33
501. Jaane do yaaro mujhe mat roko, Udta hai uqaab jeene ke liye, Nazar aata hai rizq falak se mujhe, Maut aaye zamin per gar parvaaz na ho. 502. Ai baad e saba tu hi bata, Milega kahan mujhko mera khuda. Gunagunaati hui hawa ne kaha, Na tera na mera pur jahan ka khuda, Jisey dhundta hai bande woh tere qarib, Muflis hai woh insan jisey khuda na mila. Dil jhaank kar tum dekho basa hai khuda, Nigahen utaro tum dil tak zara, Yun keh kar hawa phir chalti bani, Dhundta reh gaya main khuda ko saba. 503. Kis ke dil mein kya chhupa hai, Raaz kis ke dil mein kya, Bharosa dil per kya karun, Be imaan hai dil khudaya, Bhul sakey yeh tujhko bhi, Haafiza intekhaabi hai, Jis pe roye zaar zaar, Usi ka dil dukhaaye bhi, Bechara ban kar ruth jaaye, Ruth kar yeh sab ko sataaye, Kya shai banayi tu ne maula, Kya tera dil bhi ruth jaaye, Mujhse kyun khafaa hai tu, Qusur mera to bataa, Mujhko hi bhulaa kar maula, Is dil ne tujhko yaad kiya. 504. Aftab na dubey to kya karoge sitaro, Waqt aayega kaise jahan mein tumhara, Raat guzarne pe na aaye sahr hogi kaise, Dastur e jahan hai kashti dhunde hai kinara. 505. Bismil hun yaro zakhm taaza na karo, Taslim hai sazaa mujhko aib joi ab na karo, 506. Maujon ki ravani dekh kar peeta hun be hisaab, Seeney mein valvale uthen saahil ki hai talaash.

501. Jaane do yaaro mujhe mat roko, Udta hai uqaab … POEMS PART -3.pdf501. Jaane do yaaro mujhe mat roko, Udta hai uqaab jeene ke liye, Nazar aata hai rizq falak se mujhe, Maut aaye

Embed Size (px)

Citation preview

501. Jaane do yaaro mujhe mat roko,

Udta hai uqaab jeene ke liye, Nazar aata hai rizq falak se mujhe, Maut aaye zamin per gar parvaaz na ho.

502. Ai baad e saba tu hi bata,

Milega kahan mujhko mera khuda.

Gunagunaati hui hawa ne kaha, Na tera na mera pur jahan ka khuda, Jisey dhundta hai bande woh tere qarib, Muflis hai woh insan jisey khuda na mila.

Dil jhaank kar tum dekho basa hai khuda,

Nigahen utaro tum dil tak zara, Yun keh kar hawa phir chalti bani, Dhundta reh gaya main khuda ko saba.

503. Kis ke dil mein kya chhupa hai,

Raaz kis ke dil mein kya, Bharosa dil per kya karun, Be imaan hai dil khudaya,

Bhul sakey yeh tujhko bhi,

Haafiza intekhaabi hai, Jis pe roye zaar zaar, Usi ka dil dukhaaye bhi,

Bechara ban kar ruth jaaye, Ruth kar yeh sab ko sataaye, Kya shai banayi tu ne maula, Kya tera dil bhi ruth jaaye,

Mujhse kyun khafaa hai tu, Qusur mera to bataa, Mujhko hi bhulaa kar maula, Is dil ne tujhko yaad kiya.

504. Aftab na dubey to kya karoge sitaro, Waqt aayega kaise jahan mein tumhara, Raat guzarne pe na aaye sahr hogi kaise, Dastur e jahan hai kashti dhunde hai kinara.

505. Bismil hun yaro zakhm taaza na karo, Taslim hai sazaa mujhko aib joi ab na karo,

506. Maujon ki ravani dekh kar peeta hun be hisaab, Seeney mein valvale uthen saahil ki hai talaash.

507. Nakhuda mujhe mila khuda na mila,

Jo kashti meri lagaaye paar kya woh khuda na hua,

508. Baanwara hai dil mera kis per kab aa jaaye Na bhanwara jaane, na main janun, na jaane mera dil.

509. Shikayat nahin kuchh gham se mujhe,

Bas yun hi keh diya, Thodi si khushi mil jaaye ya rab, Kaafi hai jeene ke liye.

510. Mustaqbil jaan kar kya karoge,

Maazi bhi to mustaqbil tha , Woh mustaqbil kyun maazi bana, Us mustaqbil ka kya hua.

511. Andheri raat mein sitare na nazar aayen, Aur jal chuka ho dil to bahaaren kya nazar aayen.

Kis kis se ja kar puchhun kiske dil mein kya ,

Har dil mein uthte hain valvale, kis ke dil ke nazar aayen.

Bismil dil ke zakhm bhar bhi jaayen, Us dil se pooch, kya usey zakhm phir bhi nazar aayen.

Imtehan diye hain musalsal ya rab,

Jalwe tere phir bhi har dum nazar aayen. 512. Auron mein hain kya khaamiyan us se tumhen kya vasta,

Khud ko tum bana lo achha kaafi hai dosto

513. Na poochhun main tujhse kyun khafa hai to khudaya, Kya gunah kiye hain maine kya gila hai tera mujhse,

Puja hai main ne tujhko sajde kiye barabar, Kya khata thi meri maalik rah mili na tere ghar ki.

Tu hi bata, ai parvar, kis rah pe ab chalun main, Us rah pe le chal mujhko jis rah pe tu ho har su.

514. Jab bhi hota hun tanha yaad aati hai teri ,

Us waqt hi to ya rab main saath apne hota hun. 515. Khil uthta hai dil ghunche ki tarah,

Muskurate huay aati hai jab baad e saba,

Saanson mein taazgi aankhon mein nur, Chalti hai dheere dheere jab baad e saba,

Gulshan mein bahaar phoolon ki mahk, Khizan ke parde se bachaati hai baad e saba,

Ai baad e saba gar tu na ho, Zindagi na ho kuchh bhi na ho,

Tu aati rahe jhulati rahe, Kya kehne tere tu hai baad e saba.

516. Na samjha paya hun na samjhunga teri duniya ko ya rab,

Kaafi hai ke yaqin hai tujh per, tere rahm per khudaya.

517. Kaise bantega dil ka dard, Milega kab hamdard mujhe, Had se jo guzar gaya, Vapas usey laayega kaun,

Naazuk hai dil nazuk mizaaj Naazuk unka ghamza hai, Ruth jaaye gar haseena, Samjhaaye aur manaaye kaun,

Jaane do yaro nakhre hain unke, Nakhre aate jaate hain, Aisa hota hai dard yaro, Aaj be haal kal ki khabar kisey .

518. Jab bhi main fikr e shauhrat karta hun,

Apni hi hasti se yaro, na vaqif mahsus karta hun. 519. Mat poochho momin kyon hun,

Kahin poochh na baithun tum kafir kyon ho, Yaqin hai mujhe khuda per, tumko khud per, Hurriyat gar tumko hai mujhko kyon na.

520. Jo na ho zikre uqba na fikre duniya,

Kya karega vaiz, kyon saqi na kaafi hoga, Soch lo yaro sochna hai zaruri, Gar maikada ho kaafi to zahid kya karega.

521. Fikr liye hain main ne jahan bhar ki apne sar,

Fursat di hai tujhko maula tu mere bare mein soch.

522. Hum to samjhe the guzar jaayenge aasan, Jigar na maana ke behta khoon na ho, Kitna zakhmi tha dil khabar thi na hamen, Woh dil hi kya jo bismil na ho. Maut ka aana lazim hai 'ashok', Mazaa kya aaye gar bahaana na ho.

523. Is deewangi se bacha le ya rab, Fikr ab apni na rahi auron ki kya karunga. Rakhega hisaab kya saanson ka 'ashok' Ikhtiar kisey hai kya, humdum, nabz e saa't per .

Kaise samjhaun tumko tariqa e zindagi kya hai , Jaise samajh mein aaye jee lo , manzil to ek hi hai . Insan woh dikha de vaaiz jo gunahgar na ho, Aur main dikhaun uske dil ka paighambar tujhko. 524. Naqab zulmat ki pahn ai shab e hijr, Ro lun main raat bhar savera na ho kabhi, Mil gayi raahat na aayegi yad teri, Dard e dil na ho to dard e hijr kya. 525. Kyon ke hum ne masjid mein sajde na kiye, Momin hum kum nahin khuda to dil mein basta hai yaro. 526. Dekhta hun jab bhi ghurub e aftab, Nazar aaye hai labon ki laali tere husn ka aks. 527. Hote hain shauhar sabke achhe, Apna hi khavind namurad sa nikla, Aam taur se qismat hoti hai achhi, Kuchh taalon ki chaabi barabar na nikli. Lajawab hota hai husn hamesha, Zamana bhale jo khamiyan nikale, Baal hote hain kaale bhure ya safed, In nilon aur pilon ka matlab kya nikalen, Na shak karna kabhi iradon pe mere, Na shak ho hamen ke tumhen dil se nikalen, 528. Dar ba dar ghuma kiye talash e khushi mein hum safar, Kya maikhana, kya yaarana ai khushi tujhse kay dil lagana, Khwab hai tu saraab hai tu subu o sharaab hai tu, Nasha tera hai aarizi, ghamon ki paasban hai tu. 529. Woh sawaal na karna kabhi jis ka jawab na sun sako, Us rah per na chalna kabhi jis per jalti shama na ho. 530. Jashn manao mohabbat mein sanam, Dil de chuke tumko so tumhare huay, Jashn manao raat zinda hai hanoz, Chale ao, aaz sare nau, muddat hui dekhe huay, Jashn manao jaag uthi hai umeed, Rote dilon ke ashk bhi khusk huay, Jashn manao bahaar aa rahi hai gulshan mein, Khizan ke yar dost ab wahan se rukhsat huay, Jashn manao unke aane ki khushi mein, Murjhate gul phir jawaan huay, Jashn manao baad e saba ke jhonkon ne Neend udaayi aur hum aagah huay.

531. Jitna gehra ho khayal utne hi aasan alfaz mein kaho, Sun ne wala samjhega, tumhari azmat kam na hogi. 532. Inayat hui itni mujh per khuda ki, Tum kya naved sunaoge mujhko vaiz, Maikhane se hai aashnayi gehri, Tum kis rah pe ab chalaoge vaiz, Gunahgaron ko pahunchta hai haq muafi ka Khatayen muaf, kin gunahon ka zikr karte ho vaiz, Peena gunah nahin kya khabar na thi tujhe, Hosh mandon ko rah pe lao, yaqin mujhe bhi ho vaiz, Kitna sach, kitna jhuth, hai teri baaton mein, Poochhunga main khuda se, apni tanhai se vaiz, 533. Tham sa gaya tha woh lamha, Jumbish tujhe tab kya hua? Jo aaj hun main woh kal na tha, Us kal ko phir aaj kya hua? Roye hain hum hazaar baar, Bahe they ansoo zaar zaar, Na woh hum rahe na rona raha, Un ashkon ka bhala phir kya hua? Khabar kisey hai kya 'ashok' Maazi o mustaqbil hai kya, Jo aaj hai tu so hai tera , Kaun jaane kal hoga kya. 534. Woh jalwa dikha de mujhko jis mein tu na ho, Kya shai hai jahan mein maula jis mein tu na ho, Saansen na aayen mujhko na kisi aur ko kabhi, Hawaayen na chal saken gar un mein tu na ho, Chaurahe pe musafir, safar tai na kar sake, Kaise miley manzil use gar hamsafar tu na ho, So rahe raahi rahzan hain aas pas, Kaun jagayega unhen jo pasban tu na ho, Dubti hui kashti maujon ki talatum mein, Sahil na pahunch paaye gar himayat teri na ho.

535. Thodi si der hui mujhe aane ki , Jaldi itni unhen, sunwayi na hui bahane ki, Tasvir dil mein liye ghumte hain, Zarurat na padi kahin aane jaane ki, Tadbir achhi thi socha na tha, Minnat na karni padi ab bahane ki, Dhund lunga phir tere ghar ka raasta, Zehmat na dunga yara tujhe aane ki, Aa jaati hai mujhko neend rote rote, Lorion ko zarurat na padi sulaane ki, Mushkilen aati rahin zindagi mein musalsal, Rehmat teri khudaya, mujhko zarurat na padi suljhane ki. 536. Dil ki suno, kabhi na bhi suno, Khabar rahe use ikhtiyar kis ka hai. 537. Jis rah pe chal raha hun kuch halki hai zamin, Kahin dafn na ho jaaun is rah pe chalte chalte, Yad rahe hamesha buniyad ho so pakki, Khandar bane imarat yeh na ho chalte chalte Napaidar hon iraade, haasil na hoga kuchh bhi, Dar dar ke chaloge, chaloge rukte rukte, Thak jaoge chalte chalte, faisalon ke darmiyan, Aar, na paar, na majhdar chalte chalte, Yad rahe bando, jaanaa hai chalte chalte, Qadam na dagmagayen, manzil ko chalte chalte, Keh gaye masiha baat apni karte karte, Tere liye jaan di hai bande, saans nikle halke halke, 538. Etiraf karke bhi sukun na mila vaiz, Kya farq pada humne gunah kiya na kiya 539. Us rah pe chal raha hun, jaane na koi mujhe, Gumnam mere naqsh e pa, pehchane na koi mujhe, Tanhai se aashna hun, tanha safar mera, Khule hain dar e qalb , dar kyon lage hai mujhe, Gulshan ne di sada , ao mil kar jao, Likhey na the qismat mein gul, sada di kyon mujhe,

Nikla hun maikade se, makhmur hun vaiz, Sun lunga main tanqid teri, sambhalne to de mujhe, Pahunchunga main khuda ke dar, yaqin hai mujhe, Is maya moh ke jaal se, nikalne to de mujhe.

540. Qaail nahin tere khutbe se vaiz, Samjha le tu khud ko qabl, Naseehat na de, haath mera tham le, Saath chal kar dikha de mujhe.

541. Ahista ahista chal raha hun, Chhalen hain paon tale, Khaul raha hai dil mera, Kahin dil tak na pahunchen kabhi.

542. De chuke hain dil ik haseen raqqasa ko, Jaan nisaar hai tujh pe jaana umr e khizar bahana hai.

543. Haif, ke tawaqqo ki rah pe chalna hai mujhe, Ke nikle jo janazah koi ghamkhwar miley mujhe, Chal diye hain yar dost, saaman baandhe huay, Dil mera liye huay, tanha chhord kar mujhe, Ya khuda tu hi bata humsafar ab hoga kaun, Dasht o sahra meri qismat kaun milega ab mujhe, Sa'at saeed naam rakha kis ne, tu hi bata mere aqa, Qismat ki sitam zarifi dekh, sa'at hi tanha chhorde mujhe. Qusurwar thahraun kisey, tera hai jahan khudaya, Kis se main ab kya kahun, uzr na miley mujhe. Na dukhana dil kisi ka varna, tumko yad rahe, Hisab barabar hoga ik din karoge phir yad mujhe.

544. Labon ke qarib behta raha darya ka paani, Labon tak na pahuncha tarasti rahi zindagani.

545. Khatam hui kahani apni Kehne ko ab kuch na saqi, Hosh sambhale aaye the, Havaale kiye jaate hain saqi, Haseen raaton ki chaap dil pe, Sitare gin kar umr guzri, Ho sake to yad rakhna, Yad hamari dil mein saqi,

Mehfil teri hai lajawab, Bemisaal tera maikada, Shakir tera main kya banun, Mera khuda tu hi tha. Rang nirale, chhalakte jaam, Mai ki to baat hi kya, Khali haath hum aaye the Khali hi rukhsat huay. Salamat maikhaana tera, Salamat yeh raunaq teri, Alvida na kahenge tujhko, Khabar kisey hai kal ki saqi. Jaan rahi to phir milenge Saans sambhale aayenge, Do ghunt pila dena saqi, Khush se chale jayenge.

546. Fitratan khudgharaz hai insan, burai hai kya, Jo khud ko na sambhal sake, kisi aur ko sambhale kya .

547. Nakhun mere badhte gaye, Zakham kuredne ko na, Barkat teri ai khudaya, Nasur zakhm bharte gaye. Dur talak udta gaya, Andaz fasilon ka na, Parvaaz main, meri tanhai, Bekhabar main kidhar gaya. Ruka main kahan ruka, Ghairon ke darmian panah mili, Achhe woh jo apne bane, Apnon se gar kuchh na mila.

548. Din to gin kar kat gaye, Raaton ka hisaab na raha, Shukr tera shakir ya rab, Azaab hota varna jeena .

549. Apni dhun mein chalte chalte Mud ke dekha na 'ashok', Khuda tere saath hi tha Rahnuma na banaya kyon.

550. Na hum badle na jahan badla, Kyon lagta anjaan zamana, Khabar ho tumhen, humen bhi batana. Seekhen dobara hansna hansana.

551 Milna julna ho sabse, Is se badh kar na naimat, Har insan mein khuda hai Dekho tum apni qismat.

523. Bhatakta raha kin rahon per 'ashok', Ghanimat samajh khuda hai jahan mein.

553. Husn walon ka ghurur dekho zara, Chalte hain zamin per na chalne barabar, Ud per hai qismat khabar hai na unhen, Hisaab hota hai sabka hamesha.

554. Yad rahe dosto din hain muqarrar, Qismat bhi moiyyan, jeena bhi isi mein.

555. Yaden kahan le ja rahin hain mujhko, Woh jagaahen ab yad hain na mujhko. Rishta kya tha mera un se, Us qadamat ki khabar hai na mujhko, Kyon kuredte ho tum yad e maazi, Rehne do yaro, rehne do haal mein mujhko, Kya milega us jahan mein ab 'ashok', Jis jahan ki khabar hai na ab kisiko.

556. Jab milna aise milna, Jee chaahe phir milne ko, Aashnayi isi ka naam hai yaara , Tanhai se kya milna

557. Gar safine ka nahuda ho khuda, Toonfan phir bhi aayenge, sahil saath laayenge.

558. Jaag uthi ik ajab tamanna, Kise dekhne ki hai yeh chahat, Dhalti raat thahr na jaana, Aftab na sahi saba to dikhana.

559. Na ulfat na rehmat na kuch aur chahiye, Bas ek baar khudaya tera deedar chahiye, Jalti rehti hai shama subah hone tak, Hamen to musalsal nur chahiye, Pairahan ho sone ka ya motiyon ka taj, Hamen to maula tera daaman chahiya, Nazaare hon gulon ke ya gulshan ki mahak, Hamen to bas teri khushbu chahiye,

Gulon mein gulab, parindon mein bulbul, Hamen to khudaya naam tera chahiye, Maazi ka azaab ya anjana mustaqbil, Hamen to har dam tera aaj chahiye, Yeh mumkin na sahi ke masruf hai tu, Hamen to hamesha sirf yaqin chahiye, Majhdar kashti ko mallah chahiye, Hamen to khudaya tu hi tu chahiye.

560. Humne maana tumhen hamesha apna, Raat kehne lagi khayal chhord khayal rakh tu apna, Meri garift mein hain chand, sitare, aur tu, Kaisa ajeeb hai yeh tera sapna, Kaanta chubhe hai tumko, dard mujhko hua kyon, Kya dard hai na sabka apna apna, Log jaanten hain mujhe tere hi naam se Chalo, kuch to sahi, naam to hai apna, Hairat se tak raha hun zamane ki chaal ko, Tu hi sambhal maula dil lage na apna, Baandh bistar le chal boriya, rah pe apni chal ‘ashok’, Rahnuma na mila jo tujhko, rahguzar bana le apna, Rahm dil hai khuda, kuch maang karke dekh, Mehr aaj ho ya na ho, naam usi ka japna

561. Bari be rahm hai bedaari ya rab, Zauq e junoon bhi chalta bana, Junoon tha tera, qurban main tujh per, Bedaari se ab hoga kya Mere junoon ka hoga kya.

562. Unfuvane shabab ke valvale yad aate hain, Hamen ai zindagi woh zamane yad aate hain, Samandar ki maujen toofan e dil ke shauq, Us shor a ghul ke aalam mein, hamen kuch hum yad aate hain. Woh shokhian, naadanian woh dil ki pareshanian, Woh milna, bicharna, woh bahane yad aate hain. Woh manane ki koshish woh halka itrana, Woh zulfen, woh ghamza, tere nakhre yad aate hain, Na kahen hum kisi se to yun na samajhna, Haafiza chhin chuka woh din ab kahan yaad aate hain.

Jhunjhula jaata hun, hil jaata hun, Haaye, woh guzre zamane kyon yad aate hain. Maajra hi aisa bayan main kya karun, Muskura leta hun, ro leta hun, woh din jab yaad aate hain.

Bas itna samajh le ‘ashok’ hamsafar saath chalte hi hain, Khamoshi mein woh hum nava bhi hote hain.

563. Zakhm e dil ki vusu't se pehchan na hui, Honton pe muskan ankhon mein nami na mili, Rote dil ki siskian na sunin humne, Hamen to zindagi teri hi khabar na hui.

564. Na bulaya tujhe kya hua, yad to kiya, Kya yeh kafi na tha teri chahat ke liye, Mushkil na hai jeena yaadon ke sahare, Bana do gar inko markaz e vujud tum apna.

565. Na kehna saba hum ne intezar na kiya, Na guzre jo aaj ki raat to hum ne kya kiya.

Na tujhe dekha hota na dil ko pareshani hoti, Tere aane ki intezar mein raat ko be chain na hoti

566. Khun e jigar behte dekha kisne,

Shikasta dil ko rote dekha kisne, Khushian hoti hain ayaan yaaro, Gham ko muskurate dekha kisne.

567. Ja haqeeqat kahin aur ja, Kahin aur ja kar dil behla, Chhord de tu mujhko tanha, Mere khwab mere saraab

568. Dil jal chuka hai ab minnat e marham kya karun, Jan ja chuki hai yaro vapas bula kar kya karun

569. Bas ek mulakat chand ghanton ki thi, Umr guzri khabar zindagi ki na hui, Laut chal ai waqt kuch ghante hi sahi, Jee lun dobara zindagi main apni.

570. Bekhabar rehta hai jo sach ki rah se humdum, Jaanega kya auron ko woh jo khuda ko na jaane

571. Dekhi thi raunaq tere mehfil ki yaara, Kaash ke tu ne nigahon ka jalwa dikhaya hota

572. Jis rah pe meri mazraar ho, Us rah se guzarna na tum, Taaza na hongi yaaden meri, Gham mein na liptogi tum, Jis rah pe meri mazaar ho,

Kuch aur us per ho na ho, Naqsh e pa tere na hon, Roti hui nazar ao na tum,

573. Kya ginte ho dinon ko raaton ko yaro, Zindagi to guzarti hai lamhon mein yaro, Napaidar hai kitna lamhon se rishta, Lamhe se lamhe ka fasila behisab hai yaro. Bana rehta hai ghuncha kuch lamhon ke liye, Gulistan mein bahaar rehti hai khizan tak yaro, Kitna lamba hai safar khabar hai kisey, Pahuncho na jab tak sahi salamat yaro, Ajeeb hotin hain kitni dilon ki durian, yeh fasile bhi tai hote hain lamhon mein yaro, Khayal rakh apne lamhon ka 'ashok', Kisey ikhtiar hai ghair lamhon pe yaro.

574. Shirin alfaz, narm seerat, yad rehti hai sabko , Haafiza hai sabka yaksaan, yehi sab chhord jaayenge. Kuch na le kar aye the sab yahin reh jaayega, Shaan o shaukat, rang mere, mitti mein mil jayenge. Yad rahe tumko yaro, yaden hum chhord jaayenge, Haafiz rakhna, yad karna, bas itna hum keh jayenge.

575. Dekh kar daaman mein chak, ghurbat ka unhen ehsas hua, Na samajh saka woh sangdil, junun mera na kum hua, Roye the hum zaar zaar, tere ruthne pe ai sanam, Manane aye tujhko hum, tere rahm ko phir kya hua, Hosh na hai ab mujhe, ghafil main har cheez se, Tu to bara bedaar hai yaara, hoshyari ko ab kya hua, Yaqin tha samjhoge tum, kis qadar bezaar hun main, Begaangi teri thi aisi, meri pehchan ko yeh kya hua, Liye huay dil mein ghubar, teri mehfil se rukhsat huay, Hum rahen ya na rahen, tere jalwon ko dukh na hua.

576. Kalion mein woh nazakat kahan, Gulon mein woh rangat kahan, Hamari saba hai jo Taazgi , Khuda ke jahan mein woh khushbu kahan.

577. Thahr ja ai waqt khud se to mil lun, Kisi aur ke lamhon pe kya ikhtiar mujhe.

578. Na kisi aur pe bojh na apne pe bhaar, Le chal khudaya le chal kahin aur.

579. Na puchna kabhi samajh aya kya tujhe,

Dil jahan miley hon jaana, wahan alfaz kya kahen.

580. Jeena ke liye har insan ko sahara chahiye, Tanha rehne ke liye bhi, ai humdum, apna saath chahiye.

581. Dhal chuki hai aaj ki sham, Raat ke saaye ne ghera mujhe, Ai shama, kuch aur jal, Teri lau ka saaya bhi dekhta chalun,

582. Badhti be chaini ke aasar nazar aate hain, Tujhse na miley yar hum bezaar rehte hain,

583. Dekhe humne rang e baharan, Raunaq unki chamakti dekhi, Ghunchon ko bhi khilte dekha, Tabassum unki khilti dekhi,

Ashkon ke amwaj bhi dekhe, Darya e gham ke shauq bhi dekhe, Rote dilon ko humne dekha, Muskurahat unki dekhi, Rang badalte log bhi dekhe, Adaayen har qism ki dekhin, Saadgi mein hum ne maula, Munafaqat ki amezish dekhi, Kaisa hai jahan yeh tera, Sone mein mitti bhi dekhi, Pursukun insan jab dekhe, Be taabi ki jhalak bhi dekhi. Baarish aur shabnam ko dekha, Haryali qudrat ki dekhi, Tere in altaf ki ya rab, Hum ne to bauchhar hi dekhi.

Dekhe Humne rang e baharan, Raunaq unki chamakti de, Ghunchon ko bhi khilte dekha, Tabassum unki khilti dekhi, Shukr hai tera yeh sab kuch dekha, Insan ki insaniyat bhi dekhi, Neki dekhi, badi bhi dekhi, Tere rahm ki be intehayi dekhi.

584. Na socha kabhi kis rah per chalun,

Raaste aate gaye safar kat ta gaya, Jo naqsh e pa na miley kisi ke , Raasta khud banata gaya.

585. Raftar e khiram se chal saba dil ko chhuti ja, Yad teri taaza rahe sukun tu deti ja, Jaana tera hai lazimi chalna hai teri fitrat, ja, Tu apni rah pe ja bas mujhko yun hi chhorde ja.

586. Nagma woh sunao jo tah e dil se uthta ho, Jala chuka ho tumhen raakh kar de jo mujhe Chhord ke aaye the unhen giryan giryan, Raqib ko jaate dekha humne hanste hanste.

587. Teri yad mein peete hain sanam, Na miley khuda to kya kijiye.

588. Andesha hai mujhko aaj bari lambi hai raat, Milna hoga sahr se fikr ki hai yeh baat.

589. Ruth kar na ja saba, aana hai tujhko kal yahan, Darbadar phirti hai tu, kis rah ki talash tujhe,

Bilkul tanha chalti hai tu, saath na koi tere, Ghair nahin teri rah mein saba, Humsafar bana, sukun miley tujhe.

590. Na samajh paayi shua teri vus'at e mayusi 'ashok', Khurshid se ja kehne lagi , andhera hai, kahin aur chal.

591. Chal raha hun rah e azal, naqsh e pa ginte huay, Tu hi bata ai waqt mujhe, manzil meri baqa hai kya, Khabar kisey azal hai kya, armaaq se hi puchiye, Be khabar hai maut bhi, inteha aur anjam kya

592. Puchhna mujhse mera khuda hai kaun, Mujhko yeh bata humdum tera khuda farq hai kyon.

593. Na mila razdan dil ko hamraz bana liya, Khud ko sunakar dastan e dil, kuch ro liya dil behla liya.

594. Puchha gulab se rahguzar chalte huay, Tera rang rup, khushbu teri, kyon ban na sakin hamrah meri, Main jidhar bhi jaun tujhe hi paun, Tu hi tu nazar aaye mujhe, Miley mujhe gar tera pyar, Tere khar bhi manzur mujhe,

Kehne laga woh gul mujhe, ai na samajh ek baat samajh, Milta nahin kabhi kisiko pur sukun na mila mujhe, Woh sukun woh chain, jiska zikr hai, na mili woh bahaar har saans mujhe, Khizan ke daur aate hi hain, rahega jaari yeh silsila, yeh khabar hai mujhe, Gham ke daur aate hi hain aati rahengi mushkilen, Khubsurat hai yeh zindagi chubhan bhi hoti hai mujhe, Aaye bahaar le lutf tu itni si baat hai mere yar, Daaman bacha aur chalte rah khar pyare hain mujhe, Na dekh kabhi kisi aur ko, na dekh rashk se mujhe, Mubarak ho safar tujhe, mubarak mera safar mujhe.

595. Hote hain sab chand lamhaat ke mehmaan, Mezbaan jitna bhi meharban ho, humdum, ghanimat maaniye.

596. Beetay dinon ki yad aati hai, Aisa na hai ke na rulati hai, Bas, yun hi samjhna dost, Ke dosti bhi kabhi satati hai, Beetay dinon ki yad aati hai. Woh naghma yad e maazi mein qaim hai, Woh ghazal bhi gungunati hai, Bas, yun hi samajhna dost, Haafiza ghat ta badhta hai, Beetay dinon ki yad aati hai. Woh chamakti rat nazar aati hai, Sitaron ki baaraat nazar aati hai, Bas, yun hi samajhna dost, Sahar shama ko bujhaati hai, Beetay dinon ki yad aati hai. Tere husn ki chhap ab bhi taaza hai, Chand ko ab bhi teri justaju hai, Bas, yun hi samajhna dost, Amawas ki raat bhi aati hai, Beetay dinon ki yad aati hai.

597. Kahin yeh na samajhna hum naraz hain, Aisa na hai humdum na kuch raaz hai, Majburiat ka socha, socha tumhara hi, Qayamat bhi aa jaaye, intezar ka socha,

598. Alfaz na hain mujhpe ke main bayan kar sakun, Kitne dukh hain jhele sukh hote huay.

599. Maathe pe shikan kaise, log jhurian samajh baithenge, Guzre waqt ka taqaza na hai, narazgi kaisi, Kuch to kaho humdum, hamatan gosh baithe hain, Logon se kya kahen, yeh dil lagi kaisi. Hoshmandon mein hain shumar, log kya kahenge, Ajab guzarti hai inki raat, yeh deewangi kaisi, Kuch na kehna chaho, na sahi, na kaho, Khamoshi hum samjh lenge, yeh guftagu kaisi, Na karo hum se bat na sahi, Ghairon se marasim, yeh bedardi kaisi, Saza mil rahi hai mujhe, khata meri hai kya, Shaaki bhi tum, munsif bhi tum, yeh be- insafi kaisi. Chalo, maana, qabul kiya ab to muaf kijiye, Zamana e tehzib hai yaro, yeh be adabi kaisi.

600. Seedhi shakh na dekhi humne, Phoolon se use jhukte dekha, Har khushi mein beej hai gham ka, Kya tumne yeh hote na dekha.

601. Girey huay patton se hat ke chalta hun, Mitti mein kiski mitti mili, kisey khabar, halke se chalta hun .

602. Na khun e jigar na husn e paikar, Yaqin hai tujh pe maula, is se kuch na badh kar.

603. Na pucho sanam kitna chahte hain tujhko, Sab kuch mil bhi jaaye justaju phir bhi teri.

604. Raat Ek musafir,

Manzil uski sahr, Chand ghante , kuch arsa, Phir raat, nayi manzil, Ek aur sahr. Nayi umeeden, Nayi umangen, Adhure armaan, jalte bujhte, Dil rota hua, cheekhta hua Ankhon ki nami, Pinhan , ayaan, Hausilon ka andaz. Bikhra, Simta, Aftab ki shua badalon mein chuppi hui, Bas darar miley, Arzoo.

Mohabbat. Meetha dard Ya dard ki marham, Uthti maujen , Samandar ki cheekh, Sukun, Ek udti chidya, Kab kahan, baithe, Kaun jaane , Pindare mohabbat.

605. Sochta hun Chand ko dekh lun, Sitare kahte hain, Woh bada hai so kya hua, Hum bhi to chamakte hain, Sochata hun, Woh theek kehte hain, Azmat haq hai sabka Barabar hain sab khuda ki nazar mein, Phir? Sochata hun. Bura kaun hai? Faisla kaun karega? Neki miley to puchhun Dikha tu apna roop, Gora, kala, kaisa, Kya andhera , kya ujala, Kya intikhab, Bura kaun ? Sochata hun.

606. Chhod aya kidhar us jahan ko main, tu hi bata mujhko yar, kya main chal diya ya jahan gaya, tu hi samjha mujhko yar Puja tujhe har roz sanam, Naam liya baaraha, ibadat, hi ibadat hai, ibadat ka hi naam hai pyar, Zuban shirin lab pe khuda, dekha main ne jahan tera, khanjar nikaale baithe hain, kab kaun karega vaar,

Nakhuda ke hunar per, moyassar hai yeh zindagi, dub jaaye gar safina, le jaaye kaun musafir paar, Na pahunche us paar 'ashok', nakhuda se kya kehiye, jeet kiski hui phir, aur hui kiski haar

607. Itna qarza hai mujh per tera rahm be inteha, girtey phoolon ka bojh maula mujh per bhari pada

608. Kitna pyar karta hun tujhse tu kya jaane sanam, puch le asman se sitaron se puch, kitna gehra hai jazbah samandar se puch, valvala hai ya toofan mere dil se puch, Kitne sache hain alfaz zuban se na puch, haath laga tu zahn ko aur zamir se puch, Pyas bujhti hai kaise yeh mujhse na puch tashangi ki shiddat zamin se tu puch, Kitni khushi hai gulshan ko baharon se na puch, rukhsat e khizan ko dekh aur gulshan se puch, Haji tu banega ya na banega bande, Irade kya batayen, qismat se tu puch, Bande hain sab khuda ke, phir badi hai kyon 'ashok', rakh apne pe qabu, khud hi se tu puch

609. Kabhi iltija kabhi dua, kabhi khud mila khuda mujhe,

Jab bhi maine dil mein jhaanka, ehsaas tera mujh ko hua.

610. Haif, ke kashf hui mohabat, to is andaz se, Jis simt se ja chuke the hum, vapas na ja sake, Durian shigaaf banin, samandar hamare beech, Sahil ko takte reh gaye, kashti na le sake, Jan us paar thi, is paar tanha dil, Haaye, yeh dil o jan ke fasile, hum kam na kar sake, Aah bharte hain dua karte hain, khushian rahen mahfuz, Hum is se zyada kya kahen, hum kuch na kar sake.

611. Jaan jaati hai aur woh kehte hain, kuch to kaho, Unhi se pucho kya kahen, kya sun na chahte hain.

612. Khwab haqeeqat mein badalte hain humdum,

Varna zindagi ka vajud hi na ho.

613. Dil mein chhupa kar rakhta hun sanam, Jhaank leta hun tujhko jee chahta hai jab, Basti hai tu saanson mein mere, Aah bharta hun sukun milta hai dil rota hai jab,

614. Rukhsat hote hain jo is jahan se, Khuda ne bhi unke aane ki gavahi ki, Nami kehne lagi barish hai, Ansoo nahin, abr ne bhi ankhon ki pazirai ki, Ro ro ke pukara baarha humne, Sama'at ne bhi unki khamoshi ki ruswai ki, Kitni jan leva hoti hai shab e firaq, Hum ne to apni tanhai se shanasai ki,

Chalo chal diye woh rah apni hamen chhord kar, Magar,yaaden hamare pas hain us harjai ki.

615. Apni dhun mein mast parwana, kuch waqt aur jal shama, Ahista se woh jal raha hai, kar lene de pura shauq use .

616. Kyon lagta hai mujhe har khushi mein gham shamil hai, Yaadon ki jhalak mein ashkon ki baarat shamil hai.

Chadhte suraj ke rangon ka andaz dekhiye, Shafaq ki laali bhi us mein shamil hai, Hota hai dard shirin pindar e mohabat, Guldam ke naghme mein bhi soz shamil hai, Mausam e bahaaran ki raunaq dekhiye, Hanste phulon ke chehron mein udasi shamil hai, Haseen lagti hai barf pahadon ki chotion per Pighalna uski fitrat, samandar mein dubna shamil hai, Kitni suhani hoti hai raat sitaron ki , Savere hone ka dar bhi us mein shamil hai, Zindagi ka luft mukammal uthao yaro, Guzar jaane ka khauf bhi to shamil hai.

617. Itna qarza hai mujh per, tere rahm be inteha, Girtey phoolon ka bojh maula, mujh per bhari pada

618. Zamin khisakti hum ne dekhi,

Paaon phisalte hum ne dekhe, Tasvir teri jo dil mein thi, Khud ko hum ne sambhalte dekha.

619. Kisey khabar dil mein valvale uthte hain kya, Kisey khabar toofan pinhan rehte hain kya, Jab dil hi na samjhe jazba e mohabat, Puchhe hai nigahon se nigahon mein hai kya, Dagmagate hain qadam, ladkhadati hai zuban, Na sunta hai dil dhadkanen apni, majra hai kya, Bharosa na hai mujhko doghli zuban per, Sochata hun kuch aur, kehti hai zuban kya.

620. Ja raat kahin aur ja, neend meri leti ja, Kisi aur ko ja sula, zarurat ho jisey zyada, Jo tujhko na miley tu mujhko bata, Dhundte hain phir milkar usko zara, Yaqin hai mujhe mushkil na hoga, Bad naseeb hain jahan mein mujhse zyada.

621. Khuda ki hai rehmat uska shukriya , Mere gunahon ko usne mauf kiya, Sajde kiye main ne so umr bhar, Sache dil, sachi zuban, se hamesha maangi dua.

622. Kaash, ke main ne zindagi tere naam ki hoti,

Haif, ke aisa na hua aur guzarti gayi zindagi, Main na jaanun kitna chaha main ne tujhko sanam., Dhunda kiye tujhko maula kaabe se le kar dair o haram. Haqeeton ka zikr hai yaro, safina saahil per miley, Khwab mera khwab rahega kahin zamin per khuda miley.

623. Ek hi to jaan hain kis kis ko dun, Haq hai khuda ka kisi aur ko kaise dun.

624. Chal ghar apne chal 'ashok', bahot lamba hai yeh safar, Khayalon per baith, parvaz kar, mukhtasar ho safar, Ud ke aaye kis jahan mein, aaye hum so be khabar, Chalte chalte thak gaya hun, woh bhi to kuch be khabar. Ghunche se khilta hai phul, na jaane woh bhi kis liye, Fitrat jiski jaisi ho, izhaar hoti hai be khabar. Kar baithe hain mohabat kis se, kab aur kyon aisa hua, Na tum janon, na hum janen, ulfat bhi hai be khabar.

625. Har insan ko pahunchta hai haq khushi ka, Basharte apne hisse ke gham manzur hon usey, Mil sakti hai raunaq biyaban mein bhi, Yakin ho jiske dil mein, nur e khuda mubarak usey, Jazba - e - mohabat, sukun-e-khuda, Dil rota hai kyonkar kya chahiye usey, Hamsafar na miley to tum chalte raho, Saath tumhare khuda hai, khabar hai usey, Majhdar mein kashti dubne ko aaye, Yad kar lo khuda ko, khabar hai use, Khauf lagta hai bande darta hai kyon, Kya chhupa hai khuda se, khabar hai usey, Aur darna hai tujhko to khuda se dar 'ashok' Jaanta hai woh tujhko, khabar hai usey.

626. Keh gaye, aur kar gaye, phir tum socha kiye, Hum to yaro jazbah e dil jaan qurban har dum kiye, Jazba e dil se hum ne yaro saare faisale kiye, Aql ghar per chhord kar maikhane ke sajde kiye.

627. Maikhane ka surur ya kaabe ka sukun, Kiske maathe pe kya likha hai, ai qismat, tu hi bata.

628. Beh rahe hain jazbe mere, beh rahe hain tez rau Dekh jawani, dekh ravani, dekh le inki tez rau, Nikalte rahenge chand sitare, jaari rahega yeh silsila, Guzarti jaati hai zindagi, ahista bhi aur tez rau, Kiske hisse mein kitni khushian, kaun jaane yeh pahelian, Phul khilte han gulshanon mein, murjhate hain so tez rau, Ghira hai insan ghamon se kitna, puch khizan se tu 'ashok' Mausam e bahaar hai yaara, aur ashk behte hain tez rau.

629. Thandi saansen na bharo yaro khayal apna karo, Jo darya ruk ruk kar chale samandar ka hoga kya,

630. Yeh rona kis liye , yeh hangama barpa kaisa, Kis ne roka hai qaza ko, kis ki sunti hai woh.

631. Kitna khush qismat hai tu 'ashok', Kitna chahte hain log tujhe, Ghanimat unhi ki maaniye, Jo khizan ko bahaar banaate hain log.

632. Teri inayaton ne hamen jeet liya, Ai khudaya yeh kaisa hai tu ne banaya,

633. Kyon lagta hai mujhe har khushi mein gham shamil hai, Yaadon ki jhalak mein ashkon ki baarat shamil hai, Chadhte suraj ki rangon ka andaz dekhiye, Shafaq ki laali bhi us mein shamil hai, Hota hai dard shirin pindar e mohobat, Guldam ke naghme mein bhi soz shamil hai, Mausam e bahaaran ki raunaq dekhiye, Hanste phulon ke chehron mein udasi shamil hai, Haseen lagti hai barf pahadon ki chotion per, Pighal kar samandar mein dubna bhi shamil hai, Kitni suhani hoti hai raat sitaron ki, Savere hone ka dar bhi to mein shamil hai, Zindagi ka lutf mukammal uthao yaro, Guzar jaane ka khauf bhi to shamil hai

634. Badi shiddat se tere aane ki intezar ki, Takte hi takte guzri raat meri, Na aana tha qayamat ko khabar di hoti Puch lete khuda se qismat kya hai.

635. Jee le tu is ghari ko 'ashok' kal ki khabar kisey hai,

Jo aaj hi na jee sakey usey kal kya khuda miley.

636. Kabhi na kehna mujhse jaana ke main ne dil se chaha nahin, Khuda gavah hai kya kahogi ru ba ru jab uske hogi. Jhuk ke chal 'ashok' zamin se rishta bana rahega, Chhuta hai aasman ko uqab nazren zamin pe rakhte huay. Jis taraf uthti hain aankh tu hi tu nazar aati hai sanam, Kya samjhaun dil ko apne kya hai mohbat kya wafa.

637. Kash ke main guldam hota, Shayri ki zarurat na padti dilon ko jeetne ke liye

638. Jis taraf uthti hain aankh tu hi tu nazar aata hai sanam, Kya samjhaun dil ko apne tu hi hai mera khuda.

639. Kabhi kisi se na keh saka mil gaya hai tu mujhe, Pagal hai duniya, ai khudaya, pagal woh samjhen ge mujhe

640. Chal diye manzil ko apni hasraten uthaye huay, Bhatak na jaun rah se apni rahguzar chalte huay, Nikalta hai rind maikhane se dagmagate aur ghabraye huay, Haath mein pyala, yaqin e saqi, zuban pe naam tera liye huay. Kya khabar thi hoga kya, andheri raat ka anjaam kya, Rakh kar dil mein tera bharosa, subah ki simt hum rukhsat huay, Kuch aisa kar de khudaya rasta mahz ek hi ho, Chal sakun tere dar ko main, imaan apna bachaye huay.

641. Jalte koyelon ka dhuan dekha raat bhar, Kuch teri yad aayi kuch khud ko dekha raat bhar, Haseen nazaaron mein behakte dil ko dekha, Gulshan mein , gulon ko ashk bahaate dekha raat bhar, Valvalon ki baahon mein toofan ubharte dekhe, Tere husn ke jalwon ka kaarwaan dekha raat bhar, Neend na aayi to khwabon mein jhulte rahe, Tere tasavvur ke humne jashn manaaye raat bhar, Haif, ke aisa dhuan dekhne ko na milta hai har roz, Kaash, ke hum bhi yun hi jalte rahen har raat, raat bhar.

642. Kyon bhatak raha hai man tera, kyon ud gaya hai rang 'ashok',

Rang to sab khuda ke hain, bas intekhab hai tera kaam.

643. Na ranj o gham na chah mujhe, tera dar mujhe kyonkar mila, Tera naam suna tha main ne saqi, bhala hua tera ghar mila, Kuch aag bujha kar dekh lun, kuch pyas bujha kar dekh lun, Arman hon jis ke be hisab, us shakhs ke rang bhi dekh lun, Hosh o havaas mein aaye they bekhudi mein chal diye , Mehfil ki raunaq dekh kar kuch raunaq le kar chal diye, Na kahenge tum se alvida, kal ki khabar kisey hai kya, Tera thikana hai maikada, kal tu yahan hoga kya ?

644. Ghurub e aftab se ayaan hoti hai raat, Ajab hai yeh duniya ajab yeh baat. Andhera bhi chahta hai ujaale se raahat, Socho jahan walon kitni anokhi yeh baat. Vazan ho zuban mein alfaaz halke na hon, Soch samajh kar hi dosto kaho apni baat, Dosti ki buniyad pyar mohabat hi ho, Na munafaqat ki bu ho, na ho uski baat. Milo jab kisi se galey hi milo, Na momin, na kafir, na kisi aur ki baat, Tijarat mein len den to hota hi hai Ulfat men tijarat ki na ho koi baat Yad rakhna tum dosto yeh alfaz mere, Vaaz o naseehat ki na hai yeh baat.

645. Baadalon se keh do zara ro kar dikhayen, Meri aankhon ko zarurat hai ansuon ki, Sookh chuki hain ro ro ke yeh bad naseeb aankhen, Nami inki inhen vapas dilayen.

646. Shak ko yaqin mein badalte dekha, Yaqin ko shak mein nahin, Woh yaqin hi kya jo badal gaya, Ghair mustaqil jo bana .

647. Hum tasveeron ko takte reh gaye ,

Khuda dil mein basa hai use dekh na sakey yaro, Ghafil na raho pehchan lo khud ko, Khuda tumhin mein basa hai isey jaan lo yaro

648. Mehr khuda ki na ho yaro, Gunah muaf karega kaun, Bhatak jaye jo rah se insan, Rah pe usey laaye kaun. Insaf hi chahiye to insaf karo, Varna insaf tumko dilayega kaun, Baharon ki adaaon ko samajh lo yaro, Khizan se varna bachayega kaun. Abid hain jahan mein naseh be shumar, Dar e khuda mujhko pahunchayega kaun, Woh mandir, woh masjid, woh girja kahan, Bataye jo mujhko parvar hai kaun.

649. Mile sukun jahan tumhen mukamal lijiye, Kya vaaiz kya saqi intikhab na kijiye, Masjid o maikhane main farq hai yaron Kuch lihaz parvar ka kuch apna kijiye. Shab se sahr tak maikhane mein pijiye, Phir aftab nikalne se qabl dua kijiye, Rahm aur gunah ka rishta ajab hai yaron, Mehr kya miley jo gunah na kijiye. Jee mein aaye jo tumhare wohi kijiye, Yad rahe, najaaiz fayda na lijiye, Khwahishen na hon puri iltija kijiye, Hisse mein jo bhi aye tasleem kijiye.

650. Kuch aisa kar dikha khuda Kuch main bhi to yaqin karun, Saanson pe ikhtiar tera, Jaata, Kuch main bhi to ansoo bharun.

651. Khwab apne dekh kar zindagi to guzaar lun, Dekh lunga jahan ko bhi aashian to sanwaar lun, Rang e baharaan dekh kar man mera jo khush hua, Dil se phir aayi sada khizan ko bhi to dekh lun, Sahr ke saath aayi khushi dil mein phir umang bhari, Jaagte aaftab ko uthte huay to dekh lun, Kaho sitaro chamakte ho kyon, kis andhere se khauf tumhen, Darte darte jee rahe ho himmat tumhari bhi dekh lun,

Na sun sako awaaz meri zimma fasilon ka hai, Tum tak pahunchne se pehle jahan to zara dekh lun.

652. Tanz O tanqid nishan hain napaidari ke, Khuda pe ho yaqin kya zarurat kisi aur sahare ki, Be khabar hai insan is baat se yaron, Varna fikr kyon har dum har cheez ki Dhundiye to sirf sukun hi dhundiye, Zarurat na pade phir kisi aur cheez ki, Mehfilen dekhin raunaq dekhi, dekhe jalwe ajeeb o gharib, Ibadat dekhi, abid dekhe, chah sirf khuda ki ki.

653. Ishq khuda se ho ya uske bande se, Farq na hai yaro kar ke dekho, Lutf aye ishq ka gar yaqin ho tumko, Mashuq ko apna khuda maan ke dekho. Arzu o khwahishen hoti hain be hisab, Dua jab maango dil se maang ker dekho, Kitna azaab hai jhut mein zamir se puchho, Sukun kitna hai sach mein, sach bol ke dekho, Hisab zindagi ka to dena padega, Haafiza mein is sach ko bhi rakh kar dekho.

654. Gham na sambhal saka to ansoo baha diye, Dil machal gaya to kya kijiye, Baharon ki raunaq mein khilte hain phul, Murjhate gulon se kya kijiye, Husn hota hai aarizi yeh to jaante hain sab, Ghurur na maane to kya kijiye, Poncho na ashk nami hai aziz, Sookhi hui dalon se kya kijiye, Jeena to munhasar hai khuda ke rahm per, Kufr go ho insan to kya kijiye. Muezzin ko sun kar tumne sajde kiye, Azaan na padi to kya kijiye,

655. Jis taraf uthti hain aankh tu hi tu nazar aata hai sanam, Kya samjhaun dil ko apne tu hi hai mera khuda.

656. Aasman ko chhune ka shauq hai tujhe zamin per qadam to rakh, Hawaon sang udne se pehle 'ashok' zamin per chal kar to dekh.

657. Basar karni hai zindagi to jeene ka shauq rakh, Kuch kam kuch zyada kuch umeed to rakh.

658. Zindagi ko azaab na banao, Ranj o gham ki baarat na le jao, Chhord jao yahin aaj ke roney, Kal ko bhi aaj na banao.

659. Kitna be dard hai waqt waqt se na puchhiye, Be khabar hai woh zalim kitna zalim hai woh

660. Albeli hai tu zindagi dekh chuka hun tujhe, Kahin dhup kahin chhaon kisey kab kya miley, Bekhabar hun main is baat se gar khabar hai tujhe, Kuchh to bataa, ishara hi de, aagah to kar mujhe,

671. Jism O Jahan ko chhord kar chalti hai tere saath, Jad O jahd kis liye apni hi ruh ke saath, Beh chuke ansoo mere chashm nam na huay, Ai falak, chalta hun ab shabnam ke sahare.

672. Maangte ho khuda se har cheez ki dua, Saans di hai tumko yeh nemat na hai kya.

673. Kitni aur mushkilon se guzarna hai abhi, Kitne aur imtehan denen hain baaqi, Kuchh to hisaab hoga tere zahn mein khudaya, Kuchh to bol, mujhe kuchh to bataa.

674. Hara bhara ho gulshan aur use kya chahiye, Jis pe karam ho khuda ka use kya dijiye,

675. Kis umeed pe chalte ho rah e jannat, Jannat tumhare dil mein hai kya milegi jannat, Manzil nahin hai jannat safar hai doston, Jis simt bhi chalo har simt hai jannat, Har lamha zindagi ka sada deta hai tumhen, Bana lo har raat har din ko hi jannat Khwahish ho jannat ki aasman ko na dekho, Yaqin ho khuda per wohi tumhari jannat.

676. Gulshan mein jashn manao,

Khushion ke rang bahao, Lag jaaye daagh jo dauran e khushi, Chalte raho na ghabrao. Ruthne walon ko manao, Unki baat dil se na lagao, Jo na samjhen khizan ke taur tariqe, Unke chehron pe bahaar lao. Jhute dilase na dilao, Be maani dil na behlao, Ashkon se jo lipti hai raat, Use jaane do, aur na satao. Jalti aag ko na bujhao, Bujhti shama ko na jalao, Jo ho raha hai yaro hone do, Beete dinon ki dastan ab na sunao.

677. Dard hua to halka sa, Khushi mili to jaati si, Kya baat hai 'ashok', Jazban mukammal kyon na hai.

678. Kaun jaane andheri raat ke raaz yaro, Ai shama tu jalti hai raat bhar tu hi bataa, Dil ke andhere mit te hain kya tere jalne se shama, Zulmat ho dil mein nur milta hai kya. Kaun jaane guzra kal kyon waisa guzra, Baharen aa kar chali gayin khizan na badla, Kaun jaane aaj ki raat kya khwab dekhunga, Ai haqeeqat kahin aur ja main khwab dekhunga. Kaun jaane tere mustaqbil mein kya hai, Safar e zindagi ka, ai musafir, silsila kya hai, Khabar na hai kisi ko tere jahan mein khudaya, Jeene marne ke baad aage kya hai. Kaun jaane maujen kab toofan banengin, Kab khushian mustaqil banengin, Be khabar hain sab tere jahan mein khudaya, Duaen kab tera hukm banengin. Kaun jaane pahaad kab tut pade, Mera ghamgin dil zaar zaar ro pade, Khabar na hai kisiko tere jahan mein khudaya, Tera qahr jahan per kab tut pade.

679. Thaam le dosti ka haath jahan bhi miley 'ashok', Khuda hi jaane khuda dost banega ya na

680. Rang e baharaan dekh kar dil to khush hua,

Behte aansuon ko dost hum na rok sakey.

681. Fikr auron ki jo kare khuda use maaniye, Naqshe pa hon jiske ayaan rahuma use jaaniye.

682. Aaj dil ko hum ne jab chhu kar dekha, kharaash mahsus hui, Kehne laga bezaar dil, ahista, bismil bhi tu ne kiya.

683. Aaye the woh sahare ban kar janaze pe mere, Kaandhe badalte reh gaye woh, sahara dengen kya.

684. Sufi ka hona zaruri na hai, Khuda ka naam ho zuban pe kafi hai.

685. Na jaane uqab kitna uncha udta hai woh, Aasman ko chhunewale qadam zamin per rakh.

686. Kaun jaane kiska dar sanwaregi bahaar, Kisey le jayegi khizan baharon ke us paar.

687. Tanha chhordo yaro khud ko jaan lun, Shanasayi se pehle khud ko pehchan lun.

688. Dubi hui kashti aaj saahil pe dekhi humne, Kaun jaane kal kya layega toofan e samandar.

689. Tera tasavvur kar ke soyenge aaj ki raat sanam, Tu na nazar aayi to royenge sanam, Puchenge kal khuda se aisa kyon hua, Kya rashk tha use tere husn se sanam.

690. Kaun jaane kya khwab dekhunga aaj ki raat, Haqeeqat to yeh hai yaro, saraab hote hain khwab. Kaun jaane kitne saans baqi hain , Chhordo, kya gin na, ji lo kafi hai yaro Kaun jaane aaj ki raat ka anjam kya hoga, Bujh jayegi shama mere savera ka kya hoga. Kaun jaane kis arzu ko chhupa rakha hai, Jeena to bas tujhse milne ka bahana hai.

691. Aaj ro kar bhi dekha kiye kuch farq na pada, Tere jahan mein khudaya kya ghami aur khushi mein farq na hai

692. Kuch to batao yaro hum kahan pahunche hain,

Manzil hai kahan safar kitna hai baqi, Kis se milaane, le chale ho, Kahan hai woh maikada kahan woh saqi, Kuch to batao.

693. Aaj mil kar tujhe khushi na samaayi saba, Kaun jaane kal hawa chale na chale.

694. Zulf hatao chehra to dekhun, Andheri raat ne kya raunaq chhupa rakhi hai.

695. Kya thandi hawa fughan saath laati hai, Kyon aatish e tamanna yun bujh jaati hai.

696. Saans leta rahunga umr bhar yeh to theek hai yaro, Kitni lambi hai umr yeh to batao.

697. Kya naapte ho fasilon ko dost, Safar to tai karna hoga, Dubti kashti ko har haal saahil to pahunchna hoga.

698. Kuch khaalipan mahsus ho raha hai, In fasilon mein azal dikhayi de raha hai, In duriyon ko kam kar khudaya, Mujhe mera yar yaad aa raha hai.

699. Shor itna tha garajte badalon ka, sargoshian na sunayi deen, Dhadkanon ne aapas mein baat ki ,bekhabar guzarti rahi zindagi.

700. Khushi is baat ki manao yaro ke baad e saba ka jhonka mila, Varna andheri raat ki samum mein jhulas jate.

701. Zakhm na bharne dena kahin tumko hi na bhul baithun, Khuda se bhi dua hai yaro mile na pur sukun.

702. Deewana ban kar lut gaye lut kar hi paaya jahan, Sahr na hoti hum chale jaate khuda jaane jaane kahan.

703. Naqaab uthane ki zarurat ne padi, Chhupi nazaron se dil lagi hui, Tabassum ke rang hain hazaar, Unke rangon se pehchan na hui. Behki zulfon mein hum kho gaye, Vapasi ki arzu na hui.

Unke chehre pe nur hai aisa, Hasid husn ko jalan si hui. Milti julti hai surat hur se , Ibadat ki tauhin na hui. Kali ban ti hai phul har haal mein, Jawani teri jeet hi jeet hui . Mehr hum pe jo hui ata, Raqibon pe kyun na hui. Haath thame huay jo chal diye, Ishq jeeta ruswayi na hui. Qurbani ka naam hai mohabat, Jaan di per haar na hui. Shama ko gila hai aftab se 'ashok' Ke raat bhar jali per tasalli na hui.

704. Darya ko talaash e sukun e samandar, Faisale ka malik dast e qaza. Dua ki manzil hai dar e firdaus, Ikhtiar e saalis dast e qaza. Aasman tak pahunchne ki tamana hai sabko, Takmil hai munhasar farman e dast e qaza. Lakeeron pe bharosa sitaron se umeed, Jaane hai anjaam dast e qaza. Maikhaane ka surur ya kaabe ki vajd, Qismat ka khel hai 'ashok' dast e qaza.

705. Na mili jagah firdaus mein na sahi, Aashnayi hai mujhko dar e maikade se. Milti nahin har shai hasb e tamanna, Behlata hun dil ko apni us kami se. Mehfil se uth kar chal diye na dua na salaam, Irtibat hogi kya is be rukhi se. Taban hain sitare subah hone tak, Umeed kya rakhun aarizi ada se. Hausile baandhe huay pahunche jo ku e yaar, Mil chuki thi khabar unhen kalaam e raqib se.

Bezar huay zarur is harkat e na gavaar se , Adavat nahin hai mujhko us bad naseeb se. Ja chuka tha qafila nishan na tha bahaar ka, Udaasi ki bu aane lagi har dar O deevar se. Laute qadam jo chal diye virangi ki aard mein, Aayi ghata layi sada saqiye maikhane se.

706. Mujh ko aaj ki sham jalne do yaro, Tanha hai shama jalne do , Haami ka sahara hota hai pur sukun, Yaqin na ho aazma kar dekh lo yaro.

707. Mehr khuda ki na ho yaro, Gunah muaf karega kaun, Bhatak jaye jo rah se insan, Rah pe usey laaye kaun.

708. Beh rahe hain jazbe mere, beh rahe hain tez rau, Dekh jawani, dekh ravani, dekh le inki tez rau, Nikalte rahenge chand sitare jaari rahega silsila, Guzarti jaati hai zindagi ahista bhi aur tez rau, Kiske hisse mein kitni khushian, kaun jaane yeh pahelian, Phul khilte hain gulshanon mein, murjhate hain so tez rau, Ghira hai insan ghamon se kitna, puch khizan se tu 'ashok', Mausam e bahaar hai yaara, aur ashk behte hain tez rau.

709. Ehtiat barat ke chalna gulistan mein yaro, Bismil bhi hote hain to yaaron ke haath yaro.

710. Chal raha hun rah e azal naqsh e pa ginte huay, Tu hi bata ai waqt mujhe manzil meri baqa hai kya, Khabar kisey azal hai kya armaq se hi puchiye, Be khabar hai maut bhi inteha aur anjam kya

711. Sochta hun main kabhi kabhi teri zindagi hai kya uqaab, Na rukavatan na bandishen na paabandian tujh per koi. Yeh sach hai kya ya tasavvur mera, Parvaaz main kyon na karke dekh lun. Sochta hun main kabhi kabhi.

712. Phoonk phoonk ke na rakh qadam himmat se chal 'ashok', Shama bhi to jalti hai kuch jalne kuch bujhne ke liye.

713. Jab bhi main fikr e tamanna karta hun humdum, Chali jaati hai arzu jaane kahan.

714. Jis daur se main guzar gaya uska karun kya tazkara, Mehrbaan manun use main yaro jo mustaqbil sanwaar de.

715. Momin hun main ibadat hai farz bandagi mein bhala, Jo bhi chala is rah pe yaro khuda use mila

716. Na kisi ki ruh main ban saka, Na kisi ko jaan main bana saka, Jo khud ko na pehcaan sake, Us shakhs ki main misal bana.

717. Yeh lafz mustaqil mita de khudaya, Varna saans de mujhko aur ke main aur ji sakun.

718. Na kabhi gham ko haavi hone diya, Na khushi se hum pagal kuay, Tu ne jo bhi diya ai zindagi Humne hukm khuda, taslim kiya.

719. Gham ke ansoo pi dalo, Ashk khushi ke behne do, Jaana hai tujhe us paar musafir, Fikr kisey hai tere gham ki rahi.

720. Jab kabhi rota hun main apni surat e haal per, Halke halke ashkon men beh jaata hun main. Kashti meri mallah bhi main na jaane kya talaash mujhe, Ansoo on mein dub kar milega kya sahil mujhe.