 4: Barbaad karna tha tu kisi aur tareeqey se kartay.docx

Waaday Se Tere Nibaah Rakhte Hein

Is Umeed Se Teri Raah Taktay Hein

- - -***- - -

Ek Saadi Judaa Honay Ki Baad Bhi

Tere Laut Anay Ki Aas Rakhte Hein

- - -***- - -

In Larazti Hue Dharkano Ko

Teri Yaadon Se Shadaab Rakhte Hein

- - -***- - -

Yeh Jo Hasratein Chamaan-e-Viraan Ki Meri

Teri Ek Nigaah-e-Karaam Ki Naam Rakhte Hein

- - -***- - -

Tu Mile Na Mile Yeh Aur Baat Hai

Tere Paane Ki Justuju

AAJ bhi Dil Mein Sada Rakhte Hein

- - -***- - -

Lo Parh Lo AJJ Cherey Pe Mere Bikhri Hui Bebasi

Kuch Tooti Phooti Yaadon Ki Bikhri Hui Chandini

Ashqoo Mein Doobti Hui Ankhon Ki Roshni

Ahoon-o-Fariad Se Jalti Hui Honto Pe Tishnagi

Page 5: Barbaad karna tha tu kisi aur tareeqey se kartay.docx

Talkhion Mein Lipti Hui Chahat Ki Khamoshi

Kantoo Si Chibti Hui Mehboob Ki Berukhi

Sawalon Mein Uljhi Hui Chahat Ki Ragini

Hosloo Ko Rondti Hui Dill Laagi, Be Khudi

Zanjeero Mein Jakri Gaayi Qaid-e-Tanhai

Jazboo Ko Masalti Hui Chibti Hui Zindagi

Lo Paarh Lo AJJ Tum Bhi Mere Ranjishon Ki Kahani

Kuch Tooti Phooti Yadoon Ki Bikhri Hui Ravani

Hairan na hua kar meri jaan yon mere yad krne pr,

!!

Taluq jin se dil ka ho wo aksar yad ate hen.

Teri Nigaah Bhi Iss Daur Ki Zakaat Hui….Jo Mustahiq Hai Ussi Tak Naheen Pohanch pati …

Page 6: Barbaad karna tha tu kisi aur tareeqey se kartay.docx

Tumahri Yaad Asaasa Hai Zindagii Ka Merii

Jo Bhul Jaau’n Tumahay To FaQeer Ho Jaau’n

Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya,

Janay wala jaldi main tha, mil ker jana bhool gaya,

Mur, murr ker dekha tha usnay jatay rastay main,

Jesay usnay kehna tha kuch, jo wo kehna bhol gaya,

Waqt-e-rukhsat meri ankhain ponch raha tha anchal se,

usko gham tha itna ziyadah, khud wo roona bhool gaya

In galiyon ko in raston ko

Hum tu tanha chor chalein

Ishq mein ruswaa ruswaa ho ke chalay

Teri mehfil se ruswa hoye

Ishq mein ruswaa ruswaa ho ke chalay 

Woh tera chor ke chalay jana

Page 7: Barbaad karna tha tu kisi aur tareeqey se kartay.docx

Tere bin mushkil jee pana

Youn hamein tarsana

A bhi ja chor dey tarpana

In galiyon ko in raston ko

Hum tu tanha chor chalein

Ishq mein ruswaa ruswaa ho ke chalay

Teri mehfil se ruswa hoye 

Ishq mein ruswaa ruswaa ho ke chalay 

Ishw pe dhaag na lag jaye

Faasla aur na bhar jaye

Sans na ruk jaye

Abhi jaye dair na ho jaye

In galiyon ko in raston ko

Hum tu tanha chor chalein

Ishq mein ruswaa ruswaa ho ke chalay

Teri mehfil se ruswa hoye 

Ishq mein ruswaa ruswaa ho ke chalay 

E tanha raha kurb mein so khubiyan lagi

Ek bar kya mila tamasha ban gey..........

Dosti Ke Baad Mohabbat Ho Sakti Hai, 

Page 8: Barbaad karna tha tu kisi aur tareeqey se kartay.docx

Magar Mohabbat Ke Baad Dosti Nahi Ho Sakti ...

Kyunki Dawa Mout Se Pehle Hi Asar Karti Hai, 

Mout Ke Baad Nahi...!!!

Muje yakeen hai muhabbat usi ko kehte hain,K zakham taza rahe aur nishan chala jae.

Shayed khushi ka daur bhi aa jaye ek din Faraz,Gham bhi to mill gaye thay tamanna kiyay baghair..!

Main kisi ki Muhabbat hon koi meri Muhabbat hai

Main Deewani kisi ki koi Deewana mera hai

Ajeeb kashmakash hai yeh kya Silsila hai

Heena kisi or ki Dil kisi or ka haiiii

Ya Khuda is Darjay Muhabbat sy nikal day mujhko

k Bano main Dharkan uski jo Sachy Dil mera hai

Page 9: Barbaad karna tha tu kisi aur tareeqey se kartay.docx

Bujh Rahay Han Shaher Ke Jaltay Huay Chiragh

Ay Neend Ab Toh Aa Ja Bohat Raat Ho Chali

Gud Ni8...

Wo Kehta Rehta Hai Bari Majborian Hain Zamane Ki 

Saaf Lafzu Main Wo Khud Ko Bewafa Nahin Kehta..

Page 10: Barbaad karna tha tu kisi aur tareeqey se kartay.docx

Suno Tum laut aao na.

Wo dekho chand nikla hai.

Hamari muntazir ankhein,

Duain maangti ankhein.

Tumhein sochti ankhein,

Tumhein dhondti ankhein,

Tumhein wapis bulati hain,

Ye Dil jab bhi Dharakta hai.

Tumhara naam layta hai.

Ye aansu jab bhi behtay hain.

Tumharay Dukh main behtay hain.

K barish jab bhi hoti hai.

Tumhein yaad kartay hain.

Khushi koi jo aaye bhi.

Tumharay bin adhuri hai.

Suno tum laut aao na.

wo dekho chand nikla ha……

Page 11: Barbaad karna tha tu kisi aur tareeqey se kartay.docx

Ab Is K Liye Neya Koi Harf NikaaLo.....!!!!

Iss Lafz MuhabbaT Ka BharaM TooT Gya Hai...!!!

♥ Zee ♥

Adhuri Baat Hy Lekin,

Mera Kehna

Zruri Hy,

K Meri Sans Chalny Ko,

Tera Jeena

Zruri Hy,

Ye Dil Betab Rehta Hy,

Tera Milna

Page 12: Barbaad karna tha tu kisi aur tareeqey se kartay.docx

Zruri Hy,

Nazr Meri

Trasti Hy,

Tera Jalwa

Zruri Hy,

Agr Tu Aag Hy

To Phr,

Mera Jalna

zruri Hy,

Agr Manzil Ko

Hy Pana,

Sath Chalna

Zruri Hy,

Tere Bin Zindgi Adhuri,

Tujhe Pana

Zruri Hy..!!

Tumhari bay rukhi par bhi luta di Zindagi hum nay,Agar tum Meharba’n hoty, hamara haal Kia hota….!

Page 13: Barbaad karna tha tu kisi aur tareeqey se kartay.docx

Haath haaton say choot'ta kub hay?Koi apnon say rooth'ta kub hay?

Jo bhi jur jaata hay aik baar,Phir woh RISHTA toot'ta kub hay?

Surkh gulab k sare mausam tere naam,Har subha ka pehla ujala tere naam,

Teri yaad ka behta darya mere liye,Behti jheel main phool KANWAL ka tere naam,

Jitnay khawab Khuda ne mere naam likhay,Un khawabon ka resha resha tere naam,

Tere bina jo umr betai beet gai,Ab is umr ka baqi hisa tere naam

Page 14: Barbaad karna tha tu kisi aur tareeqey se kartay.docx

Ek bachpan ka zamana tha,

Khushiyon ka khazana tha,

Chahat chand ko paane ki,

Dil titli ka diwana tha,

Khawar na thi kuchh subah ki,

Na shaam ka thikana tha,

Thak haar ke aana school se,

Page 15: Barbaad karna tha tu kisi aur tareeqey se kartay.docx

Fir khelne bhi jana tha,

Dadi ki kahani thi,

Pariyon ka fasana tha,

Barish me kagaz ki kashti thi,

Har mousham suhana tha,

Har khel me sathi thi,

Har rishta nibhana tha,

Gham ki jubaan na hoti thi,

Na jakhmon ka paimana tha,

Rone ki wajah na thi,

Na hasne ka bahana tha,

Yahi jindgi ka fasana tha…..

Main choti si ik bachi thiteri ungli tham kai chalti thitu door nazar se hoti thimain aansoo ansoo roti thi

khabon ka ik roshan bastatu roz mujhe pehnati thiJab darti thi main ratun kotu apne sath sulati thi

Maan tu ne kitne barson takis phool ko seincha hathon seJeevan kai gheray bhedon komain samjhi teri batoon se

Mein teree yaad kai takia per

Page 16: Barbaad karna tha tu kisi aur tareeqey se kartay.docx

ab bhi rat ko sotee hoonMaan me choti see ik bachiteri yad mein ab bhi rooti hoon

Nazar jub tum se milti hai main khud ko bhool jata hoon,Bas ek dharkan dharakti hai, main khud ko bhool jata hon,Tumhain milne se pehle main bohut sajta sanwarta hon,Magar jub tum sanwarti ho main khud ko bhool jata hon,Main aksar kitabon pe tera hi naam likhta hon,Magar kuch tum jo likhti ho main khud ko bhool jata hon,Main aksar yehi kehta hon, main tum say pyar karta hon,Magar jub tum yeh kehti ho main duniya bhool jata hon...

""Sukhe Patton ki TarahBikhre the Hum""...

"Kisi ne Sameta Bhi To sirf Jalaane ke Liye""....!!

Page 17: Barbaad karna tha tu kisi aur tareeqey se kartay.docx

Mohabbat rooth jaye toUsay baahon main le lena

... Bohat hi paas kar ke tum...Usay jane nahi dena

Woh daaman bhi churaye toUsay tum qasam de dena

Dilon ke maamlon mainto khatayen ho hi jati hain

Tum in khataon ko,bahana mat bana lena

Mohabbat rooth jaye toUsay jaldi mana lena ♥ ♥ ♥

Page 18: Barbaad karna tha tu kisi aur tareeqey se kartay.docx

Ik Saal Purana Qissa HaiIk Larka Tha Deewana SaKarta Tha Manmana SaWo Shokh Shokh Chanchal SaMehka Mehka Pagal SaIk Roz Muhabbat Ker BethaOr Ab K Sal Ka Qissa HaiAb Wo Mazi Ka Hissa HaiWo Pyaar Pe Jaan Ko Waar GyaOr Apne Aap Ko Maar GyaSare Jag Se Jeet GyaBas Apne Aap Se Haar Gya .

*Ishq*

Page 20: Barbaad karna tha tu kisi aur tareeqey se kartay.docx